Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Eid Mubarak...

Non Medical Discussion
 
 
 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:8th Sep 2010, 2:43am
 

Eid Mubarak...

Asslam o Alikum.

mera sawal kuch ajeeb sa hai shayad.sawal ye krna chahti thi k aankhon se ansoun behne se kia eye sight weak ho jati h?kia halke par jate h?kia jahan jahan ansoun lagte hain wo jga sensitive ho jati h?

mazeed anson behne k kia kia nuksanat hain?
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:8th Sep 2010, 3:09am
 

Ansoun Behne Se Ankhon Pe Kia Fark Parta Hai?

aap k topic k liye to mujhay google ko khangalna paR gaya hae ji :)

there r 3 types of tears. Basal tears, Reflex tears, Psychic tears ( weeping or crying with pain )

yeh 3 types aik doosre se different hormones pe consist karti hain .

yeh teenon qisam k tears insaan k liye kisi bhi tarah nuqsaan deh nahi hain . balkay jab insaan jazbaat maiN rota hae tab is se aise hormones release hotay hain jo naturally painkiller haiN .

bohat si batain aur jazbaat jo hum bayan nahi kar saktay woh tears kar detay haiN .

Allah ki yaad maiN bahaye janay walay tears Allah se qareeb tar kar detay haiN .

nidamat aur sharmindagi k tears insaan ko pataal se asmaan pe le jatay haiN . us k gunnah dho detay haiN aur usay mehboob tar bana detay haiN .

Allah pak ko woh aankh pasand hae jo Us ki yaad main tanhai main roye.

mujhay to tears k fawaid hi nazar aye haiN in ka side effect nahi.

may be any Dr can tell u about tear,s harms
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:8th Sep 2010, 4:51am
 

maryam

ap ne jo bi kaha bilkul bilkul sahi kaha
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:8th Sep 2010, 6:49am
 

Ansu urf Tears

mujy yeh to nahi pata k ansu any sy ankhoon par kia asrat hoty hain ya ho sakty hain ....magar main kuch aysi haltoon ka zikar karta hoon jis main ansu ajaty hain ...
  1. gham , andhoh , afsurdgi
  2. khushi , hansty hansty , masrooriyat
  3. dard , takleef
  4. inkasari , aajzi
  5. sharmindgi , nadamat
  6. chahat , ulfat , muhabat

iss k ilawa piyaaz (onion) katny sy , dhool matti k ankhoon main chaly jany sy , ankhain kharab hony sy (ashob-e-chasham) b ansu ajaty hain aur sab sy barr kar magar mach k ansu (crocodile tears ) hoty hain jo khawateen ko bahana buhat khoob ata hey ..:) hehe

main ny iqsam darty darty hi yahan likh di hain q k bat kuch aur ho rehi hey....:)
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:8th Sep 2010, 7:08am
 

Ansu urf Tears

mujy yeh to nahi pata k ansu any sy ankhoon par kia asrat hoty hain ya ho sakty hain ....magar main kuch aysi haltoon ka zikar karta hoon jis main ansu ajaty hain ...
  1. gham , andhoh , afsurdgi
  2. khushi , hansty hansty , masrooriyat
  3. dard , takleef
  4. inkasari , aajzi
  5. sharmindgi , nadamat
  6. chahat , ulfat , muhabat

iss k ilawa piyaaz (onion) katny sy , dhool matti k ankhoon main chaly jany sy , ankhain kharab hony sy (ashob-e-chasham) b ansu ajaty hain aur sab sy barr kar magar mach k ansu (crocodile tears ) hoty hain jo khawateen ko bahana buhat khoob ata hey ..:) hehe

main ny iqsam darty darty hi yahan likh di hain q k bat kuch aur ho rehi hey....:)
Naznainnazli Group: Members  Joined: 31st Jul, 2010  Topic: 8  Post: 196  Age:  25  
Posted on:8th Sep 2010, 7:25am
 

S4u

I agree with Maryam har waqt har bat pe rone se eye sight weak ho jati he aur ankhon ki natural chamak aur khoobsurti pe b asar parta hay ankhain beronaq si ho jati hain isliye bgher kisi vaja k fazol me ansu nhi bahane chahiyain ap keyo roti hain mat roya karain na zeyada rone se ankhon ki kashash khatam ho jati ankhain berang si dikhti sirf rone se he nhi neend ki kami se bhi ankho k grd dark circle bn jate hain isly time sona chahye ankhon ki khubsurti klye neend theek se pury krni chahye.
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:8th Sep 2010, 11:35pm
 

Ansoun ka behna

aap sab ne buhot hi acha reply kia is k lie thanks.

Naznin ne bilkul theik kaha.

mere aankhon me ansoun aney ki waja se jis jis jga ansoun lage os jga pe jalan si hoi aur aik bar bilkul bareek se daney ho gae aur on me se ese lgta tha k agar inhe hath lgati hon to blood nikle ga:(

isi lie pocha k kia aansoun bhi nuqsan deh sabit ho sakte h.

"isliye bgher kisi vaja k fazol me ansu nhi bahane chahiyain ap keyo roti hain"

baghair kisi waja k kis kii ankhon me ansoun atey h?meri ankhon me takriban daily atey th jab main Haram jaya krti thi aur Quran ki tilawat sunti thi aur jab os me koi esi batein ,Allah ki traf se jaza,saza ka ziker hota to khod hi aansoun aa jate th:(



Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:9th Sep 2010, 12:08am
 

s4u dear

aap k beh janay walay ansu bohat qeemti haiN . aur umeed hae k Allah k haan maqbool bhi. jo ansu insaan ka dil saaf kar de un ka eyes pe kiya side effect hona ji balkay aap ki eyes mazeed khobsurat hojayengi :)
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:9th Sep 2010, 3:05am
 

bat ye nahi

agar ye silsla chalta raha to mere zakham bhi reh gae to kitni buri lagon gi:(

sab kahein ge zakhmi ankhon wali:((
saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  28  
Posted on:9th Sep 2010, 3:10am
 

S4u Ji

arey tou app itna na roya karen, jab bhi apko rona aye app hansa karo simple

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:9th Sep 2010, 3:14am
 

Sahil bhai

kabhi esa krna mushkil hi nahi namumkin bhi hota h
saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  28  
Posted on:9th Sep 2010, 3:26am
 

ji ji

I know sister mein to aise hi keh raha tha, kabhi kabhi kia bauhat dafa aisa karna bauhat mushkil ho jata hai, acha aik baat pochna chahoga, larkion ko to aksar rote hue dekha jata hai, means unka dil naazuk hota hai, to kia larke bhi issi tarha nai ro sakte.

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:9th Sep 2010, 3:34am
 

larke vs larkiyan

nahi ji larke rote hoe ache n lagein ge.rona to sirf larkon pe acha lgta h.agar larke ro rahe hon sath keh rahe hon k ye bara nazuk dil rakhta h.to ye bat man'ni mushkil ho jae gi.


saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  28  
Posted on:9th Sep 2010, 3:40am
 

S4u

mein manta hoon larke rote hue ache nai lagte magar larkon ke bhi to jazbaat hote hain, abb mein apni misaal deta hoon galat mat samajhyega, 2 weeks pehle mere father ka accident ho gaya tha aur unka operation tha, to mein 1 week hospital mein hi raha tha, abb mein wahan akela tha aur mujhe itna rona aa raha tha but mein ro nai sakta tha, phir yeh k mein neehce utra garden mein gaya aur khoob dil bhar kar roya, phir jab dil halka ho gaya to wapis chala gaya, to larkian to sab k samne aur jab chahein ro sakti hain magar larke aisa kion nai kar sakte.
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:9th Sep 2010, 3:53am
 

hmm

ye to hai.wo insan hi kia jis ka dil pathar ho aur ankhon me ansoun na aein:)

main ne apni post me drama krne wali larkiyon ka likha h.jo sirf dosron ki nazron me apni ehmiat barhana chahte hon wo sab k samne rona dhiona shoro kr deti h,magar kabhi esa waqt bhi aa jata hai insan rona chahe tab bhi nahi ro pata is qadar majbor hota h.

mere bhai last year buhot bimar ho gae th aur on k bachne ki omeed bhi na lagti thi.to rona ata tha per rote nahi thagar hum hi ro dete to on pe kia guzarti.

aur kabhi insan apne anson control krna bhi chahe to nahi kr pata kisi surat bhi.
Battery Group: Members  Joined: 17th Jul, 2010  Topic: 8  Post: 144  Age:  19  
Posted on:9th Sep 2010, 8:08am
 

s4u

baghair ksi wajha ke mri ankhon mein ansu atay hain

sahilbhai shukar karain ke larkon ki ankhon mein itni jald ansu ni atay hain q ke kbi kbi khud ke ansu bi itni takleef dte hain ke zindagi se nafrat ho jati hai

khuda na karay ke kbi bi mre ksi behan ya bhai ki ankhon mein ansu ayen
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013