Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

<<< Schizophrenia >>>

General Health   >>  Psychiatric Problem
 
 
 
its-pk Group: Members  Joined: 13th May, 2008  Topic: 18  Post: 181  Age:  24  
Posted on:25th Aug 2010, 5:52pm
 

<<< Schizophrenia >>>

Schizophrenia kya hai ?

yeh insaan ko kaise aur kyun ho jata hai.


please urdu mein define karein. 

thanks in advance... 

Ridz Group: Members  Joined: 26th Aug, 2010  Topic: 0  Post: 1  Age:  23  
Posted on:28th Aug 2010, 12:04am
 

schizophrenia

Schizophrenia aik nafsiyati marz hay.is sa insan apni soch,bol chal,rawaiya par kaboo nahi pasakta..mareez ko mukhtlif kism ki awazay sunayee aur cheezay dikhai daiti hain jo bazahir normal logo ko nahi sunayi aur dikhai daiti,mareez apni aik alag duniya basalata hay,mareez ko lagta hay k us ko farshtay awzay da rahy hain..mareez apnay app ko nabee ya farishta ya koi baree hasti wagaira samghna shurru kar daita hay.

(afsos humaray molvi hazrat aisay maskeen logo par zulamh karatay hain aur un ko gustakhay rasool kahna shuru kar daitay hain..in logo ko humara piyar aur madad chiya hoti hay)

schizophrenia ki 5 kismay hain.

schizophrenia ki mukhtlif wajohat hain..shadeed ya taweel tension ya zahni ya jismani torture,kisi shadeed kism k hadsa maslan kisi ki mout,talak, wagaira sa bhi hojata hay, insaan har wakt negative sochta rahay to bhi hosakta hay, yeh pregnanacy k dooran kisi kism ki garbar sa bhi paida honay walay bachay ma hosakta hay...lakin yeh bacha apni symptoms 18 sal k bad show karta hay.

schizophrenia ziyada tar 18 sa 30 sal ki umar ma hota hay lakin yeh bacho aur baro ma bhi hosakta hay..

Schizophrenia ka baray ma logo k bohat sa ajeebo ghareeb khiyalat ha kuch log to is ko marz samghtay he nahi..is ma hamary moulvi bhai.jado,alim baba waghaira shiml hain.. Allah un ko hadayat da. Ameen
Logical Group: Members  Joined: 11th Sep, 2010  Topic: 4  Post: 371  Age:  39  
Posted on:1st Sep 2010, 2:08pm
 

Schizophrenia

schizophrenia aik zehni marz hai. yeh marz brain mai Dopamine (chemical) ki ziadti ki wajah se hoti hai. lehaza iss ka ilaj aisi dawao se ki jaati hai jis se brain mai Dopamine level kam ho jaaye.

Dopamine ki ziadti ki wajah se Hallucination aur Delusion hota hai. Hallucination ka matlab hai keh beghair ksi stimulation ke perception ka hona. matlab yeh keh koi awaz nahi hai lekin awaz aa rahi hai. koi mojood nahi hai lekin woh nazar aa raha hai, koi khooshboo ya badboo nahi hai lekin mahsoos ho rahi hai.

Delusion ka matlab hai waham. yani aik aisa yaqeen jis ka haqeeqat se koi taluq nahi. maslan kisi ko waham ho jaata hai keh woh mulk ka sadar hai, ya woh koi aham shakhs hai, ya os ke peeche dushman lage huye hai; jab keh haqeeqat mai aisa nahi hai.

delusion aur hallucination ki wajah se beshumar betuki alamat zahoor mai aatay hai. aap ne aksa zehni mareez ko road per jaatay dekha ho ga jo khulao mai mukka lehra lehra ker galia deta hua guzar raha hota hai. aap dar ker side ho jaatay hai keh kahi woh aap per hamla na ker de. lekin amalan aisa nahi hota aur woh aap ke qareeb se guzar jaata hai.

iss case mai hota yeh hai keh ose delusion (waham) hota hai keh os ka dushman hai. phir woh dushman ose nazar bhi aa raha hota hai, jabkeh kisi aur ko nazar nahi aata aise condition ko visual hallucination kehtay hai. aur woh os ko hi mukka dekha raha hota hai. ose os dushman ki awaz aur galia bhi sunayee de rahi hoti hai. jab keh yeh gaali aur awaz kisi aur ko sunayee nahi deti iss condition ko auditory Hallucination kehtay hai. aur woh on galio ka jawab de raha hota hai.

log iss qisim ki harkat kerne wale ko Pagal kehtay hai. phir os ke ilaj ke liye kisi nafsiati doctor ke paas le jaate hai, agar doctor ki diagnosis Schizophrenia huyee tu os ka matlab hua keh iss shakhs ke jism mai makhsoos neurotransmitte Dopamine (chemica) ki ziadti hai. lehaza woh Dopamine ki ziadti ko kam kerne ki makhsoos dawai deta hai jis se Dpoamine ka level kam ho jaata hai.

jab Dopamine ka level kam ho ker normal ho jaata hai tu os shakhs ki hallucination aur delusion khatam ho jaati hai. matlab yeh keh ab na ose dushman ka waham rehta hai aur na hi ose dushman nazar aa raha hota hai, aur dushman ki galia bhi nahi sunayee deti. zahir hai keh jab waham bhi na ho, dushman nazar bhi na aaye, galio ki awaz sunayee bhi na de tu woh kis ke liye mukka lahraye ga, ya kisi ko galio se jawab de ga. matlab yeh keh woh normal ho jaata hai.

Dopamine ki kami ki wajah genetics hoti hai aur woh ilaj ke kuch arsa ke baad dobar barh jaati hai aur phir se dobara halucination aur delusion shuru ho jaata hai. lehaza aise mareez ko taqreeban sari zindagi dawa khani perti hai. dawai khane se nahi ghabrana chahiye. sirf schizophrenia hi nahi aam zindagi ki bhi kai beemaria hai jis mai sari zindagi dawa khani perti hai maslan High Blood Pressure, Diabetes Mallitus waghaira.

Schizoprenia ki baaz sasti dawao (antipsychotic drugs) se body ki abnormal movement bhi hoti hai. aise symptoms ko extra pyramidal symptoms kehtay hai. iss ke liye makhsoos anti-cholinergic drugs bhi leni perti hai. waise ab aisi dawai bhi milnay lagi hai jis mai extra pyramidal symptoms kam se kam hota hai lekin os mai doosra side effect hota hai.

tajarba se dekha gaya hai keh agar schizophrenia ki makhsoos qisim (catatonic schizophrenia) mai fits paida kia jaaye tu mareez tezi se sahi hota hai. lehaza nafsiati hospitals mai aise mareezo ko ECT (Electro convulsive Therapy) ke zaria fits induce kia jaata hai. Generally Negative symptoms (Withdrawal, Poverty of thought, Poverty of speach and general activities) wale mareezo mai bhi ECT lagayee jaati hai.

Schizophrenia ko agar ham 100% cure nahi ker saktay tu koi baat nahi ham ose conrole tu ker saktay hai. lehaza Schizophrenia ko Pagal kehan aur samajhna nahi chahiye. yeh bhi doosri beemario ki tarah aik beemari hai aur ilaj se ise bhi control kia jaa sakta hai.
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1940  Age:  47  
Posted on:1st Sep 2010, 6:00pm
 

Schezophrenia

very very nice comments by Ridz and logical

Schizophrenia aik demaghi bemari he aur duniya mein aam payi jati he taqriben 100se aik shakhas mein hoti he

Causes...

iss marz ki asal waja ka patta nahi laiken ye tolidi aur mokhtlif maholiyati fectors ka baham rad-amal ho sakta he jo demagh ki Development kerty hein Demagh mein chemical madoon mein kaee tarah ki tabdiliyan ati hein in madoon mein nar- epinephrine,epinephrine,dopamine,serotonineaur gaba shamil hein...

Schizophrenia khandani bi ho sakti he iss k chances 11% hein waldain bachy ki sahi tariqa se parwarish nahi ker sakty bachoon ko dantna in k kamoon per nokta chini kerna aur in ki khawaish ko zabar dasti dabana bachoon mein aissi marz peda kerta he bahz oqat patent ki life koi hadsa pesh ana jiss se iss k demagh per gehra assar ho jiss k bhad patent mein pagloon jessi harkat peda hoti he ye dora siraf chund mah rehta he aur patent theek ho jata he agar patent 6 mah k arssy mein normal nahi hota to ye condition khatrnak ho jati he bawajood ilaj kerny k iss ki shakhsiyat normal halat mein nahi ati...

Schizophrenia kaee tarah ki hoti he iss mein

1.simple Schizophrenia..

2.Paranoid..

3.Paranoid Schizophrenia..

4.Catatonic..

5.Hebiephrenia Schezophrenia..

6.Schizophrenia Psychosis shamil hein..

choonke ye iqsam moshtrik hein iss liye in ki ilamat bi aik tarah ki hein in mein koi khas faraq nahi he...

Clinical features....

ye marz kissi umar mein bi ho sakti he iss marz ki ibtedaee ilamat ye hein...

patent zor zor se bolta he paglon jessi harkaat kerta he iss ki guftgoomein taslsal ayr rabt nahi hota aur na hi koi matlib hota he log iss ki bat nahi samjhty simple schizophrenia mein patent ki shakhsiyat badal jati he wo moshry se alag thlag rehta he koi kaam waghaira nahi kerta mokhalif jinis se issy koi dilchuspi nahi rehti wo shadi nahi kerta her waqat apni duniya mein khoya rehta he patent ko ye mehsoos hota he k dusry log issy qatal ker dein gay iss ko mokhtlif awazein sunaee deti hein jo iss ko control kerti hein ,wo baat kerty huway hansna shuroo ker de ga aur issi lamhy rona shuroo ker de ga...

paranoid schizophrenia ka patent khjayal kerta he k wo khod ghair mamoli silahitun ka malik he log iss se hasad kerty hein ,wo iss ko marna chahty hein issy irad gird k mahol ka patta nahi chalta wo urine waghaira per control nahi ker sakta...

Schizophrenia ka ilaj Medicin aur social salook se mumkin he moshtrika ilaj se behtar results hasil hoty hein Medicin k sath sath patent k sath social salook kerein issy gharailo faimly mahol dein ,waldain aur rishta dar patent ka mo-ashi samaji help kerein iss ki agar koi takleef he to issy door kerein iss k ilaj moljy ki taraf dhiyan dein patent se acha salook aur hamdardana salook hi achy results de gay

Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1940  Age:  47  
Posted on:1st Sep 2010, 6:01pm
 

Schezophrenia

Multiple Post

zaki3 Group: Members  Joined: 20th Oct, 2011  Topic: 3  Post: 5  Age:  40  
Posted on:2nd Nov 2011, 12:14pm
 

iam schizophernic

mera naam shaikh zakiuddin(parvez)waleda ka naam meherunissa begeum waleed ka naam shaikh moinuddin(marhum) hai pata hai h.no:8/9/189 near mustaq kirana new s.t colony kat-kat gate aurangabad 431001 maharastra india main apne marhum waleed ke darr aur kauff main pala bada nanihall ka mohabbat mili is darr aur kauff ki waja se meri mukamil saksiyaat nahi paya hoon 14/15 saal ki umar main mushtzani ki adat lag aur woh 6/7 barson tak rahi kisi apno ke bare mein mushtzani karta tha aur sirf guha e kabira main sochtha tha sirf soch tha amli taur se nahin kiya walid k intekal ke baad main har juma se pehle bgair kisi amal ki neeyat se dua-e-ganjularsh aur surah mulk pada karta tha ek juma aisa hoa main napak hogaya lekin main upri taur se saaf ho kar padai puri ki 93 iswi se main ranj o gham mein mumtela hogaya jo main ne sirt soch tha meri kafeeyat paglon ki tarah allah ki taraf ruju hua toh waswason ne pagalkar ke chod diya 30 baras ki umar mein shaadi hoi toh paata chala ke main jinsi kamzori hai phir main kuch mahine ke baad main mental hospital mein hosh aya pschiatrist(maher-e-nafsiyat) ka kehana hai mujhe deemaagi maraz ya nafsiyati marz ka naam schizophernia hogaya hai main bacpan se tanhai pasand hoon aur sharmila bhi main ne apni pscology main kehte hai personality(shur) nahin paya jo 12/13 saal ki umar mein ladka ladki pa lete hai mujhe zaini jismani nafsiyati ruhaani zahiri aur batini taur se chusth doorust aur kamil muslem bana hai 37 saal ki umar mein main apne app ko 75 saal ka buddha mehsoos kar raha hoon aisa lagta hai koi mujh roka rakha hai deen o duniya main kaam karne se
har tarah se zaihani jismani zahiri batini rohani maashi mutasir hui aur mautasir hai
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012