pichlaay kuch dinoun saay Junior Moderators k hawalaay saay members shikayaat kartaay nazar Aarahaay hyn. Members k khayaal main kuch Junior Moderators apni edit/delete permission ka misuse kar rahaay hyn.
Members ka kehnaa haay k unhain bila wajah Moderator Notes diaay jaa rahaay hyn, unki post baghair kisi wajah k edit horahee hyn aur baaz aukaat tou puraa thread baghair kisi wajah k delete kar diaa jataa hY. Aisaa bhi dekhnaay main Aayaa haay k agar koi junior moderator koi thread close kartaa haay tou doosraa Junior Moderator us closing note ko edit kar k thread main dobaraa discussion start kar detaa haay. kuch junior moderators baghair kisi wajaa k threads ko CLOSE kar dytaay hyn.
in problems ko solve karnaay k liaay main kuch Suggestions dynaa chahungaa Admin ko:
· jab koi member yahaan forum par 3 months complete karlaY tou usaaY sirf edit facility daay dee jaeay taa k wo sirf apni post ko edit kar sakaay doosree kisi post ko woh edit naa kar sakaay. us kaaY pass threads ko delete karnaay ki permission nahee honee chahiaay. is member k paas sirf apnaay thread k TITLE ko edit karnaay ki facility honee chahiaay.
· member ko junior moderator jabhi banayaa jaeay jab woh forum par 1 saal complete kar chukaa ho. tab usaaY edit/delete ki facility daay dee jaeay. is facility main us kaay paas post ko naa sirf edit balkaay post ko delete karnaay ka option bhi honaa chahiay. magar post ko Restore karnaay ka option sirf senior Moderator k paas hee honaa chahiaY. is junior moderator k paas thread ko delete karnaay ki permission nahee honee chahiaY. is moderator k pass thread ko CLOSE karnaay ka Right nahee honaa chahiaY.
· jab junior moderator forum par 2 saal complete kar laay tou usaay threads ko delete karnaay ki permission daay denee chahiaY. is Moderator k pass thread ko CLOSE karnaay ka Right bhi honaa chahiaY.
· agar koi junior moderator apni permission ka misuse karaay tou us say atleast 3 months k liaay ye permission wapis laay lenee chahiay.
· moderators k pass har colour aur language main Moderator Note dynaaY ki permission nahee honee chahiaay. agar kaheen Moderator Note dynaa ho tou jab Moderator Note dynaay lagain tou Moderator Note dynaay k liay aik alag option available honaa chahiay. jab koi moderator Moderator Note dynaay lagaaY tou EDITING BOX maiN aik option Moderator Notes ka bhi honaa chahiaY jis ki help sY wo Note dY sakaY. yahaaN aik thread maiN aik member sooth nY kuch MODERATOR NOTES suggest kiaay thaay unhain us option main shamil kiaa jaa saktaa haay Possible Moderator Notes For Moderator Ease. Is tarah jab bhi koi topic close hogaa tou hameshaa closing note aik he colour aur style ka nazar Aaegaa.
Moderator Note sirf aur sirf ENGLISH main dynaa Allowed honaa chahiaY.
· BLOCK karnaY ki permission yahaaN announced full moderator,announced senior moderators, hidden moderators k ilawaa bhi 2-3 members k paas honee chahiaY takaay agar koi new member baar WARN karnaay k bawajood apni contact details post kar rahaa haay ya abusive post kar rahaa hY tou usaay BLOCK kiaa ja sakaay.
· Jis k pass BLOCK karnaY ki permission ho usaay is baat ka paband honaa chahiay k woh apni is permission ki announcement na karaay.
· UNBLOCK aur thread ko RESTORE karnaay ki permission sirf aur sirf yahaaN par HIDDEN Moderators k paas honee chahiaay.
· jin logoun ko junior moderator banayaa jaee un k liaay jahaan Forum k RULES likhaY hoaY hyN wahaan aik LINK mojood honaa chahiay MODERATOR RULES ka, jahaan unhain guide kia jaeY k kis type ki post ko edit/delete karnaa hY. is k liaY Kali Zuban k aik thread sY help li jaa saktee hY Suggestion For Junior Moderators - I.
· Hidden Moderators agar is baat ka elaan karain k woh Moderator hyn tou un sY unki tamam permissions wapis ly lenee chahiay.