essential topic indeed shadiyan late hona yaqeenan ek bht imptnt jo baligh ho aur us ki shadi na ho tu wo society k lye kya acha kre ga sirf apna aur mooasharay ka burra karnay k? . auur haqeeqat ye hai k yahan pakistani society main sirf 5 se 10% log he in time shadi se mustafaid ho rhe hain . baqi 95 ka Allah hafiz hai wajoohat sb ko almost pata hain par kisi k pas is pe sochna ka time nahi. sab ko apni pari hai . bas mera ghar theek hai tu sab theek hai lekin bhai agar society main kuch burra ho ga tu tumhara ghar bhi isi society main he hai; ye koi in be hisson ko kese samjjhay? sara kasoor parents ka bhi nahi par juzvi. FINANCIALLY POOR SOCEITY K NAAZ TU DEKHO larkay walay: shadi dhoom dhaam se karni hai. is dhoom dhaam k chakar mein UMER guzar jati hai jab shadi hoti hai tu karnay wala kam hota nahi dhoom dhaam se. udher larki walay jaheez bana bana k apni bachi k sar main safaidi aaany ka intezar karnay beth jatay hain aur larkay walay apnay mouh se jaheez main apni pasand ki cheezain mangna main b sharam mehsos nahi kartay... aur hamari hakumat to jese khamoosh tamashai bani bethi hai.. mooashare k lye kuch acha krna tu wo gunah samjhty hain. aur hum "LOG KYA KEHEN GAY" k chakr main apnay ap ko barbad kar rahe hain. pakistani society main kuch b acha nahi ho raha. islam k naam pe ban.nay waly country main sb ne apni marzi ka deen ikhtiar kr rakha hai. pure islami ho jayein tu sb kuch theek ho jaye ga ya phir khhuli chhuti ho maghrib ki tarah phir b system chal sakta hai..filhal tu 10..9...8....7... ..............
|