Nuclear Fusion : Iran Has Started Research On It. nuclear fission aur fusion k baarey meiN yahaN ki aksriyyat to jaanti hee ho gi , anyhow , meiN explain kar deta hooN ....
nuclear fission : aam tor par ham jisey atom bomb kehte heiN wo nuclear fission k tehet banta hai jis meiN radioactive element k atom meiN neautron daakhil kia jaata hai aur bomb tabahi karna shuru ho jata hai , issi process meiN energy b waafar miqdaar meiN khaarij hoti hai jisey scientist ne control kar lia hai aur baaz mumalik meiN nuclear power produce ho rahi hai ...
nuclear fusion : jabkeh nuclear fusion meiN 2 hydrogen atoms ko mila kar aik heavy nucleaus banaya jaata hai ... nuclear fusion , jis par abhi research ho rahi hai , k baarey meiN kaha jaata hai k iss process k tehet banney waley bomb meiN 100 fission bomb jitni tabahi ki taaqat mojood hoti hai , lekin taa haal scientist isse control nahiN kar paaye ,
recently akhbaar meiN aik khabar Chapi k iran ne nuclear fusion par research start kar di hai aur wo iss process ko control karne meiN kaamyabi k marahil tey kar rahey heiN. agar iran ne waqei nuclear fusion ko control kar lia to dunya meiN inqelaab barpa ho jaaye ga aur fusion reaction se khaarij hone wali be panah energy ki badolat dunya se se power ka masla khatam ho jaaye ga....aur saath hee iss bashkoh islaami mumlikat ko mazeed istehkaam haasil ho ga...
|