saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 43 Post: 2155 Age:
35
|
|
Posted on:24th Jul 2010, 4:38pm |
|
|
Muhabbat or Nafrat Kiya asea possible hey key aik insan key bina rhna bhi mushkil ho or sath sath uss sey shadeed nafrat ka bhi ahsas ho?
agar asea hey tu issey kiya nam dey gey?
Nafrat hey?gussa hey?ya shadeed Muhabbat? |
Neha_83
|
Group: Members Joined: 16th Dec, 2009 Topic: 2 Post: 169 Age:
30
|
|
Posted on:24th Jul 2010, 5:23pm |
|
|
mera khayal hay ke isse nafrat nayi kaha ja sakta. ye shadeed ghussa hoga..kyunke nafrat karne wale se ap door rehna pasand karte hain na ke uske kareeb..par kuch log wakai me jis se nafrat karty hai use aziiyat dene ke lye uske kareeb rehna pasand karte hay.
agar apko sath me ye ahsaas ho ke apki zindagi uske begher namukamal hay ,apka dil bhii nayi lagta uske begher..aur apko muhabat ka ehsas bhii nayi to ye nafrat nayi ho sakti.. muje to aise hi lagte hay |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:24th Jul 2010, 8:46pm |
|
|
rE:
jis insan se buhot ziyada mohabbat ho os ki choti si ghalati ki waja se os pe shadeed ghussa ata hai esa lgta hai k hume os se nafrat ho gai h shayad.per esa nahi hota.aap ise mohabbat ka nam bhi de sakti hain.ghussa os pe hi ata hai jis se mohabbat ho.kiu k aap ye bhi keh rahi hain k jis k bina raha bhi na jae to zahir si bat hai ese insan se nafrat impossible
|
dom_man
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1315 Age:
34
|
|
Posted on:24th Jul 2010, 10:16pm |
|
|
s4u tum ne jab se forum chornay ka iraada kiya ziyada siyaani baatain kernay lagi ho.lol.kiya baat hai? |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:24th Jul 2010, 10:36pm |
|
|
domi uncle ji is faisle k bad phir maine ye socha k main agar forum chor gai to yahan ka kia ho ga.inhe kon itne qeemte qeemte mashware de ga.is lia ab nahi chorrahi forum ki jan
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6476 Age:
35
|
|
Posted on:25th Jul 2010, 2:53am |
|
|
Mohabat ya nufrat Nufrat douri payda kurti hy mohabat qorbat payda kurti hay ap nay mohabat ka izhar bhe kur deya hay ye nufrat kesy ho sukti.Husband wife ko apni life meah sumjota kurna purta hy esy por lotf es tura bunaya ja sukta hy kay ek dosry ki like dislik ka khyal keya jay jub bat goftago na ho juzbat ka pori tra ezhar na ho pay dour ki wuja say tu es tura ki soch purwarish pati hy lakin yeh nufrat nai hoti, |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:25th Jul 2010, 5:41am |
|
|
saim didi Re : - "agar asea hey tu issey kiya nam dey gey?"
issy compromise ka name diya jata hey..:)
Re : -"Nafrat hey?gussa hey?ya shadeed Muhabbat?"
na nafrat na gussa aur na hi shaid yeh shadeed muhabbat ho...bulky issy "MAJBOORI" keha jata hey...:) |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 43 Post: 2155 Age:
35
|
|
Posted on:25th Jul 2010, 11:19pm |
|
|
diplomate app ney kaha key yeh majbori hey
may nahi samjhti key yeh majboori hey
ku key insan itna bhi majboor nahi hota
meri nazar may shyad shadeed gussa hey |
|