hysteria ka shikaar females ziyada shikaar hoti hen especially young un married lakin some time epilepsy kay case or hysteria meah furq kurna moshkil lugta hay en dono meah kessy furk keya jay. meri nuzur meah females hysteria ki mureeza ziyada hoti hen,
bewakoof bro ap details say zura explain kurin dono ki sypmtoms ko or difference ko, hysteria ki patients ko meah nay dur dur doctors kay pas chukur lugaty dakha during practice mery pas bot sary cases aty ray hen ap zura explain kurin muzeed, hysteria ki patients wehmi hoti hen choti choti bat pay ye ghubraa jati hen,or bar bar doctor bhe budalty hen
Re: Difference Between Hysteric Fits And Epileptic Fits
1) If you can do a blood test the best would be to do serum prolactin level within 10-20minutes of fits . In tonic clonic or generalized fits we get markedly raised level of prolactin that are not present after hysteric fits
2)If you ask clinically then there are certain things that observing the behavior of a patient is very important. Mostly its not that difficult to differentiate between two generally but at times yes its very difficult(rare cases)
a) hysteric patients have a general attitude of flying their limbs in air, arching their backbone or throwing themselves in backward position also extreme degree of flexion and extension of limbs especiallly legs is present. There is mostly facial flushing and extreme degree of resistence to any passive movement. Mostly they even respond to the audience comments by changing their posture and attitude . Also if their act of fits is negated by a doctor or audience / by standers they will exaggerate their actions in response. At end of whole episode they mostly pant and at times fall unconscious and wake up with recollection of all the events that happened during the attack
b)in case of generalized fits or complex partial seizures one half of the body is more involved and there is not vigorous shaking of limbs or whole body in general. There can be tongue biting,urinary or fecal incontinence and uprolling of eyes and frothing from mouth . Patient may get severely injured by falling hard on ground . Also there is no resistance to passive movements done by a doctor/stand byer Patient mostly fall unconscious after the event with no re collection of the event.
hysteria aur epilepsy ka lafz ab medical science mai istemal nahi hota. ab hysteria ki jaga conversion disorder aur epilepsy ke liye convulsion (seizure) disorder ka lafz istemal hota hai.
Conversion Disorder (Hysteria): yeh anxiety disorder ki aik qisim hai. anxiety disorder mai general anxiety, obsessive compulsive disorder, Phobia aur convulsion disorder shamil hai.
iss beemari ko ham Attention Seeking Behaviour bhi keh saktay hai. Yeh beemari sirf khawateen mai nahi balkeh mardo mai bhi hoti hai. iss mai jismani beemari ki mukhtalif alamat zahir hoti hai jabkeh koi jismani beemari nahi hoti. generally iss ki presentation iss tarah hoti hai keh mareez ya mareeza ke saath poori family hospital pohonchti hai, aur bare panic style mai doctor se kehti hai doctor saheb dorai dekhe mere mareez ko kia ho gaya hai.
jab doctor mareez ko dekhta hai tu ose nazar aata hai keh mareez/mareeza behosh hai os ki eyes band hai mouth ke jabrey apas mai juray huye hai. jab doctor BP aur Pulse Blood Sugar aur doosre vitals check kerta hai tu woh sab normal hotay hai. doctor aapas mai kehtay hai keh yeh mareez/mareeza functional hai. phir woh apne makhsoos compounder ko makhsoos hidayat kerta hai, aur woh os mareez/mareeza ko hosh mai laane ki mukhtalif tarkeebai kerta hai. hosh mai laane ki yeh tarkeebai secret hoti hai iss liye mai os ki tafseel yaha nahi likh raha hoo.
kuch mareez ki presentation doosri bhi hoti hai, kuchch ke aik haath musalsal hil rahe hote hai, tu kisi ki poori body hil rahi hoti hai, koi lambay lambay saans le rahi hoti hai tu koi jism mai shadeed pain ki history de rahi hoti hai. chukeh yah tamam alamat haqeeqi nahi balkeh nafsiati hotay hai iss liye general ilaj se yeh alamat khatam nahi hotay. maslan Oxygen lagane ke bawajood saans ki takleef rehti hai aur har qisim ke pain killar lagane ke baawajood bhi pain khatam nahi hota.
aise mareez ki alamat tanhayee mai khatam ho jaati hai. matlab yeh keh os ki alamat sirf aur sirf logo ki tawajo hasil kerne ke liye hoti hai iss liye jab koi bhi os ke ird gird na ho tu os ki saari alamat khatam ho jaati hai.
iss beemari ki asal wajah jaan-ne ke liye Pentathol Suggestion aur Hypnosis ka sahara lia jaata hai. Diagnosi ke baad iss ka ilaj Psychotherapy ke zaria kia jaata hai.
Convulsion or Seizure Disorder (Epilepsy)
hamare dimagh se bijli nikalti hai, jis ki wajah se hamara jism active rehta hai. hamare muscle tone ka bhi daromadar isi bijli per munhasir hoti hai. lekin kisi wajah se agar dimagh se bijli ziadah nikalne lage tu jism ke mascle ki activity barh jaati hai.
agar brain ke dono cerebral hemisphere se excess bijli nikal rahi ho tu poora jism mai jhatke lagne lagtay hai. aisi halat kao Grand Mal Epilepsy kehtay hai. jabkeh agar kisi aik hemisphere ya kisi makhsoos hissa se bijli nikle tu poore jism ke bajaye sirf jism ka makhsoos hissa yani koi aik haath ya pao mai jhatkay lagne lagtay hai. aisey epilepsy ko Petit Mal Epilepsy kehtay hai.
aik bahut hi interesting type ki epilepsy hoti hai jise Temporal Lobe Epilepsy kehtay hai. iss qisim mai mareez baaz aisi harkat kerne lagta hai keh jo naqabil-e-yaqeen hota hai. maslan aik unperh aadmi english ya koi foriegn language bolne lage, achanak koi aurat mard ki awaz mai ahkamat dene lage waghaira waghaira.
Generally Epilepsy ka matlab Grand Mal Epilepsy lia jaata hai. iss condition mai poora jism akar jaata hai, aankhai oopar ko charh jaati hai, mu se jhaag nikalne lagta hai, poora jism jhatkay khaane lagta hai. aur kuch der ke baad insaan behosh ho jaata hai. aksar mareez ki zuban teeth ke darmian aa ke kat jaati hai, kisi ki shalwar mai peeshab nikal jaata hai. Epilepsy ka dora kisi bhi waqt aur kisi bhi jagah ho sakti hai.
Epilepsy ki kai wajoohat hoti hai, lekin taqreeban 50% epilepsy ki wajoohat nahi maloom hoti. generally ise EEG ke zaria diagnose kia jaata hai lekin aksar awqat EEG bhi normal aata hai. lehaza normal EEG ka yeh matlab nahi keh ose Epilepsy nahi hai. aksar Epilepsy ke mareez mai koi bhi lab finding nahi milti.
Epilepsy ka ilaj lazman medicine se kia jaata hai. generally last fits ke baad 3 years tak epilepsy ki makhsoos medicine khaani perti hai. Epilepsy ke aksar mareez fits band hone ke baad 3 years tak medicine nahi khaatay jis ki wajah se onhai dobara fits per jaata hai aur yeh silsila on ki zindagi ke saath chalta hi rehta hai.
Epilepsy aur Hysteria mai diagnostic Farq:
1. Epilepsy ka dora kabhi bhi kahi bhi ho sakta hai, logo ke darmian, tanhayee mai, neend ki halat mai, jaagtay mai. jabkeh Hysteria ka dora neend ki halat mai nahi hota, aur na hi tanhayee mai hota hai. woh sirf aur sirf logo ke darmain hota hai aur agar log ose nahi dekh rahe ya os per tawajoh nahi de rahe ho tu hysteria ka dora nahi perta.
2. Epilepsy mai chukeh mareez ka apna ikhtiar nahi hota iss liye epilepsy ka mareez kahi bhi gir ker zakhmi ho jaata hai. aksar epilepsy ke mareez ke jism per zakhmo ke nishanat milay ge. isi liye Epilepsy ke mareez ko mashwara dia jaata hai keh woh aag ke qareeb na rahe, matlab yeh keh epilepsy ki mareeza ko kitchen mai akela na chora jaaye. isi tarah roof per darya kinaray, road cross kertay waqt bahut ziadah ihtiat kerna chahiye.
iss ke bar-aks Hysteria ka mareez jab bhi behosh ho ker girta hai tu aisi jagah girta hai jaha ose chot aur zakham na lage, woh logo ke saamne bed, chair, per girta hai, ya iss tarah girta hai keh ose girne se qabal koi sahara mil jaaye ya koi ose sahara de de. aur yeh baat phir bata doo ke Hysteria ka dora neend mai, akele mai, aag ke qareeb, roof aur darya ke kinaray nahi perta. yahi wajah hai keh Hysteria ke mareez na zakhmi hotay hai aur na hi on ke jism per zakhmo ka nishan hota hai.
3. aksaa Epilepsy ke mareez ka zuban os ki teeth ke darmian aaker zakhmi ho jaati hai. jabkeh Hysteria ke mareez ki zuban kabhi bhi zakhmi nahi hoti.
4. Aksar Epilepsy ke mareez ka peeshab os ki shalwar mai nikal jaata hai. jabkeh Hysteria ke mareez ka peeshab kabhi bhi os ki shalwar mai nahi nikalta.
Yeh ek yonani lufz hay jis kay meaning Uterus (Rehem) kay hen, ziyada tur yeh disease Female meah hoti hay lakin males be eska shikar hoty hen,es disease meah both nerves system affect hoty hen,yeh ziyada tur na pokhta zehen kay logo meah murz paya jata hay ya on logo meah jo burdash boj or purashani say buchny kay leyeh apny under kisi na kisi murz ki elamaat ko zahir kurty hen enki yeh koshish Laa shaoori tor pay hoti hay
causes
shudeed zehni baychani
khandani ya morosi
Apny erd gherd kay purashan kon halaat
juwani meah sexy juzbaat ka obhaar
Khof meah mobtila rehny waly log
sukht juzbati or gossa waly
kam ki ziyadti ki waja say
hysteria kay cases males meah jail or foj meah uksur hoty hen jaha kam say buchny or mali fayda kay leyeh fojiyoon meah or factory workers meah yeh murz paya jata hay,essy onko kam say buchny kay leyeh ghur bathy mohaviza lany ki tawaqo hoti hay,apny ap ko bemaar zahir kurty hen mali fayda kay leyeh,Tundrosst ho jany ka mutlab hota hay onko mali fayda nahi hoga or onko koch nahi mily gah so eski elamaat dayr tuk qayim rehti hen,esky elawaa bhe shoori or lashaori muqasid hoty hen, essy logo meah yeh bhe ek khof rehta hay k kayin raz afshaa na ho jay,
some time bucho meah school na jany ki khuwaish, test ka khof say be esa hota hay essy buchy test say buchny kay leyeh payt durd ka bahana kurty hen, dur huqequt onko koi payd durd nahi hota,
essy incidents meah jin meah mureez moqabila na kur sukta ho face na kur sukta ho jessy kisi qureebi uzzez ki death achanik mot
Hysteria ki Tushkees ka tureeqa
aghur mureez dono bazo nakara hony ki shikayt kurta hay tu pher ossy laty howay mureez kay bazoo ko othaa kur osky face kay bilkol oper laa kur jayin, face kay oper bazoo ko lay jaa kur ess tura chorin kay oska bazoo agur nakara hay tu osky face pur ja kur lugy lakin esaa nahi hota hysteria meah, hysteria ka mureez apny face ko buchany ki khatir apny bazo ko dosri turaf gheraa day gaha,
aghur woh soyaa howa hay tu agur osko sooi ya pin wughyra os bazo meah choboo dee jay tu ek dum jhutky say hila daygha.
tarch say oski eyes ko bhe check kur sukty hen aya woh tarch ki light say apni eyes ko move kurta hy ya ni esy bhe osky such joot ka puta chul jata hay
To my understanding epilepsy and seizure (convulsion) are not one and the same thing.
Having seizure once doesnt mean one has epilepsy . Even simple febrile state and head trauma can predispose to simple seizure/convulsion.
epilepsy especially refer to underlying factor that disrupts the electrical system of brain and tendency for recurrent seizures. If a person gets minimum two or especially more seizures then is believed to have epilepsy not one episode of seizure refers to epilepsy.
agree with waterr. pehle sab kuch mix tha waqt ke saath saath mazeed classify hota chala gaya. mai ne epilepsy aur hysteria per general baat ki hai. aap log iss topic per ziadah accurately aur latest baatain bata sakti hai.
re: dr. qasim
allopathic system mai ab hysteria ki terminology khatam ho gayee hai. iss topic per ziadah behtar waterr hi bata sakti hai. meri knowledge thori purani wali hai.
If a person gets minimum two or especially more seizures then is believed to have epilepsy not one episode of seizure refers to epilepsy.
agree with doctor waterr
bilkol epilepsy Brain kay nerve cell kay disorder ki wjaa say hoti hay, jub brain say abnormal electrical impulses release hoti hain jis say epilepsy ki symptoms appear hoti hen jin ko hum epilepsy ka nam daty hen lakin hur turaa kay seizures epileptic nahi hoty, doctor waterr nay essy more explain kur deya hay Fuq bta deya hay, lakin yeh ek bot bura subject hay, keya epilepsy ko hum Chronic disorder keh sukty hen ?epilepsy mery khiyal say ek chronic condition hay? aghur epilepsy chronic disorder hay tu jis seizure ki water bat kur rahi hen os disorder ko hum keya keh sukty hen, acute seizure? ek common seizure or ek epileptic seizure kay duration meah bhe difference hota hoga.
abi mujy yeh maloom kurna hay allophonic medical system meah Epilepsy ki treatment kon sa doctor kurta hay neurologist , psychiatrist, yaa dono mil kur kam kur sukty hen, wessy logical ap nay bot acha explain keya hay, or waterr nay essy or wazeh kur deya , ap ksi bhe topic ko explain bot acha kurty hen bot achy writer hen, or doctor waterr meah yeh quality hay kay yeh diagnose bot acha kurti hen, problem ke root tuk jati hen.
ye aik aam marz he taqriben 2% population ko hoti he iss disease mein patent mokamal be-hosh ho jata he aur tamam uzlaat ki rikat bandh ho jati he..
Cuses
ye disease khandani hoti he sadma demagh,demagh ki sozish,ziyada rango-gham antrriyun mein warm aur aza-e-tanasal mein warm waghaira iss ka sabab banty hein choty bachon mein daant niqlna aur pait k andher keerry iss ki waja ho sakty hein aurtoon mein during menses or during pregnency ye disease ho jati he iss ki 2 iqsam hein...
1.Grand mal Epilepsy..
2.Petit mal Epilepsy...
Epilepsy ki intehaee khatrnakqisam Status E Epilepticus he iss disease mein patent ko dory per dory parrty hein aur patent sambhal nahi sakta dora khatam hony ko hota he k dora dobara parr jata he..
Clinical Features....
patent ko pehly khafif ilamaat hoti hein ,jisam k azaa ko momoli khichao hota he chehra zard parr jata he ,chand lamhoon k liye Nawa-e-Demaghi mein khalal ..ata he ,bahz oqat soty waqat Epilepsy ka dora parrta he kissi ko khabar nahi hoti khafif Epilepsy shadeed Epilepsy mein badal jaye to khatar nak hoti he..
shadeed Epilepsy k hamly mein patentg be-hosh ho jata he chehra nilgoon ho jata he,patengt ka dill tezi se darrkta he moonh se jhaag nikalti he ,daant apus mein phanass jaty hein bahz oqat zoban dantoon k neechy aa ker kutt jati he ,patent ka urineaur stool be khabri mein remove ho jata he jhatkky se patent hosh mein ata he laiken phir be-hosh ho jata he
bahz oqat Epilepsy k dory se pehly patent ko apny jisam k kissi ozu mein sirsaraht mehsoos hoti he ,jo sary jisam mein phel jati he aur demagh ki taraf chalti he phir achanak patent be-hosh ho jata he iss halat mein patent sambhal nahi sakta....
Epilepsy ko dory khatam hony k bhad patent ko dewangi k dory parrty hein iss qisam k dory chandh minutes rehty hein iss doran patent koi khatrnak qadam utha sakta he ,aissy dory din raat hoty hein...
Diagnosis
patent k demagh ka CT.Scan.EEG ki jani chahiye CT Scan per demagh k warm waghaira ka patta chal jaye ga....
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.