Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Fear of Accident (Dystychiphobia)

General Health   >>  Psychiatric Problem
 
 
 
ameena9 Group: Members  Joined: 18th Jul, 2010  Topic: 1  Post: 2  Age:  26  
Posted on:18th Jul 2010, 9:09am
 

Fear of Accident (Dystychiphobia)

salam

          sir mera masla bhut ajeeb hen mujhe  ek khof beth gaya he.meri friend 

ki jb se accidently death hui he mjhe dar beth gaya he k mera b accident na ho

jae nd me mar na jaaoon.mjhe mot se bhut dar lagta he .safar karti hoo to

hear beat badh jaati he  jb tk manzil pr na punhchu j se nikal rahi ho.ab to

mene safar karna he chhodh diya he kabhi kabhi majbooran safar karti hun to

safar me bhut kharab ho jati he halat yeh dar nikalta he nahi k accident na ho

jae me b apni friend ki tarah achanak mar na jaaoon .is bat ka itna khof he ab

to ghar me bethi hoti hun tb b j se maut ka khauf taari rehta he j se malkal

mot mere sar pr khadha ho kabhi kabhi yeh condition itni badh jati he k mujhe

malkal mot aata dikhaai deta he plz meri help karen mujhe achha sa koi

mashwara den me bhut pareshan hoo is halat ki wajah se  din badin mera

wait b ghat ta ja raha he




H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6350  Age:  35  
Posted on:18th Jul 2010, 9:34am
 

ameena

 Hur insaan jo Doniyaa meah ayaa hay Ossy 2 Nehmato say Nuwaza ghiyaa hay

  1.   Life
  2.   Good Health

Allah Pak Quran meah kehty hen Hur insaan nay Mot ka Zayqa chukhnaa hay, Life or Good Health dono Allah ki turaf say bot buri Nehmutyin hen, aghur Hum apni body kay kisi bhe organ ko dakhnyin tu wo laajuwaab hay osky naa hony say zindgi ketni tung o Tareek ho jati hay ap dakhyin serf hath ki choti finger he agur na ho tu hum bot sary kam nahi kur sukty , Allah pak nay humary leyeh zumeen aasmaan , huwaaa , paani hur cheez jo humyin nuzzur aati hy jo hum Feel kurty hen Insan kay leyeh bunai hay yeh sub Allah ki Nehmutyiin hen

apki jo condition mujy sumaj i hay ye Fear, khof, depression sub koch Faith ki kumi ki waja say hay , Humara emaan etna muzboot ho kay hum essi chezo say durin nahi , Mot ka ek din Moqurrar hay , yoon sumaj layin jo raat Qubur meah hay wo Baher nahi or Mot koi end of life bhe nahi hay, hum sub ko Allh ki turaf he wapis jana hay

Emaan etna muzboot kurin apna kay Achai or boraai sub Allah ki turaf say hay , Jub ap Sufur pay niklaa kurin sufar ka aghaaz kurny say phelly Dohaa-a-sufur puraa kurin, or Allah say aafiyaat say wapsi tulab keya kruin,

zindgi mot, sosti bemari, fayda , noqsaan sub men-janub Allah hota hay.ap apny mind meah ek baat bithaa layin Mot ka ek wuqat moqurur hay meah jahaa bhe hongi osny ajaanaa hay, apna emaan muzboot kurin, ziyada sochaa na kurin , jub dil purashaan ho tu apny dill ko Allah ki yaad say Munuwaar kur leyaa kurin, apna Faith muzboot kurin, 

Humko life meah bot sary imtahano say gozzurna purta hay , aaj hum ameer hen tu Ghureeb bhe ho sukty , Health hay tu beemari bhe aasukti, lakin en sub condtitions meah Allah pay bhurosaa kurna chayeh, apka emaan jub muzboot ho jay gah apko kisi cheez say dur nahi  lugy gah,

apko apna Eman muzboot kurna hoga, Mot nay jub jahaaa jis undaaz meah ana hay wo aa kay rahy ghhi ossy koi taal nahi sukta, some time jub kisi uzeez , family relative ki sudden death ho jati hay tu oska affect dosry logo pur bhe purta hay, some time jin logo nay esaa accident apnnkho say dakhaa hota hay onko essy nikulty koch time bhe zuroor lugta hay lakin mujy omeed hay ap brave Girl ho insah Allah ap bot juld es sorat hal say baher ajao ghi, ap achi achi books lay kay aayin novels wo puraa kurin aj kul yaa Tv pay achy programs dakha kurin, apny ap ko busy rukhin or apny ap ko Allah ki yaad say ghafil na kurin,

wait for our expert doctors reply.




Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1940  Age:  47  
Posted on:18th Jul 2010, 9:43am
 

ameena

mot insan ko kuch nahi kehti iss kaynaat ko wajood mein aye lakhoon karorron years guzer gaye aur zameen per mojood makhlooq ko mot ayi Allah tallah jiss ne aap ko aur hum sub ko pedha kiya to humein duniya mein aty huway koi dar nahi laga issi tarah duniya se jaty huway bi koi dar nahi 

aap koshesh kerein k apni panjgana namaz ko adha kerein logoon ki bhalaee ka socha kerein her lehaz se khush rehny ki koshesh kerein insan kamzor he aur Allah pak insan ki kamzori aur majboori janty hein

Allah ko apna banaya huwa insan bohat piyara he wo ghafoor aur rahim he wo apny insan ki hifazat kerna janta he her roz lakhoon ki tadad se duniya mein insan aty hein aur lakhoon ki tadad mein jaty hein aap uss ki di huee life ko enjoye kerein   

`RiM jHiM` Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 2  Post: 38  Age:   
Posted on:18th Jul 2010, 11:27pm
 

well said dr qasim

ap waqi boht acha likhte hain.nice informative post.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4259  Age:  38  
Posted on:18th Jul 2010, 12:39pm
 

dal mai kala

re: "ap waqi boht acha likhte hain.nice informative post."

dr. qasim iss maska se hoshiar rahe; mujhe yaha daal mai kala nazar aa raha hai.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3217  Age:  36  
Posted on:18th Jul 2010, 12:46pm
 

dal main kala...ya kali daal

Re : - "dr. qasim iss maska se hoshiar rahe; mujhe yaha daal mai kala nazar aa raha hai."

daal main kala ho ya sari daal hi kali ho Dr.sahib hoshiyaar hi hain aap ko zehmat karny ki zaroorat nahi hey...:)
Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:18th Jul 2010, 1:28pm
 

Accident Phobia:

ameena9:

With your symptoms and degree of fear--phobia as dipicted by your post i suggest you to consult a psychatrist. All phobias are a type of anxiety neurosis. Dont worry have faith you will recover with therapy sessions with a doctor.
Plus its best you travel and you may start with short trips to near market with whomever you feel safe. Its one of the best ways to overcome phobia to expose onself in low doses with that situation and extend gradually.
Plus being a muslim have Faith.... I still recommend you strengthening mental excercises and therapy sessions with a doctor(psychatrist)

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:19th Jul 2010, 6:46am
 

ameena9

 

ap nay apna problem yahan share kia, iska matlab hai k ap janti hain k jis kisam ki feelings ap rakhti hain woh ghalat hain....

apni ghalati ko pehchan lena bahut achi baat hai, aur adha masla udher hi khatam ho jata hai.....

lehaza sab se pehlay aap yeh samajh lain k "apki mot se darnay ki soch ghalat hai" ........ is k bad ap aik strong decision le lain k ap ko khud ma se yeh ghalat khiyalat khatam karnay hian.....

ab aap decide karain k aap ko khud apnay aap ma se yeh sab khatam karna hai........ ab aap ooper walay tamam replies ko phir se parahin aur ghore karain k dr qasim, raja taqi aur dr waterr, in sab nay apko bahut valuable suggestions di hain, agay aap khud decide karain k apko konsi baat suit karti hai...

sab se pehlay is sawal ka jawab apnay aap se pochain........keh "aap ko mot se dar q lagta hai ?"

kia aap apni marzi se is dunia ma ayi thin?

kia Allah nay aap se pooch kar apko peda kia tha?

nahi na...?

tau phir aap kis ki huin?

Allah ki..

tau Allah "apni makhloq" se jesa chahay salook karay uski marzi...

lekin Allah bht rahim karim hai uskay har kaam ma hikmat hai... aur uska har kaam uski makhloq par ehsan hai..

ab aap kisi hospital ma jain, aur apko wards ma bht hi old age k bazurg aesi halat ma "zinda" nazar ain gy k woh na jee rhay hongay aur na hi mar rahay hongay, woh brain tumour, hepatitis, cancer, kidney problem, stomach problem, aur beshumar aesi aesi bimarion ma takleef se reh rahay hongay jin ki takleef khatamn karnay par doctors bhi bebas hongay...... aur aesay log apko "mot ki khahish" kartay nazar ain gy, ap un k pas jain woh ap se kahain gy k dua karo hamain mot a jaey, un k bachay un se pareshan hongay k khamkha ki maseebat ma ham log par gaey hamaray boorhay waldain ko mot q nahi aa jati........ aesay tamam logon ki agar apko history ka pata lagay, tau apko maloom ho ga k "yeh tamam woh log hain jo apni jawani k zamanay ma mot se nafrat kartay thay ya mot se bahut dartay thay, aur ab woh mot ki khahish kartay rehtay hain lekin unhay mot nahi ati"

tab apko qadar aey gi k 'mot kitni khubsurat chiz hai".... yeh tau insan ko izzat deti hai..

Dr. Kiran Group: Members  Joined: 16th Jul, 2010  Topic: 0  Post: 5  Age:  31  
Posted on:19th Jul 2010, 2:56pm
 

Dear Ameena

Dear Ameena you just don't worry aap thek ho jao ge ye dar aap me se nikal jai ga inshAllah aisa hota hai jub aadmi koi accident daikhta hai on the spot tu ye dar beth jata hai aksar ya phir hum ye sunty hai k hamre koi close friend ya relative ko accident me death ho gai hai tu dukh hota hai and dar beth jata hai par ye Ameena ye lazmi nhe hai k agr aap ki dost ka accident ho gaya hai aur us ki death ho gai tu aap ka bhe ho jai ga us ki qismat me ye likha tha aap ye mat socho k aap ka accident ho jai ha baki care karni chahiye

aap aisa kare agr aap k pas apni gari hai tu aap driver ko silow drive karny ko kahy ya phir agr aap bus me safar karti hai tu aap Allah se dua kar k safar ki dua parh k phir safar kia kar aur Allah aap ko safe rakhe ga bohat sare log safar karty hai aur roz karty hai un ko kuch nhe hota tu aap ko kiyun hoga aap ye dar nikal dai qisamt me accident se ap ki death likhi hoge tu zaror hoge and you must act above valuable suggestions keep them in your mind

ye bohat ache suggestions hai aap namaz parha kare sare waqt nhe parh sakti tu ek waqt parhy 2 waqt parhay aise aap ko jitna time mily aap parha kare Allah se dua kia kary is se aap me himat aai ge aap ka dar khatam ho jai ga beshak namaz me barkat hai aap fresh feel karo ge aapny aap ko aur aap dosre activities bhe kia kare just like aap books parhy stories parhy net use kare agr aap study karti ho tu apni study par concentrate rahe aur agr aap house wife ho tu gahar par dhiyan dai apny husband k sath ghomy phiry

aur aap ka weight is reason se nhe lagta k aap ka weight loss hota hoga us ki aur koi reason hoge aap Dr se consult karo apna check up karwao us ko ye weight loss wale baat batao aur aap apna food time par liya karo multi viatamin kahya kare calcium ki goliyan wo le i think k aap ko weight loss ki waja se kamzori hoti hoge ziada aap dr se consult kar k pata kar le aur food acha lia kare froot khaya kary. ok take care

wish you best of luck.



Doctor K K Group: Members  Joined: 02nd Apr, 2009  Topic: 25  Post: 1969  Age:  36  
Posted on:20th Jul 2010, 2:14pm
 

How To Get Rid Of Depression?

depression

salam

          dear sir

mera ek masla to mene bataya aap ko accident k khof ka mera 2sra masla meri saans he mujhe kabhi kabhi saans lene me takleef hoti he.mene dr ko b dikhaya unho ne kaha koi masla nahi aap ko khali weham he.mujhe kabhi kabhi saans  me  taklef feel hoti he kabhi bhut chhote chhote saans aate hen khas tor pr meri yeh halat sote waqt hoti he phhir jb me os waqt koi film wagera dekhti hun to dhyan batt jata he nd takleef  khatam ho jaati he pr jb mera  dhyan nahi batt ta raat ko sote waqt bhut saans me tkleef hoti he ,jb mujhe saans me takleef feel hoti he to me lexotanil tablet khati hun lekin yeh tablets mujhe ziyada asar nahi karti me jb tablet kha k soti hun to jaldi uthh jati hun nd jb meri tabiyat sahe hoti he tablet nahi khati to neend achhi nd gehri aati he,mujhe nend ki tablets ziyada asar nahi karti 2 tablets 12 baje rat ko khati hoo to  subah 8 baje he uthh jati hun.jb tablets na khaoon khae bina neend aati he to subah 11 baje tk soti rehti hun,mere ghar wale gussa hote hen k yeh tablets neend ki khana sahe nahi papa b mana karte hen pr me majbooran  khati hun saans me takleef feel hoti he tb khati hoo warna nahi khati,plz sir mujhe bataen me kia karoon,jb saans me takleef hoti he to me neend ki tablet khaae bina  so he nahi paati saari raat tenssion me guzar jaati he

 Both Posts are being merged here.



Paras01 Group: Members  Joined: 20th Jul, 2010  Topic: 1  Post: 5  Age:  28  
Posted on:21st Jul 2010, 11:49pm
 

Dear Ameena

I think k aap ka faith itna strong nahe hai is liye aap ko mout se dar lagta hai wo kehty hai na k "some people are so afraid to die that they never begin to live" o please do not afraid of any accident aur ye jo lexotanil aap kha rahe ho is se aap ko faida nhe nuqsan hoga aap ki depression k wo level nhe hai abhe tak jo aap lexotanil ya koi neend ki medicine lo aap ko weham hai k aap aaj he mar jao ge but aisa nhe hai ye aap ka weham hai us ka treatment ye hai k aap apna believe sysytem strong karo Allah se dua karo namaz parho that's it.

wish you best of luck Ameena.
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012