Depression In Pregnancy - Anti Depressive Medications
salm
sir k especialy advise me sir mai bachpan se hi ahsas tabiat ki malik hoo chooti choti batien meri zehn par sawar retii hai ik din mera bahi ko bimarie ke waja se behoshi hogaie thi bas wo din meri zindgi ka sab se bara khatre ka din tha ,wo hadsa mere zehn mai estra beth gaya ke merei adhi life boht mushkil guzri phir to chote chote masle logo ki choti choti bimaria aur jin boto ka dar meri zehn mai boht tezi se sawar hota gaya .,mai 08 saal se anti dipration ki tablat khati aaie ho
ab meri dawao ki adat se mera husband bi muj se tang agaya hai ke sari zindgi en tablats par guzara karogi kia... mai kud be bas ho aur tang agaie ho ye tablat khakar mai chorna chati ho lakin phr muje dar lagta hai ke kahi phir se wo khoof tari na hojaie mai apna will power use karna chati ho par kese karo ye tablats mane pregnancy mai bi khie thi jo bache ki taang par us ka asar para
ab dosri pregnancy hai mai nai chati en tablats ki waja se phr se bache par koi asar ho mane karachi ke physcetrict dr ko dikhaya tha uni ke mashore par tablat khati hoo ab to muje phyctirict dr par bi aitbar uth gaya hai kio ke wo ese bolate rete hai tablat chage karte rete hai aur apni fees lete hai ab to dr ko bi sincearty nai rahi plz mehrbani karke
muje koi acha sa mashora de mai boht pareshan ho
umeed hai ke jis tara dosre masle hal hove hai esi tara ye masla bi solve hojaiega
kio ke umeed par hi duuuunia kaim hai plz sir help me i need ur help
ji ab to anti dipresents tablat se parhez kr rahi hoo
lakin dar ye lagta haike pregnancy ke bad muje shadeed dipresion na hojaie kio ke pele pregnancy mai bi muje shadeed dipresion hova tha jo mai apne bache ko nai uthati thi shooro ke din mere bache ko meri ami aurbehno ne pala tha jab ke ab bi es bat ka dar hai ke agar bache ki padaish ke bad phr se shadeed dipresion hogaya to bache ko kese palogi
jab ke ab ami bi nai rahi us ke dath hogaie hai mere prgnancy ko 8 month hai .ap plz muje di[resion reduce ke tareke batie jis mai mere masla hal hojaie mai jese khol mai band hogaie ho jo mehdod sochti ho bahir jane se bi dar lagta hai kio ke ik mahi ko jin parta tha us ka ye hadsa bi meri zehn mai ghere par gaya kio ke wo aurat bi tayar hote gar se bahir nikli thi to us ko jin ka asar pargaya tabi mai bi itna tayar nai hoti aur aesi wesi jaga jane se gareze karti ho bahir bi kam hi nikalti ho pla muje meri zeni pareshano ko door karne mai meri help kare aur ya par kia dr javed bat nai karta suna hai wo boht ache physclogic dr hai so plz mera us se kese rabta ho wo bi batana plz
I wont recommend you to leave your pills all of a sudden and without
doctors recommendation.
Its specifically in the guidelines that if a depressed female is
pregnant safer group of anti-depressants in safer ( or risk-benefit
ratio) to be given to the female.
Its best you consult a good gynecologist and she/he will advise you
appropriate medication in appropriate dosage during pregnancy.
As far your depression thing it would have been best if you would have
done therapy sessions in the start rather being on medication since
start . However its impossible to tell on net what was best for you at
that time without full history. But now you being on medication already
you should not quit taking them all of a sudden.
plus i would say it s Faith in Almighty and Strong Religious ties with
own will power that has major role in overcoming this state.
how i can improve my will power. mai apna will power kese stron karo aur ap ne jo mashora diya hai .Mr.warerr
pls ap muje urdu mai diya kare.mane ap ko bataya tha ke mai shoro mai hi boht ehsas tabiat ki malik thi so es leye jaldi diprese hojati thi,kia insaan apni adat bada sakta hai
kia ap muje dipresion ke nijat ke tips bataiege plz ab mere andar pele se ziada stronger aaie hai umeed hai ap ki help se mai en bato par control paa jaogi
ap Numazz puraha kurin Or dohaa keya kurin jo dil meah aya kurry Dohaa mangti raha kurin Dohaa say dil ko sukoon miltaa hay esky sath sath ap Quran ki tulawaat keya kurin, Exercise best option hay depression ko reduce kurny ka control kurny ka ap ho sukty tu thori walk keya kurin,
doctor waterr ki es suggestion pay ammul kurin,
Its best you consult a good gynecologist and she/he will advise you appropriate medication in appropriate dosage during pregnancy. Dcotor waterr.
1)best yeh ha keh ap apni religious ties strong karaiN . jaisey kehtey haiNa keh Allah say loh lagaeeye. Jitna aapney imaan ko app mazboot karaiNgee ootna he ap behtar mehsoos karaiNge
Aik aur baat yeh ha keh aapni troubles/pareeschani har aik say discuss karney ka faidah nahe hota kunke log hansaney walouN key sath hanstey haiN magar rooney walouN kay sath koi bhe roona naheiN chhahta so sirf apney closet relations kay sath discuss karaiN
2) koi bhi constructive kaam karaiN aur round the clock karaiN. Jiss kaam mai bhee apko interest feel hota ha
3)Aapkey leye best ha keh ap kisi psychiatrist / psychologist kay sath therapy sessions karaiN. woh apsey apki problems detail maiN discuss karaingee aur mostly sessions ka bahoot faida hota ha especially oouN logo ko jo itney social nah houN ya aapni baataiN easily discuss nah kartey houN.
4)medications koi bhi houN aapni marzi say start karna ya khatam karna bilkul daroosut naheiN hota. hamesha concerned doctor say pooch laiN Lastly yeh keh beeshak bilkul 'denial' ki state maiN nah raheiN magar apni depression ko khud peh tari bhi nah karaiN.
Apko baqia sawalon ka jawaab to mil hi gaya hai. Rahi baat Will power increase kernay ki to main apni ek pichli post yahan paste kerraha hun. Agar aap ko samjhnay main mushkil ho to batadejeye ga samjha bhi dia jayega
Will Power Tips - Will Power And Self Discipline - Will Power Exercises
Will Power Tips And Exercises - Will Power And Self Discipline
Since you have asked suggestions for making stronger the will power therefore; we don't discuss over Tourette syndrome at this occasion.
"Willpower is a negative concept; I prefer the word motivation, because people can't change a behavior unless they have motivation."
Lori Feldman, a psychiatrist who specializes in helping people breaks bad habits.
Will Power Tips And Exercises - Methods to Enhance the Will Power:
Meditation For Will Power: In Urdu this is called as Maraqba. Meditation is being practiced in different religions. In Islam it is done very enthusiastically in order to get relaxation, since spiritual thoughts and visions arrives once a man get relaxed. However; it also gives strong will power to an individual. The method is very simple. Sit in relaxed environment, close your eyes and feel that blue beams of light is passing thought your head from sky and absorbing in your heart. Do it for 10 minutes each day and observe the miracle.
Will Power Tips And Exercises - Positive Thinking: There are different organizations where peoples are assessed at their interview of jobs whether they have positive or negative thoughts. Only those people are selected who possess positive thinking. Since the employers needs to have those people who would have strong will power. Remember by adopting positive thinking a man automatically develops in himself strong and enormous will power.
Will Power Tips And Exercises - Think, Act and Get Success:
Unsuccessfulness is the first step toward a success. Mehmood Ghaznawi has made 16 attempts in a war to conquer a region, but he remains defeated. He sat sadly over a stone near water. He suddenly inspired to see a spider struggling against the water waves for her life, she had made a lot of attempts but every time near victory she failed to get escape out of it. She continued however; and never disheartened, finally she got out from water alive due to her will power. Visualizing this scene had made Ghaznawi so much inspired that he attacked on the same region once again, i.e., and 17th time and got conquest of that region.
Will Power Exercises And Tips - Self Discipline - Courage
Behave like Mehmood Ghaznawi in starting certain work. He used to perform every time Istakhara, before starting some work. By doing Istakhara, a man basically calls the help of Allah that he find definitely in his work and then he became able to get success.
As told by a beautiful Poet, Tabish Dehlivi: One should remember that there is no gap between the first step and the success.
Will Power Self Discipline Tips And Exercises - Strong belief is the key of success:
Only those people in this world could be succeeded who posses strong believe in getting success. Shaky minded and confused people never be succeeded. Start to believe in God, yourself and the attainment of success.
Will Power Guide, Tips And Exercises - Pray to Allah:
Doing prays to Allah and offering prayers also make the will power stronger. Fasting especially in the month of Ramadan, Avoiding deadly sins etc also makes a man contended and hence he gets closeness of Allah, who helps him in every matter.
A lot of things further could be done in this regard, I have given few suggestions only.
tum tension na lo tum inshAllah thek ho jao ge me tumhe kuch
suggestions daite ho tum usy follow karti jao inshAllah thek ho jao ge.
aap nend ache kia kare sub se phele
aur aap aise batein aise kisy suniny se ijtinab kare jin me jino bhoton ki
kahaniyan ho.
aap namaz regularly parha kare us se tension reduce hota hai aap me freshness
aati hai
aur jub wazo kare tu aap apny kandhy par se pani phera kare us se stress kum
hota hai aur ye bohat ache therapy hai.
aur aap apny gahar walo se jo bhe baat ho wo share kia kare jo dar ho
aur aap bahir ghoma kare us se aap me himat aai ge aap ka dar khatam hoga
aap khush raha kare kuch comedy films daikha kare wo bhe aap ko ache
entertainment de ge us se aap ka depression kum hoga
aur aap ki shadi kis age me hue the aap mujhe wo batai aur aap ka husband kaisa
hai.
aap apni phele wale bache se ab attached hai aap ki un se attachment hai
aap kiyun itna hasas tabiyat ho aap ki shadi ap ki marzi se hue the ya nhe.
aap abhe kia karti ho means kia activities hai gahar me?
aap mujhe ye sub batai me aagy se aap ko aur suggestions do ge inshAllah aap
jaldi he thek ho jao ge me yakin se kehti ho. aap ko medicine leny ki zarorat
nhe pare ge.
dr kiran mai ap se ye pochna chati ho kia dipresion muje hamesha ke leye khatm hosakta hai ke nai.'meri shadi 23 mai hovi thi mera husband sahi hai jese mai chati ho ke merea majoon bane wesa nai hai ,
ji mere pele wale bache ki attachment bache ki padaish ke two month tak bilkul nai thi kio ke us waqt muje shadeed dipresion hogaya tha aur muje nind ki tablt khilate the jis mai muje kush hosh nai tha us ke bad to meri bache ke sath boht achi attachment thi aur ab bi ha apne bache ki koi takleef nai dekh sakti ho
mai bachpan se hi ahsas tabiat ki malik ho kisi ko takleef mai nai dekhsakti yehi waja hai ke muje 2001 mai shadeed dipresion hogaya tha jo bahi ko mirgi ka dohra para tha mauje meri behn ne sudanly bataya to mai dipresion mai chali gaie muje kud nai pata tha muje us waqt kia hora tha tab se lakar anti dipresion tablat lati aaie hoo ab to mai kud bi un tablat se tang agaie hoo aur 6 month se mai koi anti dipresion tablat nai lerahi hoo kio ke dr ne kha kuch problam hogaya hai bache mai tab se mane tablat chor dia hai ab Allah pak se yehi dua ke muje tablat khane ki ab zarrorat na ho aameen.
kio ke mera husband bi tang agya hai ye tablat lete lete
shaadi arrange marriage thi ami abu razi the es rishte se to mai bi razi hovi es rishte se
meri goverment job hai school mai computera oprator ho filal chotia hai school ki august se open hoge
gar mai koi khas kaam nai hai'
mai seprate reti hoo apne husband ke sath saas nand sath nai hai
khana ami gar se ata hai aur aj kal to mai ami ke gar par hi re rahi hoo kio ke meri bache ki position niche hai es leye dr ne rest ka kha hova hai aur ye rest ami ke ha hi kar rahi hoo
Dear Rija aap ne bohat acha kia k aap ab wo tablets nhe khati its true k wo tablets aap k bachy par asar kar sakty hai bohat chances hai aur aisa hota hai many bohat se cases daikhe hai aap ki bare pareshani delevery hai jis se aap darti hai me aap ko ye suggest karo ge k agr aap ka husband strict nhe hai aur wo bhe agree hai tu aap 5 years ka gap kare waqfa kare is se aap ka dar khatam ho jai ga warna aap ki sehat par negative effect par sakta hai is delevery k bad aap soch samjh kar husband se baat kar k phir consensus se waqfa karna agr aap karna chahti hai tu aur jino bhooto se tu i think k ab itna dar nhe lagta hoga aap ko aur na he darna chahiye hai un se ye ek haqeeqat hai k jin bhoot hai Allah ki makhlooq hai hai jaise hum hai hum mati se bany hue hai aur wo aag se aur wo aise kisi ko nuqsan wagaira nhe phonchati and log aise he batein banty hai jin me sachai nhe hoti aksar is liye aap daro mat apny bacho par dhiyan do apni ache khorak par dhiyan do thora entertainment lo aap thek ho jai ge koi bhe problem ho aap mujh se share kar sakti hai. take care
forum per gumnam ban ker sawal jawab kerna hai. na tu apna name, address, phone number, email address dena hai aur na hi kisi se lena hai. iss forum per jo bhi forum ki policy violate kare ga ose Block ker dia jaaye ga.
Use Of Anti-Depressants Medications During Pregnancy:
Pregnancy maiN doctors as such koi bhi 'gair-zaroori' medicine kay use ka mashwarah nahe daitey.
Anti-depressants medications ka shumar oouN medications mai hota ha jinka risk-benefit ratio patient(mother) peh daikh keh aur oouNki situation aur complete history jaan keh koi faisalah keya ja sakta ha.
Kuch groups of anti-depressants maiN oouNkey mode of action ki waja say baby maiN malformations ka khatra bataya jata ha aur koi drug/medicine 100% safe nahe ha magar inmeh bahoot medications ka koi 'documented' case of teratogenecity (baby malformation) nahe ha.
kuch anti-depressant medication sirf or sirf pre-conceptional(before pregnancy) period mai baby malformation karti han aur baad maiN nahe , kuch first 3weeks tak karti han aur issi leye anti-depressant medications during planning for pregnancy mai chorna ya adjust karna zada important ha nah keh after pregnancy.
Overall major depression/history of severe post partum depression kay patients mai anti-depressant medication kay mother benefit bahooot zadyah haiN aur outweigh kartey haiN risks of baby malformations.
kisi major depression kay patient ko kehna kay woh medications all of a sudden chor daye without complete history etc criminal ha kunke relapse aur woh bhee increased severity kay relapse ka kadsha hota ha.
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.