Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Great Pakistani

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:4th Jul 2010, 4:30am
 

Great Pakistani

Pakistan mai Allah taala ne etni dolat di hai ke 60 years se dono haato se lootnay ke baad bhi yeh mulk taraqqi ke raah per rawa dawa hai.

Pakistan ke log intehai zaheen aur qabil hai. iss ka andaza iss baat se lagaye keh jab jaali degree wale log iss mulk ko chala saktay hai tu phir asli degree wale log ketnay qabil ho ge. waise asli degree wale logo ki Pakistan mai qadar nahi hai isi liye on ki aksariat beroon-e-mulk hai. beron mumalik ki taraqqi mai asli degree wale pakistanio ka kafi haath hai.

kehtay hai keh Pakistani dunia ke zaheen tareen log hotay hai. aik mulk mai boot polish ke liye machine lagayee gayee. machine mai pehla pao rakha jaaye tu woh polish ho jaati hai, lekin doosra paao rakhne per machine os pao ko pakar leti hai aor os waqt tak nahi chorti jab tak keh polish ka muawza (coin) machine mai na dal dia jaaye. aik pakistani bhai ne iss ka yeh hal nikala keh aik machine se aik shoe polish karaya aur kuch door jaa ker doosri machine se doosra shoe.

isi tarah bahar ke mulk mai aik hotel mai khana khane se qabal entry per hi os aadmi ka weight ker lia jaata tha. khane ke baad jab woh bahar aata tu os ka dobara weight kia jaata, jetna weight ziadah hota osi hisab se khaane ka charge hota. aik pakistani bhai ne yeh kia keh aik bachcha ko apne peeth per laad ker apna wazan karaya aur andar chala gaya. dono ne aik khana mangwaya aur pait bhar ka khaya, wapsi mai os bachcha ko peeth per laadne ki bajaye paidal gate se guzara. jab os aadmi ka wazan kia gaya tu zahir hai keh os ka weight ziadah hone ki bajaye kam nikla aur woh payment kiye beghair hi bahar nikal gaya.

isi tarah pakistanio ke zahanat ke barey barey qissay mojood hai. agar aap logo ko bhi koi qissa yaad ho tu yaha share kare



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:4th Jul 2010, 8:37am
 

Great Pakistani vs be-imaan pakistani

aap ny yahan pakistaniyoon ki ala khasoosiyaat ka zikar nahi kiya bulky baaz pakistaniyoon k bury ikhlaqiyaat ka zikar kiya hey ...is bat par fakhar karna buri ikhlaqiyaat ko promote karny k muteraadif hey..lehaza agar kisi great pakistani ka zikar karna hey to ...Dr.Qadeer ka zikar kiya jaye ...Dr.Abdu-us-Slam ka zikar kiya jaye,Abud-us-Star Edhi ka zikar kiya jaye..waghaira waghaira...jo sach main great pakistani kehalwany k qabil hain.....
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:4th Jul 2010, 2:12pm
 

concrete and abstract thinking

re: "agar kisi great pakistani ka zikar karna hey to ...Dr.Qadeer ka zikar kiya jaye ...Dr.Abdu-us-Slam ka zikar kiya jaye,Abud-us-Star Edhi ka zikar kiya jaye..waghaira waghaira...jo sach main great pakistani kehalwany k qabil hain..... "

mujhe yaqeen nahi aata keh mera post aap ke oopar se guzar gaya. mere post per aap ne jo reply kia hai ose concrete thinking kehtay hai. mujhe jawab abstract thinking wale member se chahiye.

Note: Concrete thinking walay members se guzarish hai keh baraye meharbani iss thread per reply ker ke asal topic divert na kare.
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013