Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4300 Age:
38
|
|
Posted on:4th Jul 2010, 4:30am |
|
|
Great Pakistani
Pakistan mai Allah taala ne etni dolat di hai ke 60 years se dono haato se lootnay ke baad bhi yeh mulk taraqqi ke raah per rawa dawa hai.
Pakistan ke log intehai zaheen aur qabil hai. iss ka andaza iss baat se lagaye keh jab jaali degree wale log iss mulk ko chala saktay hai tu phir asli degree wale log ketnay qabil ho ge. waise asli degree wale logo ki Pakistan mai qadar nahi hai isi liye on ki aksariat beroon-e-mulk hai. beron mumalik ki taraqqi mai asli degree wale pakistanio ka kafi haath hai.
kehtay hai keh Pakistani dunia ke zaheen tareen log hotay hai. aik mulk mai boot polish ke liye machine lagayee gayee. machine mai pehla pao rakha jaaye tu woh polish ho jaati hai, lekin doosra paao rakhne per machine os pao ko pakar leti hai aor os waqt tak nahi chorti jab tak keh polish ka muawza (coin) machine mai na dal dia jaaye. aik pakistani bhai ne iss ka yeh hal nikala keh aik machine se aik shoe polish karaya aur kuch door jaa ker doosri machine se doosra shoe.
isi tarah bahar ke mulk mai aik hotel mai khana khane se qabal entry per hi os aadmi ka weight ker lia jaata tha. khane ke baad jab woh bahar aata tu os ka dobara weight kia jaata, jetna weight ziadah hota osi hisab se khaane ka charge hota. aik pakistani bhai ne yeh kia keh aik bachcha ko apne peeth per laad ker apna wazan karaya aur andar chala gaya. dono ne aik khana mangwaya aur pait bhar ka khaya, wapsi mai os bachcha ko peeth per laadne ki bajaye paidal gate se guzara. jab os aadmi ka wazan kia gaya tu zahir hai keh os ka weight ziadah hone ki bajaye kam nikla aur woh payment kiye beghair hi bahar nikal gaya.
isi tarah pakistanio ke zahanat ke barey barey qissay mojood hai. agar aap logo ko bhi koi qissa yaad ho tu yaha share kare
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:4th Jul 2010, 8:37am |
|
|
Great Pakistani vs be-imaan pakistani aap ny yahan pakistaniyoon ki ala khasoosiyaat ka zikar nahi kiya bulky baaz pakistaniyoon k bury ikhlaqiyaat ka zikar kiya hey ...is bat par fakhar karna buri ikhlaqiyaat ko promote karny k muteraadif hey..lehaza agar kisi great pakistani ka zikar karna hey to ...Dr.Qadeer ka zikar kiya jaye ...Dr.Abdu-us-Slam ka zikar kiya jaye,Abud-us-Star Edhi ka zikar kiya jaye..waghaira waghaira...jo sach main great pakistani kehalwany k qabil hain..... |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4300 Age:
38
|
|
Posted on:4th Jul 2010, 2:12pm |
|
|
concrete and abstract thinking re: "agar kisi great pakistani ka zikar karna hey to ...Dr.Qadeer ka zikar
kiya jaye ...Dr.Abdu-us-Slam ka zikar kiya jaye,Abud-us-Star Edhi ka
zikar kiya jaye..waghaira waghaira...jo sach main great pakistani
kehalwany k qabil hain..... "
mujhe yaqeen nahi aata keh mera post aap ke oopar se guzar gaya. mere post per aap ne jo reply kia hai ose concrete thinking kehtay hai. mujhe jawab abstract thinking wale member se chahiye.
Note: Concrete thinking walay members se guzarish hai keh baraye meharbani iss thread per reply ker ke asal topic divert na kare.
|
|