Islami Jumhooriyaa Pakistan Jo islam kay Naam pay wujood Meah ayaa Lakin wo Adul-o-insaaf or Mussawaat , wo Mussavi Nizaam Qayim kurny meah Humary Hokumraan Or leaders nakaam ray jis say ek Fulaahi Mohashiraa Qayim ho suky Jis meah sub ko Mussavi Huqooq Hasil hoon, lakin Islami Jumhooriya Pakistan Meah Olti ghungaa peh reahi hay Jiss meah Ameer ameer say ameer tur or Ghureeb ghureeb say Ghureeb tur hota jaa Raha hay, Ghorbut or moflussi or Menghaai say du chaar nation Depression ka shikaar ho choki hay , Income come or Zurooriyaat or Khuwaishaat Ziyaada hen jis ki waja say lod Depression ka shikaar ho ray hen or depression main cause hay Khod-kushi ki or aj hum ek Turaaf Khod-kush(suicide attackers) humlaa awuroo ki zud meah hen or dosri Turaaf log khod apny Mahaashi halaat say tungg aa kay Khod koshiyaan kur ray hen,
Humary Hukumraan apni Ayaashiyoon apny Dhundo meah mughun jin kay sur pay jooon tuk nahi reeng rahi or wo awaam jiski vote say enko wuzarat ka munsub miltaa osko na serf bhool jaty bulky osko essy halaat say du chaar kur daty kay pher wo khod kushiyaan kurny pay amaadaa ho jaty hen, meah sumajtaa hon wo Hukumraan Qaatil hay jis ki Riyaayaa khod kushiyaan kurnaa shoro kur day. suicide ki baot sari causes hoti hen jinki budolat ek insaan khod kushi ka sochta hay yaa kurtaa hay or koch or koch mental illness essi bhe hoti kay koch logo kay minde meah mussulsaal Suicide ka khiyaal ataa rehtaa hay or kubi kisi essi sorat haal meah wo esaa kur bhe gozzurty hen. suicide Islam meah Huraam hay or Qanonun Jorm hay . Muzhubi Inthaa pussundi meah Aj kul loog Junnut kaa laluch day kay logo ko suicide khodkush Humlo kay leyeh oksaaty hen
Koch main causes hen jinko meah yaa biyaan kurna chahoo gah jo khod kushi (suicide) ka subbut bunti hen jin meah mundurjaa zail wujoohaat (causes)ho sukti hen.
Sexual abuse , ziyadti , rape
Naa-omeedi-Hopelessness
Mental illness, zehni mureez,
Depression
Jissay mohubut ya love ho oski death ho jana
physical abuse , verbal abuse, jesy Gur meah amoomun parants dannt dupput kur daty hen
koi chronic disease , pain, la elaaj bemari sy chotkaara pany kay leyeh
Crime or Gonaah ya kisi essy Raaz kay afshaa ho jany kay dur say, arrest hony say buchny kay leyeh
Drugs ka use, alcohol ka use ,kurny waly,
pussund ki shadi ka na hona ya engagement ka toot jana etc
low self esteem . hopeless ho jana, kum himmut, dur pok, wehmi, ya esssi feeling kay osy koi like or love nahi kurta ,
ehsaas-a-mehroomi, ehsaas-a-kumturi,
Lakin Depression number one cause hay suicide ki jiski waja say insan mentally unfit ho jata hay or mussulsul thinking , depression ka shikaar ho jata hay or jub osko depression ki waja say koi solution nai nuzur ataa tu wo suicide kur lata hayya koshish kurta hay or abi pakistan meah ap khod dayk layin kay halat kessy hen , amomun pakistan meah nojuwaan suicide ziyada kurty hen lakin abi du chaar din say pori ki pori family mil kay Ijtimaahi suicide ki koshishyin kur rahi hen jo kay ek ulmiyaa hay hum sub kay leyeh or on bay-hiss hukumrano kay leyeh jinki poor policyoon ki wjaaa say aj Gureeb gureeb say gureeb tur hota jaa raha hay,
Huzur Omur Kehty thay kay agur duryaa Furaat pay ek bhooka Kotaa bhe mur jay tu muj say osky bary meah pocha jay ghah or yaa humary hukomraan aj kay onka keya kehnaa.
Shebaz shureef nay 10 lakh Ruksha driver ki family kay leyeh ehlaan keya keya ek nojuwaan nay bhe dakhty dakhty mot ko gully lugaa leya kay shayd Shebaz shureef oski mot pay bhe imdaad ka ehlaaan kur dayin or oski family say loan otur jay or dosri turaf media ki en news nay julti pay Tail churka or karachi meah bhe ek family nay Ijtimaahi khod kushi kurny ki koshish ki , media ki es coverage or bar bar repeat kurny ssay logo ko murna asaan or jeena moshkil lugny lugaa hay .
bot sary points reh ghy hen members or doctors yaa ezafa kur sukty hen
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
Posted on:18th Jun 2010, 11:19pm
topic start krne ka maqsad pora karein
aap ne kafi achi batein share ki hain.humare mulk k halat din ba din khrab se khrab tar hote ja rahe h.Allah tala Pakistan par apni khas rehmat kare.(ameen)
humari khod ki hi awam bewaqof hai jo ese logon ko vote de deti h aur phir bad me khod-kushi krte h.
baqi aap k in points se main agree n.
1. Jissay mohubut ya love ho oski death ho jana 2.exams meah nakaami , poor marks, nakaami 3.pussund ki shadi ka na hona ya engagement ka toot jana etc"
ye koi waja n h suicide ki.
aap ne ye topic start kr to dia h.ab in halat me hum Pakistanio ko kia krna chahiye ye bhi to btaein.jis se mulk k shayad k halat behter hon.koi qeemti mashwara bhi to dein na..takey jo ghareeb humari ankhon k samne suicide kr rahe hain wo na karein?
S4u meah nay Bot dufa News papers meah purhaa hay , or meah nay es topic ko study bhe keya hay or dosry doctors log essy agree kurin gay kay yeh bhe wujohaat hen lakin ziyada nahi esa bot kum hota hay lakin esaa students kurty hen, or nojuwan kurtay hen, Eng ka toot jana ap esy Mohubat meah nakaami keh layin, baki marks or result meah fail ho jany ki waja say meah nay khod news meah purha hay, essi turha mohabat jisy ki jaay wo mur jay ya osy koi mar day tu bhe log sucide kur laty hen , or essi examples bhe bot sari hen, l
Bus News son son kay Dill odaas tha ek week meah etni suicides tu pher likhny bath giyaa or post kur deya jo mery mind meah points aary ty kay ye ye causes hoti hen suicide kurny walo ki , main muqsad apny Dill ki burhaas nikalnaa thi jo news dayk dayk kay bot ghottun see ho ghi thi
koi chronic disease , pain, la elaaj bemari sy chotkaara pany kay leyeh
Crime or Gonaah ya kisi essy Raaz kay afshaa ho jany kay dur say, arrest hony say buchny kay leyeh
Drugs ka use, alcohol ka use ,kurny waly,
pussund ki shadi ka na hona ya engagement ka toot jana etc
low self esteem . hopeless ho jana, kum himmut, dur pok, wehmi, ya esssi feeling kay osy koi like or love nahi kurta , ehsaas-a-mehroomi, ehsaas-a-kumturi,
All the reasons told above cause what? do these cause depression?
To me it seems that all the above points lead to depression and therefore according to you depression is the only cause of suicide in Pakistan and depression is generated by all these things in our society(according to your post)
so my questions are:
whats depression?
whats the difference between a depressed and a mentally sick person (as you made a seperate point of these )
is suicide only related to depression?
can a non-depressed person commit suicide?
is suicide work of a sick mind or a depressed mind?
is suicide an act of cowardness?
is suicide a state crime in pakistan and if no then why and if yes then whats the penalty?
Discussing / debating on poor state management and conditions of our country generates depression or relieves it ...like by calling names to leaders/government/management?
Is there any role of strong religious bonding in preventing depression(which is probably a chemical imabalance?) or decreasing suicide rate (keeping our country status/resources usage same)?
what about commiting/attempting suicide for adventure or fun by teens (or are they mentally sick too?maybe?)
Doctor waterr I think you know very well about this subject, any way I try to explain what I know, but I am not a expert if we just discuss depression, it's a big subject I try tu explain in urdu
Depression, Ek esaa mental disorder jo Insan kay Thoughts, osky mood, sleep, yani kay osky saary mamool- a -zindgi pay ussur undaaz hota hay, osky roz ka mamool –a- zindgi bori turaha motaasri hota hay , abi Depression ki bot sari Kinds hen , acute depression or chronic depression bhe hoti hay esi tura experts nay esko kafi details say discuss keya hay , Meah nay jo likha apni post meah wo jesy mery
mind meah aya meah nay likh deya meri nuzzur meah wo sari batin jo meah nay apni post meah share ki hen wo sub insan ki mental Health ko depress kurti hen or depression keya hay ap muj say bot ziyada Behtur undaz meah janti hen, sayid apny ye etny sary Quesiton mera imtahan lany kay leyeh keyeh hen, apky sary questions ka answer ek maher-a-nufsiyaat achy undaz meah day sukta hay,
Depression ki symptoms hur insane ki ek jesi nahi hoti ,lakin depression ki severity pay depend kurta hay ku kay jetni depression hogi otnaa he osky thinking , oski feelings or osky Behavior ya oski Mental health ko affect kurain ghi, or ossi depression ki seveity ki bonyaad pay some time people suicide ka sochty hen yaa kurty hen, lakin suicide or depression ka disorder some time families meah bhe chulta hay yani juldi depress hony ka rojhaan paya jata hay,
Jo jo chezain humary juzbaat, ehsaasat , feelings ko motasir kurti hen wo dur ussul Brain meah chemical or hormones kay function ko disturb kurti hen, jis ki waja say chemicals or hormones ki secretions meah ezafa ya kumi hoti hay or osy agy mental health pay furk purta hay, yani emotions chemical composition jo brain meah chul rahi hoti hay oska balance disturb kur daty hen, or jub ye composition balance nahi rehta tu pher mental illness ki wjaa say Thoughts or behaviors pay uassur purta hay or essi say depression bhe wujood meah ati hay, ap achi tura janti hen humara Hunsnaa , rona , sad hona , khosh hona kesy brain meah chemical ko kum or ziyada kurta hay,Meah nay jetni bhe causes oper share ki hen wo sari suicide ka sub-bub bunti hen lain insane suicide kub kurta hay jub wo Bot ziyada depressed , na omeed , ho jata hay.
jin jin question ki apny explanation apny mangi hay meri reqest hay ap zura explain kur dayin , ku kay jo meah janta tah meah nay likh deya hay,or ziyada medial terminologies mujy nahi ati asaan faem urdu meah likh deya,
All the reasons told above cause what? do these cause depression?
yes
Meri post meah comment or question kurny ka shukriya,ku kay s4u or ap kay elawa ya kisi ny comment nahi keya or ye post kafi din say hay forum py or etny important topic pay kisi nay participate kurny ki koshish he nahi ki shayd hum bay hess ho gay hen,
apkay Question pur kay esaa lugta hay jessy ap muj pay Burruss rahi hen, Islam mah Khodkushi Huram hay yani Allah nay insan ko yeh right nahi deya kay wo apni jan khod lay lay, agur koi es turhaa kurta hay tu wo ek Gonah kurta hay , zindgi Allah ke Nehmut hay, pakistan kay law meah Iqdaam-a-Khodkushi ki suzza ek saal Qayd ya Jormana ya dono ek sath dee ja sukti hen,
Meah psychiatrist ya psychologist nahi hon jo ap etni ziyada Questions muj say poch rahi hen lakin Mujy lugta hay ap kissi or bat ka gossaa en questions kay tor pay muj pay nikaal rahi hen any how meah jetna janta tah ya janta hon oper likh deya hay lakin ap nay jo suwalaat othaay hen Meah koch din study kuro gah pher meah apko Behtur juwaab day sukoon gah ku ka yes topic ko phely meah khod sumjoo gah study kuro gah or pher apko satisfied ya motmayeen kur paon gah, jesy suwalaat ap ny muj say keyeh hen enka theek juwaab ek psychiatrist he day sukta hay, mera elm etna Wusseeh nahi hay, lakin meah koshish zuror kuro gah, lakin mujy khoshi hoti hay jub ap meri post meah commnt kurti hen ku kay Question , answer say he insane seekhta hay or mujy ap say bot koch seekhny ka moka milta hay
suicide ki cause sirf yeh hoti hai keh suicide kerne wala shakhs depression mai hota hai. aur depression ki wajah biochemical hota hai. brain mai aik makhsoos qisim ka chemical ki kami ki wajah se depression hota hai. aur yeh kami ki wajah genetics hai.
lehaza suicide ki oopar jo bhi wajah batayee gayee hai woh saanwi hai. agar insaan depression mai nahi hoga tu woh kabhi bhi suicide ya attempted suicide nahi kare ga. chahe ose ketna hi problem kio na ho. jab keh doosri taraf depression ke mareez mai suicide aur attempted suicide ka chances bahut ziadah hota hai. aur depression ki wajah pehle hi batayee jaa chuki hai keh yeh aik makhsoos qisim ke chemical ki kami ki wajah se hoti hai. aur os chemical ki kami ki wajah Genetics hai. lehaza sabit hua keh suicide ki wajah sirf aur sirf Genietics hai.
1
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.