diplomate its nice topic here bcos iss tarah ki discussion se muashry mein zaroor koi tabdeeli roonuma ho skti hai ,
jaisaa k hr admi k kuch wasail hoty hein doosron tk baat ponchany k issi tarah ye forum bhi bohot important kirdar ada kr raha hai media ka ,
aap k topic k hawaly se mein ye kehna chaun ga k aaj k daur mein jitny masail hein previous daur mein iss sy kaheen ziada masail thy,
laiken logon mein , mohabt, apnaiet , hamdardi ki wajha ye thi k wo islam se qareeb thy , un mein lalch km tha, hasad km tha , shaid deen ki maloomat bhi km hon laikn emman se wo bohot hd tk labrez thy . un
ko yaqeen hota tha k agr wo kisi sy achai krein gay tu allaha taala un ko silla de ga, wo apni aur doosron ki izzat ki hifazat kia krty thy , village mein aurat kisi mard ki trf aur mard aurat ki trf galt nazr se nahi dekhta tha hr koi doosry ka ehtram krta tha , chota bry ki izzat krta tha aur bra choty ko shfqat ki nigah se dekhta tha,
iss k bar aks aaj ke daur mein hr koi lalch aur hasad mein mubta hai, deen ki maloomat ziada hein laikn amal nahi hai, hr koi doosry ko talqeen krta hai laiken khud amal nahi krta, hilal haram mein farq bohotkm kia jata hai, laiken aaj bhi allaha taala maujod hai aur jo log ussi tarah allaha taala pr yaqeen rkhty hein un ki allaha madad farmata hai . |