Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

History Of Sultan Mahmood Ghaznawi - Great Worrier Vs Thief

Politics
 
 
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:13th Jun 2010, 11:16pm
 

Re:

Yahan Mehmood ghaznavi ko lutera kehnay walon ki baton se andaza ho jata hia inhein apni tareekh ki waja se kis qadar ehsaas e kamtari hai.. Aap loug ghair janibdaar moarikh kis ko kehtay hien? Koi gora? koi Yahoodi, Koi hindu.. aap ki nazar mein yeh loug ghair janibdaar hein?? Eisayi or Yahoodi to Hazrat Khalid bin waleed ko bhi zalim, lutera or safaak insaan kehtay hien.. un ki yehi rai Hazrat Ali or hazrat saad bin waqas k baray mein bhi hai... Mehmood to bohat baad ki baat hai... Apni history per fakhar karna seekhein or so called enlighten moderation ka libada orh kar khod ko duniya mein is tarah ruswa na krein.... 

"Hadees ki kitabooN mein aata keh aik dafah tajrooN ka aik group jin ka libaas arbihooN jaisa na"

Konsi kitabon mein aata hia.. aap meharbani kar k reference to dijiye...
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:13th Jun 2010, 1:17pm
 

Soltaan mahmood Ghaznavi

agreed with seemi. 
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1177  Age:  38  
Posted on:13th Jun 2010, 6:29pm
 

Seemi:

Sab say pehlay tou app ka shukerya kay app nay meri post ka reply kay kabil samjha.

Motahisb Hindu /Essahi mohirkheen wohee kehtay haiN jo app keh rahi haiN keh islam talwar kay zoar per paila meiN tou iss baat ki nafi karta hooN magar app ki post oan ki tarjman ban gai keh islam sirf hamlah aawarooN ki wajah say paila.Yea intahi ghoar talab baat hy.

Oar ghair janibdar say meri  morrad  kissi motahisb Hindu / essahi/ Muslim mohirikh ki naheeN balkeh oas ka ghair janibdar hona zaroori hy  jiasay humaray haan Dr.Mobbarak Ali aik namwar ghairjanibdar mohirikh kay hawalay say janay pehjanay jaatay  haiN .

Baqi jahan Tak oas Hadees ka reference hy tou yea muslim sharif ki Hadees hy

agar app Hadees ki Books ko read karaiN tou app ko "Ghazwa e Hind " kay baray meiN bhee Bokhari Sarif mein bohat si aahadees mil jaiN gi. App youTube per muslmanooN kay almost her school of thought kay aalam e deen ko "Ghazw e Hind" ko define karta hoa sun sakti haiN.

(Humara topic sirf mehmood Ghaznavi per hy lehaza TareeGh kay dosray Heros jaisay Salahudin Ayubi,Muhammad Bin Qasim ,Tariq Bin Zead ko discuss karna hy tou oas kay lihai aik nia thread motaqazi hy. oan ko Mehmood Ghaznavi kay sath millana khoud in heros ki insult hy)

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:14th Jun 2010, 5:23am
 

Mehmud lutera ya Hero??

Mera kheyal hae ke yeh nasal pichhli nasloon se zeyada ba-shaoor hae kyun ke pichli naslain comparatively zaeef-ul-aitqad zeyada theen aur suni sunai baatun pr imaan le aati thi jiski wajah uss zamaane main sahooliyat ki nayabi b ho skti hae aur ab hr kisi k pass research krne ki behtreen sahooliyat muyassar hain. Uss zamaane main agar kch log akathay ho kr kisi ko Hero bna detay thay tou sb uss pr dil-o-jan se iman le aatay. Aaj kal tou media hi postmartam kr ke rakh deta hae sab ka. Leaders ke plus minuses usi waqt saamne aa jaate hain. Hamaray boorhay bazurg aksar aesi kahaniyan sunaya krte thay jin main Pakistan ban'ne se phle sub-continent ke Choroon aur luteroon ka zikr hota mgr end pr who yehi conclude krte ke wo luteray bht rehm dil aur namazi parhezgar log thay. Ameer hinduun se maal loot kr ghareebun main banta krte thay etc. etc. Tb main b inn parhezgar logoon se bht convince hua krta tha aur anjaane main inhain apna Hero smjh kr beth jata. Mgr jese jese shaoor ki manazil tay ki tou ghareebun ki khidmat loot maar ke maal se krne main koi hikmat nazar na aai aur na Islami history se aisa koi waqeya mila.


Ab isi tarah hamaray bht se behn bhai b Sultan Mehmood Ghaznavi ko apna role model aur Islami tareekh ka Hero bna ke bethay hain. Aik aisa shakhas jiski foj ki aksariyat loot maar krne walay hindu commanders pr mushtamil thi. Mazay ki baat yeh hae ke Mehmood ke 17 hamloom main aksar ka commander Sonday Roi tha jo katar Hindu aur lutera tha. Tareekh gawah hae ke Mehmud ne hamesha loot maar krne ko hi apni priority pr rakha. Loot maar ke baud Kabhi b yahan stay nahin kiya aur na hi iss khittay main koi reforms introduce krwaieen jis pr ham fakhar karain aur doosrun ke saamne usay role model bna kr pesh kar skain

 

Ulta Ghaznavis ke dorr main aksar soobun ke Governors Hindu hi hua krte thay aur Sultan Mehmood Ghaznavi aur uss ke Seccessors ne Kai dafa Muslimaan hukmraanun se apne Hindu Commanders ke zariay unn ke ilaqay fatah kiay thay. Historians tou yahan tk kehte hain ke Ghaznavis ke zawal ki wajh hi yeh thi ke inn logoon ne Muslims ko door rakha aur bht se ilaqay Hinduun ko hi sonp diay jo baud main inn ke zawal ki wajah bnay. Main heraan balkeh shocked hun ke aisa daku aur lutera hamari islami history ka Hero kese bn gya??  


Please Write In Differential Paragraphs For Easiest Reading 




Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2017  Age:  48  
Posted on:14th Jun 2010, 8:08am
 

Bhimji

jessy aap aur Dr.Qasim hero ban gaye issi tarah sultan Mehmood bi hero ban giya hero banana konsa  mushkil kaam he
AppkaDost Group: Members  Joined: 18th Jul, 2009  Topic: 24  Post: 281  Age:  37  
Posted on:14th Jun 2010, 9:34am
 

Bhimji

Very well said .I am agree with you.

Magar iss qadar sach bolnay ki forum per ijjazat naheen khas ker aisa sach jo talkh bhee ho,humari samahatain sach ko sunna'h naheen chahteen humari aanghain sach ko daikhna naheen chahteen,hum bus aik haseen faraib mein girftar hi rehna chahtay hain....

For More Detail Click On Page No: 1>>
 
 
 
Pakistani Student In Harvard University  How to get college scholarship in usa  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us