H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 174 Post: 5735 Age:
33
|
|
Posted on:16th May 2010, 11:46pm |
|
|
Should New Provinces Come Into Being Within Country ?
- Keya ap sum-mujty hen Pakistan meah new province bunany cha-yeh?
- keya ap sumujty hen esy nation kay Problem hul ho jayn gay?
- Keya new province bunany ka advantage politician ko ho gah yaa nation ko?
Meah sumujta hoon kay eska Serf fayda Siyasut dano ko hoga, jo MPA hoga wo MNA tuk jaa sukta or meah esy dad dad eent ki musjid bunany kay motaradif sumajta hoon, or ye abi jo koch ho raha bus siyaasi issue or apni siyaasut chumkana hay, or koch nahi , en leaders ko sorry enko leader kehnaa bhe ziyadti hogi leader wo hota hay jo nation ki awaaz or juzbaat ki turjamani kury lakin humary peyary pakistan meah leader koi nahi raha ,
|
KHOKHAR786 |
Group: Members Joined: 25th Jan, 2010 Topic: 30 Post: 122 Age:
26
|
|
Posted on:17th May 2010, 3:07am |
|
|
Re jee its nice topic ,
ye tu baat theek hai k iss ka faida siasatdanon ko ho ga kiun k definetly jahan adminstratiion brhe gi tu yaqeenun wahan mpa, mna, dco,s, sp,s aur uss hisab sy sb idaron mein ziada posts hon gi tax brhein gay laikn agr hum inn tamam cheezon ko ek aur pehlu sy dekhein tu wo ye hein k
iss tarah administration logon ko qareeb sy mauqa mily ga jahan itni ziada abdi ho rahi hai wahan itny ziada masail bhi ho gay hein uar un k hl k liay ziada idaron ki bhi zaroort hai bt ye sb kuch jis tanazur mein ho ga uss hisab sy hi uss pr amal ho ga< laikn sb sy ziada zaroort iss aml ki hai log apny sath mukhlis ho jaein aur awam mein shaoor aa jay aur apna haq mangny aur leny kiun ko awareness honi chaye ,
baqi allaha taala hum ko amal ki taufeeq de |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 233 Post: 3893 Age:
36
|
|
Posted on:17th May 2010, 6:10am |
|
|
new sooba in Pakistan intezami lehaz se sooba banane mai koi haraj nahi hai. lekin lesani buniad per new sooba nahi banani chahiye, lesani buniad per new sooba banaya tu phir baad mai woh alag mulk ka mutalba kare ge.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 97 Post: 4532 Age:
|
|
Posted on:17th May 2010, 7:09am |
|
|
agreed wid Bewaqoof 100% true
balkay intezaami bunyaadoun par soobay zaroor banaanay chhaiyeh... chotay soobay k maamlaat behtar taur par hull hosaktay haiN...awaam ko sahoolat bhi hoti hai aur kissi region k logoun maiN 'ehsaasay mahroomi' bhi nahi paidaa hotaa... agar pakistan maiN 10/12 soobay ban jaayaiN (non-lisaani) to awaam ka bahoot bhala hogaa
lekin
issay pakistan k hukmraan (jinki aksariyat bairooni agent hai) kabhi bhi aisaa nahi honay degi |
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 174 Post: 5735 Age:
33
|
|
Posted on:17th May 2010, 10:47am |
|
|
I think District ziyada kur deyeh jayin Division meah or Ikhtayaraat union council ki sutah pur tuqseem kur deyh jayin tu ziyada behtur hay ku kay yeh sub MPA MNA wuzeer bunty hen No du yaara ho jaty hen or pher hath nahi aaty jub kay ek Distrik Nazim ko milna ek aam admi kay leyeh ziyada asaan hota hay or , Nation or provincial assembly meah awaaz bolund kurna or koi bill pas kurwaana mushkil kam ho slow process hota hay .ataa bejli pani binyaadi zuroriyaat tu MPA bhe mohiyaaa nahi kur sukta , agreed with bewakoof and rizvi brother.
|
eagle fly |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 56 Post: 1838 Age:
|
|
Posted on:6th Aug 2011, 2:06am |
|
|
re:New Provinces Aaj kal Punjab main aik new province banane ki Aawazain phir se sunaen dene lagi hyn. PPP aur PML (Q) Punjab main aik new province Sareki Sooba banana chah rahi hy.
- Kya PPP aur PML(Q) Saraeki sooba PML (N) ko siasi nuqsan pohanchane aur khud siasi faida uthane k liay banana chah rahi hy?
- Aap k khayal main kya Saraeki sooba banana Aasana hoga?
- agar Saraeki sooba ban gya tou kya us khitte k masael hal hona shuru hojaenge?
- kya Saraeki sooba banana Pakistan k mufaad main hoga?
- agar Saraeki sooba banane ki koshish ki gae tou kya doosre sooboun se bhi nae soobay ki Aawazain Aana shuru hojaengi?
|
alirajput |
Group: Members Joined: 29th May, 2011 Topic: 15 Post: 1695 Age:
1204
|
|
Posted on:6th Aug 2011, 4:40am |
|
|
New Provinces This will help Pakistan manage its resources and problems better. Koi bhi takat ek aadmi ke paas zaada achi na chalti hein aur na achi lagti hein, for example punjab CM ya Sindh CM.. I am in favor of not only Saraikhi provine or that of a SOUTH PUNJAB as province, also I believe we should have a HAZARI province, and that Sindh should also break up into more provinces, also Balochistaan should be south and north, or east or west.. so that we can control allot of the problems there... Everything is manageable with more people to manage it, like this the responsibility is shared... less corruption, and more CONTROL.. Resources are easily fought over as well, shared........
|
|