sunehri76 aap k pc ko darj zail mumkina fault hoo saktey hain
1)...pc main agar 2 adad RAMs lagi hoi hain to unn main sy aik RAM ki position apni jaga sy hill gayee hey...uss ko ya theek krain agar dobara restart hoota hey to phir dono main sy aik RAM nikaal dain...aur pc ko on krain...RAM ko badal badal kr pc on krain to on hoo jaye ga..agr aik RAM hey to uss ko chang krdain...but changing sy pehly apney pc ki power cable aur Monitor data Cable unplug kr lain..
2)....C:/ Drive Full honey ki soorat main b pc windows booting position per puhnchney sy pehly hi restart hoo jata hey...aysi soorat main pc Start hootey hi F8 ki key press krain ...samney kuch options appear hoon gi unn main sy aik option safe mod ki hey uss ko click kar dain...aur 3 mint tak wait krain aap ka pc tammam confrigation files upload kraey ga iss k baad jub windows safe mod main on hoo jaye to desk top per aik option box appear hoo ga...uss main "YES" "NO" main sy NO ko click krain iss k baad aik "NEXT" ka buton clik krain jo NO ko click krney k baad appear hoo ga...iss k baad aik date clender appear hooga uss main sy koi b back date choos krain ..bak date wohi choos hoo gi jo baqi tammam dates sy hilighted hoo gi....aur NEXT ka botun push krain ...pc RESTORE hona shuroo hoo jaye ga.....iss k baad pc auto restart hooga aur aap ki problem hal hoo chuki hoo gi
3)....above dono treeqy krny k bawjood agar pc theek nahi hoota to phir apni HARD DISK ko pc sy alehda krain aur kisi doosrey pc k saath attach kr k uss main sy apna data copy kar lain aur wapis hard ko apney pc sy attach kar k uss ko total format kar dain aur new windows XP instal kar lain...instalation k baad apni hard ko phir doosrey pc k sath lagain aur uss main sy apna data wapis copy kar lain
4)...app k pc main virus b hoo sakta hey jis ny windows ki booting files ko crupt kar diya hey ..aur pc restart hoo jata hey....aysi soorat main hard ko doosrey pc k sath attach krny k baad kisi achey anti virus sy full scan kal lain...aur baad main apna data uss pc ki hard main copy krain...
agar problem phir b barqraar rehti hey to phir kisi computer hardware engineer ko pc dikha lain...aik soorat aur b hey magar wo aap ko bataney k bawjood aap nahi kar sakain gi ..uss k liye infected computer ka paas hona zaroori hey....wo tareeqa yeh hey k mother board pr jumper ki setting ko change kar diya jata hey..uss sy b computer restart hoona band kar daita hey..aur apna matlooba kaam kiya jasakta hey... |