Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Articles
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Har Haal Main Allah Ka Shukr Ada Karo..(part 2)

Articles   >>  Islamic Articles
Bloated Stomach
Useful Tips To Relieve Bloated Stomach
Pregnancy Symptoms
Pregnancy Symptom - the Classic Symptoms
Eye Circles
Treatment of Dark Circles Under Eyes
Stomach Exercise
Stomach Exercise To Lose Belly Fat
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3217  Age:  36  
Posted on:30th Jan 2010, 2:23am
 

Har Haal Main Allah Ka Shukr Ada Karo..(part 2)

Mr.& Mrs Clark SCOTLAND ki aik chootti si abaadi main raha krtey they wo dono kaam kiya krtey they un k 9 bachey they inn ki amdni kam thi aur akhrajaat ziyada they aur zahir hey aysey halaat main zindgi kuch ziyada khoobsoorat nhi hooti lehaza yeh loog b tang dasti sy din guzar rehey they 
  
Mr.Clark ko unn dinoo main pata chala k aj kal USA "Gold Mine" ki hasiyat rakhta hey aur whan kam hi kaam hey har koi wahan asooda haal zindgi guzaar sakta hey  
Mr.Clark ny suna k jo b muflis loog amreeka puhanctey hain wo wahan jaker barrey forms aur karkhanoo k malik ban jatey hain aur aik sha'hana zindgi guzartey hain.. 

chunachey Mr.Clark k dimagh pr b apni tamam famely samait amreeka satelle honey ki dhun sawar hoo gayee...laiken Mr.&Mrs Clark k samney jo chelleng darpaish tha wo unn ki kam amdni thi aur amreeka janey ka khrach un ki kul amdan sy zyada hooney ki problem thi... q k 9 bachoon aur miyaan b.v k liye amreeka janey k liye kafi sarmaya darkaar tha...aur yeh loog 12 / 12 ghantey kaam kr k b jo kama patey thy wo Usa janey k liye nakafi aur maheeny k end pr khatam hoo jata tha...
  
yeh behri jahazoon ka zamana tha aur hawai jahaz ka door nhi tha aur eurep ki 8 barri bandar gahoon sy amreeka k liye behri jahaz chala krtey they Mr.&Mrs. Clark ny amreeka janey k liye raqam ka tahmeena lagaya aur over time k sath kaam krna shuroo kr diya ..khoraak main kami kr di...sardiyoon k kaprroon ki khreed'dari kam kr di....doostoon sy qarz liya..zameen ka wahid tukrra baicha...aur 2 saaal ki anthak mehnat k baad wo loog iss qabil hoogey k aram sy aik behri jahaz main baith kr LOS ANGLES. USA. puhnch sakain... 
  
Yeh Clark ki zindgi ka ik khoobsoorat aur masroor treen din tha jab uss k haath main amreeka janey k liye puri famely k liye behri jahaz ka ticket tha...... iss ka khandaan iss baat sy buhat khush tha ..iss k doostoon ny alwidaiee dawtain krna shuroo kr di...Clark famely ny apna saman b bandh liya aur apni apni nokriyoon sy asteefa b dey diya 
  
Laiken Clark famely amreeka rawangi sy 3 din pehly aik chootey sy masley ka shakar hoo gaye aur yhi chootta sa masla doosrey din unn ki zindgi ka khoofnaak tareen masla ban geya  
  
Clark famely ka aik bacha apney doost ko alwidaa keh kr ghar aa reha tha k usy rastey main aik kuttey (Dog) ny kaat liya ...Mr.Clark bachy ko Dr. k paas ly kr geye to Dr. ny bachey ka bazoo to see diya laiken ussy "kutty ka kaata" mareez qaraar dy diya...un dinoo "SCOTTLAND" main ye qanoon tha k jis ghar main Dr. Yellow Color ki chitt laga deyta to uss ka matlab hoota k iss ghar main koi aisa mareez hey jis k bahar niklney sy koi moozi marz phail sakti hey ..lehaza jub tak uss mareez ka makamal ilaaj nhi hoo jata tab tak wo mareez apney ghar sy nhi nikal sakta aur ye yellow chitt b tab tak hi uss mareez k ghar k bahar darwazey pa lagi rehey gi...
  
Chunacey Mr.Clark k darwazey pr b aisi hi aik chitt laga di gayee...abb iss chitt k lagey rehney tak Clark famely amreeka nhi jaskti thi...yeh Clark Khandaan k liye aik sadma tha unhain aisa mehsoos hooraha tha k jaisey asmaan aik jalti howi moom bati hey aur wo moom batii ahista ahista pig'hal pig'hal kr unn k zahmoo pr gir rehi hey....iss liye Clark famely ny iss sarey buhraan ka zumaaadaar apney baitey ko qaraar dy diya 
  
jis din behri jahaz USA k liye rawana hoona tha uss din Mr.&Mrs.Clark apney 8 bachoon k sath bandar gah puhnchy aur pani main door tak jatey howey jahaz ko daikh kr apni by bassi pr rotey rehy aur yeh kehtey howey ghar loot aye k aaj kash humara baita humarey rastey main hayel na hoota to hum b iss jahaz k zriye USA ja'rehey hootey 
  
issi khyalaat main ghirey rehny k sab'ab clark family ny khud ko ghar main band kr lya aur logoon sy milna julna tark kr diya ta'k logoon ki jalti chubti baatoon sy bacha ja sakey 
  
issi haal main kai maah guzar gaye aik din akhbaar froosh ny clark k ghar hasb-e-mamool akhbaar phainka ...clark ny akhbaar uthaya...akhbaar ki main headline ko prrtey hi clark ki ankhoon main aik chamak si agye aur uss ny apny baitey ko utha kr choomna shuroo kr diya ...sab hiraan they k akhar akbar main aysi kia khabar ageye hey k clark ki khushi ka koi thakana nhi hey  ....akhbaar main los anjlas janey waly uss jahaz k doobny ki khabar thi jis main clark faimely Usa janey wali thi...ji haan uss jahaz ka naam TITANIC tha ..uss k tamam k tammam 1570 musafir luqma-e-ajal ban cuky they 
  
iss khabar ny Clark faimely ki soch ko aik naya andaz bakhash diya aur wo sochney lagey k agar wo b iss jahaz main hootey to ajj wo b mar chukey hotey...un ka vision apney baitey k barey main yak sar tabdeel hoogeya ..wo bacha jo kal tak clark ki nazar main vilon tha aj uss ki nazar main hero ka roop dhar chuka tha.. 
chunachey iss waqiya ko clark faimley ny apny liye aik sunehri mooqa jana aur dobaara sy naye azam aur walwaly sy apney kaam ka aghaz kiya ...daikhtey hi daikhtey clark aik mamooli karigar sy aik jootoon ki dookan ka malik bn geya aur wahan sy traqi kr k shoes ka karkhana daar aur phir aik shoes exporter ban geya...aaj b Clark ki compney k tyar krda aik mehngey treen shoe pair ki pakistani Rupees main 23000/- keemat hey aur yeh duniya ka mash'hoor treen aur mehnga aur paiyedaar treen shoes maker brand samja jata hey  "CLARK SHOE"(HUSH PUPPIES ) 
  
CONCULUSION 
  
agar hum apney khuda ki traf sy aney wali kisi b mushkal ko apni badnseebi aur apney muqaddar ka hissa samaj kar uss pr sirf rooney peetney aur afsoos krney lag jaien to humey khuda ki uss maslehat ka qat'yee ilam aur agheye nhi hoo sakti k jis sy bachaney k liye humain khuda ta'ala ny kisi mamooli imtehaan main dala hey..yeh b sach hey k yeh mamooli imtehaan humain waqti toor pr buhat brra lagta hey...laiken asal main khuda ta'alal iss maooli imtehaan k zriye humain kisi brri afat sy bacha reha hoota hey...aur iss mamooli mushkil ki waja sy hamara dihaan khuda ta'ala ki hum pr aynda aney wali rehmat pr nhi jata ...agar hum sabit qadmi sy apni zindgi main aney wali mushkilaat ko kisi barri mushkil ka sapeed braker samjain to insha'allah hum buht brri mushkal aur afat sy bach saktey hain...bus hamain hur haal main allah ka shukar ada krna chahiye aur apni har mushkil ko mamooli sy mamooli samjtey howey uss pr sabar karna chahiye aur khuda ki rehmat per emaan rakhna chahiye..



Husnain Ji Group: Members  Joined: 30th Apr, 2009  Topic: 5  Post: 36  Age:  28  
Posted on:30th Jan 2010, 4:12am
 

Mashallah

bauhat hi zabardast likha hai app ne , hame har Haal mein Allah ka shukar ada karna chahiye. God Bless you.
1
Penis Exercises
Do Penis Exercises Really Work?
Abnormally Bent Penis
Peyronie Disease and Abnormally Bent Penis
Spontaneous Abortion
Miscarriage – Signs and Symptoms of Miscarriage
Miscarriage Causes
Miscarriage Causes - Tips To Overcome The Loss
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012