Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:26th Jan 2010, 3:57am |
|
|
Haiti Earthquake: Was That Punishment On Magicians? haiti jahan earthquake ki wajah se lakhon loag luqma e ajal banay aur lakhon na sirf zakhmi hue balkay beghar bhi hogaye aur itnay shadeed mausam main be sarosamani k alam main hain .tou aisi kisi bhi qudrati afat k nazool k baad dil main yehi khayal ata hae k aisa kyun huwa ? itnay lakhon mazloom insanon ko lamhay bhar main is tarah rond diya gaya akhir un becharon ka kiya qasoor tha ? lekin as a muslim humara yeh Emaan hae k Allah pak zalim nahi balkay adil hae tou aise waqiyat main kiya adal hosakta hae ? yeh waqiyat hum jaise zinda bach janay walay logon k liye ibrat ka nishan hotay hain . haiti apnay jadoo k liye duniya bhar main mash,hoor tha . duniya bhar se syyah wahan jadoo karnay, karwanay aur seekhnay jatay thay . haiti main hi 50 aise logon ko zibha kar diya gaya jo bars (white patches) k mareez thay kyun k un k mutabiq aise logon k gosht k taveez bohat karamad hotay hain . jahan itnay baRay paimanay pe zulm ki inteha hojaye tou wahan is tarah ki afaat ana koi baRi baat nahi hae . as a muslim humain aise waqiyat se ibrat pakarni chahiye kyun k aaj kal pakistan main bhi jadoo zoron par hae . jadoo in pakistan aur is k nuqsanat next pera main likhongi inshAllah |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6476 Age:
35
|
|
Posted on:26th Jan 2010, 4:09am |
|
|
maryam agree with you bus agur kisi cheez ki zurrorat hay tu wo hy Elm-or- aghayhiii ki ku kay Jahalaat jahaa ruch bus jati hy wahaa pher essa he hota hy. or pakistan meah es meah koi such ni k log gomraah ho ry hen or gomrah keyee ja ray hen jado taweez ussur kury na kury lakin akeeda or emaan jis tura logo ka tubaah o burbaad ho raha hy or log gomrahi or jahalaat meah dobty ja ry hen ye chezin ziyada noksaan dah hen.
nujoomi ,aamil,. taweez kundy kurny waly esi tura dosry log bujay islami taleem k logo ko gomraah kur ry hen . |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:26th Jan 2010, 4:59am |
|
|
ji bilkul jadoo karnay wala aur karwanay wala dono hi mushrik hojatay hain kyun Allah pak ki taraf se likhi hui taqdeer pe imaan lana bhi zaroori hae . jab hum kisi aamil k paas jatay hain tou bharosa Allah pak ki zaat se haT kar us aamil pe hojata hae . agar woh kaam hojaye tab bhi yehi kaha jata hae k falan k paas gaya aur us ne meri yeh mushkil asaan kar di .
jadoo se ya tou zyada se zyada daulat hasil karnay ki koshish ki jati hae jab k is amal k liye bhi lakhon un amilon ki nazar kar diye jatay hain
ghaib ka ilm sirf Allah pak janta hae agar koi ghaib ka ilm rakhnay ka dawa karta hae tou woh nauzubillah Allah pak se shirakat karta hae . achay aur buray ka ilm sirf Allah pak ki zaat ko hae na k kisi amil najoomi ko k anay walay waqt main kiya honay wala hae .
jadoo ka aik maqsad doosron ki khush-hal zindagi ko kharab karna bhi hota hae jis ka maqsad jealousy hota hae hasad bazate khud aik bohat bari beemari aur burai hae aur naikiyon ko is tarah nigal jati hae jaise aag sookhi lakRi ko .
Nabi pak sallalho alehe wassalam ka farman hae k woh Hum main se nahi jis ki zaban aur haath se doosra muslim mehfooz nahi
Allah pak hum sab ko in buraiyon se bachaye . hum sirf isliye khushqismat hain k humaray peechay humaray Nabi pak sallalaho alehe wasalam ki duayen hain Un ki raaton ko jaag kar humaray liye aaho baqa hae. AAP salalaho alehewassalam duniya se janay se pehlay Allah pak se yeh poocha k Meray baad Meri Ummat k sath kiya salook kiya jayega tou Allah pak ne farmaya main inhain tanha nahi choRonga .
kamiyabi Allah pak ne nimaz main rakhi hae na k jadoo toonon main . Allah pak farmata hae Nimaz ki taraf aao Main tumhain kamiyabi donga .
isi tarah Allah pak farmata hae ae ibne ADAM Main tujh se pyar karta hon tu bhi to Mujh se pyar kar
aik aur jagah farmata hae k ae meray banday Meri talab main aa Main tujhay mil jaonga .
duniya k chakar main paRaingay tou is ki koi guarantee nahi k duniya milti bhi hae ya nahi lekin agar Allah ki talab karaingay tou Allah pak zaroor miljayega inshAllah aur akhhirat tou dega hi duniya bhi de dega . |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:26th Jan 2010, 5:09am |
|
|
wow bahoot khoob...... jazak Allah for sharing such a nice thread....bay shak jab kissi society maiN zulm /shirk baRhnay lagta hai to wahaan Allah ka azaab aa jata hai.
karachi main to jaa bajaa aamiloun ka Dera nazar aataa hai... akhbaaraat o jaraid aisay adv say bharay howay haiN aur log apnay masloun k hull k liyeh insay rajoo kartay hain... abhi haal hi maiN aik parents nay apni bachi ko aamilouN k kahnay pay qatal kardia thaa....... elawah azeeN target killing main izafah hota jaraha hai... logoun k maal o asbaab lootay jarahay hain... ashoorah walay din bolton market main arbouN ki imlaak jalaa di gayeeN.... log khair say doooor aur shar say qareeb tar aatay jarahay haiN.........
doosri taraf khabar hai k karachi maiN bhi daron attack honay walay hain...... yeh bhi to Allah ka aik azaab hi hai. Allah hum sab ko naik raah pay chalnay ki taufeeq day aameen |
eagle fly
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 74 Post: 2117 Age:
|
|
Posted on:26th Jan 2010, 9:38am |
|
|
Maryam Baji 100% agreed with you.
ALLAH Zalim nahi hy Adil hy ADIL. ALLAH kabhi apni makhlooq par zulm nahi karta magar insan bht nasamjh hy. Insan kuch nahi kar sakta machar bana nahi sakta machar ka paar bhi bana nahi sakta aik makhi bhi bana nahi sakta.....maut par insan ka ikhtiar nahi kabhi bhi kahin bhi asakti hy, har roz lakhon janazay uth rahay hyn idhar bhi janazay uthr ahay hyn udhar bhi janazay uth rahay hyn,har roz qabristan main qabrain khudh rahi hyn har roz pata nahi kitnay log un qabron main dafan horahay hyn,qabristan wasee hotay chalay ja rahay hyn.........agar ham 4000 saal peechay mur kar dekhain to dunya ka sabse bara baadshah sikandar-e-azam jiski ummar sirf 33 saal hy 33 saal kia bharpoor jawani hoti hy aur wo sari dunya ka jhanda lehratay hoay apnay mulk Unnaan jaraha hota hy aur Iraq k shahaar Baabul pohanchta hy to usko koi bari beemari bhi nahi ati hy usko malaria bukhar hota hy aur wo 13 june ki garam dophair thi 323 BC, Hazrat Essa (A.S) kay paida honay se 323 saal pehlay 13 jun 33 saal ki umaar main dunya ka sabse bara baadshah is dunya se jaraha hy...multan ki jang main uska baita qatal hoa aur wo zakhmi usnay multan main khoprion k minaar banadiay phir bhi uski intiqaam ki aag thandi nahi hoi usnay janwar bhi zibah karadalay....ahh Sikandar-e-azam ko maut ny jhatka dia ahh faryaad karnay laga main apnay watan jakar marna chahta hun meri sari mumlikat lylo main apnay watan main marna chahta hun...magar nahi zalim tu idhar hi maray ga tujhay us waqt zulm kartay hoay ehsas nahi hoa jab tunay boorhay maan baap k samnay unkay jawan baitay marwadiay. |
System
|
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2267 Age:
32
|
|
Posted on:26th Jan 2010, 1:59pm |
|
|
re allah pak ke lea Adil ka lafz mujhe kuch mushkil main na dal de .. Ager allah pak adal kare to dunya main shaid kuch na bache.. Mera khyal hai Raheem kehna ziada behtar hai... |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:26th Jan 2010, 11:50pm |
|
|
Re: myrizvi bhai & eaglefly bhai jazakAllah for nice participating .
system bhai jab hum duniya main desaster ki baat kartay hain tab humaray mind main yehi hona chahiye k Allah pak Adil hae na k zalim (nauzbillah) Allah pak ki rehmat aur karam hi hae is duniya par jo hum roz Allah pak ki nafarmani kartay hain aur WOh humain muaf farmata hae . hum gunnah kartay hain aur Allah pak humaray gunnahon ki pada poshi farmata hae, humari bewaqoofi ko bhi humarai danai zahir karta hae . Allah pak ki dheel ko hum samajhtay hain k humain koi poochnay wala hi nahi hum mazeed baghi hojatay hain . lekin phir jab Allah pak apna azaab bhejta hae tou yeh Allah pak ka Adal hae . Quran e pak main bhi jahan Allah pak hukum farmata hae k chori karnay walay ka haath kaat do aur tab bhi baaz na aye tou doosra haath bhi kaat do is se agay yehi likha hota hae beshakAllah pak Adal karne wala hae . yahan Ghafoor Ru Raheem nahi kaha jata . kyun k yeh Allah pak ka qanoon hae . |
Stalker
|
Group: Members Joined: 21st Dec, 2009 Topic: 14 Post: 356 Age:
33
|
|
Posted on:9th Feb 2010, 1:27am |
|
|
Kese pata chaley k apne ooper aaney wali museebat azab hai ya aazmaeish ??? Hazrat Ali AS farmatey hein k jo museebat tumhein Allah se door karey wo azab hai aur jo tumhein Allah k qurb ka zariya baney samjho k wo aazmaeish hai tumharey rabb ki taraf se. |
AppkaDost
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2009 Topic: 24 Post: 281 Age:
36
|
|
Posted on:9th Feb 2010, 5:22am |
|
|
Allah Ka AzaB !!!!!! Beshak oar billa shobah Jadoo islam mein haram hai..Jadoo kernay wala oar kerwanay oar seekhnay walay Allah kay mojrim hain.Yea bhee aik haqeeqat hai keh Allah tahalah nafarmanoo k lihay Zamin per azzab bhee nazil kerta hai jiss ki aik misal Tofan e Nooh ki bhe hai.
Magar yea bhee aik haqeeqat hai keh zameen per her aanay walah her disaster iss lihay naheen hota keh wahan nafarmanoo ko sabaq sikhana maqsood hota hai.... kuch cheezain zamini jogharifia tabdeelioon ka hisa hoti hain jiss Rab ki bohat si hikmatain iss mein poshida hoti hain.....
Abb agar hum yea maan lain keh her disaster Allah ka azab hota hai oar Rab bohat adal kernay walah hai tou phir humhain iss sawal ka bhee jawab daina hoga keh 2005 kay shadeed zalzalay mein aik lakh (100,000 )say zahid muslman foat hohay ,lakhoon zakhmi hohay oar lakhoon loaq beghar hohay tou kia Pakistan kay oas elaqay mein Allah kay nafarman Pakistan kay dosray cities jaisay karachi ,lahore islamabad say zeada thay meray khial mein Gunnah big cities mein zeada hotay hain ....jahan zalzalh aaea wahan kay loaqoon ki aksariat 5 waqat ki namazi thi.....
Mehkma mosmiat kay experts ki nazar mein Europe ka kahee countries jaisay Switzerland ,Norway ,Denmark ,Sweden woo nisbatan oan Asian islamic countries jaisay Pakistan ,Iran Bangladesh etc say zeada mhfooz hain ..oar history batati hai keh wahan waqahee bohat kum zalzalay aahai hain.....to humhain iss sawal ka jawab bhee daina hoga keh kia wahan kay loaq hum say zeada Allah oar oas kay Rasool SAWW ko mannay walay hain........Q keh Allah tou Adal kernay walah hai........Adal ka tou toqaza tha keh pehlay wahan azab atta jahan zeada Nafarman oar zeada Gunnah hotay........!!!!!!!
|
System
|
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2267 Age:
32
|
|
Posted on:9th Feb 2010, 8:50am |
|
|
AppkaDost Hats off to you.. main ne chand lafzon main kuch aisa hi kehna chaha tha shaid.. laikin app ne bhut ache se aur samjhdari se explain kya .. allah pak ke kamon ko allah hi janta hai.. we can not say yeah zulam ka badla miila hai aur yeah adal howa hai.. insan apne appke amal per ghor kare aur bas .. baqi dunya ke tmam logon ko apne se acha samjhe.. kissi gair mazhab ke logon ko bhi bura na kahe shaid uski naikyan mujh se ziada hon.. Gair muslim bhi naik amal karte hain laikin unko un amal ka sila dunya main allah pak de deta hai. aur muslims ko mostly akhrat main bhi aur dunya main bhi milta hai.. |
AppkaDost
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2009 Topic: 24 Post: 281 Age:
36
|
|
Posted on:10th Feb 2010, 2:52am |
|
|
System Bhai Thanks a lot......farsi mein kehtay hain na..... "man aanum keh man danum"....mein kia oar meri oqat kia????....
Bagi (about the topic ) app nay jo kaha haq kaha........
Yea tou woo batain theen jin per app ka ittefaq hai...abb kuch aisi batain jin say app ka motafiq hona zaroori naheen......
Aksariat ail e ilm ka iss per ittefaq bhee hai keh zalzalay oas waqat bhee iss zamin per aatay thay jab yahan per kissi Insan ka wajood bhee naheen tha ....jab insan hee naheen thay oar na oan kay Gunnah....Na naik insan ....na nafarman insan.....phir bhee zalzalay oar woo bhee ajj say zeada......Q ?????
Science kehti keh oan zalzaloon say hee zamin iss halat mein hai jiss per ajj humara basaira hai .
Ajj bhee aisay elaqay hain jahan per insan naheen bastay jaisay sehra hain....hazaroon marabah meel per pailay hohay ....jahan insan naheen bastay...magar abb bhee wahan per kabhi kabhi zalzalay aatay hain........Q........?????Kia wahan per kohee nadeeda gunnah ya jadoo garoon ka baseera hai jin ko sabq sikhana maqsood hai Ya Rab ki kohee oar hikmat......?????????????????
Humhain baat woo kerni chaehay jiss ka humhain pora ilm ho warna khamoshi hi best policy honi chehai.(Its not for you). |
System
|
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2267 Age:
32
|
|
Posted on:10th Feb 2010, 11:09pm |
|
|
AppkaDost Nice talking to you.. Meri koshish hoti hai keh few words main baat ki haqeeqat ko byan karsakon. ager kissi ko samjh ajye to well and good and ager na samjh aye to behas nahee karta... for multiple reason. main reason is time.. |
AppkaDost
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2009 Topic: 24 Post: 281 Age:
36
|
|
Posted on:11th Feb 2010, 2:54am |
|
|
System... Somandar ko kozay mein band kernay ka fun kissi kissi ko aata hai app bhee issi fun kay mahir khilari hain ....woo humari kum ilmi hoti hai keh iss kozay mein say gohar-e-nayab forun naheen dondh patay....well done
Mein bhee omeed kerta hoon keh waqat k sath sath app say yea fun sekhoon ga.....Yea bohat zaroori hai iss say forum kay tamam members ka bhala hoga oar oan ko meri taweel oar fazool lambi lambi posts say chotkara mill jaai ga ....iss say na sirf moaj per balkeh forum per bhee app ihsan yaad rukha jai ga!!! |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:11th Feb 2010, 9:22am |
|
|
aap ka dost bhai aap ko detail reply karna chahti hon lekin waqt ki kami k ba-es abhi detail reply tou nahi kar paongi lekin itna zaroor kahongi k yeh topic kisi ki izzate nafs ko majrooh karnay k liye start nahi kiya gaya . jis main aap ko aisa feel ho k i,m the best & all others r wrong . na hi yeh koi hadees hae ya fatwa hae sirf apni roy hae k as a muslim humaray liye aise waqiat main ibrat hae . Allah pak kisi bhi qaum pe tab tak zawal nahi bhejta jab tak wahan koi rehnumai karnay wala na ajaye . jin 50 logon ko haiti main zibha kiya gaya woh bhi muslim nahi thay lekin Allah k paida kiye huwe insan thay . jab k humain tareekh se yeh baat bhi pata chalti hae k isi zameen par AAle Rasool sallalaho alaihay wasallam ka khoon baha un k bachon ko bhi zibha kiya gaya lekin koi qayamat nahi ayi koi zalzala bhi nahi aya . aur zalim apnay takht par bhi barajman raha . beshak Allah pak ki hikmat ko wohi samajhta hae . jahan tak pk main zalzala ki baat hae tou baqi cities ka tou main kuch nahi keh sakti lekin islamabad ka zaroor bata sakti hon . yeh zalzala ramzan main aya tha aur jo buildings giri thin wahan se naked male female ki bodies nikli thin . wahan basement main jo kuch chalta tha woh tvs waghera par zyada behtar bataya gaya tha . beharhaal maqsad abb bhi kisi ki point out karna nahi hae balkay sirf yeh hae k yeh sab humari ibrat k liye hae . k agar khuda na khuasta koi ghalat kaam kartya maut ajaye tou Allah pak ko kiya moun dikhayengay . aur jahan tak yeh baat hae k sab tou gunnahgar nahi hotay tou bhai gehon k sath ghin bhi pistay hain . baqi Allah knows best . hum tou aam se banday hain apnay zehan k mutabiq hi baat kartay hain . |
AppkaDost
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2009 Topic: 24 Post: 281 Age:
36
|
|
Posted on:13th Feb 2010, 5:09am |
|
|
Maryam Behn maryam: lekin itna zaroor kahongi k yeh topic kisi ki izzate nafs ko majrooh karnay k liye start nahi kiya gaya . jis main aap ko aisa feel ho k i,m the best & all others r wrong .
Reply: Naheen Mujjay aisa bilkul mehsoos naheen hoha ..na he meri izzat e nafs majrooh hohee....na hee mujjay yoon laga keh iss thread ka maqsad yea hai keh app best hain...
Haan mein nay app kay point of view say ikhtalf kernay ki jurrat zarror ki hai.agar app ko burra laga ya app ki ezat e nafs majrooh hohee tou mein mazrat khawa hoon....
Maryam :aur jahan tak yeh baat hae k sab tou gunnahgar nahi hotay tou bhai gehon k sath ghin bhi pistay hain .
Gehon kay sath ghin ka pisna aik maroof zarb ul misal hai magar mazrat kay sath iss ko Allah ka azab per lagoo na karain ...Rab apnay peyyaroo ko hamesha dast e ghahib say bachata hai.....
Tofan e nooh ki misal humaray samnay hai kia wahan per jab Allah tahala ka azab aayea tou kia Gehon ka sath Ghin bhee piss gia tha....Yehni kia Hazrat Nooh AS oar oan kay sathi bhee iss azab ka shikkar hogai thay????????Ya Rab nay oan ko gehon kay sath pisnay naheen dia.....????
Patta naheen hum q yea sabit kernay mein laqay rehtay hain keh Rab nahozbillah bohat zalim hai kissi ki saza kissi oar ko day daita hai....jaisay nahozbillah oas mein sach oar jhoot ko samjhnay ki forsat naheen buss ussay aik hee kam hai keh azab nazil ker kay sab ko khattam kerna.
Humhain Rab ka Rahim honay kay pehloo ko kabhi bhee naheen bholna chaeay !!!!Yea tou app mojj say behter janti hongi keh aik hadees ka mafhoom hai keh Rab tumharay goman jaisa hai ...tou apnay rab say naik guman hoon !!
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:20th Feb 2010, 1:05am |
|
|
aap ka dost bhai kehtay hain na k
ehsas k andaz badal jatay hain warna
anchal bhi usi taar se banta hae kaffan bhi
nauzbillah mera maqsad yeh nahi tha k main Allah pak k azaab ka hi tazkara karon ya Allah pak k mutaliq bataon k Allah pak Adil ya insaf karnay wala hae maine sirf qanoon k mutabiq yeh baat kahi thi . Allah pak apnay qawaneen main Adil hae . beshak tamam jahanon k liye Woh Rehmat hi Rehmat hae aur Mohabbat hi Mohabbat hae . lekin sirf is bina par gunnah karna bhi tou danishmandi nahi hae na k Allah pak Ghafoor ru Raheem hae khud hi muaf farma dega :) wese agar Allah pak mushrik ko bhi muaf farma de tou konsa koi Allah pak se sawal karnay wala hae k kyun muaf kiya :)
gehon k sath ghin pisnay ki misal is tarah bhi hae k aik martba shayad kisi Nabi As ne Allah pak se yeh sawal kiya tha , Woh jis maqam par kharay thay unhain aik cunti ne kaata tou usay utarnay ki gharz se baqi cuntiyan bhi masli gayen .
bas bhai itni si baat hae aap mazrat na kiya karain har insan ko apni soch batanay ka bhi haq hae aur doosron ko ikhtelaf roy ka bhi haq hae . aap ka shukriya k aap apnay qeemti waqt se yahan reply kartay hain . albatta sirf aik baat kahongi k koi bhi insani ilm khuwa scince ho ya geography , insani ilm aqliya hotay hain next kisi bhi era main unhain challenge kiya jasakta hae lekin Allah pak ki kitab se milnay wala ilm lazawal hae . tou jahan Allah pak khud aise logon ko azaab ki khushkhabri sunata hae tou hum isay nauzbillah jhutla nahi saktay . baqi pehlay bhi keh chuki hon k agar Allah pak sab mushrikeen ko bhi muaf kar day aur jannat main daal de tab bhi koi Allah pak se uzar nahi karsakta aur isi tarah Allah pak sab ko apni pakar main pakar lay tab bhi koi Allah pak se sawal karnay wala nahi . i think aik momin ko Allah pak se umeed aur khof dono ka taluq hona chahiye
thats it . |
AppkaDost
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2009 Topic: 24 Post: 281 Age:
36
|
|
Posted on:24th Feb 2010, 2:36am |
|
|
Maryam Behn !!!! Ager cheh kafi sawalat abhi apnay jawabat k lihay tashna lab hain magar ab discussion behs brai behs tak he mehdood horahee hai tou mein sirf tna kahoon ga keh "let us agree on disagree".
"appkadost" |
AppkaDost
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2009 Topic: 24 Post: 281 Age:
36
|
|
Posted on:15th Sep 2010, 9:05am |
|
|
Pakistan mein Sailab say jo tabahi hohe kehtay hain aisi tabahee last 100 year mein pori dunya mein naheen hohee Ab iss per behs hoti rai gi keh yea Aazmahish/Imtihan hai ya Allah ka azab....aik aam moqola hy keh Rab day kum Rab hi Janay.......
Magar mein tou itna janta hoon keh agar iss sailab ki tabahi nay 100 kay records ko toar diahay hain tou humhain bhee Esar oar qorbani ki aisi misal raqam karni chaehai jo insan ki tareegh mein sneheri haroof say likhi jai...
"appkadost" |
dom_man
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1315 Age:
34
|
|
Posted on:21st Sep 2010, 8:34am |
|
|
Maryam and others:Earthquaks Maryam ji, Alllah ke qawaneen kee hikmataon ko samjhna asaan nahi laikin in cheezon ko azaab kehna darust maloom nahi hota.earthquaks tau un planets bhee aatay hain jahan abhee zindagi hee nahi, ye aik natural phenemonen hai.
aur in mein jo amwaat hoti hai wo mismanagement kee waja se hoti hai.Chilli mein aik baar 8.5 ka zalzala aaya tha, wahan siraf aik aadmi kee death huee this.Japan mein aksar zalzalay aatay hain, unho ne apnay makaanat kee saakht aisee bana lee hai ke ab bohat kim nuqsaan hota hai.
zalzalay se nahi bulkay makaanat ke girnay se loag martay hain.humain aisee technologies ko apnana chayee jis se hum natural aafat se nabard azma ho sakain na ke un ko azaab qarar de ker hath pe hath dhar ke baith jayen.
|
love bird
|
Group: Members Joined: 06th Nov, 2008 Topic: 73 Post: 1175 Age:
37
|
|
Posted on:1st Oct 2010, 2:06pm |
|
|
Dom _Man Nice reply .I am agree with you |
|