Jazak Allah info123 masha Allah u have given a very gud lecture. lekin iss lecture say istefadh ki bunyaadi shart yeh hai k issay kholay zehan say paRha jaa.ay. aur haqeeqatan apnay maslay ka hull matloob ho.... lekin jahaan hedayat "matloob" hi nah ho wahaaN to quran bhi (khud quran k ilfaaz maiN) aisay logouN k liyeh hedayat ki bajaa.ay gumraahi ka 'zariyah" ban jata hai.
bahar.kaif hamara kaam to sirf message pahonchana hai. logoun k zehnoun maiN maujood uljhanouN ko suljhanay ki koshish karna hai...... hedayat dena nah denaa... yeh sab Allah k haath maiN hai. aur woh logoun k dilouN say bhi waqif hai k kaun sidqay dil say hedayat ka talab.gaar hai aur kaun mahaz uzray-lung pesh kar raha hai.
Allah hum sab ko hedayat ki raushni ataa karay. aameen |