Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Reema Khan Pakistani Actress Hajj Mujra and Hot Pic

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:14th Jan 2010, 8:37am
 

Reema Khan Pakistani Actress Hajj Mujra and Hot Pic

Reema Khan pakistani actress ne iss saal hajj kia hai, hajj ki jo tasaveer hai os mai os ne Islamic dress pehna hua hai.

Sawal yeh hai keh kia Reema Khan Mujra kerna chor de gi? ya Reema Khan hot pic ya wallpapers banwana chor de gi? Kia Reema khan ke new scandals band ho jaaye ge

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:14th Jan 2010, 9:50am
 

Reema Khan Pakistani Actress Hajj Mujra and Hot Pic

apna pashaa wo kub chor sukti hy dear oski rozi roti os meah hy bahot moshkil hy haa jisko Allah tofeeq or hudayid day dy wo or baat hy

System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2267  Age:  32  
Posted on:14th Jan 2010, 11:48pm
 

Bewaqoof

Mujhe aur apko kia pata .. hosakta hai woh yeah sab chor de.. Aise muamlat main khamosh hi rehna chahe.. hosakta hai aik 5 waqt ak nmazi jannat main na ja sake aur reema chali jai..   Atleast reema un acterss se to behtar hai jo kabhi allah ki taraf raghib hi nahee hote.. woh ager gunah karti hai to naiki bhi karti hai..   aur aisa sab log karte hain faraq sirf itna hai keh apke aur mere gunah sab ko nazar nahee ate.

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:14th Jan 2010, 1:36pm
 

dua

sirf dua ke ja sakte hai k ALLAH tamam musalmanoo ko Hidayat dee aur sedhe rah per chalai AMEEN ...
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:21st May 2010, 2:28pm
 

Reema is a singer

Reema khan pakistani actress aik behtareen singer bhi hai. iss baat ka inkeshaaf PTV show Mashwarah Muft ki recording ke moqa per hua.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:21st May 2010, 2:31pm
 

hmmm

lakin meah 5 saat saal phely remaa ko son chokaa hoon bot peyara or Dheema or Rid hum meah ghaati hay,
Neha_83 Group: Members  Joined: 16th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 169  Age:  30  
Posted on:21st May 2010, 6:01pm
 

System

hum apki bat se agree karte hain.

humne to reema ko kabhi gate nahi suna.. ap sab tareef kar rahe hain to acha hi gati hongi
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:24th May 2010, 11:54pm
 

system

1. aik hota hai "inferadi gonaah" jo har insaan say kabhi nah kabhi aur kaheeN nah kaheeN hota rahta hai... aisay inferadi gonaah banday aur Allah k darmayaan hotay haiN... bandah ko jab taufeeq hoti hai, woh Allah say maafi maang leta hai aur Allah osay maaf kardeta hai.... aisay inferadi gonaah /aib ki pardah poshi ka hukm hai

2. doosra gonaah woh hota hai, jissay bandah "DhaTayee" say alal elaan karta rahta hai... naachnay, gaanay, acting aur modelling karnay waliyoun ka shomaar bhi aisay logouN hi maiN hotaa hai... yeh koThay waliyouN ki tarah hoti hain jo apnay jism /husn/niswani adaa'ouN ko becha kar daulat kamaati haiN....... yeh log khud to gonaah k samander maiN Doobay hotay hi hain aur apnay iss  "gonaah alood karobaar" say baqyah logouN ko bhi gonaah ki taraf dhakelti haiN........ lehaza iss tabqay ki kissi bhi active members ki "hamayat" ya pardah poshi bhi aik gonaah hai. illa yeh k yeh alal elaan apnay gonaah alood zindagi say taubah ka elaan karkay apnay sabiqah pesha ko khair baad kahday...... reema nay abhi tak aisaa kuch nahi kia lehazaa ossay kissi punj waqtah namaazi parhez.gaar par fauqiat nahi dia jasaktaa.

IT's true k aik punj waqtah namaazi jahannami bhi hosakta hai aur aik tawaif jan.nati bhi....... lekin iska faislah Allah rozay qayamat kareNgay..... dunyaa maiN Allah k rasool saw ki nafiz kardah shariyat... insaanouN k zaaheri maamlaat par lagoo hoti hai... bateni maamlaat par nahi......... lehaza zaheri taur par jiss fard ki kulli zindagi / zindagi ka beshtar hissah open gonaah ki shakal guzar raha ho, hum oski mozammat hi karengay nah k onhaiN "doubt' ka faidah dekar oski "hemayat" karengay k hosakta hai k woh rozay hashar aik namaazi say behtar saabit ho... issi tarah bazaahir kissi "naik banday" (open gonaahouN maiN molawwas nah honay walaa) ki mokhalfat /tahqeer iss soo.ay zunn ki wajah say nahi ki jasakti k shayad oski naikiyaaN rozay hashar oskay mouNh par maar kar ossay jahannum maiN dal dia jaa.ay

hope k ap iss baat say "agree" kareNgay k shariyat k qawanen houn ya deger mulki qawaaneen.... dounouN k tehat iss dunyaa main jazaa o sazaa denay kaa inhisaar "zahiri amaal" say hai.... agar aik shakhs chri kartaa howaa pakRa jaa.ay ya chori k baad maalay masrooqah samait pakRa jaa.ay to iss dunyaa maiN ossay iss dunyawi qanoon k tehat bhi sazaa milegi aur islamic state oskay haath bhi kaaTegi........ halaaNkay ain mumkin hai k oss chor nay yeh 'chori' kissi alaa "naik maqsad" k liyeh ki ho... aur oska yeh naik amal Allah k  nazdeeq etnaa maqbool ho k woh rozay hashar jannat maiN chalaa jaa.ay........ tahaam iss dunyaa maiN sharayee qaazi oskay haath kaaTnay hi ka hukm degaa....

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4655  Age:  37  
Posted on:25th May 2010, 4:38am
 

myrizvi

--------



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:25th May 2010, 5:25am
 

sunehri sister

1. apki yeh baat bilkul durust hai k kissi bhi gonah.gaar say gonaah.gaar muslim fard ko jahannami kahnay /qarar denay ka kissi ko HAQ nahi hai aur nah hi aisaa kahna chhaiyeh. apki bayaan kardah hadees bhi durust hai.

2. albattah jo log dunyaa maiN zaheri taur par bhi mosal.sal bad.aamaali jaisay openly sharaab peena yaa sharaab peenay ko fakharya bayaan karna, zinaa karnaa aur sab ko batlaa naa.... naach ganaa to hotaa hi openly hai, females ka acting /modelling karna... etc etc aisay peshay /harkaat muttafiqqah taur par haraam haiN...... in harkatouN aur peshouN ki mozammat ki jaani chhaiyeh aur jo log Dhatayee say in kamouN maiN molawwas hain onki bhi mozammat ki jaani chahiyeh... takay muslims community k masoom logoun ko bhi khabar hosakay k yeh ghalat kaam hain aur woh aisay kaam say door rahaiN... iss qism k kaam wabayee marz ki tarah hotay hain jo dekhtay hi dekhtay doosroun logouN ko bhi lag jaatay haiN......... aisay log /community ki mozammat karnay, onkay af'aal say nafrat ka izhaar karnay k bawajood onhain jahannami nahi kahna chhaiyeh.

3. aik hadees ka mafhoom hai k agar tum koi ghalat /haraam kaam hota dekho to ossay taqat say rok do... agar taqat nah ho to zuban (o qalam) say issay boraa kaho (likho)... aur agar yeh bhi nahi karsaktay to dil maiN aisay kaam ko boraa jaano...magar yeh imaan ka aakhri darjah hai....... yani agar koi ghalat kaam ko dil say bhi ghalat nah jaanay to imaan k last darjay say bhi gir jata hai.

4.paleedi say paleedi ko door nahi kia jasakta... jaisay agar koi kapra / jism napaak hojaa.ay to ossay napaak pani say paak nahi kia jasaktaa... issi tarah haraam ki kamaayee (like naach, gaanaa, jism /husn faroshi etc), soodi raqam, rishwat,  chori dakaiti ki raqam say naiki yani sadqah khairaat, hajj, etc etc nahi kia jasaktaa.... agar koi aisaa openly kartaa hai to deger muslemeen ka farz hai k woh awaamunnas ko batlaa.ay k haraam raqam say naiki karnaa aur issay naiki samajhnaa ghalat hai........... hadess k motaabiq agar apkay pass taqat ho to society main aisaa karnay walouN ko taqat say roka jayegaa... taqat nah ho to zuban say onkay af'aal ki mozammat ki jayegi...aur agar aisaa bhi nahi karsaktay to inkay aamaal ko dil say boraa jana jayegaa... magar yeh imaan ka aakhri darjah hogaa........ kash hum kam az kam imaan k darmayaanay darjay tak to pahonch jayain k zuban o qalam say boray ko bora kahaiN.

5. bila shubah kuch singers, apni haraam kamaayee say ghareebouN ki madad kartay haiN... kuch log hospital banatay hain kuch log school kholtay haiN... chouNkay hamari society maiN ISLAM NAFIZ nahi hai lehaza inhaiN taqat say to aisaa karnay say nahi roka jasaktaa lekin zubaan say to kaha jasakta hai k tumhari income haraam hai. aur haraam kamaayee say naiki nahi hoti..... sir syed nay jab aligaRh college k liyeh chandah jamaa ki thaa to wahaan ki bahoot say tawaaif (koThay waliyouN) nay bhi chandah dia thaa aur sir syed nay lay lia thaa....... muslim society main kissi kaam ka "honaa" iss baat ki daleel nahi k woh kaam as per islam durust bhi hai.

6. Allah aadil hai, woh baraa adal karnay wala hai..... deen o imaan aur haqeeqi islamic taleemaat k bar.khilaaf "achay kaam" karnay walouN k amal ko "zaya" nahi kartaa... woh inhaiN issi dunyaa main hi iska "ajar" (ba soorat izzat, shohrat, daulat etc) day deta hai... khaah aisay log muslim houN ya non-muslim......... haraam paisouN say achay kaam ka "ajar" aakherat maiN nahi miltaa... yeh to bunyaadi principal hai, islam ka.

7. albattah hum kissi bhi "muslim" singer, naachnay gaanay wali etc etc ko point out karkay nahi kah saktay k falaan bandah chounkay aisaay haraam kaamoun maiN molawwas hai lehaza jahannami hai.... jannati aur jahannami honay ka faislah karna sirf Allah k ikhtiyaar maiN hai aur wohi karegaa...rozay hashar......

omeed hai k apki zehni uljhan confusion door hogayee hogi

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:25th May 2010, 6:34am
 

naachne gaane wali jahannam mai nahi jaaye gi

insaan jo kuch bhi hai dar asal woh os ki personality hai. koi namazi hai tu koi pooja kerne wala tu koi church jaane wala, koi doctor hai tu koi teacher aur koi naachne gaane wala.

insaan jo kuch bhi hai woh dar asal os ki Personality hai. aur personality Genes aur Environment ka product hai. yani

Personality = Genes x Environment

Genes maa baap ke DNA se milta hai aur environment mai os ka place of birth, mother tongue, mazhab, food, education, ameeri, ghareebi aur bahut kuch hota hai. aik insaan ke ikhtiar mai na tu Genes per control hai aur na hi Environment per. lehaza agar koi nimazi bant hai tu iss ka yeh matlab nahi keh woh apni marzi aur pasand se nimazi bana hai. isi tarah agar koi pujari bana hai tu woh bhi apni marzi aur pasand se pujari bana hai.

isi tarah ameer aur ghareeb hona bhi insaan ke ikhtiar mai nahi. kuch logo ko paidaishi environment ameeri ka milta hai aur woh paidaishi ameer hote hai, isi tarah kuch logo ko paidaishi environment ghareebi ka milta hai aur woh paidaishi ghareeb hote hai.

bilkul isi tarah naach gaana kerne wali khawateen ko bhi naach gaane ka environment mila aur woh naachne gaane wali ho gayee. haqeeqat yeh hai keh naachne gaane wali ki tarah agar ham log bhi bazar-e-husn mai paida hote tu hamari bahnai bhi iss waqt naachne gaane walia hoti aur ham log os ke dalal hote. hamari maa aur bahnaai iss liye naachne aur gaane wali nahi hai keh onhai naachne aur gaane wala environment nahi mila.

bazar-e-husn mai paida hone wali khawateen ke paas ikhtiar hota tu woh kabhi bhi naachne gaane wali ke ghar paida nahi hoti balkeh woh myrizvi, aur bewaqoof ke ghar paida ho ker on ki maa aur bahnai banti.

lehaza yeh samajhna keh naachne gaane wali jahannami hai bilkul ghalat hai. woh jahannam mai nahi jaaye gi balkeh onhai especial privilage dena chahiye keh on ki paidaish dunia ke jahannam (bazar-e-husn) mai huyee. mera tu khayal hai keh yeh sab jannat mai jaaye. albatta woh log jo on per tanqeed kerte hai woh kaha jaaye ge iss ka sahi Ilm sirf Allah ko hai.

also read:



H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:25th May 2010, 6:48am
 

my openion

Islam kehtaa hay Jub koi bhe baby es doniyaa meah aataa hay wo kisi bhe muzhaab meah say ho wo masoom hota hay Fetraa-tun muslimaan payda hota hay , aagy osko jo mahool or enviornment melti hay wo wesaa bun jataa hay, lakin Allah nay Aqul or Shaooor bhe ek age meah ataaa kurtaa hay jub osko sahi or ghult ki pachaan ho jaati hay, gonaah or suwaab ka elm ho jataa hay, achaai or boraai ka furq putaa chul jataa hay jub wo Baligh ho jataa hay tu wo masoom nahi rehtaa abi osky paas du raasty , ek achaai ka ek boraai kaa or osko ikhtiyaar hasil hotaa hay wo wo raastiaa chor day, 

abi jub reemaa bazaar-a-hossun meah payda hoi oska koi kusoor nahi, osko naach gaanaa sikhaayaa giyaa oska koi kusoor nahi os pay sukhti or zolm keya ghiyaa ospy koi gonaah nahi  lakin abi bhe wo jaanty boojty kay nach ghanaa islam meah munaah hay or wo esaa kur rahi hy tu wo Gonaah gaar ho rahi hay or aghur oski mot emaan kay sath hoi tu wo apny Gonaaho ki suzaa bokut kay he junnut meah jaa sukti hay , 

junaat meah jaany ka hum apny bary meah koch nahi keh sukty junaat dozukh kaa fasilaa kurny wali serf Allah ki zaat hay or wo Hur cheez pay Qadir hay or hum Allah ki HIkmutoo ko sumajny or Purkhnay say Qaasir hen,  junti , jahunmi kaa license ataa kurnaa humary ikhtiyaar meah hay he nahi tu ye kisi ko kehnaa wo junati hay wo jahaanami hay ghult baat hay

Allah pak nay momun kay osaaaf Quran meah biyaan keyeh hen aghur koi on osaaf pay poraa oturtaa bhe hay tu wo yeh kehny kaa mijaaz nahi kay wo Junaat meah he jay gah, Allah Behtur janta hay

aghur kisi orat ko bazaar-a-hossun meah qayd kur kay osy aasmut furooshi zuburdusti kurwaai jaa rhi hay tu os oraat pay koi gonaah  nahi. wo wahaa helpless hay, muzlooom hay, lakin aghur wo baa ikhtayaar hay tu wo zaalim hay apni jaan pay zolm kur rahi hay,




Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:5th Jun 2010, 8:58am
 

Reema Khan Pakistani Actress Age

aap ke khayal mai Reema Khan Pakistani actress ki kia age hogi?
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:5th Jun 2010, 10:16am
 

Reema Khan Pakistani Actress Age

 35 years say 38 years . 35 years say kum nahi hay, 


Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:5th Jun 2010, 10:43am
 

aik ajeeb baat aur aik ajeeb khiyaal...

Re : - "bazar-e-husn mai paida hone wali khawateen ke paas ikhtiar hota tu woh kabhi bhi naachne gaane wali ke ghar paida nahi hoti"

jub khatm-e-martbat janab Hazrat Muhammad (s.a.a.w) ki iss duniya main waladat ba su'adat hoi to arab ka mahool apny genes k mutabiq buhat sari ghalaztoon main atta howa tha aap (s.a.a.w) ny apny kardar sy aur phir ahkamaat-e-khuda wandi sy uss "khas environmental" mu'ashrey main hadayet ka chragh roshan kiya

khuda ko chahiye to yeh tha na k uss bigrry howy mu'ashrey main genes environment ko madd-e-nazar rakhty howey wahan hadayet ka band-o-bast na krta (Nauz-o-billa min kazalik) laiken aysa nahi howa bulky khuda ta'ala ny insan ki hilqat k awwal roz sy hadayet ka sar chashma jari kar rakha tha..or hey

dar asal yeh duniya aik imtehan gah k toor pr marz-e-wajood main ai hey yahan insan ko mukhtalaf haltoon main paida kr k khuda ta'ala un ka imtehaan laita hey kisi ko ghareeb kisi ko ameer kisi ko ba akhlaq aur kisi ko bad akhlaq paida krny ka maqsad isanoon k darmiyan mu'ashrti jang karana maqsood nahi hey bulky insan ki hilqat ka maqsad insan ko smjana maqsood hey..aur insan ki hilqat ka maqsad hey k insan iss duniya main khuwa kisi b mahool main paida kiya jaye laiken akhar kar uss rab ko pechan'ny k liye rahey hadayet ka rahi bany aur phir hadayet pa kar falah pa jaye

issi maqsad ko samjany k liye to khuda ta'ala ny apni ibadat guzar makhlooq yani frishtoon sy iss insan ko sajda karwaya..other wise agar sirf insan ka maqsad-e-hilqat ibadat guzari hi hota to kia iss kam k liye mlayka kuch kam thy..

inhi haltoon main paida hony wala har insan jub khuda k hazoor roo broo hoga to har giz yeh shikwa ya gila nahi kar sky ga k "ey khuda tu ny mujy jis mahol main paida kiya tha wahan paida hona chun k mery ikhteyaar main na tha iss liye aaj mujy uss khas mahool main zinda rehny ki saza q dy raha hey  

khuda ka brra wazy jwab yehi hey jo k akhrat aur is duniya main roz-e-oshan ki trah har insan k liye aik daleel ki hasiyat rakhta hey ...khuda ta'ala ny yaqeenan apny bandon ko kisi b door main hadayet sy khali nahi chorra iss liye khuda sy genes environment k shikwy main yahi jawab-e-khuda hy k aey bandy main ny tumhain paida kiya aur tumharey sath hadayet ko paida kiya pus apny sha'oor ko istemaal main latey howey hadayet laina tumhara kam tha..

iss liye yeh kehna be ja hy k har insan aik mahsoos mahool main paida hota hey iss liye bury mahool main paida hony wala be ikhteyaar hony k sab'ab be gunah hey ...wo buhat barra gunah gar hey iss lehaz sy k uss ny khuda ta'ala k banaye nazam ki ta'eed nahi ki aur uss nazam k tehat any wali hadayet k samny apny khas environment ka bahana bana kar khrra raha....
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013