Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4300 Age:
38
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 6:13am |
|
|
Heera Mandi Ki Der Perda Saqafat
Fouzia Saeed ne is mozoo per bahut hi maloomati book likhi hai jis ka naam klunk: Heera Mandi Ki Der Perda Saqafat hai. yeh kitab English aur Urdu dono mai hai. English Book ka naam Tabu hai. About Fouzia Saeed Fauzia Saeed aik shaadi shuda PHD khatoon hai, Islambabad mai un ko Govt. Job thi, unho ne Heera mandi per research book likhne ke liye Heera Mandi ke na sirf be shumar chakkar lagaye, balke baqaida waha rahaish bhi ikhtiar ki. jis per newspapers ne bari bari headings lagai. jis ki wajah se onhai apni job se bhi haath dhona para. phir onho ne aik NGOs join kia. jaha woh bahut khoosh hai kio keh waha on ki salary on ki Govt Job se kahi ziadah hai.
About Heera Mandi: Book ke mutabiq Heera Mandi mai Two baradri ke log rahte hai, aik kanjar aur doosra mirasi.
kanjar baradri ki khawateen tawaif banti hai, aur on ki koshish hoti hai keh woh taraqqi ker ke filmstar ya tv star ban jai. kam az kam film dancer hi ban jai. film aur tv artist mai beshumar khawateen ka taluq kanjar baradri se hai.
jabkeh mirasi baradri ke mard hazrat ustad kehlate hai, woh kanjar baradri ki khawateen ko raqs o moseeqi ki tarbiat dete hai, aur in ki bhi koshish hoti hai keh taraqqi ker ke tv aur film ke moseeqar ban jai. Tv aur film ke bare bare ustad ka taluq bhi yahi se hai.
kanjar baradri ki khawateen mirasi se taleem aur tarbiat tu hasil kerti hai, onhai ustaad ka bhi darja deti hai, lekin apni baradri se kamtar samajhti hai. isi liye agar koi kanjar baradri ki tawaif kisi mirasi ke saath bhag jai tu kanjar baradri wale bari subki (apni be-izzati) mahsoos kerte hai.
mirasi baradri walo ka office heera mandi mai hota hai lekin on ki family ki rahaish waha se bahut door hoti hai. woh apni bivi aur beti ko fun-e-moseeqi se door rakhte hai, jab keh son ko yeh ilm sikhate hai.
khaandani tawai sirf raqs o moseeqi ka kaam kerti hai, jism faroshi nahi. yeh khawateen generally dashta yani long term relationship pasand kerti hai.
nuth otarne ki rasam: kanjar baradri ki tawaif ki poori koshish hoti hai keh nuth otarne ki rasam se qabal tak woh kisi se sex relationship qaim na kare.
jab larki jawan hoti hai tu os ke liye woh log rishta dhoondte hai jo os ka nuth utare (yani first intercours kare). is ki bahut qeemat hoti hai. ghareeb log kisi tawaif ka nuth utarne ki salahiat nahi rakhte.
nuth utarne ke baad on ki koshish hoti hai keh woh kisi ki dashta ban jai. yeh mumkin hai keh woh kai logo ki dashta rahe, lekin aik waqt mai woh kisi aik ki hi dashta rahti hai. aur doosre mard se sex relationship qaim nahi rakhti.
ghurbat ki wajah se kuch doosri baradri ki khawateen bhi Heera mandi mai rahti hai, chukeh yeh khandani nahi hoti aur fun-e-raqs-o-moseeqi ki mahir nahi hoti is liye yeh nudity ki taraf mayel hoti hai, aur jism faroshi bhi kerti hai. yahi call girl ban ker rozana new gahak dhoondti hai. jis ki wajah se kahndani kanjar tawaif ka karobar kafi mutassir ho raha hai.
generally log aik doosre ko gali dete waqt kanjar ki aulad ka term istemal kerte hai. yeh kanjar darasal Heera mandi ki tawaif ki baradri ka name hai.
Latest News: Indian film director Mahesh butt Fauzia saeed ki book per film banana chahte hai, jis ke liye woh fauzia saeed se rabita ki koshish ker rahe hai.
|
Riasat Ali |
Group: Members Joined: 17th Feb, 2007 Topic: 3 Post: 32 Age:
35
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 7:50am |
|
|
You are Not Bewaqoof Really it is very informative. You have good topic for discussion. It will increase knowledge of those people who do not want to listen about Heera Mandi. Well!
|
nikama |
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
34
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 6:51pm |
|
|
yaar jee bewaq.. baat tu theek hai,pur dufa kero in batoon koo.... |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:13th Jan 2008, 3:25pm |
|
|
Zabardast Bewaqoof Bahi Thank you Bewaqoof Bahi jo app ne itne knowledge provide ki mujhaey tou 2007 ma hi Heera-Madi ka pata chala tha ... Maiyn yah book zaroor longa , Thanks you once again.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:19th May 2009, 11:16pm |
|
|
Heera Mandi in our homes ab to yeh heeraa mandi.... mandi say nikal kar hum sab k gharouN maiN pahonch chuki haiN jahaaN payal ki jhankaar aur dholak ki thaap par aik say baRh kar aik tawaaif mujraa karti hai aur hum sab (illa masha Allah) iss mini heera mandi ki saqafat apnay apnay tv screen par with family mil baiTh kar yaa alag alag taqreeban rozaanah hi dekhtay aur suntay haiN... kabhi movies ki shakal maiN kabhi dramay ki shakal maiN kabhi musical concert ki shakal maiN to aksar o beshtar sort commercials ki soorat maiN jo har program k aagay peechay aur darmayaan maiN chalta hai...
kabhi koi iss heera mandi par bhi kuch likhay??? |
eagle fly |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 74 Post: 2117 Age:
|
|
Posted on:20th May 2009, 4:22am |
|
|
myrizvi bhai Excellent reply. |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:19th Aug 2009, 8:20am |
|
|
I have one question in mind.. These females are born in such families and this thing is passing on generation by generation. Although , the feeling of guilt is not present in these females as their brought up is in this manner but what if one of these want to be PIOUS...who will support her? Will any of the real pious men marry her? Even if she starts a new life will not be she made to be haunted by her past by this society?.. None of the RESPECTABLE men and women are MARASI or KANJRI only due to the fact that they were born in noble families.... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4300 Age:
38
|
|
Posted on:25th May 2010, 7:07am |
|
|
re: heera mandi ki saqafat heera mandi ham jaise naam nahad shurfa ki wajah se qaim hai, jo aik
tarah waha se taluq rakhne wali tawaif ke naach gaane se lutf andoz hote
hai tu doosri taraf on per tanqeed ker ke apne aap ko shareef saabit
kerte hai. on ke program tv per isi liye dekhaye jaate hai keh ham log
ose shoq se dekhte hai, agar ham log shoq se na dekhe tu tv wale khood
ho on ke program nahi dekhai.
bahar haal meri nazar mai woh log azeem hai jo doosro ke liye
entertainment ka zaria bante hai. kisi ko kuch der ke liye khoosh ker
dena insaniat ki azeem khidmat hai. tv film ke adakar aur adakara bhi on
azeem logo mai shamil hai jo logo mai khoshian taqseem kerte hai, warna
haqeeqat yeh hai keh aaj ke nafsa nafsi dor mai logo ko tanqeed kerne
aur doosro mai keera nikalne se hi fursat nahi woh doosro ko kaha se
khooshia de sakte hai.
|
KHOKHAR786 |
Group: Members Joined: 25th Jan, 2010 Topic: 30 Post: 122 Age:
28
|
|
Posted on:25th May 2010, 8:52am |
|
|
bewqoof bhai aap ka thread waqie bohot informative hai kiun k abhi tk bohot se logon ko iss k bare maloom nahi,
laiken aap ki ye baat k wo log doosron ko khush rakhty hein aur iss ko aap accept kr rahy hein aur support kr rahy hein this is not good,
kiun k theek hai ye sb koi apni gurbt ki wajha se kry ya la ilmi ki wajha se laiken
islamic, cultural, lehaz se ye theek nahi kiun k kisi ko khush krny ka ye tareeqa intehai ghnona hai k ek baiti jiss ko allaha taala ny aur un k rasool pak s.a.w ny izzat di hai aur uss ka hukm dia hai us ko mehz entertainment k liay istmal kia jay,
aur entertaimnment k liay apny jism ki namaish krna tu door aurat ki awaz bhi ghir mahram tk theek nahi jis ki wajha sy wo lutf andoz ho,
bt unfortunately aaj hm bad akhalqi , aur bd tehzeebi k us dehany pr paunch gay hein k hum ko galat aur sahi ki pehchan nahi rahi,
bs allaha taala se dua hai k hum ko seedhi rah dikhay aur phir uss pr qaim rakhy
ameen |
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6476 Age:
35
|
|
Posted on:25th May 2010, 9:57am |
|
|
Khokhar786
Masha Allah ........ Juzzaak Allah........... bewakoof ki posts jetni bhe hoti hen wo onki apni personal raay hoti hay personal openion hoti hay personal aqeeda hota hay , personal nuzriyaa hota hay , onki baat Muslims ki yaa islam ki turjamaani nahi kur rahi hoti, As muslim Humara yeh furz hay jub bhe kisi bhe post kisi bhe topic pay likhyin tu osko Islamic pus-munzur meah Quran or Hudess kay puss-munzur meah likhyin taa kay reader na serf knowledge hasil kury bulky Hudayit or roshni bhe hasil kury yeh nahi hum logo ko confuse kur dayin apni bat say,
Islam ek Azeem Muzhaab ek Behtureeen or mokumal Deen or zaabita a huyaat hay, aghur bewakoof brother islamic pus munzur meah apni posts ko likhaa kurin or Quran or hudess ki roshni meah tu meah sumajtaa hon en jesaa writer koi nahi ,es forum py du behtureen writer hen ek kali zubaan or ek bewakoof dono ka undaaz a biyaan or soch or fikur ek jesi hay or dono ko likhny meah kumaal hasil hay meah sumajta hon aghur ye dono islam or Quran or hudess ki turjumaani kurty howy likhin tu pakistan kay behtureen article writer ho sukty hen
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4300 Age:
38
|
|
Posted on:10th Jul 2011, 10:47am |
|
|
Heera mandi ki darparda saqafat Heera mandi mai basnay walay bhi insaan hai.
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:10th Jul 2011, 1:16pm |
|
|
to all members as salam oalikum mujhay y bat samahj nahi aa rahi kay bewaqoof bhai p tanqeed kis waja se ki ja rahi hai .......us ne ek topic start kia jo waqai informative hai or realistic hai ..aachai or burahi ki baat main nahi kar rahi na hi bewaqqof bhai is kam ko aacha keh rahay hain .wo to jo haqeeqat hai usay paish kar rahay hain chahay wo aachi ho ya buri hamaray aaisay comments karnay se kia heera mandi ki tawahifon tak ye comments phnch jahain ga??????????????? araykabootar ki tarha aankhainband karnay se kia heera mandi khatam ho jahay gi ........................ ye mojood hai or rahay gi .to is ko ku critisize kia ja raha hai
or her tawahif khushi se tawahif nahi banti ....main yahan share to nahi karna chahti thi magar ab topic start howa hai to bata rahi hoon .meray college main 1 larki thi jin ka taluq is gharanay se tha .....hum sab jantay thay or sab hi is se alag thalag rehtay thay ..........khas tor se main .....1 bar dopahar ka waqt tha main i.t lab main apni file complete karnay ruk gahi thi tab mujhay pyas lagi itifaq se wo b lab main mojod thi us ne ani pani ki bottle meri taraf barhahi main nay inkar kar dia (main waisay kisi ka jhota pani nahi peeti to 1 tawahif ka kaisay peeto ) us ne is bat ko mehsos kia or ro pari ............us din pata nahi us kay ronay p mera dil b pighal gaya or is tarha us se baat cheet ka agaz howa . jab us ne apnay baap ka naam bataya to main hairan reh gahi kay waqai ye us ki olad hai or phir b us ko 2 waqt ki roti mayasar nahi thi jis college main wo meray sath parhti thi us ki fees kay lihay us ki aapa ko "kaam " karna parta tha or us ki bachat is lihay ho gahi thi kay us ki aapa qurbani day rahi thi ......................wo log roti b pait bhar kay nahi khatay thay per us ki zid thi kay parhna hai
her tawahif barabar nahi hoti main ye nahi kehti kay ye aacha kam hai magar in logon ka zikar karna koi gunah to nahi to sab log bewaqoof bhai ko ku is tarha ki batain suna rahay hain ?????????????
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:10th Jul 2011, 7:28pm |
|
|
waise mai journalist hoti to zaroor wahan ja kar dekhti ... ab tak to sirf filmon me hi dekha hia ...pata nahi wahan wakai me aisa mahol hi hoga?
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:10th Jul 2011, 7:52pm |
|
|
haan ap thik kehte hain...mere lye aj bhi kayi batain unbeleaveable hain pk ke mutalik... iski wajah ye hai ke mai wahan rahi nahi hun...lekin ek fitrati tajajus hota hai... because ek taraf se in me kuch aurtain itni bebaak hoti hain ,dusri taraf se andar se wo ye sab shahid majboori se karti hain...
hamesha yehi suna hai ke ladke ladkiyon ko pyar ke dhoke me ghar se bhaga ke aisi jagon pe bech dete hain.....
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:11th Jul 2011, 12:44am |
|
|
sunehri u r rite... aisee har manDi k peechay "khabbees tajir mardouN" ka haath hota hai...wohi laRkiyouN ko aghwaa kartay /karaatay aiN, suply kartay haiN, insay koThay abaad kartay haiN aur inki kamayaee khatay haiN... kuch khabbees aurtaiN bhi inkay jaal maiN phans kar inki mo'awun o madad gaar hotai haiN... yeh karobaar estern /muslim samaaj maiN "boraa" to samjha jata hai, magar hota zaroor hai... jaisay chori dakaity samaaji taur par bori samjhi jati hai, iskay bawajood samaaj hi k log aisaa kartay bhi haiN
western /secular countries maiN iss peshay ko (illah masha Allah) bora bhi nahi samjha jataa... aur inhaiN tamaam qanooni sahooltaiN bhi haasil hoti hain aur inkay peshay ko log dil say accept bhi kartay haiN....inkay peshay ki falaah o bahbood k liyeh reyasataiN /adaray qanoon saazi bhi kartay haiN etc etc |
hot_sajid |
Group: Members Joined: 28th Feb, 2011 Topic: 10 Post: 503 Age:
|
|
Posted on:11th Jul 2011, 1:54am |
|
|
Rizvi Bhai
Asslam O Alaykum, ji bhai app kese hai?.... yaha se guzar raha tha to dekha ki yaha par takrir chal rahi hai... kher jo bhi ho me app ki baat se sahmat hu... Allah Hafiz
Change your attitude , don't post irrelevant Moderator
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:12th Jul 2011, 12:21pm |
|
|
about kalank as salam o alikum plz agar kisi kay ilm main kalank ka link hai down load karnay kay lihay ya on line read karnay kay lihay to mujhay batahay .main nay bht search kia per nahi mila agar topic starter ko pata hai aaisa likn to hum se share karain thanks
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1864 Age:
26
|
|
Posted on:12th Jul 2011, 1:20pm |
|
|
hera mandi me jb shadi k bad lahore gai to waha shahi qila ki trf se is bazar ka darwaza tha jha sab aurte bht tajsus se dakh rhi thi.mene b apne husband se pucha k yha kia hai........::P
tb mjko ilam nhi tha kio k me pakistan me nhi rehti aur pehli dfa itefaq hua aisi jaga daikhen ka so jb mjko thora sa pta chula to mene us trf daikha b nhi laikin ek tajusu tha k waha k culture kaisa hai aur kon log rehty waha?
aj ye topic read kr k pta chul gya hai.thanx u bewaqoof. |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1864 Age:
26
|
|
Posted on:12th Jul 2011, 1:21pm |
|
|
hera mandi me jb shadi k bad lahore gai to waha shahi qila ki trf se is bazar ka darwaza tha jha sab aurte bht tajsus se dakh rhi thi.mene b apne husband se pucha k yha kia hai........::P
tb mjko ilam nhi tha kio k me pakistan me nhi rehti aur pehli dfa itefaq hua aisi jaga daikhen ka so jb mjko thora sa pta chula to mene us trf daikha b nhi laikin ek tajusu tha k waha k culture kaisa hai aur kon log rehty waha?
aj ye topic read kr k pta chul gya hai.thanx bewaqoof. |
|