fatwa 1. fatwa to har kaam ka mil jata hai... for e.g. khud.kash hamlay k haq main bhi fatwa maujood hai k kuffar k khilaaf yeh JAIZ hai. aur yeh fatwa bhi maujood hai k khud.kashi haraam hai lehaza khud.kash hamla bhi HARAM.
2. iss forum par koi mufty /aalimay deen nahi jo ulemaa k fatway par tabserah kar sakay. bilkhasoos agar fatwa aik hi kaam k haq maiN bhi ho aur oskay khilaaf bhi
3. ap jiss fatway denay walay ko durust samajhtay houn, oskay fatway par amal kariN. aur apna common sense /aqal bhi use karaiN.
4. aap apnay amal k khud bhi zimmah daar hongay. (kissi bhi fatway par amal karnay k bawajood)... iss dunyaa main bhi aur aakherat maiN bhi. lehaza soch samajh kar MB karaiN yaa nah karaiN...
5.agar yeh HARAM howa aur apnay kia to aakherat maiN bhi nuqsaan hogaa aur iss dunyaa maiN bhi sehat kharab hosakti hai... kuch dr aisaa bhi kahtay haiN
6. agar yeh HARAM nahi balkay JAIZ hai aur iskay sehat par koi manfi asar nahi paRta.... to yeh amal nah karnay ka koi nuqsaan nahi... aur karnay ka koi faidah nahi
lehaza ap apni aqal aur apnay pasand k mufty k fatwa par amal karaiN... baad main jo kuch hoga issay bhi apnay hi bhugatnaa hogaa.
perfect answer aur proof apko yahaaN koi nahi day saktaa...waisay iss topic part yahaaN kafi discussuion ho chuki hai ap old posts read karain. koi new baat koi nahi karsakta. |