haazmaa walekum Assalam
1. regular warzish karaiN
2. pani zeyadah say zeyadah piyaiN
3. fresh sabzi, salaad, aur fibre wali gizaa khayaiN
4. maidah /white aTTa ki bajaa.ay chokar wala aTTa use karaiN
5.cold drinks, coffee, tea say parhaiZ karaiN
6. break fast heavy karaiN aur dinner halka phulka karaiN.
7. dinner k fauran baad , specially heavy dinner lia ho to fauran bed par nah jayaiN... dinner k baad chahal qadmi karaiN
8.hand-wash par khasoosi tawajjah daiN, specially kuch bhi khanay say qabal hand achi tarah wash karaiN..... issi tarah toilet say faraghat k baad beauty soap nahi balkay dettol soap say hand wash karaiN achi tarah
9. agarchay hamaray haaN break-fast say qabal mouth wash /brushing ka rewaaj hai... tahaam khaa kar sonay say qabal brush karnaa zeyadah zarooi hai... behtar hai k dounouN waqt brush karaiN
10. last but not least k zood hazam giza khayaiN, gali saRi ashyaa specially bahar k fast food say avoid karaiN. yeh bhi meday ka bera Gharaq kardetay haiN.
in sab precautions k bawajood agar haazma durust nah rahay to kissi achay say dr. say (paisay kharch karkay:) rajooooooo karaiN. apki sehat apkay liyeh sab say qeemti shai hai issay muft-k-ilaaj say kharaab tar nah karaiN lol
|