A.Rafiq
|
Group: Members Joined: 21st Nov, 2009 Topic: 2 Post: 2 Age:
40
|
|
Posted on:23rd Nov 2009, 3:54am |
|
|
Sexual Satisfaction With Out Intercourse: How To Fulfill?
Assalamo Aliakum,me 5 manheno sy out of country job kar ra hun me married hun or mere family mere pas nahe hai ap sy pochna chahata hun k me sexual satisfaction kis tarhan hasel karo? umeed hai aap jawab zahor dengy kunk me es waja sy preshan rehta hun I am doing job out of country since 5 months. I am married
and my family is not with me. I want to ask that how could I fulfill sexual
satisfaction (with out intercourse)?
|
sharmily
|
Group: Members Joined: 08th Nov, 2008 Topic: 5 Post: 398 Age:
25
|
|
Posted on:23rd Nov 2009, 4:20am |
|
|
visit ur wife where are u , visit her i don,t think so ur ticket will be that expansive;-) |
whtevr
|
Group: Members Joined: 24th Feb, 2008 Topic: 11 Post: 57 Age:
29
|
|
Posted on:29th Nov 2009, 4:04am |
|
|
solution diya karein sharmily
A.Rafiq ka kehna hai k wo job k liye bahir hein that measn k wo aksar viit nahi kar sakte, un k problem ka solution dein, if u can not then avoid replying
by the way is forum pe ye baat commonly dekhi hai k question karne wale ko apna answer to jaldi ya der se mil he jata hai but idher udher ki 'time pass' discussion k baad.
moderators ko is baat pe b dheyan dena chahye. |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:29th Nov 2009, 4:58am |
|
|
Re:Sexual Satisfaction With Out Intercourse: How To Fulfill? abb yeh to husband wife ka aik dosrey ko tuch kiye bghair mumkin nhi hey..
app chounk mulik sy bahir hootey hain to yqeeni toor pr app ko sexul disire ki perfaction ki zroort to mehsoos hoti hi hoo gi...or ye natural thing hey..
app ko yhi mshwra diya jata hey k app islamic point of view sy sirf sbr hi krain or kuch nhi..
waisy islam ny koi aisa hukam nhi chorra jis main islam ny insan ki jaiz howahish ka ihtraam na kiya hoo
aik quraani hukam hey jo app k msley ka hal hey aour wo b ain islamic treeqy sy laiken uss ka yahan zikar nhi kiya jaskta ...q k uss hukam k zikar sy yahan aik nai behas chirr jaye gi...waisy asharatn app ki tssli k liye arz kr doon k aisi soort main jo k app k sath hey...quran-ul-majeed ny iss ka solution Mo'ata btaya hey...
main app ko iss ka mshwra nhi dy rha bulky islam k hukam ko biyaan kr rha hoon
or mshwara iss liye b nhi dy rha....q k ye amal hr mulik k riyasti qanoon k tabey b hey..app jis mulik main rehaish pzeer hain shaid uss mulik main yeh hukm riyasti qanoon k teht mooqoof hoo jaisy pakistan main b hey...laiken iss baat sy inkaar nhi k yeh hukam islamic nhi hey... |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6620 Age:
54
|
|
Posted on:29th Nov 2009, 5:00am |
|
|
if he is muslim... 1. punj.waqtah namaaz k saath aksar o beshtar nafli roza rakha karay... rozah shahwat k jazbaat ko kam karta hai
2. HOT books /movies say door rahay jo insaan ko shahwat ki taraf maail karti hai
agar A.Rafiq /whtever...... dounoun iss sawaal say musht.zani ka ijazat namah lenay k khahish.mand haiN to iss topic par pahlay hi kafi kuch post hochuka hai. aisay posts /bahas ko read karaiN |
whtevr
|
Group: Members Joined: 24th Feb, 2008 Topic: 11 Post: 57 Age:
29
|
|
Posted on:29th Nov 2009, 5:17am |
|
|
re: ohooo.......
mujhe beech mein kyon ghasita ja raha hai, main ne aisi koi 'ijazat' nahi mangiiiii :( |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6620 Age:
54
|
|
Posted on:29th Nov 2009, 5:29am |
|
|
agreed wid Diplomate agar questioner ka talluq fiqah jaafaria /shia maslak say hai to woh muta'a (temporiry marriage) say istefadah karsakta hai. Iran maiN it's very common k ap kissi say few hours k liyeh bhi (kuch raqam k ewaz) kissi say mutaa /aarzi shadi ki jaa sakti hai... iss kaam k liyeh makhsoos khawateen har jagah available hoti haiN.
lekin agar sawaal karnay walay ka talluq shia maslka say nahi to ossay yeh maloom honaa chhaiyeh k ajmaa.e.ummat yeh hai k muta'a /aarzi shadi is NOT allowed. plz ab iss Topic par koi mazeed bahas nah karay.... jissay dilchaspi ho, woh NCF ko search karay. iss par tafseel bahas hochuki hai |
rafaz
|
Group: Members Joined: 14th Mar, 2007 Topic: 20 Post: 937 Age:
|
|
Posted on:29th Nov 2009, 8:21am |
|
|
@ A>RAFIQ Aap k saawal ka jawab yee ha k
1. Ager mumkin ho to apni bivi ko apney pass balwa leen aur us ko saath rakheen
2.Ager esamumkin nahee ha to phir aap apni shewat per qaboo paney k lyee roza rakheen,aur islami kamoo ki taraf zada dehan deen
3.Is say bhee masla hel na ho to phir aap ek aur shadi isi country may ker leen
4. Yee cheez bhee ager masley may madadgar sabit na ho to arab countries k ulmas ney ek fatwa dya ha jo yee ha kisi esy aurat say shadi ker leen jo k aarzi shadi khelati ha jis may bivi apney buth say haqooq choor detey ha i.e shoer us ki zindagi ki zarooryat ko poora kernay ka paband nahee ha, shoer us k saath rehnay ka paband nahee ha ,children bhee doono ek doosrey ki marzi say ager na chatey hoon to bivi ko pregnant hooney ki zarooret nahee ha is shadi ko misyar marriage kaha jata ha aur is ko saudi ulmas nay jaiz qarar dya ha jis may ek bivi bahimi razamandi say apney buth saarey haqooq shoer ko maaf ker deetey ha
5.Ager yee sab bhee aap nahee ker saktey to phir koshish kareen k aap ko jeb bhee chuti milay fooren pakistan apney gher jayeen
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6620 Age:
54
|
|
Posted on:29th Nov 2009, 11:10pm |
|
|
arzi shadi??? razaf,
kia yeh arzi shadi "mutaa" hi hai jo shia maslak maiN allowed hai???? kin saudi ulemaa nay 'aarzi shadi' ko allowed kia hai??? kia in ulemaa k iss FATWA ko baqi islamic world k ulemaa ki aksariyat nay TASLEEM kia hai yaa RUDD kia hai???
agar apkay pass in sawalaat k wid reference jawabaat houN to zaroor share kijyeh... agar aap laa.ilm houN to koi baat nahi |
rafaz
|
Group: Members Joined: 14th Mar, 2007 Topic: 20 Post: 937 Age:
|
|
Posted on:30th Nov 2009, 3:46am |
|
|
@ MY RIZVI Rizvi saheb aari shadi ko ara countries ay 'MISYAR " khetey heen is may aur MUTTA may farq ha
MUTTA : Mutta may larka aur larki ek doosrey ko ek makhsoos time period tak k lyee aapes may qabool kertey heen jo k suppose 1 minute say ley ker jitna time chaheen ho sakta ha is may kisi qazi ki nikkah pernay aur gwahoon ki koi zaroorat nahee hoti ha,aur talaq deenay ki bhee zaroorat nahee hoti ha qk is may dono aapes may apney is taluq ka duration tay ker kay mutta kertey heen
MISYAR : Is shadi may nikkah perhaya jata ha gawa bhee hotey heen bus aapes ki marzi say bivi apney buth saarey haqooq say dastberdar ho jati ha ,is shadi may koi mayad muqarar nahee hoti ha leken jeb larka larki ko azad karey ga to us ko baqaida talaq dey ga
|
rafaz
|
Group: Members Joined: 14th Mar, 2007 Topic: 20 Post: 937 Age:
|
|
Posted on:30th Nov 2009, 4:11am |
|
|
RIZVI IS kay barey refrences may abhi aap ko bad may pesh karoon ga wesay is per ek program express tv urdu per pesh ho chuka ha jis kay compare Luqman saheb they
may zara study ker loon phir aap ko koshish kerta hoon k refrances doon
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6620 Age:
54
|
|
Posted on:30th Nov 2009, 4:20am |
|
|
hmmmmm it is acceptable. Normal nikaah (wid ijaab o qabool + 2 gawaah + mahar) k saath fareeqain apni apni marzi ki sharaait bhi rakh saktay haiN jismaiN baahmi haqooq say dast.bardaari bhi shamil hosakti hai.
agarchay islami nikaah ka asal maqsad aik khaan.daan ki bunyaad rakhna hota hai taaham dounouN fareeqain chahaiN to aulaad paidaa kiyeh beghair regular nikaah karkay apni marzi k period tak mazkoorah balaa tareeqay say rah saktay haiN.
aalamay arab maiN (bilkhasoos petro dollar ki bohtaat k baad) aisee marriages aam haiN. aik zamanay maiN uae k arab shahzaaday pakistan k shahar rahim yaar khan maiN sair o shikaar k liyeh regular aayaa kartay thay (go k ab bhi aatay haiN)... tab woh iss shikaari dauray k dauraan local khoob.soorat laRkiyouN say aisee aarzee shadiyaaN bhi kartay thay aur jatay waqt onhaiN talaaq day jaya kartay thay... ye baqaidah nikaah howaa karta thaa... wid gawaah and mahar even k wali ki ijazat say... laRki bhi agree hoti thee... iss tarah ghareeb magar haseeen laRkiyaaN apnay khandaan k maali issue ko hull karwaya karti theeN.... aisee hi aik aqalmand laRki nay shadi ki raat arab shahzaday ko iss baat par raazi karlia k woh ossay saath lay jaa.ay.... youN woh wahaaN k shahi family maiN enter hogayee... aisee nah janay ketni kahaniyaaN hongee, magar bawajooh manzaray aam par nahi aayee. |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:30th Nov 2009, 7:39am |
|
|
complications ....! MISYAR : is pr arb k ulma ftwa dain to jaiz hey iss arzi shadi ka kuch b naam dy dain..q k iss pr ijmaa-e-ummat ki shrt puri hooti hey...
MUTTA :yeh Quraan Majeed ka hukam hey..or iss sy inkar kiya jata hey...q k iss pr ijmaa-e-ummat ki shrt puri nhi hoti..
arz yeh hey k Quraan Majeed ka faisla/hukam afzal ya ajmaa-e-ummat afzal hey.???
Ajmaa-e-Umat ka mtlb kia hey....yhi na k quraani faisley ki aik tfseer paish ki jaye or uss tfseer-o-tshree pr tmmamm ummat yak ja hoo jaey..
iss hukam ka naam abb chahey misyar rakh liya jaye..ya mu'taa hi rehny diya jaye ..baat to aik hi hey |
rafaz
|
Group: Members Joined: 14th Mar, 2007 Topic: 20 Post: 937 Age:
|
|
Posted on:30th Nov 2009, 11:45pm |
|
|
Diplomat bhi Diplomat bhi jehan tek merey maloomat ha quran may koi mutta k barey may hukum nahee ha ,ager merey knowledge may nahee ha to zara aap muj ko batla deen k kis surah may ha thanks
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:30th Nov 2009, 1:32pm |
|
|
rafaz dear
The Ayat of Muttah is as follow :- In the name of God the Beneficent the Merciful Para-5 Surah Nisa, from the middle of Ayat-24. " Famastamtatum Behi Minhunna Fatuhunna Ajoorahunna Farizatan Wala Junaha Alaikum Fima Trazaitum Behi Min Ba'adil Farizatin Innallaha Kana Aleemun Hakima " Urdu Translation :- " Jin Aurtoon sey tum ney Muttah kia hey un ka jo Mehr mukarrar hoa hey woh un ko dey do agar Mehr ki kami beshi par tum apas mein razi ho jaoto tumharey zimmey koi Guna nahi , Beshak Allah Aleem aur Hakeem hey " KIA ISS BAREY MAIN OR REFERENCE CHAHIYE TO WO B BTA DIJEYE PLEASE
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4304 Age:
38
|
|
Posted on:30th Nov 2009, 2:55pm |
|
|
satisfaction without wife bivi ke beghair satisfaction haasil kerne ka tareeqa yeh hai:
- aap aik aur shaadi ker le
- shaadi mumkin nahi hai tu aik adad londi ka intezam ker le aur on se jinsi satisfaction haasil kare
- londi ka intezam nahi ker sakte tu aap muta (temporary marriage) ker le
- agar aap kuch bhi nahi ker sakte tu masturbation kare.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6620 Age:
54
|
|
Posted on:30th Nov 2009, 10:44pm |
|
|
Diplomate سُوۡرَةُ النِّسَاء
۞ وَٱلۡمُحۡصَنَـٰتُ مِنَ ٱلنِّسَآءِ إِلَّا مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَـٰنُڪُمۡۖ كِتَـٰبَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡۚ وَأُحِلَّ لَكُم مَّا وَرَآءَ ذَٲلِڪُمۡ أَن تَبۡتَغُواْ بِأَمۡوَٲلِكُم مُّحۡصِنِينَ غَيۡرَ مُسَـٰفِحِينَۚ فَمَا ٱسۡتَمۡتَعۡتُم بِهِۦ مِنۡہُنَّ فَـَٔاتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ فَرِيضَةً۬ۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ فِيمَا تَرَٲضَيۡتُم بِهِۦ مِنۢ بَعۡدِ ٱلۡفَرِيضَةِۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمً۬ا (٢٤)
========================
سورة النِّسَاء
اور خاوند والی عورتیں مگر تمہارے ہاتھ جن کے مالک ہو جائیں یہ الله کا قانون تم پر لازم ہے اور ان کے سوا تم پرسب عورتیں حلال ہیں بشرطیکہ انہیں اپنے مال کے بدلے میں طلب کرو ایسے حال میں کہ نکاح کرنے والے ہو نہ یہ کہ آزاد شہوت رانی کرنے لگو پھر ان عورتوں میں سے جسے تم کام میں لائے ہو تو ان کے حق جو مقرر ہوئے ہیں وہ انہیں دے دو البتہ مہر کے مقرر ہو جانے کے بعد آپس کی رضا مندی سے باہمی کوئی سمجھوتہ ہو جائے تو اس میں کوئی گناہ نہیں بے شک الله خبردار حکمت والا ہے (۲۴)
============================
An-Nisa
Also (forbidden are) women already married, except those (slaves) whom your right hands possess. Thus has Allâh ordained for you. All others are lawful, provided you seek (them in marriage) with Mahr (bridal - money given by the husband to his wife at the time of marriage) from your property, desiring chastity, not committing illegal sexual intercourse, so with those of whom you have enjoyed sexual relations, give them their Mahr as prescribed; but if after a Mahr is prescribed, you agree mutually (to give more), there is no sin on you. Surely, Allâh is Ever All¬Knowing, All¬Wise (24) |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6620 Age:
54
|
|
Posted on:30th Nov 2009, 10:55pm |
|
|
Diplomate ap nay above ayat ko jiss tarah mutta k liyeh use kia hai, woh apni misaal aap hai. hum nay above maiN iss ayat ka ahmed ali sb aur Dr mohsin ka tarjuma pesh kia hai ........
seyaq o sabaaq k saath sab dekh saktay hain k apkay quoted ayat ka sal mafhoom kia hai aur apnay kia pesh kia hai. agar apnay naa.daanistah aisaa kia hai to Allah ap ko maaf karay... agar apnay above tarjuma kissi shia alimay deen say lia hai to shia maslak /fiqhay main to mutta JAIZ hai... magar iskay liyeh kissi ayat ko apna mafhoom pesh karnay ki kia zaroorat hai??? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6620 Age:
54
|
|
Posted on:30th Nov 2009, 10:58pm |
|
|
readers can cheque by themselves from different quranic translation n tafaseer k above ayat ka kin kin ulema nay kia kia tarjuma kia hai......... aur iss ayat say MUTTA ka jawaaz lenay walay ulema ka talluq kis maslak /firqay say hai (agar hai to)
beshtar quranic tarajum net par bhi available haiN |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4304 Age:
38
|
|
Posted on:1st Dec 2009, 7:54am |
|
|
masak/firqa re: "aur iss ayat say MUTTA ka jawaaz lenay walay ulema ka talluq kis maslak /firqay say hai (agar hai to)"
jo baat pasand na aaye os per maslak/firqa ka fatwa laga ker reject ker dena sahi baat nahi hai. ghalat baat ghalat hoti hai aur sahi baat sahi, chahe woh kisi bhi maslak/firqa se taluq ho. yeh forum bhi kisi aik maslak/firqa ko follow nahi kerta, lehaza iss qisim ke dalail se sirf apne mazhab/maslak ko mutamin kia jaa sakta hai har aik ko nahi. lehaza aise example dene chahiye jo keh sab ke liye qabil-e-qabool ho, na keh sirf apna maslak/firqa ke liye. |
|