Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:30th Nov 2009, 3:20am |
|
|
sunehri Jo hotay ho tum mujh se doorjudai ki sayah chadar najanay kahan se kyun kar meray sar par kahin se aaN girti hae |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7720 Age:
55
|
|
Posted on:30th Nov 2009, 4:40am |
|
|
jo na milaa hamdam k liyeh, ham dam say gaye ; ham.dam ki qasam, ham.dam nah milaa
marham k liyeh, mar ham bhi gaye ; marham ki qasam, marham nah milaa |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 31 Post: 2017 Age:
48
|
|
Posted on:30th Nov 2009, 6:13am |
|
|
hum dam bi mil jaye ga hum dum ko milo ger hum dam jan ker
kuch wo bi suny ga hum ghum jan ker
hum dum ko ger sutao be-ghum jan ker
wo bi rootha raye ga be- dum jan ker
|
M Asif
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2008 Topic: 4 Post: 794 Age:
|
|
Posted on:1st Dec 2009, 12:51am |
|
|
Poetry Woh Manzilein Bhi Koh Gayen, Woh Raastay B Koh Gaye.
Jo Ashna Say Loog Thay, Woh Ajnabi Say Hogaye.
Na Chand Tha Na Chandni, Ajeeb Thi Woh Zindagi.
Chiragh Thay K Bujh Gaye, Naseeb Thay K So Gaye.
Yeh Pochtay Hain Rastay, Rukay Ho Kis Kay Wastay.
Chalo Tum B Ab Chalo, Woh Maherbaan To Koh Gaye ..
|
M Asif
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2008 Topic: 4 Post: 794 Age:
|
|
Posted on:1st Dec 2009, 12:59am |
|
|
Poetry Khuda Kare K Meri Arz-E-Pak Per Utray,
Woh Fasl-E-Gul Jisay Andesha-E-Zawaal Na Ho.
Yahan Jo Phool Khilay, Woh Khila Rahay Barson,
Yahan Khiza Ko Guzarnay Ki Bhi Majaal Na Ho.
Yahan Jo Sabza Ugay Woh Hamesha Sabz Rahay,
Aur Aisa Sabz K Jis Ki Koi B Misaal Na Ho.
Ghani Ghatayen Yahan Aisi Barishein Barsayen,
K Pathron Say B Roeedgi Mahaal Na Ho.
Khuda Karay K Iska Waqar Ghair Qanooni Ho,
Aur Iskay Husan Ko Tashveesh Mah-0-Saal Na Ho.
Her Ek Fard Ho Tehzeeb-0-Fun Ka Ouj-E-Kamal,
Koi Malol Na Ho, Koi Khasta Haal Na Ho .. |
Young~Man
|
Group: Members Joined: 08th May, 2009 Topic: 2 Post: 70 Age:
33
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 2:13am |
|
|
poetry 4 my friendz buhot hi zabardast.
Nahein Shaam Safar Aisa Nahein he,
Musafir Lout k Aaya Nahein he!
Hum Itney Dukh Mein Bikhrey hein,
Hamara Haal Tum Jaisa Naheinhe!
Mein Aisey Shaher mein TANHA khara hoon,
Jahan Tanhai bhi Tanha Nahein he!
Mere jaisa na tha Aabaad koi,
Mere Jaisa koi Ujra Nahein he.
Tumhare Naam ka Aansoo Kabhi bhi,
Hamari Aankh mein Thehra Nahein He
|
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:15pm |
|
|
Chand Pe itna Gharoor Mat Kar Ay Asman Apne Chand Pe itna Gharoor Mat Kar ,
Ek Chand Sa Doost Hum Bhi Rakhty Hain,
Jab Tareef tere Chand ki Hoti Hai ,
Tu log Misal Mere Chand Chand Ki Dete Hain. |
madman
|
Group: Members Joined: 08th Oct, 2009 Topic: 9 Post: 137 Age:
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:22pm |
|
|
Ghazal by chance Main ne usay salam likh bhejja,
Hal-e-Dil tamam likh bhejja.
Main ne pocha tery hont kaisay hain?
Us ne ek lafz "Jaam" likh bhejja.
Main ney pocha tery bal kaisy hain?
Us ne kudrat ka inaam likh bhejja.
Main ne pocha itna kab hogi mulakat?
Us ne Qaiyamat ki sham likh bhejja?
Main ne pocha itna tarpatay kyo ho?
Us ne Jawani ka Intekam likh bheja.
Main ne pocha itni nafrat kis se hai?
US NE MERA HE NAAM LIKH BHEJJA.
GHAZAL ACHI LAGAY TO DAD ZAROR DIJYE GA.
|
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:28pm |
|
|
Chalo ! ik nazm likhte hain Chalo ! ik nazm likhte hain
Kisi k nam karte hain
Magar ye sochna hai ab
K us me zikr kis ka ho??
K us me baat kis ki ho?
K us me zat kis ki ho?
Aur ye bhi farz karte hain
K jis pe nazm likhte hain,,
Humain us se muhabbat hai
Hamare sare jazboon ko
Bus us ki hi zarorat hai....
Chalo ik kam karte hain
K hum jo nazm likhte hain
"Tumhare naam" karte hain
Tum hi unwan ho is ka
Tumhara zikr hai is me
Tumhari baat hai is me
Tumhari zaat hai is me... |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:30pm |
|
|
Madman gr8 Yar AOA, Madman Bhai , bari achi ghazal hy..
Regards |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:33pm |
|
|
Tab se chand raqeeb ha apna "Ik rat khawab main main ne dekha,
Chand se pocha chupkay se,
Aj muje ik bat batao,
Apne dil ka hal sunao,
Kia ha koi aisa jo,
Tum ko acha lagta ho,
Apna apna lagta ho,
Dil k pas jo basta ho,
Chand ne tera naam lia,
Main ne dil ko thaam lia,
Jab se dekha ha ye sapna,
Tab se chand raqeeb ha apna" ¤ |
madman
|
Group: Members Joined: 08th Oct, 2009 Topic: 9 Post: 137 Age:
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:37pm |
|
|
thanks Thanks for appriciation bhaiya..!!
|
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:39pm |
|
|
Itna roay thay k ankhon ne b shikayat ki thi...! Sari dunya k rivajon se baghawat ki thi...!
Yad aata hay mai ne bhi mohabbat ki thi...!
Jab kisi ki yaad ne ankhon ko bhigoya tha meri...!
Maine b kisi k nam ki tilawat ki thi...!
Us ko chor ke hanstay hue ghar aake...!
Itna roay thay k ankhon ne b shikayat ki thi...! |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:43pm |
|
|
Tum yad aate ho. Usne kaha
Chand khobsurat
Ya Main?
Maine kaha
Ye to nhi janta
Mgar,
Jb Tmhe Dekhta hon to
Chand Bhol jata hon
Or
Jb chand pr parti hy Nazar to
Tum yad aate ho. |
insan
|
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:44pm |
|
|
hmmm daikha jo chehra tera mausam b piyara lga...kanoo main jumka tery hum kko sitara laga... |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:45pm |
|
|
Pata Lga Mere Peche Wo Unhe Jor Kr Roye. Wo Roye To Bohut Pr Mujhse Muh Mor Kr Roye,
Koi Majburi Hogi Jo Dil Tor K Roye,
Mere Samne Kr Diye Meri Tasvir K Tukre,
Pata Lga Mere Peche Wo Unhe Jor Kr Roye. |
madman
|
Group: Members Joined: 08th Oct, 2009 Topic: 9 Post: 137 Age:
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:46pm |
|
|
Re: Javaid Us ko chor ke hanstay hue ghar aake...!
Itna roay thay k ankhon ne b shikayat ki thi...!
Waaaaaaaah..!!! Chah gye ho..
|
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:52pm |
|
|
Raat kat'ti rahi Chaand chalta raha, Raat kat'ti rahi Chaand chalta raha,
Aatish-e-hijar main koi jalta raha,
Tanhaiyaan dil ko dasti raheen
koi bey chain karwatain badalta raha,
Aas o umeed ki shama roshan rahi
Ghar ki dehleez ko koi yon hi takta raha,
Raat bhar chaandni gungunaati rahi
Raat bhar koi tanha sisakta raha,
Ashk palkon pey aa k bikhhartey rahey
Naam lab pey kisi ka larazta raha,
Aaj phir raat basar ho hi gei
Aaj phir koi khud sey ulajhta raha. |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:57pm |
|
|
RE Madman Bhai AOA, Thanks Bhai, Aaj baray arsy baad time mila hy, socha es forum ky liaye koi poetry paish karon.. agr pasand aye tu reply zaroor karian..
Regards |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Dec 2009, 3:59pm |
|
|
Sahil ki geeli rait per Sahil ki geeli rait per
mainy us sy poocha tera mashgala kia hai?
US ny
palkain jukha ker muskra ker
mujhy likha aur mita dia...!! |
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 >> |
|