paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:16th Nov 2009, 9:33pm |
|
|
Wazoo In Islam: Wazoo Ka Tareeqa Aur Bayaan
Alhumdulillaahi Rabbil Alameen, Wassalatu assalamu alaika YA Syedil mursaleen, Ammaa Baaad Fa' Azu billaahi minash shaitwaa nirra jeem, Bismillaa hirrah maa nirrah heem. Assalat O Wassalam O Alaika Ya Rasool ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Habeeb ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Nabi ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Noor ALLAH waAla Alika wa Ashabika ya Rehmata lil Aalameen! Inshallah ess topic mein hum Wazu ka mufassil tareeqa parhengee. Yaad rakhea Nazma ke qabooleyat ka Daroomadar Wazu per hai agar Wazu naqees hua tu namaz parhna na parhna barabar hogaya... Wazu k 4 Faraiz, 12 Sunnate, 26 Mustahab hai... Wazu ke farayiz
Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam farmate hai ke wazu me 4 farz hai,
1. Chehera Dhona: chehera yahantak dhona ke, apne balo ki ibteda se leker thuddi ke niche tak aur ek kan ke lov(corner) se leker dusre kan ke lov tak 2. Apne donu haton ko koniyoun sameth dhona 3. Chauthayi sarka masa karna 4. Apne donu pairon ko takhno sameth dhona
Ye hai Wazu ke 4 Faraiz
Farz use kehete hai jise karna zarori hai aur uske bagair wazu mukammil nahi hota,isiliye jab aap wazu karte hai to zyada ahtiyath rakhkhe ke jo hisse(parts) wazu me dhona farz hai use achchi tarikhe se dhole warna wazu nahi hoga aur jab wazu hi nahi howa to namaz bhi nahi hogi.
wazu ki niyath
"Bismillaahi wal hamdu lillaahi Ata wadda'oo lirafayil hadas"
yun to wazu ki niyatein buhat sari hai,usme se ek ya bhi hai. Apko jo ati hai woh padle magar wazu ki niyath karne se pehle"Bismillaahi wal hamdu lillaahi " kheliya kare kyun ki
Pyare Aqa swallallaahu alai hi wa sallam farmate hai ke "jo shaks wazu shuru karne se pehle Bismillaahi wal humdu lillaahi" kahega to Allaah azzawajal,use jab tak uska wazu bhakhi rahega tab tak uske namaye amal me pal pal nekiya ata farmayega chahe woh kuch ibaadat kare ya na kare"
dekhiye sirf thudi si tawazzu deker agar hum wazu ki niyat karne se pehle " Bismillaahi wal hamdu lillaahi" kahe to hamare namaye amal me bhahut sare nekiya milenge
Wazu ka tarikha
Wazu shuru karne se phele wazu ki niyath karle: Jise wazu ki niyath Arabi me ati hai woh Arabi me karle aur jise nahi ati hai woh sikhne ki koshish kare aur sikhne tak tho woh apni zuban me karle aur apni zuban me istarha kare "Ya Allaah my wazu karta hoon paki hasil karne ke liye" agar hum itna kahe to hamari wazu ki niyath ho jayegi magar Arabi me karne ki koshish kare kyun ki Arabi me niyath ya dusre duwayein karna woh bhi Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam ki sunnath hai aur
Niyath karlene ke bad apne donu haton ko pahunche (Wrist) tak dho lein: agar aap anghoti pehne hai tho ye khas khayal rakkhen ke anghoti ko bhi harkat de,ta'aki anghoti ke peechewali jo ungalika hissa hai woh bhi bhig jaye kyun ki uska bhi dhona farz hai aur us hisse ko nahi bhigayenge tho hamara wazu nahi hoga aur wazu nahi hoga to hamari namaz bhi nahi hogi kyun ke Pyare Aqa swallallahu alai hi wasallam farmate hai ke "Wazu Namaz ki kunji hai aur namaz wazu ki kunji hai"
Miswak kare: Apne dono haton ko pahuncho (Wrist) tak dhone ke bad 3 martaba Miswak kare,Insha-Allaah azzawajal miswak ka tarikha aur uske sunnatein wazu ka topic khatam hone ke bad bataya jayega, Miswak karne ke bad 3 martaba garare ke sath
Kulli Karen: kulli kare aur aap Roze ki halath mein ho tho garare ke sath na kare balke sirf kulli kare,agar roze ke halath mein nahi hai tho garare ke sath hi kulli kare kyun ki garare ke sath kulli karna ye bhi mere Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam ki pyari sunnath hai.
Naak Saaf Karen: Apne naak ke naram haddi tak 3 martaba pani chadaye aur uske bad naak saaf kare,naak saaf karne ka tarikha ye hai ke apni bayen(left) haath ki kiri (choti) ungli le kar phele naak ki dayen (Right) taraf saaf kare aur phir bayen(left) taraf apne naak saaf karlen.
Chehra Dhoyen: Chehra dhone ka tarikha ye hai ke, phele ek martaba hateinliyon mein pani leker apni peshani ki jagah se bhahaye aur achche tarikhe se mal lein(lagadle) phir 2 martaba aur usi tarikhe se pani bhahaye aur achhi tarah chehra mal lein. Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam ke pyare dewano,jab ham chehera dhote hai to ye ahtiyath rakhkhe ki abro bhi bhigna chayiye aur ankh ke palkhe aur palkhon ke upar wala hissa her jaga bhigna chayiye warna hamara wazu nahi hoga isiliye jab aap chehera dhote hai to achchi tarikhe se mal lein, aur chehera dhone ke bad apne dadi(beard) ka khilal karen. Dadi ka khilal karne ka tarikha ye hai ke phele apne aage ke janib pani bhahaye, phir daayen (right) janib aur phir bayen(left) janib bhahaye aur pani bhahakar acchi tarikhe se lagadlein. Is baat ka khas khayal rakhkhe ke dadi ke balon ki jad tak pani pahunche
Haath Dhoyen: 3 martaba apne dono hathon ko koniyoun sameth dhoye. Phele sidha(right) hath dhoye aur phir bayen(left). Jab aap sidha (right) hath dhote hai to phele ek martaba pani bhahaye aur apne hath ko acche tarikhe se ragadle(malle) aur phir 2 martaba pani bhahaye aur phir usi tarha bayan hath dhoye,phele ek martaba pani bhahaker acche tarikhe se apne hath ko ragadle,phir 2 martaba pani bhahaye,ye tha hathon ko dhone ka tarikha,apne dono haton ko dhone ke bad pure sarka masa kare
Sar ka Masa Karna: Pehle apne haton mein pani le lein aur apne dono haton ko teen hisson mein baant lein. Pehla hissa Kiri (Choti) Ungali, beech wali ungali aur ungoothi wali ungali, in teen ungaliyon ko ek hissen mein baant lein. Dusra hissa apni shahadath ki ungali Teesra hissa apna Ungootha. Iske baad sar ka Masa karen. pehle apne haton ke pehle hisse se (Teen Ungaliyon se) apne sar ke uper ke hisse ko (Jahan se bal shuru hote hein) peeche tak mal lein. phir apni hatheliyon se sar ke dono side ke balon ko peeche se lekar aage tak malein. Uske baad Dusra hisse (Shahadath ki Ungali) se apne kanorn ke ander saaf karen. Phir teesra Hisse(Anghootthe) se apne kaan ke uper masa karen aur akhir apne hatheliyon ki peet se (back side of your Palm) gale ke pichle hisse ka masa karen.
Pair Dhoyen: Donu pairo ko takhno sameth dhoye, phele sidha (right) pair dhoye aur phir bayan(left) pair dhoye. Jab ap sidha(right) pair dhote hai tho pair ke ungaliyoun ka khilal is tarah karen ke apni bayean(left) haath ki kiri(choti) ungli leker pair ki har ungli ke darmiyan 3-3 bar khilal karen (Pair ki choti ungli(kiri ungli) se shuru karte huea tarteeb se unghootthe per khatam karen). Aur usi tarha apna bayen(left) pair ko bhi dhoye (Bayen pair ke anghootthe se shuru karte huea tarteeb se choti ungli per khatam karen).Aur jab aap pair dhote hai to ye zyada ahtiyath rakhkhe ke pair ke talwe ko bhi pani pahunchna chayiye aur agar apke pairon ki yediyean phati hai (yani krack pade hoo) to achche tarha se ragad kar pani bahaye agar waha pani nahi pahuncha tho hamara wazu qubul nahi haga. Aur jab wazu hi qubul nahi hoga to hamari namaz bhi qubul nahi hogi.
NOTE: jab aap wazu me pair dhote hai to sirf bayen(left) hath istemal kare, sida(right) hath istemal na kare kyun ki woh makrooh hai
Donu pair ko dholene ke baad apne donu hathon ko pahunchotak dhoye aur qibla rookh hoker kalmaye shahadath pade(2 kalma).
Kalmaye Shahadath:"Ash hadu An laa iIlaaha illallaahu Wahdahuu Laa Sharikalahuu Wa Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasooluhu"
Ye hai wazu ka mukamal tarikha
Please Note: Uper bataye tarike mein kisi tarah ki galati, ya khami, ya chook ho gayi ho tho aap please hamein batayen. Ta'aki kisi se galati na ho.
Dua hai ki Rabbe qadir hamein aur aapko sunnaton per amal karte huea mukammal tarike se Wazu karne ki taufiq ada farmaye (Ameen)
Ameen Bejaahen-Nabiel Amen Sallallaho Alahe Wasallam… Sallo Alaal Habib Sallallaho Ta'aala Alahe Wasallam
|
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 184 Post: 6243 Age:
34
|
|
Posted on:16th Nov 2009, 10:25pm |
|
|
parooot SOBHAAN ALLAH
Very nice parooot ap ny bot he acha kaam shoro keya hy its sudqaa jariyaa or bot he common and bot he important topic hy I think k esy ziyada zuroorat os kis topic ki ho ge hum meh bots say log hen jo numaz k tureeky sa nawakif hen wozo or gosaal k musaayl say na wakif hen mujy boot he khoshi hoi ap ki ye post daykh k . |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:17th Nov 2009, 9:06am |
|
|
Jazakallah Qasim Bhai Read karne ka bahut bahut shukriyaan. yehe dua hai k har musaalman tamam faraiz uloom seekh lee taake kese ke koi ebadaat zaya na ho...
Allah sab hum sab ko elmee deen seekhne ke dilchaspee aur dosroo tak phelane kee taufiq ataa farmayen .... Ameen |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 49 Post: 3202 Age:
35
|
|
Posted on:17th Nov 2009, 10:22am |
|
|
my dear proot Yaad rakhea Nazma ke qabooleyat ka Daroomadar Wazu per hai.....
- kia nimaz ki kabooliyat ka taluq sirf sehi wazoo k sath hi hey...niyat k sath nhi...?
- sirf wazoo hi qbooliyat-e-nimaz k liye zroori hoo to phir jo loog wazoo nhi kr skty ...or tyamum kerty hain ..un ki namaz to gayee...ap k mutabiq...!
|
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:17th Nov 2009, 11:17pm |
|
|
Bhoole Bhalee Diplomate Main ne apne thread mein ess sentence mein sirf ka word kaha use kya hai tell me !!!
Namaz ke qamooliyat ka daroomadad jen cheezo per hai uss mein se 1 wazu bhi hai khale wazu ya niyat per nahi balkee Qabooliyat ka daroomadad namaz gusul aur kahii cheezo per hai...
wazu kab saqeet ho jata hai tayammam ke kab shariat ijazat dete hai main ne ess se related baat nahi ke yeh alag matter hai main General talk kar raha ho aur Routine mein humee Tayyammam ke zaroorat nahi parte aur na he main ess masle per baat kee hai main ne just Wazu ka tareeqe per baat ke hai ..
App ne mere sentence ko Sirf se join kar deya hai jab k main ne Sirf nahi lekha... |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 49 Post: 3202 Age:
35
|
|
Posted on:18th Nov 2009, 10:32am |
|
|
re...wazoo ka treeqa paroot sahib mera swal prr k koi ftwa jari na kr dyna yar sirf jwab dyna...
hum jub wazoo sy pehly "istenja" ki ghrz sy wash roon jatey hain to wahan la'mhala toor pr hamarey pairoon (feet) per gundgi ki cheety prrty hain...to iss soort main humain (hath dhoony k baad) wazoo krny sy pehly kia apny paoon nhi dhoony chahiye...wazoo k end main q apny paoon dhooty hain...iss trha to sara wazoo hraab nhi hoo jata..pehly hmain nijast ko saaf krna chahiye...phir wzoo start krna chahiye...baad main paoon dhooye to phir nijas cheettoon k bazoo or legs pr prrny ka hdsha ho jata hey....iss lihaz sy wazoo k harab hony ka khtka dil main paida hoo skta hey..... |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:19th Nov 2009, 9:58pm |
|
|
Diplomate First of all: Main na he aleem ho na mufti na he koi zeyada illm hai so mera fatwa dene se koi talluq nahi hai app ne yeh kese soch leya ainda essa na kahee gaa app ke bargha main arz hai...
Peshab ke cheento se bachna farz hai agar cheente paarte hai tu ess ke kahe wajah hai khare khare peshap karna edher udher washroom mein peshab karna agar sunnat tareeqe k mutabiq istanja kya jai tu koi pareshane nahi hogee Inshallah...
pehshab k wo drops jo needle ke nook se zeyada bareek hote hai uss se kapre wageera napaak nahi hote leken albatta kese ke jism ya kaproo per lag jai or namaz mein khusu peeda na horaha ho waswasee atee hai tu app first paoo wash kar lee taake zehen se khayalat ess tarha k khatam ho jai
leken ess ka haal yeh nahi hai k har baar pheel paoo wash kar k wazu kya jai balkee haal yeh hai k peshab k qatroo se bacha jai....
wazu tu sunnat k mutabiq he kejea last mein paoo wash karee phele nahi albatta istanja se fareeg ho kar wash karle agar karna chahe qatroo ke waja se..
Hadees mein ess tarha ka mafhoom mojood hai k zeyada taar Azaab-e-Qabar jen cheezo se hota hai unn mein 1 reason Peshap k Qatroon se na bachna bhi hai...
Har tarha ke najasat ke baree mein janne k leye wazu gusul istanja ka tareeqa aur ess se related tarha tarha tarha ke masail janne k leye study kejea book "BAHAR-E-SHARIAT PART-2" Published by Maktaba-tul-Madina... |
tuba Ahmad |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2010 Topic: 23 Post: 165 Age:
27
|
|
Posted on:2nd Aug 2010, 2:06am |
|
|
Topic is very good wakaye ye topic bahut hi jayda acha hai. hume to jayda nahi lakin khuch malum tha lakin mere husband ke leye ye topic bahut hi unda hai ye hum jarur apne husband ko read karege. |
imranhatke |
Group: Members Joined: 30th Nov, 2011 Topic: 1 Post: 24 Age:
20
|
|
Posted on:30th Nov 2011, 3:26am |
|
|
JAZAKALLAH AAPKA TOPIC BAHUT ACHHCHHA HAI MERE BHAI MGAR UPER AAPNE JO YE LIKHA HAI MUJHE USKA TRANSLET BATA DO
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Rasool ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Habeeb ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Nabi ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Noor ALLAH waAla Alika wa Ashabika ya Rehmata lil Aalameen! |
imranhatke |
Group: Members Joined: 30th Nov, 2011 Topic: 1 Post: 24 Age:
20
|
|
Posted on:30th Nov 2011, 3:32am |
|
|
JAZAKALLAH AAPKA TOPIC BAHUT ACHHCHHA HAI MERE BHAI MGAR UPER AAPNE JO YE LIKHA HAI MUJHE USKA TRANSLET BATA DO
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Rasool ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Habeeb ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Nabi ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Noor ALLAH waAla Alika wa Ashabika ya Rehmata lil Aalameen! |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 7:42am |
|
|
wudhu ko hi sahi nahi manta
hamaray forum ke aik member Mufti sahe farmatay hai keh: "meray bhai namaz to bohat dour ki baat hai mein aap k wudhu ko hi sahi nahi manta."
ref: Namaz Ka Tareeqa In Urdu
|
soniazafar |
Group: Members Joined: 25th Mar, 2012 Topic: 0 Post: 5 Age:
22
|
|
Posted on:4th Jul 2012, 3:25am |
|
|
in4mation kya girls nail polish laga kr wudu kr skte hn yh lge ho to wudu ho skta hy plz tell me or kya girls razir use kr skte hn with ahadh answr dana plz
|
soniazafar |
Group: Members Joined: 25th Mar, 2012 Topic: 0 Post: 5 Age:
22
|
|
Posted on:7th Jul 2012, 4:06am |
|
|
in4mation bakwas hy yh site koi answer to data nh
|
dakraziest |
Group: Members Joined: 04th Jul, 2012 Topic: 0 Post: 30 Age:
23
|
|
Posted on:7th Jul 2012, 9:02am |
|
|
no most mullahs believe that after painting the nails u cant do wadu for it is a coating whivh prevents water from reaching too the nails
n regarding razor im not sure but i would you suggest you to use hair removing creams instead razors in long term would result in harder skin and it causes faster hair growth btw if u r planning to use hair removing cream then make sure that you test it first y dnt u opt for waxing its way easier and quicker then above two |
|