Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

how to change Luck Line?

Non Medical Discussion   >>  Society and Culture
 
 
 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:22nd Feb 2009, 11:25pm
 

Babar Bhai,Maryam sis & Hitman

thanks meri confusion door krne k lie.aap log ne detial se reply kia.mera sochna ghalat tha.
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:23rd Feb 2009, 1:28am
 

Saba

I think yeh tumhari apni barrhai hai ke itne saaf di se tum ne sahi baatun ko qabool kr lia.
Allah ne agar insan ko iss dunia main bheja hai tou bht c authorities b di hain. Main yahan Islamic history se aik waqeya quote karun ga.
"Aik Banda Hazrat Ali (A.S) ki khidmat main hazir hua aur bola ka btaiey aik insaan ko apni zindagi par kitna amal dakhal haasil hai. Hazrat Ali (A.S) ne farmaya apni aik taang utha lo. Uss ne apni aik taang utha li. Phir aap ne farmaya doosri b utha lo. Woh bola k doosri nahin utha skta. Hazrat Ali (A.S) ne farmaya ke tujhe b apni zindagi par itna amal dakhal haasil hai."
Agar ham yeh samajh ke beth jayen k sab Allah ne hi krna hai tou iska sada sa yehi matlab hai ke hum roz-e-qyamat ke munkar ho rahe hain kyun ke agar Allah ne hi hum se sab krwana hai tou hisab kesa. Phir tou koi insan apne qol aur fel ka responsible nahin. Jahan tk Dua ka taalluq hai tou yeh tou peghambrana fel hai aur Quran-0-Hadees main iski ahmiyat ko jagah jagah byan kia gya hai. 

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:23rd Feb 2009, 1:33am
 

bhim ji sahib & sabi pyari

nice reply by bhimji sahib.

saba you are so sweet:)

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:23rd Feb 2009, 1:40am
 

ji Maryam

Saba k damagh ka pech dheela hota hai kabhi kabhar. Par shukar hai time par hi kassa jata hai. lols
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:23rd Feb 2009, 7:33pm
 

Jazak Allah Khair

Beeji thanks.ab mere dimagh k peech theik hain wese aap ne likh dia to koi to life me acha kam kia likh ke.warna humesha hi fazool batein hoti thi pr ab shuker hai k koi to kam ki bat ki....jab se peda hoe...(lol).....(thanks once again)

Maryam sis:aap kia kamm sweet hain?aap to mojhse bhi kahi ziyada sweet hain.

aur rahi bat k maine foran hi aap sab se agree kr lia to janab main apni ghalati jaldi maan leti hon.ager meri ghalati ho to....to is waqt mera sochna shayad  ghalat tha.ye to aap sab ne meri ghalt fehmi dour ki.Allah Tala'a aap sab ko khosh rakhe.(married logoon k haan abadi me traqi ho & unmarried ki begmat mein)    Ameeen
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:23rd Feb 2009, 8:18pm
 

saba sohni

aaj to mashaAllah subha subha bari achi duaien di hain:) aur unmarried laRkiyon ki shadi hojaye (ameen)

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:24th Feb 2009, 12:16am
 

Maryam

Aap ne issey pyari, sohni, manmohni keh keh ke sar pe charrha lia hai. Ab iss ki yeh jurrat ho gai ke aik moazzaz bnde ko sar-e-aam yeh keh rahi hai ke woh fazool baatein krta hai.

(Wese baat tou sach hai magar baat hai ruswaai ki - lols)

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:24th Feb 2009, 12:41am
 

bhimji sahib

aik to inhon ne aap ki tareef ki hae ooper se aap naraz ho rahe hain:) sahi to keh rahi hain aap ki gup shup thread mein guftagu se pehlay nahi lagta tha k aap itnay samajhdar hain:)

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:24th Feb 2009, 12:47am
 

hehehe

Actually main forum par aata hi sirf guppain lagaane aur hansne hansaane hoon. Iss liey kabhi koshish hi nahin ki apna motbar sa image bnane ki. lols 

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:24th Feb 2009, 12:51am
 

bhim ji sahib

chalain ji jab se aap sahib bane hain tab se samajhdari ki baatein karne lagay hain umeed hae aienda aap panay martbe pe faiz rahain gay:)
made4u Group: Members  Joined: 12th Aug, 2008  Topic: 11  Post: 439  Age:   
Posted on:26th May 2009, 11:11pm
 

Maria_z

goal tak pohanchne kay liye aik planning ki zarurat hoti hai.then work hard,work hard, work hard and work hard.kamyab hone kay liye aik acha planner hona zaruri hota hai.Jo planning ke sath chalte hain.wo aik din kamyab ho jate hain.wo chahe aik insan ke liye ho ya hasool-e-rizq.

      Mayoos Insan kabi kamyab nai hote.. (Wo log jo harne se darte hain,wo kabi nai jeetatay).

     Hathon ki lakeerain badalti rehti hain dua and dawa(zahanat) se.

     Agar dua ke sath dawa mil jaye tou kamyabi door nai hoti.

  Allah bless you.

   Regards

  

     

smartraza Group: Members  Joined: 29th Jan, 2012  Topic: 0  Post: 15  Age:  28  
Blocked
Posted on:2nd Feb 2012, 8:15am
 

AISA WIRD JO TAQDEER KO BHI BADAL DAITA HAY

SALAM

YEH BAAT BILKUL GHALAT HAY KAY TAQDEER NAHI BADLI JA SAKTI.JIS KHUDA NAY TAQDEER MUQARAR KARDI HAY.WOH BADAL BHI SAKTA HAY.MAGAR KHUDA KA IRADA KUB BADAL SAKTA HAY ISKI DO HI SOORAT HAY.EIK YEH KAY INSAN APNAY LIYE DUA KARAY.YA PHIR KHUD AISA BAN JAYE KAY KHUDA US KAY HATH MAIN IS KAINAT KI RASSI DAY DAY,KAY AEY BANDAY TUJAY JO CHAHIYE AB TU APNI MARZI SAY HASIL KARLAY.

ISKI BEHTREEN MISAAL RASOOL S.A AUR AHLEBAIT A.S KI ZAAT HAIN,JINKAY HATH MAIN SUB KUCH THA ,MAGAR UNHO NAY APNAY LIYE SAKHT RASTAY KA INTEKHAB KHUD KIA.HALANKAY UN KAY PASS ISM E AZAM JAISI TAQAT THI AUR WOH BHI EIK NAHI 70 SAY ZIADA KISAM KAY ISM E AZAM.MAGAR YEH UNKA DARGA THA KAY WOH DUNYA KI HAQIQAT KO SAMAJTAY THAY AUR UNHO NAY DUNYA KAY MAAL O ASBAB KO THOKAR MARDI.ISKI SUB SAY BARI MISAAL WAQEA E KARBALA HAY.JAHAN PER IMAM HUSSAIN A.S AGAR CHAHTAY TAU HUR KAY LASHKAR KO PEHLAY HI KHATAM KARDAITAY ,JO SEHRA MAIN PEHLAY PIASAY PHIR RAHAY THAY MAGAR IMAM HUSSAIN A.S NAY US PORAY LASKHKAR KO PANI PILAYA.

BEHAR HAAL AB MAIN APNI ASLI BAAT KI TARAF ATA HOON KAY TAQDEER KO BADALNA INSAN KAY LIYE MUMKIN HAY.MAGAR INSAN KI DUNIYA SAY MUHUBAT KI WAJA SAY ALLAH USKO DUNIA SAY DOOR KARDAITA HAY.JAISA KAY MAULA ALI A.S KA QAUL HAY.

DUNIYA KI MISAAL EIK SAYE JAISI HAY.JIS KAY PEECHAY BHAGO TAU WOH AGAY DORTA HAY.AUR JISKAY AGAY BHAGO TAU WOH PEECHAY DORTA HAY.(MOLA ALI A.S)

WELL DOSTO IS MAIN PARESHAN HONAY KI BAAT NAHI .INSAN AGAR DUNIYA KAY BAJAYE APNI AKHIRAT KI ZIADA FIKAR KARAY GA TAU KHUDA USKO IS DUNIYA SAY BAY NIYAZ KARDAY GA.MAGAR AFSOOS HUM PER ,JO DUNIYA KAY THORAY SAY MAAL KAY BADLAY TARHA TARHA KI TAKLEEF UTHATAIN HAIN.BEHAR HAAL MAIN EIK WIRD BATA DAITA HOON ,JIS KO APP DIN RAAT JITNA CHAHAY PARHAY.APP KI TAQDDER BADAL JAYE GI.MAGAR NAMAZ PARHI JAYE TAU GUNAHO SAY BACHA JAYE.

WIRD HAY (YA MUFAT -TI -HUL-ABWAB)

smartraza Group: Members  Joined: 29th Jan, 2012  Topic: 0  Post: 15  Age:  28  
Blocked
Posted on:2nd Feb 2012, 8:37am
 

RIZQ MAY BARKAT KAY LIYE

SUB SAY BARI BAAT YEH KAY JIS CHEEZ SAY RIZQ MAIN BARKAT HOTI HAY AUR TAQDEER BHI BADAL JATI HAY.WOH DUA SAY ZIADA INSAN KAY AMAL HOTAIN HAIN.CHAHAY INSAN BA ZAHIR MASHRAY MAIN KITNA HI ACHA NAZAR ATA HOO,MAGAR USKAY DIL MAIN BURAYI HO YA PHIR MAUQA NA MILNAY KI WAJA SAY WOH BURAYI ANJAAM NA DAITA HOO,TAU US KAY IN ACHAY AMAAL KA KOI FAIDA NAHI PHIR.KYUNKAY JUB USAY MAUQA MILAY GA AUR WOH TAQAT WALA HOJAYE GA TAU WOH YEH BURAI ZAROR ANJAAM DAY GA.MISAAL KAY TAUR PER AJJ APP EIK SHAREF INSAN HAIN AUR KISI KO TUNG NAHI KARTAY,MAGAR HOSAKTA HAY KAL APP KAY PASS TAQAT AJAYE AUR APP KISI BARI TANZEEM MASLAN MQM,P.P.P,AMAN COMMITEE WAGAIRA MAIN CHALAY JAYE .PHIR APKA IMTEHAN SHURU HOGA KAY APP KITNAY ACHAY HAIN.

TAQDEER KO BADALNAY KAY LIYE NAMAZ ,ROZA WAGERA JAHAN EHAM HAIN WAHAN HUQUL IBAD BHI SUB SAY ZAIDA EHAM HAIN.JISKAY BAGAIR TAQDDER NAHI BADAL SAKTI.CHAHAY INSAN KITNI HI NAMAZAIN PARH LAIN AUR ROZAY RKH LAY.

APP JUB BHI APNAY KISI HAMSAYE SAY MILAIN TAU SALAM KAHAIN ,RISHTAY DARO MAIN AGAR KISI NAY APP KAY SATH BURA KIA HOTAU APP APNA DOSTI KA HATH KHUD AGAY BARHAYAIN.KISI TANG DAST INSAN KO HAQEER NA SAMJAIN,AUR US SAY MUN NA CHURAYE.GHAR MAIN AGAR KOI JAGRA HOTAU APNAY APP KO THANDA RAKAHIN AUR GHAR WALO KAY DARMAIN AGAR APP BARAY HAIN TAU INSAAAF KA FAISLA KIJIYE.

YEH SUB BATAIN JO MAIN BATA RAHA HOON ,YEH EIK KUNJI HAIN KHAZANAY KI.AUR BUHUT BARI KUNJI HAY.IS SAY SIRF DUNYA NAHI AKHIRAAT MAIN BHI APP KAMYAAB HONGAY.IN CHEEZO PER AMAL KARKAY APP DUNIYA AUR AKHIRAT DONO MAIN KAMYAB HOJAYEN GAY.

1>>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013