Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

how to change Luck Line?

Non Medical Discussion   >>  Society and Culture
 
 
 
Maria_z Group: Members  Joined: 07th Mar, 2007  Topic: 28  Post: 259  Age:  25  
Posted on:21st Feb 2009, 4:04am
 

how to change Luck Line?

Luck line ko kis tarah change kia ja sakta hai ya ya jisi hote hai wesi he life time rahte hai? mean agar kisi ke luck bad hai toa usai acha kisai kia ja sakta hai?

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:21st Feb 2009, 4:09am
 

maria

Iss cheez ka logoon ko pata ho tou iss dunia main tou kisi ka koi masla hi nahin rehna tha. Har taraf shanti hi shanti honi thi. Bhar haal, aap sadqa waghera de dia karein aur Khuda se dua kia krein BAS...

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:21st Feb 2009, 4:11am
 

Maria

ya dua badal deti hae taqdeer ko ya tadbeer badal deti hae taqdeer ko. abb faisla aap k hath main hae k kiya choose karain:)
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:21st Feb 2009, 6:32am
 

rE: Maria

apko maloom hai...... bad luck hamari apni ghaltiyon ki wajah se bhi hosakti hai.

khair Dua apki takdeer ko badal sakti hai, try karain ajj hi say :-)

Maria_z Group: Members  Joined: 07th Mar, 2007  Topic: 28  Post: 259  Age:  25  
Posted on:21st Feb 2009, 7:24am
 

hitman n maryam

mai enh chezwo per believe kerte hon ka hand lines hoti hai aur hath ne dekhana cahaye lakin youn he mai na apna hath dekhia tha aur hath dekhne walaye na mujhe kuch galat toa ne kaha lakin mujhe waham laga dia hai.

meri luck line achi hai lakin itni achi ne hai as compare to other family member aur pershaniya bahat hai , mai bahat koshish ker rahi hon na souchwo es barae mai lakin bar bar dhehan esi taraf jata hai ka pata ne shadi ka baad kon se pershani hai, jo unhwo na specially meri edu pouchi.

mujhe malom hai aap logon mai sai kaye log kahe ge ka maybe pamist theek ne ho aap ya soucho agar woi theek ho toa ? i9 ya acha amal ne hai mai na bilwaja he dekhiya.

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:21st Feb 2009, 7:46am
 

Maria

preshaniyan to sab k sath hoti hain. koi insaan bhi aisa nahi jisay koi tention na ho. waise bhi hand lines change hoti rehti hain same nahi rehtin. meray hand mein dolat ki line nahi hae:) dimagh ki line kafi achi hae lekin abhi tak use nahi hui:) aur yeh bhi k main kabhi sucide k liye try na karon warna sachi muchi mar jaongi:) abb main to in baaton ko lekar kabhi preshan nahi hui. insaan jaisa guman rakhta hae waisa hojata hae isliye Allah se acha guman rakha karain. inshaAllah kuch nahi hoga.

Maria_z Group: Members  Joined: 07th Mar, 2007  Topic: 28  Post: 259  Age:  25  
Posted on:21st Feb 2009, 9:48am
 

maryam

maryam aap kisai kah sakte ho ka lines change hote rahte hai, hai pershaniya hoti hai lakin ziyada pershaniya mujhe pagal ker dayiti hai.

maryam baji aap married hai aap ka samne toa sub hai ka aap ka inlaws kisai hai husband aur bache kisai hai. mera toa demagh mai soo tarah ke baatye chalni he hai.

mujhe shaid es laye be tension hai ka unhwo na mujhe sub theek batiya tha pehle be kisi ko baatiya tha woai be theek tha.

chaman0078 Group: Members  Joined: 26th Jan, 2009  Topic: 31  Post: 192  Age:  28  
Posted on:21st Feb 2009, 10:04am
 

You can Changer your Luck Line

ap apni Luck line Change ker saktay ho,   aik historcial bat main ap ko batanay laga hoon,  kisi door main mari nazer say guzri thi:

Ye Hitlor k Baray main ha,

Aik din Hitlor nay apna hath aik najomi ko dhikhya,  or Najomi na kaha, k ap k hath main shohrat (Famous) ki lakeer neih ha,  .  to Hitlor nay apni jaib main say aik Chako (knife) nikal ker apnay hath per aik lakeer bana di or kaha { The Line is ready}  

or ajj  Hitlor ko sari duniya janti ha,

ab ye zarori neih k ap bhi koi Lakeer bana lain,  insan apni kismat 2 cheezoon say badel sakta ha ,  Mehnat say or Dua say

Maria_z Group: Members  Joined: 07th Mar, 2007  Topic: 28  Post: 259  Age:  25  
Posted on:21st Feb 2009, 10:05am
 

maryam

maryam aap kisai kah sakte ho ka lines change hote rahte hai, hai pershaniya hoti hai lakin ziyada pershaniya mujhe pagal ker dayiti hai.

maryam baji aap married hai aap ka samne toa sub hai ka aap ka inlaws kisai hai husband aur bache kisai hai. mera toa demagh mai soo tarah ke baatye chalni he hai.

mujhe shaid es laye be tension hai ka unhwo na mujhe sub theek batiya tha pehle be kisi ko baatiya tha woai be theek tha.

Maria_z Group: Members  Joined: 07th Mar, 2007  Topic: 28  Post: 259  Age:  25  
Posted on:21st Feb 2009, 10:08am
 

chaman

i9 dua sai takder badal jati hai lakin pata ne phir be kyon meri dil mai ajeeb si feelings hai.

islam mai najomi aur kahan ka pass jani ko shaid esi laye mana kia gea hai. kuch aur pane ki talash mai mai na tension he le hai.

Maria_z Group: Members  Joined: 07th Mar, 2007  Topic: 28  Post: 259  Age:  25  
Posted on:21st Feb 2009, 10:11am
 

chaman

i9 dua sai takder badal jati hai lakin pata ne phir be kyon meri dil mai ajeeb si feelings hai.

islam mai najomi aur kahan ka pass jani ko shaid esi laye mana kia gea hai. kuch aur pane ki talash mai mai na tension he le hai.

Maria_z Group: Members  Joined: 07th Mar, 2007  Topic: 28  Post: 259  Age:  25  
Posted on:21st Feb 2009, 10:11am
 

chaman

i9 dua sai takder badal jati hai lakin pata ne phir be kyon meri dil mai ajeeb si feelings hai.

islam mai najomi aur kahan ka pass jani ko shaid esi laye mana kia gea hai. kuch aur pane ki talash mai mai na tension he le hai.

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:21st Feb 2009, 11:01pm
 

Maria

topic acha hai.

per main yahan yahin kahon gi k aapko itna nahi sochna chahiye.aur na hi aap k sochne se aapki luck change ho gi.aur na hi kabhi ye kehna chahiye k humari bad luck hai.

ager hum ye kahein k humari bad luck hai to hum Allah k fesle se razi nahi.is lie jo bhi hota hai jesa bhi hota hai sab Allah ki marzi se hota hai.

aur kabhi ye bhi dua nahi krni chahye k mere naseeb ache ho jaein.kiu k aapki is dua se aap ki kismat badli nahi ja sakti so aap ye dua krein k mere naseeb me jo bhi ho main Allah ka shuker kr ke guzaar jaon.

baqi main in sab baton pe believe nahi krti na hi stars pe na hi is pe.main bas Allah k faisle pe hi believe krti hon.bocz meri kismat kisi k hath me nahi sirf Allah k hath me hai aur Allah hi sab behter jan'nne wala hai.

so Allah Tala'a hume her haal me saber de chahey jitni bhi mushkil ai hon.hume her haal me Allah ka hi sahara lena hai.



s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:21st Feb 2009, 11:07pm
 

Hitman

khair Dua apki takdeer ko badal sakti hai, try karain ajj hi say :-)

main aapki is bat se iteffaq nahi krti..

ji nahi esa bilkul nahi hai k aapki dua se Allah Talaa apna faisla badal de.jo insan ki taqdeer me hai rahe ga wahin chahe aap subh sham dua ker lein.
ager esa hota to kai log aaj apni taqdeer badal lete aur aaj k dour me kisi ko koi preshani na hoti.





Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:21st Feb 2009, 11:14pm
 

Saba dear

nahi saba yahan main aap se agree nahi karti kami Allah k denay mein nahi hum logon k mangne mein hae agar hum log sidq e dil se mangain to possible hi nahi k Allah woh baat poori na kare. hum apni taqdeer apnay hathon banate aur bigaRte hain. jaise jannat aik chaTiyal medan hae abb yeh humare apnay amaal hain hum us ko kitna acha aur khoobsurat apnay liye tayar karte hain isi tarah jahannum main har banda apni aag khud lekar dakhil hota hae yani jaise amaal waisi saza. agar dua ki ehmiyat na ho to log Allah pe bharosa hi choR dain aur kuch na mangain. Allah pak hum sab ko asaniyan phelane ka sharf atta farmaye(ameen)
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:21st Feb 2009, 7:07pm
 

Maryam sis

Taqdeer:....andaza, muqdar, qismat, wo andaza jo Haq Tallah ne roz-e-awal se har cheez k liye muqarar kar dia hai.., naseeb, bakhat.

Qismat:....taqdeer, naseeb, bakhat, muqadar,....

Muqadar:...pehle se likha gaya, andaza kiya gaya, taqdeer kia gaya, qismat ka likha, taqdeer, bakhat.....

yeh to hoi in 3 Alfaz ki tashreeeh....jo k aik hi maaani rakhtey hain....takreeban..


ab atey hain in ki detial ki traf to Insaan ki Taqdeer , Qismat ,Muqadar roz-e-awal se hi likh dia gaya hai.....aur jo Allah Tallah ne likh diya hai wo kisi taur pe badal nahin sakta.......wo ho kar hi rehta hai...iss mien agar, magar, kiu, kese..etc. ki gunjaish bilkul bhi nahi hoti....
to ab mera sawal ye hai k jo chez roz-e-awal se likh dia gaya to wo kese badla ja sakta hai?

jab k maine yahi bat aik mufti se bhi soni jin ka kehna tha k insan ki taqdeer kisi surat nahin badli ja sakti...


ab jab k taqdeeer bhi likhi hoi hoti hai...lekin insaan ko bhi kuch karna parta hai...apni zindagi ki gari chalane k lie..........aur jo qismat k faisley hotey hain un mien koi b rad-o-badal nahin kar saktey.to main samjhti hon k zindagi ki gari chalane k lie hi insan dua kerta hai.kia mera andaza theik hai?

ager mera sochna ghalat hai to plz koi meri is ghalt fehmi ko dour kre.




ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  39  
Posted on:22nd Feb 2009, 2:54am
 

s4u

Humain to nahi pata k hamari taqdeer main kya likha hae, aor dua ka hukm hamin Allah Ta'ala deta hae, aor Tajdar e Khatm e Nubuwwat Hazrat Muhammad (PBUH) ne Hazrat Umer (R.A) k liye dua mangi aor Allah ne Hazrat Umer (R.A) ko Emaan ki aisi dolat ataa ki k woh kya se kya ho gaye. agar insan isi baat pe takya kar k baith jaye k jo taqdeer main hae mil jaye ga to ye munasib anhi hae, Dua aor koshash se Allah inasan k halaat badlta hae aor phir usay jo milta hae hum keh saktay k ye sab kuch us k muqaddar main tha.  

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:22nd Feb 2009, 3:45am
 

nice reply by babar bhai

agar sab kuch azal se likh diya gaya hae to phir to koi masla hi nahi hona chahiye. phir to Allah pak ne yeh bhi likh diya hae k kon jannat mein jayega kon jahanum mein. to abb is k liye effort ki kiya zaroorat hae. jahan jahan Allah ne bhejna huwa bhej dega. Nabi pak(S.A.W.W) ka farmaN hae k apni bachiyon ko Surah waqia sikhao is ki Tilawat se rizq mein izafa hota hae . magar rizq ka taiyun to pehlay se ho chuka hae phir rizq main izafa humaray kisi ammal se kyun mansoob kiya gaya? subha k time ko barkat ka time kaha gaya hae us time jo Allah se mangta hae Allah usay sab se ziada deta hae. to jab sab kuch awal roz se likh diya gaya to is sab ki kiya zaroorat hae. muharram ki 10 aur 11 ka roza rakhne se pichle sare saal k gunnah muaf hojate hain . yeh gunnah to likh diye gaye hain phir kyun in ko miTa diya jata hae. jab koi gunahgaar banda tauba karta hae to us ko phir se aise kyun kar diya jata hae jaisa k woh abhi paida huwa aur pak kar diya jata hae? Allah pak to Rabbe raheem hae aur Kareem hae woh kisi ko bhi takleef ya preshani nahi deta lekin hum log apnay Amaal ki waja se preshani mol letay hain. is ka bhi maqsad yeh hota hae k duniya ki ThoRi preshani k badle Akhirat ki ziada pareshani se bacha liya jaye. agar sab kuch roz e awwal  ka likh huwa waise hi poora hota to Allah pak kisi ko bhi jahanum mein na phenkta.

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:22nd Feb 2009, 5:29am
 

rE: Saba


Dua ka maksad kiya hai phir apke khayal main?........phir tou jo Allah Talah  ne jo dena hai hamain wohi milay ga, dua karne ka kya fayeda......maslan kuch loag shadi k baat betey ya beti ki khuhish kartay hain, aur dua kartay hain mannat mantay hain mazaron per jatay hain k mujhe beta/beti ata farma day ya rab, wo aesa kyun kartay hain kyunke shyaad unki dua kobool hojaye, wo ye kyun nahi kehte k main kyun dua maang raha hon milay ga wohi jo Allah ne dena hai ....dua ki jasakti hai likin  kobool karna ALLAH ka kaam hai,......aur kobool us hi wakt hogi jab Allah talah hamaray liyain behtar samjhain ge ya jo koboliyat k wakt hotay hain......is liyain kehte hain k dua mangte wakt bhi khayal rakhna chahiyai warna kuch ghalat keh diya to koboliyat ki ghari main wo bhi kobool hosakta hai.....

...baaki batain maryam ka reply hian :-)
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:22nd Feb 2009, 10:23am
 

Maria

umeed hae abb aap ka concept clear hogaya hoga. is sari behas ka nichoR yeh hae k ghaib ka ilm sirf Allah pak ki zaat ko hae koi bhi waqt se pehlay nahi bata sakta k kisi k sath kiya hone wala hae . koi kitna hi bara Alim kyun na ho insaan hae aur insaan khata ka putla hae sirf Vahi ka ilm authentic hae isliye is tarah ki baaton ko dil pe lekar preshan nahi hona chahiye. bharosa Allah pe hona chahiye na k kisi palmist pe.
1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013