Suhaag Raat Aur Mobaashrat ke Aadaab – VII
Suhaag Raat Aur Mobaashrat ke Aadaab – VII Mobaashrat ke Bahd Kin Baatoon Ka Khayal Rakhna Chahiay? · Sobbat ke bahd paishaab kerna zaroori hai kuin ke kaheen bar money ka koi drop paishaab ki naali ma atkka rah jaata hai jis ki wajha se irritation,burning ya zakham ho sakta hai. · Mobasharat se farigh ho ker ghussal ker ke soona afzal hai laikin ager shaded saardi ya ghussal kernay ma kuch khoof ho tu ager fajar se pelhay pelhay ager din ma ye amal ho tu agli namaz se pelhay pelhay dono ko ghussal ker laina zaroori hai. · Sobbat ke bahd koi taqatwar cheez khanay se koowat bahaal rahti ha imager paaki hasil kernay ke bahd khaana hi bather hai. · Research se pata chala hai ke intercourse se forum bahd paaani nahi peena chahiay es se dumay ki takleef ho sakti hai. · "Intercourse ke bahd mard aurat ke aur auraat mard ke posheeda raaz na zahir keray." Aik Se Zyada Bivioon Ke Pass Kis Tara Jaana Chahiay Ya Aik Hi Raat Aik Se Zyada Bar Mbasharat Krtay Waqt Kis Baat Khayal Rakhna Chahiay Mobasharaat ke aadaab-o-sunnat ma se hai k eager kisi shakd ki aik se zyada biviyaan hon aur aik hi raat ma wo sub ke pass jaana chahay tu aik ke bahd doseri ke pass jaanay se pelhay ghussal ker lay. Hadees ma gunjaish hai ke aadmi aik hi ghussal ma kaheen bivioon ke pass ja sakta hai. Hazrat Ans(R.A) se riwayat hai ke Nabi(S.A.W.W.) aik hi ghussal ma aik se zyada biviyoon ke pass ho laitay thay. Laikin zyada bather aur munasib ye hai ke aadmi aik bivi se doseri ki teruf jaanay se pelhay taaza wazu keray.Aap(S.A.W.W) kea mal se es ka sabot milta hai.Hazoor(S.A.W.W) ka aik hi raat ma sub Aazwaaj-e-motahiraat ke pass bar bar jaana hua tu Aap(S.A.W.W) ne taaza ghussal fermaya tu jab Aap(S.A.W.W) se es baray ma poocha gaya tu farmaya ke aisa kerna zyada khushgawaari aur zyada safayi ka mojib hai. Ghussal ke binna aik hi aadmi aik se zyada bar mobasharat kerna chahta hai tu ussay chahiay ke doseri mobasharat se pelhay wo wazu ker lay ye mostahib hai. Aap(S.A.W.W) ne fermaya ke jab tum ma se koi shaks apni bivi ke pass jaye aur phir dobara aana chahay tu ussay chahiay ke wazu keray. Doseri jagha fermaya Aap(S.A.W.W) ne ke jab koi shakd raat ke pelhay hissay ma hum bisteri keray phir wo dobara aisa kerna chahay tu ussay chahiay ke pwelhay namaz ki tara achi tara wazu keray. Bivi se sobbat ke bahd wazu aur ghussal ma taharat aur nafasaat ka ahtamaam tu hai hi,jo ALLAH ko behud pasand hai. Laikin health ke point of view se bhi es ka faeda hai ke es se insaan active rahta hai.mobasharat se jo kuwaat kam hui hai wo bahaal hoti hai es se.kaheen khaternaak bimariyoon se bachnay ka bhi ye natural teriqa hai.
|