Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Shaadiyon main taqeer……Kion?

Articles
 
 
mabrish Group: Members  Joined: 26th Dec, 2008  Topic: 15  Post: 150  Age:  33  
Posted on:17th Jan 2009, 12:21pm
 

Shaadiyon main taqeer……Kion?

Assalam Alaikum!!!

 

Shaadiyon main taqeer……Kion?

 

Aaj jahan hamare mashere main ghair rusumath aagaye hain wahien anna parashti bhi kaafi aam hogai hai.jis ki wajha se shaadiyaon main taqeer horahi hain. Aur burai aur gunah aam hota jaraha hai.

 

Ladka chahta hai ke ladki gori ho.padhi likhi aur rupia passa dene wala sasuraal ho.

 

Ladki wale bhi iss mamile main kam nahi woo chahte hain ladke ka zaati makaan ho,achcha business ho aur bank balance ho.aur ek badi farmayesh yeh hoti hai ke family choti ho aur ladke pe kissi kisam ki zemedaari na ho.

 

zara sochain aaj ke daur main jahan itni mahgai badh gai aur ek musalam imaandari se kitna kama payega.be-iemaani se to woo saari duniya kamala ga.mager usski duniya bhi qarab aur akhirath bhi….

 

Aaj kal pahle achchye rishtye milna bahuth badi baat hai.uss main ham log har quobi ko talaash kerte baite to ho gai shaadiyan.

 

Ladka apne khahishaath pe majboor hai to ladki wale apne status se majboor hai.dono surataon main baat ek hi samne aati hai ke…ladke bhi apni jawani kharaab kar rahe hain aur ladkiyan bhi.

 

Main jitney readers hain iss forum per sab se adaban guzarish karoonga ke jahan tak hosake logaon ko targheeb dain ke nikha ke liye ladka ho ya ladki usska deen aur amal daikha jaye.Hamare Rasool Mohammed S.A.W ne bhi farmaya sab se bather wo rishta hai jisko deen ki biniyad per taye kiya jaye.aur sab se achchi shaadi wo hai jis main kam se kam qarch kiya jaye.

 

Aaj koi ladkiyan ghalti kerti hain to iss main inka koi qusoor nahi mere bhai.yeh qusoor to unke walidain aur ham jaisse muslim bhaiyaon ki ghaltiyaon ka natija hai.wo apni jawani ki had khatam ker chuki hain bas issi intezaar main ke koi hamare liye bhi aayega.jisko quda hamare liye banaya hoga.hamain bad dua lage gi inn masoom ladkion ki jo iss aas main jawan hoti hain aur jawan se bodhapa bhi aaja ta hai.ke kashhhhhhhhh,,,,

 

Aisse hi kuch mamilath ko daikh ker aaj ki ladkiyan biger rahi hain.kion ke unko maloom hai ager rishta walidain tai karain to unko itna jahez dena padega ke shaadi hovi tak woo budhi hojayeingi.iss liye ashiqi sab se aasaan tareeqa hai.jis main ladke walaon ki demands kam hoti hain….

 

 

Shaadi sirf teen chizaon ki buniyaad per tai ki jaati hain.

 

1.Hussn ya Quoob surti

2.Mall o dawlath

3.Deen dar & namazi

 

Mohammed S.A.W ne 3rd option ko pasand farmaya.aur kaha ke jo deen dar aur namazi ladki se shaadi kare usski duniya aur akhirath main kamiyabi hai.

                                                                                                                     

Ummied ke allah ham sabko iss baat per amal kerne ki faufeeq ata farma…Ameen

Aap ke qayalath bhi send karain…

Shukriya..

Syed Maqsood….

 

mabrish Group: Members  Joined: 26th Dec, 2008  Topic: 15  Post: 150  Age:  33  
Posted on:19th Jan 2009, 12:37pm
 

Main samajhta hoon...

sach main mai ne kaafi bada article likha hai.mumkin issi liye kissi ke comments abhi tak nahi aaye...itna ziyada aaj ke daur main kaun padhe ga bhai.sab log kuch time nikal ke aate hain...

maafi chahoonga.agli bar short & sweet ka farmula hi apnaonga...

tc...
Allah hafiz
Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1937  Age:   
Posted on:19th Jan 2009, 1:26pm
 

re:

nahi nahi mabrish bhai aap likha kerain.

i read aap ne tu bahot zabardast baat ki hai.really ye aik sachayi hai humari society ki ke rishtay ghalut base per hotay han ye rishtoon ka intezar kartay kartay ladkiyan umer guzar daiti han aur ager koi aye bhi tu wo un ke mayaar ka nahi hota aur doseri teruf ladkay bhi aisay hotay han jo apni life ka wo hissa jis ma uss ki shaadi ho jaani chahiay khud ko settle kernay ma guzar daita hai aur phir ja kar kaheen late shaadi hoti hai.aaj kal materialistic dour hai tu rishtay dolat dekh kar kiay jaatay han aur achay rishtay bhi bahot rare han.

laikin hum sirf walidan ko qasoor war nahi kah saktay es ma poori society ka role hai aur generation ko kheraab karnay ma media ka jo europe aur india ko folow kar rahay han aur aik bara fact ke Islam se bahot dour hotay ja rahay han jis se generation kheraab ho rahi hai.

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:19th Jan 2009, 2:40pm
 

mabrish bhai

bohat hi acha article likha hae aap ne infact yeh aaj hi main page pe aya hae to maine read kiya hae very nice. agar bachon aur bachiyon ki shadiyan waqt pe hojaien to muashray mein fahashi k barrhate huwe toofan ko bhi control kiya jasakta hae.

main aap k topic k through sab se yeh request karongi k insaan ko zindagi mein sirf utna hi milta hae jo us k muqadar mein likh diya gaya hae. us se ziada agar woh ikattha kar bhi le to apnay sath qabar mein nahi lekar ja sakta .so plz shadi karte waqt larrki aur larrkay ki sharafat ko mud e nazar rakhna chahiye. parrha likha hona achi baat hae lekin jo parrhai apnay rishton mein dooriyan peda kar de us se insaan everage hi acha hae.

shakl k aitbar se bhi jo rishtay mein keeray nikalte hain un k liye yeh kahongi k shadi k baad shakal bohat relevant si cheez hojati hae apna husband ya apni wife sirf apnau akhlaq ya mohabbat ki waja se achay lagte hain baad main shakal ko koi nahi poochta.

Abrish bhai aap ka article bhi taveel aur humara jawab bhi:)

mabrish Group: Members  Joined: 26th Dec, 2008  Topic: 15  Post: 150  Age:  33  
Posted on:20th Jan 2009, 5:59am
 

sooth & maryam....shukriya

aap log ke replay daikh ker sach main bahuth khushi hovi.sooth baji aap ki baat bhi sahi hai ke iss ke zimedaar sirf walidain hi nahi balke hamara samaj aur electronic media hai.

maryam baji aap se bhi main itefaaq rakhta hoon.kion ke kissi ko usski muqdar main jitna likha ho utna hi milta hai.....jo aaker chala gaya woo usski taqdeer main nahi....

aap dono ke comments bahuth achchye thye.mujhe bhi kuch seekhne ko mila...

shukriya....
TC..
Allah hafiz
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7911  Age:  56  
Posted on:20th Jan 2009, 10:23am
 

mabrish

masha Allah ... Allah karay zoray qalam aur zeyadah...

maiN to sirf jald shadi hi ka naheeN balkay zeyadah say zeyadah shadiyouN ka qaa'il houN haaaa haaa aik hadees pesh karta houN...

aik sahab dauray resalat maiN aap saw ki khidmat maiN haazir howay aur arz ki Yaa Rasool Allah haath baRa tang hai (matlab yeh k maali madad darkaar hai)... hazoor saw nay farmaya... jaa'o shadi karlo... woh samjhay hazoor ko meri baat sonnay maiN moghaaltah howaa hai... apna sawaal repeat kia... aap nay phir wohi jawaab dia k jaa'o shadi karlo... onn sahab nay hairat say apna sawaal teesri martabah dohrayaa... aap saw nay wohi jawaab dia... ab koi gunjaish nah rahi... on sahab nay majbooran shadi kar li... yaani hamari zobaan maiN ... muflisi maiN aaTTa geela karlia... shadi k baad maali halat aur kharaab hogayee...

phir darbaaray resalat maiN imdaad ki gharz say haazir howay... wohi sawaal kia wohi jawaab milaa... majbooran doosri shadi karli.... maali halat aur kharaab.. tang.dasti baRh gayee... teesri baat haazir howay wohi sawaal kia wohi jawaab milaaa... phir woh sahab rukhsat hogayee (kaheeN door k thay) aur phir lauT kar nah aayee.

aik dafah hazoor saw nay sahaba RA say poocha aik banda aayaa karta thaa... kaafi arsay say aayaa nahi kuch oski khabar hai... jaanay walay nay batlayaa k sahab woh to bahoot maaldaar hogaye hain aur apnay business maiN bahoot masroof hogaye haiN.... (hadees ka ref yaad nahi)

kahnay ka matlab yeh hai k apnay paa'ouN pay kharay honay k baad shadi ka sochna aik ahmaqanah tarzay fikar hai... quran maiN khud Allah kahta hai k tum maiN say jo muflis houN onki shadiyaaN karado, Allah onko malaa maal kardega... Ab Allah aur Allah k Nabi saw k in wazah ahkaamaat k bawajood ajkal k naujawaan shadi say pahlay maal ki fikar kiyouN kartay haiN... yaqeenan onhaiN islamic teaching ka ilm nahi yaa onka imaan kamzore hai..

mash'hoor hai k rizq biwi k naseeb say aur aulaad shauher k naseeb say milta hai.... lekin hi hamari kam aqli........ laRkiyaaN bhi kissi bay.roz.gaar say shadi karnay ko tayyar nahi hoteeN... yaqeenan onhaiN bhi apnay naseeb par yaqeen nahi hotaa, imaan kamzore hota hai....

society k bahoot say maslay ka wahid hul bar.waqt shadi maiN posheedah hai... jab laRka laRki baaligh hojayaiN to jald az jald shadi kardeni chhaiyeh.... magar hum laRki ki shadi to shayad jald kar denay k haq maiN ho bhi jayaiN... lekin laRka /beTa ki shadi jaldi nahi karna chaahtay....... yeh nahi sochtay k agar saray parents yehi sochnay lagengay to phir hamari laRkiyouN ki shadi aakhir hogi kiss say????

sorry bhai reply zara taweel hogayaa...... magar awwal to yeh aik HOT issue hai... doosrtay mera bhi favourite topic........ thanx a lot... ap ka article paRh kay khusi howi k log iss topic par soch rahay haiN.. Allah karay hum sab ki soch main musbat tabdeeli aaye

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7911  Age:  56  
Posted on:20th Jan 2009, 10:27am
 

sorry to say...

peshgi maazrat maqsood bhai... aap taaleemyaaftah bhi haiN ... bar saray rozgaar bhi haiN... 27 baras k bhi hogaye haiN... aur jald shadi k bhi qaail haiN........ magar abhi tak unmarried haiN....phir aap ki taraf say iss taakheer ka matlab??? mind nah karnaa bhai.....imaan ko mazboot karo aur jald az jald shadi kar daalo... agar parents ki taraf say taakheer hai to aik do apni taraf say karlo... jab parents kahengay tab onki taraf say karlenaa..... haaaaaa haaaa
mabrish Group: Members  Joined: 26th Dec, 2008  Topic: 15  Post: 150  Age:  33  
Posted on:20th Jan 2009, 11:20pm
 

thanks to say...............

Masha Allah...myrizvi

bahuth khoob.aap ka andaa-ze-gufatagu to bahuth nirala hai.mujhe bahuth khushi hovi aap kaa replay padh ker.aap ki yeh baat bilkul sahi hai ke ladki ke khadam se rizaq badega, taraqi hogi aur imaan bhi mazboot rahega...shukriyaa aapke sunahre qayalath ka.

Insha allah end of this year main shaadi kerlonga.kion ke last month hi gher walaon ne cousine se meri ring ceremony kerdi.meri choti jane ki dair hai.baja baj jayega.hahahahah


aap sab ka shukriya ek iss topic ko pasand kiya....
tc..
Allah hafiz


myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7911  Age:  56  
Posted on:21st Jan 2009, 3:17am
 

peshgi mobarak ho

son kar khushi howi k aap ki azaadi k din bhi khatam honay wala haiN lol... peshgi mobarak baad qabool kijyeh. aue sada khush rahiyeh
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7911  Age:  56  
Posted on:21st Jan 2009, 3:28am
 

attn: mbarish

tera naam bhi aayaa hai, meray naam k saath?

http://www.forum.noorclinic.com/thread.php?topic=12128


Allah beemaar zehnouN ko sehat day aameen[/url]




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7911  Age:  56  
Posted on:21st Jan 2009, 3:30am
 

plz check above link

??????????

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:21st Jan 2009, 3:44am
 

myrizvi bhai

 aap k reply beshak bohat acha hae lekin poori society hi status k chakar mein hae. larrki wale na sirf barsare rozgar larrka chahtay hain balke yeh bhi k woh well educated bhi ho. abb zahir hae k 20 ,22 saal ka larrka kitna well educated hoga. is age mein to larrkay apni zimadari bhi sahi tarah nahi utha patay. phir larrkay walon ki demands bhi kuch kam nahi unhain bhi larrki hoor pari chahiye ,graduation se kam na ho aur jahez bhi acha lekar aye. to aise main parents apni 5,5 betiyon ki shadiyan kis tarah jaldi kar dain. agar kisi achi family ka larrka koi normal family ki larrki le bhi aye to kabhi us ko woh sahooltain nahi deta jo aik sound family ki larrki ko deta. jo log khud preshani utha kar kisi maqam tak pohanchtay hain woh kabhi kisi doosre ko asaaniyan nahi pohnchate. chahay kisi bhi class tak rasai hasil kar lain.

 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7911  Age:  56  
Posted on:21st Jan 2009, 7:00am
 

baat to such hai....

... magar baat hai roswayee ki

 aap ki baat sad feesad durust hai maryam... hamari society ka yehi almia hai.... magar hai to yeh sab ghair islami naa..... kam az kam hum yeh aagaahi to phailaa saktay haiN....... aaj bhi pakistan ki baaz communities maiN saadgi say aur jald shadiyaaN hoti haiN jaisay memon communities aur deger... yeh log masah Allah paisay walay bh hotay haiN magar kam sak kharchay maiN jald az jald shadiyaaN karnay ka rujhaan rakhtay haiN...

Allah hum sab ko aqlay saleem day aur quran o sunnat k motabiq zindagi guzaarnay ki taufeeq day. aameen......

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:21st Jan 2009, 7:02am
 

myrizvi bhai

Ameen:)

mabrish Group: Members  Joined: 26th Dec, 2008  Topic: 15  Post: 150  Age:  33  
Posted on:21st Jan 2009, 10:47am
 

Assalam Alaikkum....myrizvi

bhai main bahuth hsrminda hoon.sach main kaise itni badi ghalti hogai....main aap se maafi chahta hoon.please mujhe maaf kerdian.

main kissi kaam main tha.aur mujh se bhool hai.apne bhai ko maaf kerdain...
aapke replay ka w8 karoonga..

take care..
Allah hafiz
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7911  Age:  56  
Posted on:23rd Jan 2009, 7:48am
 

maTTy paa'o

dont worry... mujhay aap say koi shikayat nahi...Allah aap ko khush rakhay... sadaa khush rahiyeh. aameen
innovator9 Group: Members  Joined: 25th Jan, 2015  Topic: 4  Post: 74  Age:  22  
Posted on:20th Jun 2015, 5:51am
 

re

Aap log to berozgaar larko ki shadi ki baat kr rahay hain. Yahan pr mainay daikha hai k aksar larkay Lakhon rupay kammatay hain. Lekin phir bhi un ki shadi nahi ki jati.

Jab larka kamaanay lagta hai to phir us k upar Maa baap aur Behan bhaion ki zimadariyan itni aa jati hain k bas shadi ki to baat hi na karain.

Baat karni bohut asaan hai lekin amal krna bohut mushkil hai. Jin users ney upar comments kiye hain, kiya wo kisi jobless gareeb larkay ko apni beti ka rishta dey saktay hain? Nahi

Aur issi tara ye users apnay jobless larkay ki shadi bhi nahi karain gey.

Batain jitni marzi kar lain kam to amal krnay sey hota hai.

I m sorry agar kisi ko bura lagay to.
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Student In Harvard University  How to apply UK student visa  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us