Gulf ki Zindagani......
Assalam alaikum!!! main aap sabse guzarish kerta hoon ke jo bhi gulf main hai ya apne mulk se door hain.plz apnye qayalath send karain.ya ko poetry....
Ye daulat bhi lelo, Ye shohrat bhi lelo GULF KI ZINDAGANI Ye contract bhi lelo, Iqama bhi lelo bhaley cheenlo mujhse meri ye naukri magar mujhko lautado mehnath ki kamaayi wo kaagaz pe likhi, wo bandish purani (esb). Ye chotese kamron mein aat aat bandey jo rahte hain jaisey tokri mein andey wo chitti ka aana aur raathon ka rona ye kapdon ka apne haathon se dhona ye bathroom ki badboo, ye gandi rasoyi bhulaye nahin bhool sakta hai expat koi ye saari museebath hai lambi kahani Kadi dhoop mein bagair A/C nikalna ye paani, ye 7up, ye pepsi ka peena ye superiors ki bathon pe ladna jhagadna ye bimaar padna aur phirse sambhalna ye majboor haalath ye bekasi ki yaaden ye toote hue umeedon ki hai nishaani Kabhi raat ka mushkilon se guzarna darqaast likhna, chutti manzoor na hona wo masoom bacchon ki chaahat hai apni wo kaandhon pe zimmedari ki zanjeer apni na marne ka gum hai, na haalat se bandhan badi bebasi hai ye gulf ki zindagani Ye contract bhi lelo, Iqama bhi lelo bhaley cheenlo mujhse meri ye naukri magar mujhko lautado mehnath ki kamaayi wo kaagaz pe likhi, wo bandish purani.
shukriya...but apne qayalath bhi send kerna na bholain...
|