On Birthday of Qaed-e-Azam
Quaid-e-Azam Muhamad Ali Janah Sahib ki zindgi, Mukhtsir Mukhtesi. December 25, 1876 ko Karchi mian peda huwe, 1882 main home Education start ki 1887 main Sn=ind Madrasa tul Islam Karachi main dakhil huwe. 1892 main 16 sal ki age main Emibai se shadi ki aur Karachi se Europe chale gae, 1893 mainLincoln' Inn joint kya, aurEmibai ki gar main death b ho gae. 1895 main on ki Mother ki wafat pa gaen. 1896 main London se Karachi tashreef le ae. Aur Bombay shift ho gae. 1897 main Bombay High court k Advocate ban gae 1900 main Bombay main as a Presidency Magistrate apointe huwe. 1906 main Dadabhoy Naoroji k personal Secetary appointe huwe. 1907 main on k Father ki death ho gae. aur Supreme Imperial Council main chune gae. 1910 main Qanoon saz Assembly Bombay main select huwe. 1912 main All India Muslim League Council meeting main shirkat ki. 1913 main England gae, wahan London India Association ki bunyad rakhi aur All India Muslim League joint ki. 1915 main main Hidu-Muslim Ithad k ley Mulim League aur Congress joint committee start ki. 1916 main 16th Bombay Provincial Conference k chairman bane. 1917 main Home Rule League k Sadar bane. 1918 main RattenBai se Calcutta se shadi ki. Aur Willingdon Memorial ki jaga People's Memorial Hall ki Construction huwe. 1919 main on ki Beti Dina peda huwe, aur Rowlett Act ki mukhalfit karte huwe Imperial Legislative Council se Isteefa de dya. 1920 main Gandhi se manshoori Ikhtlaf ki waja se Congress chhorh di. 1922 Bombay main all Parties Conference main Hissa leya, 1923 main dobara Imperial Legislative Council k member bane. 1924 main Lahore main All India Muslim League k Sadar bane. 1927 main Simon Commission ka Boycot kya, aur Delhi main Important Muslim League Leaders ki meeting ki sadarat ki. 1928 main Rattenbai ka Intqal huwa. 1929 main Nehro Report k muqabla main main Mashoor treen Quaid-e-Azam k 14 niqat ae. 1930 main London main Gole mez Conference main shirkat ki. 1931 main kuch arsa k ley syasi sar garmyan chorh den, aur London main hi rahe. 1934 main India wapis aae, aur apne aap ko syasat k ley waqaf kar dya, es arse main dobara qanoon saz k member bane, All India Muslim league k permanent Sadar bane aur Assembly main Azad Party k leader muntkhib huwe. 1935 main Jinnah-Rajendra Prasad Formula k teht Government of India Act 1935 pass kya. 1936 main 1935 ka Election larhne k ley All-India Muslim League Central Parliamentary Board banaya. 1937 main Act 1935 k teht sobae Election huwe, Congress ko 6 sobon main kamyabi mili aur All India Muslim League ek Thhos Jamat k tor pe samne aae, aur Azadi ki Jado jehd zor pakarh gae. 1938 main Culcatta main Muslim League ki special meeting ki sadarat ki. 1939 main Congress Rule k teht Muslims k sath Nainsafi k khilaf Royal Commission talb kya. 1940 main tareekhi Qarar dad-e-Lahore pass huwe. 1943 main Rajagopalachariya ka formula reject kya. Aur Karachi main All India mUslim League k Jalsa aam se khatab karte huwe kaha keh "ham ne apna Parcham aur plate form hasil kar lya hay, aur sab se barh kar ye keh hamare pass ab Pakistan bnabe ka thhos maqsad hay. Bar-e-Sageer k charon taraf Tofan ki tarah phel jao" 1944 main Janahh-Gandhi Meeting huwe. 1945 main Shimla Conference main hissa leya. 1946 January main All India Muslim League ne Election main wazeh Kamyabi hasil ki. April 4 main Cabinet Mission k sath meeting huwe. April 9 main All India Muslim League ki sobae aur qomi Assembly k members ki meeting Delhi main blae. May 16 main Cabinet Mission plan ka élan huwa. June main League ne Cabinet Mission plan aur short term plan b qabool kar lya. July main jab Jab Congress ne short term pln mn'ne se inkar kar dya to Muslim League ne pehle se qabool kya huwa faisala wapis le lya. Aur Direct Action Wrest Pakistan. August 16 Direct Action Day, October 25 main All India Muslim League ne Aboori Hakoomat main hissa lene ka faisla kya. December 2 main Secretary of State ki dawat pe London gae. 6 December ko British Govt. ne Cabinet Mission ki bunyad par Muslim League ko support karne ki wazahat ki. 1947:- Feb 20 main Prime Mimister Attle ne elaan kya keh British har hal main June 1948 se pehle India ko Ikhtyarat wapis kare. June 3 main partition ka plan pesh kya, July main British parliament govt ne India Independent act pass kya. 7 August ko by air Delhi se Karachi aa gae. 11 august ko Pakistan Constitution Assembly k Sadar muntkhib huwe. 14 august ko Pakisan Marz-e-wajood main aya. Aur ape s k pehle Governer Genral bane. October main Lahore main muhajreen k Lahore main Camp Tashkeel dey. December 25 1947 ko pehli Official Birthday calibrate ki. 1948; july main State Bank of Pakistan ki bunyad rakhi. July 14 ko rest k ley Zyarat gae. 14 August ko pehla yom-e-Azadi manaya, aur qom ko apna akhri massage dya, Aur September 11, 1948 ko Intqal kar gae, Aaj Quaid-e-Azam Muhamad Ali Janah Sahib ka yom-e-pedaesh hay, aap es moqa par apne Mulik k Leaders ko kya kya mashwara dena chahen ge. Takeh agr koe hamara Mulik behrano aur mushqilat se nikal sake..
|