Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Article: Muhobbat karne se pehle zara socho

Articles
 
 
Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4722  Age:  32  
Posted on:11th Dec 2008, 7:58pm
 

Article: Muhobbat karne se pehle zara socho

Article: Muhobbat karne se pehle zara socho

 

 

Duniya bhar mein bhut se loog muhobat karte hain.kisi ko pyar mel jata hai aur kisi ko nehin.aur kuch logo ka kehna yeh bhi hai ke pyar sab bakwas hai.aur kuch loog muhobbat par jaan bhi de dete hain.

 

Mera kehna yeh hai ke pyar har insaan ko life mein aak baar zaroor hota hai.kisi ko bachpan mein aur kisi ko jawani mein.aur kisi ko shaadi ke baad.koi yeh nehin keh sakta ke os ne kabhi kisi se pyar nehin kiya

 

Shaadi ke baad wala bhi pyar he kehlata hai.bas farak itna hota hai ke shaadi se pehle koi acha lagne lagta hai.aur kuch shaadi hone ke baad achey lagne lagte hain.pyar aak feeling hai.aak khowaish hai.jis tarha humhe kisi cheez ki khowaish hoti hai ke hum walaan cheez lena chahte hain.

 

Osi tarha pyar bhi aak esi feeling hai jo passand na passand ke sath jori hoi hai.jis tarha humhe koi cheez passand aa jaye phie ose paane ko dil karta hai osi tarha pyar bhi esi cheez hai jo passand aa jaye to ose paane ko dil karta hai.

 

Pyar ho jaye phir pyar mein categories aa jati hain.aak pyar aak tarfa hota hai aak pyar do tarfa hota hai.aak pyar bajboori hoti hai.aak pyar shak hota hai ke shahyed pyar ho giya hai.

 

Aak tarfa woh pyar hai ke aap kisi ko pyar karte hain lekin dosra aap ko pyar nehin karta.do tarfa pyar woh hai jo donu ladka aur ladki pyar karte hain.majbori wala pyar woh hai jo donu mein se koi aak pyar karta hai aur dosra os k pyar ki waja se os ko apna pyar ehzar kar deta hai ke kahein ose dukh na ho.

 

Jab ke woh khud pyar nehin karta hota sirf os ki khoshi ki waja se apni qurbani de deta hai.shak wala pyar woh hota hai jis mein donu ko shak ho ke shahyed ladka mujse pyar karta hai aur ladka samujta hai ke shahyed ladki mujse pyar karti hai.lekin donu he kuch nehin keh paate.

 

Pyar koi bhi ho sab karna asaan hai.lekin koi bhi pyar nibahana bhut mushkil hai..pyar to insaan kar leta hai lekin os ke sath sath apne ird gird mushkil khadi kar deta hai.jo ose nazar nehin ati baad mein jab nazar ati hai phir dukh he dukh melta hai.

 

Mera experience yeh hai ke pyar woh karo ke ladka ladki donu ko aak jitna ho.donu aak dosre par marte hon.lekin os ke sath sath kuch baaatein bhut he zaroori hain.jis ke liye main ne yeh article likha.

 

Pyar jab hone lage to kuch baato par nazar daal leni chahein.kyun ke ager pehle nazar daal le ge to kal ko mushkil aur dard nehin ho ga.ager pyar purana ho jaye ga to utna he dard aur aanson de kar jaye ga.lehaza insaan karne se pehle aagey ki soch le.

 

Sab se pehle ladka ya ladki yeh sochey ke on ke es faisle se on ke maa baap razi ho jaye ge?pyar ke liye aak jesa status bhi bhut zaroori hai.donu aak jese hon.ager ladka ameer hai to ladki bhi ameer honi chahein warna maa baap nehin razi ho ge.

 

Taleem honi chahein..khass tour par ladke ki.ladki ki ager kam bhi ho chal jati hai.kyun ke ladke apne maa baap ko asaani se manwa lete hain.lekin ladkiyon ko zara mushkil hoti hai.

 

Lehaza ladke ki taleem ladki se zaida honi chahein.donu pyar karne wale aak dosre se mukhlis hon.yeh nehin ke waqt ane par ladka change ho jaye ya ladki change ho.donu aak dosre ki baat maane..ager donu mein se koi najaiz kaam karne ko kahe to dosra os se agree na ho.

 

Ager ladka sex karne ko kahe ke shaadi to tumhe se honi hai to sex bhi kar lete hain.to ladki ko chahein ke woh samuj jaye yeh pyar nehin sirf dukha hai.esi tarha ager ladki ladke se rooz rooz nayi nayi farmash kare ke mujhe walaan cheez chahein to ladke ko bhi samuj jana chahein ke ladki sirf paiso par marti hai pyar nehin karti.

 

kyun ke sucha pyar karne wali ladke ko kabhi koi khass farmish nehin kare gi.woh saving karne ko kahe gi.os ke baad pyar ko zaida dair tak nehin chupana chahein.ose apne ghar tak pohanchana chahein.ta ke pyar ko shaadi kar ke apni manzil tak pohanchaya ja sakhe.

 

Pyar mein kabhi sex ko nehin lana chahein.jab pyar mein sex aa jaye ga to woh pyar boring ho jaye ga.aur aak din toot jaye ga.aur wese bhi meri nazar mein woh pyar he nehin hai jis mein sex ho.

 

Pyar ke liye ladke ke pass paisa hona chahein.ager ladke ke pass paisa nehin to ose koi ladki nehin de ga apni.kyun ke maa baap sab se pehle yehi sochte hain ke on ki beti ese ghar jaye jo ladka acha khasa kamata ho aur os ka apna ghar ho.lehaza pyar karne se pehle apni ukaat dekh leni chahein.

 

Aur aakhri baat jo sab se import baat hai.ke jab pyar ho to forun istakhara karwana chahein ya khud karna chahein.ta ke aap ko yeh pata chal sakhe ke aap ka pyar aap ka life partner ban sakta hai ke nehin,kyun k eager aap ko pehle pata chal jaye ga to kal ko rone se acha hai ke aap ose aaj he choor de.

 

Pyar karne ke liye sirf yeh umeed he kafi nehin ke aap apne pyar ko hasil kar le ge chahe kuch bhi ho zabardasti shaadi kar ke he.jab tak Allah nehin chahe ge aap kabhi apne pyar ko hasil nehin kar sakte.

 

Lehaza pehle istakhara karna chahein ta ke yeh pata chal sakhe ke aap ka pyar aap ka husband ya wife hai ke nehin?

 

In sab baato ko ager pyar karne se pehle hum soch le to aap ko kabhi dukh nehin hoga.aap ka pyar aap ko takleef nehin de ga.aap ka pyar aap ka sapna nehin toore ga balke khoshi bane ga.

Pyar k hawale se koi problem mein hai to woh es topic mein discuss kare.main ose proper guide karon ga.lekin post short story ke sath kare.

 

 

 

 

Written By Veer

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:12th Dec 2008, 12:43am
 

Muhobbat karne se pehle zara socho

Veer bhai aapka article to buhot acha hai..

per is me ye samjh nahi ai k pyar krne se pehle insan soche..
kiu k pyaar kia thori jata hai pyaar to khod hi ho jata hai..

to is barey me aap kia kehna pasnad krein ge.


  • Mohabbat aik aisi cheez hai jo seekhney ke aur kise k batane ki nahi. (Hazrat Maroof Krkhi)

  • Mohabbat ki koi manzil nahi is ki ebtida & entaha aik hai.( Hitler)

haan berhal Istekhara ker lena buhot hi acha hai.
Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4722  Age:  32  
Posted on:12th Dec 2008, 10:49am
 

s4u

aap sehi keh rehi hain..ke mohubat to ho jati hai..lekin jab mohubat hoti hai to hum aishta aishta apne pyar ke kareeb hote jate hain.kuch bhi sochte nehin..jab bhut zaida kareeb ho jate hain phir shaadi ki tamana karte hain.

to mera kehna yeh hai ke pyar to ho giya lekin agey aap ne kya karna hai to zara socho..aap ko itna kareeb na le kar jao ke aak din aap ose hasil bhi na kar sakho aur choor bhi na sakho.

article mein jo baatein mein ne batayi.woh pyar ki base hain.ager hum pyar kar le to foran es baato ko dekh le soch le to phir hum yeh andaza laga sakte hain ke hum apne pyar ko apni manzil tak le kar ja sakte hain ke nehin.

baaz dafa esa hota hai jinhe pyar hota hai woh apne dil ka haal kisi se share zaroor karte hain.to share karne se pehle hum khud bhi kuch soch sakte hain..jo main ne baatein batayi yeh pyar karte waqt sochi ja sakti hain koi mushkil nehin hai

rajmallik Group: Members  Joined: 04th Jun, 2008  Topic: 23  Post: 750  Age:  29  
Posted on:12th Dec 2008, 4:31pm
 

veer

agreed
MuneemShah Group: Members  Joined: 13th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 5  Age:  30  
Posted on:13th Dec 2008, 2:30pm
 

Salam Veer Bhai plz solve my problem

aap ka article tu bohat acha he aur aap ne jo bhi likha wo sahi hai

me kis se shadi karna chahata hoon us ke aur mere ghar wale nahi mante

me dubai me job karta ho aur aur aap ke sab baton ko mene parha un sab par amal bhi hai lekin mene istakhara nahi kiya kabhi abb koi hal batao ke mere ghar wale man jaein????

 

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1432  Age:  27  
Posted on:13th Dec 2008, 5:37pm
 

veer

Pyar k hawale se koi problem mein hai to woh es topic mein discuss kare.main ose proper guide karon ga.lekin post short story ke sath kare.

sub sy bara problem tu mary saat hai,,ap ager such main help karsakty hai tu may apni problem post karta houn,,,,plz reply,,,,,,,,,,,,,,,

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4722  Age:  32  
Posted on:14th Dec 2008, 8:08pm
 

MuneemShah

sab se pehle aap istakhara karwaye..ta ke aap ko yeh pata chal sakhe ke aap ke agli life kesi rehe gi os ladki ke sath.yeh jaanna zaroori hai kyun ke aap jis se pyar karte hain os ko life partner banana chahte hain to pehle istakhara kare ke woh aap k sath achi rahe gi ke nehin

aur aap mujhe yeh bhi bataye ka aap ke maa baap reason kya batate hain ke woh kyun shaadi nehin karna chahte?aur ladki ke maa baap bhi kya chahte hain?koi reason to batayi ho gi?

sab pehle aap meri in baato ka jawab de phir main aap ko munasib mashwara don ga.

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4722  Age:  32  
Posted on:14th Dec 2008, 8:10pm
 

khayali

yeh dear aap apni problem share kare inshallah main aap ki problem hal karne ki poori khoshish karon ga.
khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1432  Age:  27  
Posted on:15th Dec 2008, 7:55am
 

veer bhai

ha yar dil tu cahta hai per is sy phely b may ny discuss karny ki kosish ki tu result ulta huwa,,provblem maslak(firqy) ka hai or may nahi cahta ki meri wajy sy yaha foram p koi problem hojaye,,is lye jany dy ,,,,,,
MuneemShah Group: Members  Joined: 13th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 5  Age:  30  
Posted on:15th Dec 2008, 1:00pm
 

Veer Bhai

veer bhai mere maa baap ka reazan yea he ke shadi karni he tu rishte daro mein karo kisi aur cast mein nahi karni he jahe kuch bhi ho aur us ke maa baap kehte hain app ke ghar wale aain tu hum rishta dein ge warna nahi pehle kehte they hum nahi karein ge lekin aab yea kehte hain aap koi hal bataein mere ghar wale sab razi hain is rishte se lekin sirf mere papa nahi mante  

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4722  Age:  32  
Posted on:15th Dec 2008, 8:07pm
 

MuneemShah

sab se pehle aap istakhara karo.ke woh ladki aap ki qismat mein bhi hai ke nehin.

aap ki profile mein likha hai ke aap computer designer hai kya aap koi job bhi karte hain.?

ager koi job nehin karte to foran koi job kare.ladki ka ghar wale ager yeh kehte hain ke rishta behjo phir hum rishta kare ge to phir problem aap ki taraf se ho rehi hai.aap apne father ko samujane ki khoshish karo

onhe batao ke aap shaadi karo ge to sirf osi ladki ke sath karo ge.onhe khul kar apne dil ka haal batao jo aap feel karte ho woh batao onhe nehin bata sakte to apni mother ko batao.

woh khud he aap ke father se aap ki request kare.apne father ki khidmat karo.on se bare pyar se manane ki khoshish karo.aak baar yeh kar ke dekho ager nehin maante to phir yahan batao kya kehte hain woh?

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4722  Age:  32  
Posted on:15th Dec 2008, 8:12pm
 

khayali

aap es tarha na bataye ke aap ki post kisi koi buri lage aur forum disturb ho.

aap apna masla share nehin kare ge to os ka hal kese nikale ga?

MuneemShah Group: Members  Joined: 13th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 5  Age:  30  
Posted on:17th Dec 2008, 10:44am
 

Veer

Sab pehle veer bhai aap ka bohat shukariya ke app itni help kar kar rahe hain aur mein dubai mein job karta hoon aur jo aap ne likha he wo sab mein pehle kar chuka hoon aur papa ko bohat pyaar se manane ki koshish bhi ki aur ammi ko bhi kaha lekin ammi tu razi hain aur baki sab ghar wale bhi razi hain bas ek papa nahi razi aur ghar mein papa ki marzi chalti hain jese wo kehte hain sab wese hi karte hain mene bohat koshish ki papa ko yea bhi kaha ke mein ke bager nahi reh sakta lekin wo nahi mane phir mein dubai me shift ho gaya me ghar me kisi ko bhi bata ke nahi aaya tha dubai mein ne socha ke mere aesa karne se papa man jain ge lekin wo nahi mane aur yea hi kehte hain agar khud karni he tu karlo phir ghar mein nahi aana aur me na aaj jaon ga na kal kabhi rishta leke nahi jaon ga ab ap batein kiya karoon
MuneemShah Group: Members  Joined: 13th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 5  Age:  30  
Posted on:17th Dec 2008, 10:46am
 

Veer

Sab pehle veer bhai aap ka bohat shukariya ke app itni help kar kar rahe hain aur mein dubai mein job karta hoon aur jo aap ne likha he wo sab mein pehle kar chuka hoon aur papa ko bohat pyaar se manane ki koshish bhi ki aur ammi ko bhi kaha lekin ammi tu razi hain aur baki sab ghar wale bhi razi hain bas ek papa nahi razi aur ghar mein papa ki marzi chalti hain jese wo kehte hain sab wese hi karte hain mene bohat koshish ki papa ko yea bhi kaha ke mein ke bager nahi reh sakta lekin wo nahi mane phir mein dubai me shift ho gaya me ghar me kisi ko bhi bata ke nahi aaya tha dubai mein ne socha ke mere aesa karne se papa man jain ge lekin wo nahi mane aur yea hi kehte hain agar khud karni he tu karlo phir ghar mein nahi aana aur me na aaj jaon ga na kal kabhi rishta leke nahi jaon ga ab ap batein kiya karoon
MuneemShah Group: Members  Joined: 13th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 5  Age:  30  
Posted on:20th Dec 2008, 4:29pm
 

Veer

Veer Bhai aap kahan ho mere baat ka jawab nahi diya

aap ne abhi tak

plz koi hal batao

Chaman Group: Members  Joined: 24th Aug, 2008  Topic: 9  Post: 60  Age:  35  
Posted on:1st Jan 2009, 10:05pm
 

hii

 

 its nice artical magar j mohabat eik Pagal Pann hy Bass ho jati hy

j koi Kaproo(Cloths) Par pari hoi dhool nahi hoti jis ko jhaaarr doo orr woo

utter jayyy will take time.....................

                  Mohabat jeet hoti hy magr J haar jati hai...

                  kabhi Dil soz lamhon se, kabhi bekar rasmon se,

                  kabhi takdeer walon se, kabhi majboor kasmoon se,

                  magr j Harr jati hy, kabhi j dhool jaisi hy,kabhi j chand jaisi hy,

                  kabhi dhoop jaisi hy,kabhi masroor karti hy,kabhij rog deti hy,

                   kisi ka banti  hy, kisi ko rool deti hy,kabhi le paar jati hy,kabhi

                   j maar jati hy, Mohabat jeet hoti hy magr j haar jati hy.

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4722  Age:  32  
Posted on:29th Oct 2011, 6:18pm
 

MuneemShah

ager aap online hote hain to yahan reply kijiye ga main aap ki problem hal karne ki poori khoshish karon ga.
Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4722  Age:  32  
Posted on:31st Oct 2011, 9:26pm
 

alirajput

thanks for tareef.

my all articles:



For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistan Day Celebration In Malaysia  How To Fill Out A Job Application  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us