Is Online Chatting b/w Opposite Sex Members In Isolation Haram (Forbidden)?
Men and Women Online
Ye aik bara important question hai, jo ke humari youth me aaj kal ke common trend ko reflect kerta hai, jab majority ye bhi parwa nahi kerti ke hum religion ki batayi hui restrictions ko sikhain ya follow kerain jis se humari society me morality preserve rahay tu phir es sub ke liay un sophisticated modern communication means ko thanks, jis me her koi koshish kerta hai ke wo new technology ki her cheez ko try aur hasil keray.
ye her muslim ke mind me rahna aur uss ke liay jaanna zuroori hai ke wo es waqt kidhar khara hai, jaisa ke uss ke pass modern technology ka full right hai ke uss ki her opportunity ko poori tara use keray tu phir ussay ye bhi nahi bhoolna chahiay ke uss per Allah ki teruf se kya duties han jis ne ussay ye comfort aur prosperity di hai.ussay apni noble identity preserve rakhnay ke liay religion ki teachings se deviate nahi kerna chahiay.
Es question ke response me,sheikh Ahmad, Islamic Institute of Toronto, Ontario, Canada ke aik senior lecturer aur Islamic scholar state kertay han:
"Opposite sex members ki chatting,chahay wo muslims hon ya non-muslim, personally face to face ho, ya phone per ya chat lines sub same category me aati han.es ka haram haram hai aur es ka halal halal hai."
Islam allow nahi kerta muslims ko ke wo opposite sex se companionship aur casual conversation ke liay friendly hon; ye es ke risks ke liay manna kiya gaya hai; es me isolation hai, unlawful flirting aur unlawful thoughts, desires ya lusts produce hotti han.
However, occasional, serious, business-like conversations opposite sex member ke saath lawful han chahay ye face to face hon laikin her kisi ko es case me bhi interaction ke Islamic ethics (clean without bad-intensions) ko observe kerna ho ga.
Islam sikhata hai ke muslim ko sirf un cheezon se avoid nahi kerna chahiay jo haram hon balkay un sub se bhi jo soul me agitation ya doubt ya restlessness cause kerti hon.
Rasool Allah (sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya:
"gunnah wo hai jo tumharay dil aur dimagh me agitation cause keray; jab ke naiki wo hai jis me tumhara dil satisfy aur peace me ho".(Ahmad ne report kiya)
Unnecessary chatting me engage hoonay se unexpected consequences hottay han.es se humaray bhi aur doseray persons ke mimd me bhi suspicious aur doubts produce hotta hai.tu hum sub ke liay best advice ye hai ke apnay honor aur religion ke safeguard ke liay hum es ko start se hi avoid kerain.
Rasool Allah (sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya:
"halal bhi wazaya hai; haram bhi wazaya hai, laikin kuch case han jo dubious ya doubtful han; tu apnay religion aur honor ko safe rakhnay ke liay in se avoid kerain; tu jo in ko avoid nahi keray ga uss me haram me fall kernay ke risks zyada hon gay jaisa ke aik shepherd apnay herd ko grazing ke liay aisay area me lay jaye jo forbidden ho, phir uss me ye risk barh jaye ga ke wo uss forbidden area ko occupy ker lay!". (Al-Bukhari aur Muslim)
Ager aap ye ooper ka fatwa carefully read kerain, ye clearly bataya gaya hai ke namahrum men aur women me phone per ya phir internet per intermingling same category me aati hai,es liay aap ka concern ye nahi hoona chahiay ke aap communication medium kon sa use ker rahay han.ye kahaa jaata hai ke jab man aur woman alone hon tu shaitan un me third person present hotta hai.tu ye shaitan ke liay great opportunity hotti hai ke wo fitnah ko spread keray,even communicators interested nahi hottay phir bhi shaitan un ko distrack kernay ki pori koshish kerta hai aur wo islam ki baat bhi ker rahay hon tu unhain kuch aur soochnay per majbour kerta hai.kuin ke jab aap islam ki ya koi bhi sahi baat kertay han tu shaitan ko ghussa ah jatta hai.hum kuin real life me opposite sex member se koi bhi topic akelay me discuss kerain?jab ke namahrum ke saath friendship allowed hi nahi hai,tu phir kya ye acceptable ho ga ke hum internet per un ke friend bun jayain?ye baat nahi hai ke hum unhain dekh saktay han ya nahi dekh saktay, hijab ka meaning sirf ye nahi hai ke hum apni body ko hi sirf cover ker lain, es ka meaning "haya" hai jis ko humain apni life ke her aspect me maintain rakhna chahiay.
Mera opinion ye hai ke ager start se hi aap sub In sub baatoon ko mind me rakhtay huay namahrum se kisi bhi source se real aur virtual world me akelay communicate kernay se avoid kerain tu na aap kisi namahrum per trust kerain gay aur na hi real aur net ki fake world me dokhaa khayain gay, na liking aur love me idulge hon gay aur na hi flirt ho ga,na opposite sex member se unlawful thoughts, desire, lust produce ho ga, na illegal activities hon gi, na distracking aur unlawful activities ka risk ho ga, na net per shareef khandaan ki ladkioon ke scandal bunain gay, sub illegal premarital relationships aur girlfriend-boyfriend culture bhi humari society se kafi hud tak control ho jayain gay (jo ke sub humari society me ab common ho gaya hai).
Purpose sirf ye hai ke apnay nafs per control rakhain aur shaitaan ki her chaal ko kamzoor kertay jayain,ager shaitan ko apna dushmaan sumajhtay han tu uss ke madadgaar mat bunain sirf wo kerain jis ka Allah aur uss ka Rasool (sallallaahu alaihi wasallam) hukam daitay han.Insha-Allah es se deen, dunia aur akhrat me kamyaabi hasil ho gi.es matter me koi aap ki madaad nahi ker sakta jab tak aap khud ready na hon plus Allah ne aap ko full guidance aur sahi aur ghalut rah ki selection ka full ikhtayaar day diya hai aur ab ye aap per hai ke aap khud ko apni shaaksiyat ki oonchayi per aur uss ke real standard per poonchatay han jo Allah ne aap ke liay pasand kiya hai ya vice versa.
Allah Pak fermatay han:
"Jab main kisi insaan ko kuch kernay ka hukam daita hon tu ussay koi naffa poonchana chahta hon aur jab kisi baat se manna kerta hon tu kisi bahot baray nuksaan se bachana chahta hon". |