Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics
Recent Reply
Social Problem
  Start New Topic  My Profile
   

Bewakoof: Where Are You?

Chatting   >>  Gup Shup
   
  8 Paigham e Quran and Hadees
 
Azfar-K Group: Members  Joined: 01st Mar, 2009  Topic: 3  Post: 767  Age:   
Posted on:29th Aug 2009, 10:02pm
 

re:

Main ne pehle bhi kaha tha k chatting k liay or bhi websites hain or private chatting ka option ajaega to sirf  is forum par galat cheezain hongi,wo isliay k yeh aik medical sex related forum hai or chatting main sirf or sirf bad influence rahe gi forum ki or apko pata hai kitne aise members aate hain jo sirf or sirf larkion se ghire rehte hain or abusive replies badtameezi karte hain or new members jo aate hi apni email ids or phone no. exchange karte hain jaise ye koi love finder ki website ho..

Is se sirf or sirf forum ki reputation kharab hogi....im not in favour of this option.

Azfar-K Group: Members  Joined: 01st Mar, 2009  Topic: 3  Post: 767  Age:   
Posted on:29th Aug 2009, 10:03pm
 

Good

Pani baji :P
Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3783  Age:  27  
Posted on:29th Aug 2009, 10:05pm
 

thanks azfar

i just mixed asif with u.i suppose he is asif 90 n u r azfar 91........
Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3783  Age:  27  
Posted on:7th Sep 2009, 12:37pm
 

bewaqoof:where are you

where are u from so many days??????
Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3783  Age:  27  
Posted on:28th Nov 2009, 1:45pm
 

Bewaqoof

""mai har waqt hazir hone ko tayyar hoo, lekin mai apni soch, aur style change nahi ker sakta. iss forum ki aksariat ko mera style pasand nahi, woh meri soch se agree nahi kerte, aur na hi meri baato ko bardasht kerte hai, woh mujh se ulajhne lagte hai, bilawajah mujh per personal attack kerte hai. asal topic ko divert ker ke meri zaat ko tanqeed ka nishana banate hai. mai bhi aik insan hoo, mai yeh sab kaise bardasht ker sakta hoo.

mai na tu apni soch badal sakta hoo aur na hi apna style, lehaza  clash se bachne ka behtar tareeqa yahi hai keh mai forum se door door hi rahoo.""

re:

ye tou mujhe nai pata k apka style etc kisi ko pasand ha ya nahee bt meri observation ye ha k Bewaqoof Id Is the most missed Id of forum, kunke apke jatey hee har aik ko dosri Id's mai Bewaqoof Id nazar aney lagti ha. Hahaha, i mean k har id ko log bewaqoof se milaney lag jatey hain :)

ye aik practically impossible baat he aj k dour mai k koi bhe apne envt k 100percent logo ko kush rakh sakey.. Jis se har bunda kush n mutmaeen ho wo munafiq he ho sakta haa kunk sach hazam karne ka hosla bohat kum logo mai ha... Sach bolna shaid asan he magar sunna bohat mushkil kunke bey aeeb sirf Allah han

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:29th Nov 2009, 2:55am
 

wo munafiq he ho sakta haa

Jis se har bunda kush n mutmaeen ho ...

agreed.

lekin agar kissi (like bewaqoof / mera sawaal etc etc ) say (less or more) har bandah naraaz aur ghair mut.main ho to woh kia hosaktaa hai ??????????

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:29th Nov 2009, 3:16am
 

aik normal insaan

maiN kuch khoobiyaaN hoti haiN to kuch khamiyaaN bhi. insaan nah to farishtah hota hai k koi khaami hi nah ho aur nah hi shaitan k osmaiN koi khoobi hi nah ho.

"achaa insaan" ossay kaha jata / jasakta hai jiss main khoobiyouN ka palRa bhari ho aur "bora insaan" ossay jismaiN khamiyoun ka palra bhari ho bilkhasoos human-interaction (haqooq ul ibaad) k 'hawalay' say.

yeh aik common sense /observation ki baat hai k "achay insaanouN" par boray log TANQEED kartay haiN aur onhaiN 'bora bhala' kahtay haiN.... jabkay "boray insaanouN" par achay log....

tanqeed dounouN qism k logouN par hoti hai... asal maiN har insaan apnay jaisay (achay yaa boray) logouN ko like karta hai aur onhi ki tareef karta hai.... aur apnay say opposite logouN ko dislike karta hai /onpar tanqeed karta hai.

iss qism k forums maiN bil.amoom logouN ki "asal personality" hidden rahti hai. woh apnay baray maiN "limited info" hi deta hai... iss mahaul maiN oski shakhsiyat sirf aur sirf oskay likhya howay wordz say "banti" hai. oskay aamaal yaa oski haqeeqi zindagi say nahi.

jab koi mujh par "tanqeed" karta hai to maiN yeh dekhtaa houN k mujh par tanqeed karnay wala khud kaisaa hai... agar oska shomaar "achay logouN" ki fahrist maiN hota hai to maiN oski tanqeed ko sanjeedgi say leta houN aur tanqeed k motaabiq khud ko sodhaarnay ki koshihs karta houN....... lekin agar mujh par tanqeed karnay walaa (agar kam ilm /nadaan nah ho) ... "boray logouN" ki fahrist say talluq rakhta ho to main khush hotaa houN aur issay apnay liyeh 'ezaaz'  samajhtaa houN...

issi "formulay" say ap qaumi seyaasi shakhseyaat ko bhi parakh saktay haiN.... agar kissi seyasi leader ko indian lobby, american lobby, yahoodi lobby, communist lobby, muslim-dushman lobby maiN "maqbooliat" haasil ho to samajh laiN k aisaa seyasat.daan kabhi bhi islami jamhooria pakistan ka "khair-khaah" nahi hosaktaa 

Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3783  Age:  27  
Posted on:29th Nov 2009, 6:36am
 

Myrizvi :)

Ye tou nai pata k kisko kya kaha jaey maine aik general baat ke ha Bewaqoof ke jawab mai,

apne khobe n khamee wali baat theek ke ha magar kabhe kabhe yeh bhe hota ha k insaan ke sirf aik khamii uski tamam khoobeyoun par hawai hoti ha aur wo acha nai consider hotaee magar wo hotey han achey(e.g kuch log bolney mai tursh mazaj hotey hain log dislike kartey han unko bt wo dil k best hotey hain unlog se zada achey jo meethi choori hote hain)

ye baat sahe ha net world mai ap apne oper khool charha sakte hain,logo ko kuch aur potray kr sakte hain but mujhe lagta ha k agar 2,3,4 ids houn tou best usey mai feel kartey hain n easy jo apki real shakseyat se thora he bt match karey(waisy maera exprnc nai khayal ha kunk mai fake thngs nai kr sakti)

agar waisey hey 2sec ko KZ,MS,Bewaqoof ko balkey MR( ;) ) bhe aik person bana lain waisey hee, tou jitna arsa mujhe huwa usme observatn ye ha meri k ye Bewaqoof id mai fit hote hain zada(kam o besh)

aur subse zada unfit KZ mai.. KZ ke jo 2 article maine parhe wo koi lastyr parhe theiy aur id profile jub join kya tub laikin mujhe yaad nai tha k maine KZ ke article parhe hain.. Recently jub dobara parhe tou.. Wo inke profile ko suit nai karte

anyway , kisi bhe field ke know how aik cheez ha aur knowledge aik, jaisa ka aik thread mai KZ n bewaqof Se Poucha ap doctor hain wo thread maine 20day back daikha, magar mujhe kabhe aik dafa naheee laga k MR , ms, kz ya bewaqof doctor hain bt yes knw how hai.

jo kuch kZ ke article n profile se unka image ata ha wo uske mutabiq reply nai krtee bulke bewaqof id k style mai hota ha, MS tou temporary id thei

hopfully mery reply mai maine koi forum rule nai torra n kisi ko mera tajzeyah bura nai laga

aur na he mai inn 4 ko 1 keh rai houn ye 2sec ka tajzeyah tha ;)

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:29th Nov 2009, 9:44am
 

hmmmmmmmm

apne khobe n khamee wali baat theek ke ha magar kabhe kabhe yeh bhe hota ha k insaan ke sirf aik khamii uski tamam khoobeyoun par hawai hoti ha aur wo acha nai consider hotaee magar wo hotey han achey(e.g kuch log bolney mai tursh mazaj hotey hain log dislike kartey han unko bt wo dil k best hotey hain unlog se zada achey jo meethi choori hote hain) .............

aik hadees ka mafhoom hai k ... jiss nay apni zubaan aur sharm.gaah ki hifazat ki, maiN oskay liyeh jannat ki zamanat deta houN... jo log tursh mizaaj hotay haiN aur har aik say bilawajah talkhi say pesh aatay haiN woh iss hadees k motaabiq atleast 50% nakaam haiN.... aik aur hadees ka mafhoom hai .... mosalmaan woh hai jiskay haath aur zubaan say doosray mosalmaan mahfooz rahaiN.... lehaza apni tursh zubaani say (bila wajah) doosrouN ko takleef denay walay insaan ka islam kaisaa hogaa, andazah lagaya jasakta hai.

zubaan say boraa aur dil say achaa honaa yeh bazatay khud "nifaaq" ki alamat hai (ander kuch, bahar kuch...issi ko monaafiqat kahtay haiN)........ aisay shakhs maiN aur oss shakhs maiN islamically koi faraq nahi jo zubaan ka meeTha ho lekin dil maiN bughz rakhtaa ho... woh aik tarah say "monaafeqat" ka mozaahirah kar raha hota hai.......... wazah rahay k yeh "monaafeqat" khaalisatan "islami monaafeqat" nahi hoti k fiqay ki roo say Asli monaafiq woh hota hai jo islami taaleemaat o aqaaid k baray maiN 2 roy rakhtaa ho.... zubaan par iqraar aur dil /amal say inkaar.

PS: above maiN meri tamaam bahas aik nazree bahas hai... kissi id /farad k hawalay say hargiz nahi hai. issay IDs say balaa tar hokar dekha /samjha jaa.ay

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:30th Nov 2009, 3:52am
 

dil k achay aur zubaan k kauRay

aik tv dramay maiN aik laRki ki shadi aik bad.zubaan magar dil k bahoot achay mard say hojati hai. biw husband k kauray.pan say pareeshan hoti hai to oski saas apnay beTay ki hemayat maiN apni bahoo say kahti hai... beTy! oskay zubaan k kauray pan par nah jaa'o... woh dil ka bahoot acha hai..... laRki plaT kart jawaab deti hai... maaN osay kaho, zubaan ka kauRa pan khatam karay... dil say bay.shak kauRa ho jaa.ay

zubaan zaahir hai to dil baatin... zubaan packling hai to dil packing k ander cheez ki quality.... agar kissi aalaa cheez ki packing hi bad.boo.daar ho to oss cheez ki aalaa quality kis kaam ki

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:30th Nov 2009, 9:52am
 

Welcome

to Bewakoof..
insan Group: Members  Joined: 31st Jul, 2009  Topic: 12  Post: 463  Age:   
Posted on:30th Nov 2009, 10:11am
 

myrizvi bhai

app b na isharo knayoon main brri gehri baat keh jatey hain....lolz

anyway....welcom back to Mr.Bewaqoof
Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3783  Age:  27  
Posted on:30th Nov 2009, 10:57am
 

myrizvi

 

myrizvi... aik shair hai rahey pasban-e-aqal pass wala usme ha k aqal ko kabhe thori dai ko choor bhe daina chaheye...

aur yee k maine waisey hee aik example diii theiii... insaan ko naram guftar hona chaheye...uska zahir batan aik hona chaheye i know...

waisey kaha peeth mai choora ghomp dainey waloun se behtar woh log hain jo moun pee burai kar dain... chaheye aam logo ko wo buraey lagaein..

 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:30th Nov 2009, 11:21pm
 

aqal ko kab tanhaa choRna chaahiyeh

1. jab maamlah deen o imaan kaa ho ... Allah Rasool ka hukm kuch aur ho aur AQAL kuch aur kahay ... Allah kahay hujj karo, qurbani karo.... Aqal kahay waqt aur paisay ka zeyaa hai... yehi paisay ghareeboun ko day do yaa kissi "productive" kamouN maiN laga do (aisay bahoot say mosalmaan haiN jo hujj o qurbani k against haiN issi aqal ki wajah say)

2. jab 2 mofadaat apas maiN Takranay lagaiN.... jaisay zati mofadaat Vs qaumi mofadaat (etc) jaisay zaati mofad yeh hai k income tax nah dia jaa.ay...apni kamayee hakoomat ko kiyoun daiN.... qaumi mofaad kahta hai k ... aisay moqay pay aqal ko choRdena chhaieh

3. mouNh pay boray ko boraa kahnaa ... jehaaday afzal hai... peeTh peechay tanqeed karnaa to gheebat hai jo islami taleemat k khilaaf hai... aik hadees k motabiq gheebat zina say bhi bara gonaah hai..... aik doosri hadees k motabiq kissi k mouNh pay tareef karnaa bhi naa.pasandeedah hai...... islam kahta hai k tareef ghaibanah karo aur tanqeed saamnay....... exceptional cases k elawah jaisay politicians par ghaibanah tanqeed bhi jaiz hai balkay mustahsan hai ..... aur students ki hauslah afzaayee k liyeh oskay achay kaamoun ki tareef oskay saamnay karna bhi afzal

4. peeTh peechay chora ghoNpna... yeh aik bora fail hai jissay koi bhi acha nahi samajhtaa... nah hi koi iski hemayatkarta hai...... hatta k agar aisaa karnay walay ko bhi yeh kahaa jaa.ay tum aisaa kartay ho to ossay bhi boraa lagegaa k yeh ghalat kaam hai

insaan ki kissi bhi khasoosiyat ko doosray say mixed-up nahi karna chaahiyeh... jo bori khasoosiyat hai woh kissi achi khasoosiyat k saath milkar achi nahi hojati (jaisay zuban ka boraa aur dil ka achaa) ... issi tarah koi achi khasoosiyat, kissi bori k saath milkar bori nahi hojati ... illah masha Allah

mera khayaal hai k medical issues maiN apka zehan bilkul clear aur wazah hai k apnay iski regular education haasil ki hai jabkay public relationing, insaan aur insaani khasoosiyaat k baray main apki study bhi kam hai aur abhi experiences ka aghaaz hai. insha Allah waqt guzarnay k saath saath iss ilm maiN bhi izafah hoga jab apka interaction baRhegaa.

Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3783  Age:  27  
Posted on:30th Nov 2009, 11:46pm
 

myrizvi

apkee shandar last paragraph ke mid halfline ka reply ha

                    :)

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:30th Nov 2009, 11:54pm
 

byetheway

yeh topic hey to chatting..isliye divert honey ka swal hi nhi paida hota..

laiken kia kamal hey app pr b aik "bawaqoof" k peechey kaysi ilmi or marfat ki guftugu shuroo kr rkhi hey..buht achey bhaye

kaisey kaisey ilmi johir nichawar kiye ja rehey hain..
kia iss ko mntaqi behs keha ja skta hey..?

WATERR app k nazdeek...? 
MYRIZVI app k nazdeek...?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:1st Dec 2009, 2:43am
 

Diplomate

Bewaqoof log kissi bhi society ka 'asaasah' hotay hain. inhi ki 'maujoodgi' main aqalmandi ka bol baalaa hota hai... agar bewaqoof hamaray darmayan maujood nah houN to log sabaq kin say seekhaiN...sirf kitaboun say to sab kuch seekha nahi jasakta :))))

yeh cahtting section hai yahaaN kuch bhi likha jasakta hai, kuch bhi kaha jasakta hai. agar apko yaa kissi aur ko yahaaN iss qism ki guftagoo say 'bad.hazmi' horahi ho to hum maazrat khaah haiN.... lekin fikar NOT, badhazmi k ilaaj k liyeh yahaaN Dr. waterr hai naaaaaaaaa :))

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:1st Dec 2009, 4:37am
 

Wellcome

Main tou kitne din se BEWA..QOOF ko welcome krne ka soch raha tha lkn Bewaqoof ke shuru main hi BEWA lag jata hae iss lie pareshan tha ke welcome karun ya izhar-e-taaziyat? Lekin aap kch logoon ka welcome dekh kar tasalli hui hae ke Welcome hi krna hae..

SO Dear BeWa-Qoof ,

Wellcome Back

Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2017  Age:  48  
Posted on:1st Dec 2009, 8:21am
 

Bhimji

Bewaqoof ki wapsi k liye thread open hony k bhad  ub baat yahan aqal ki ho rahi he to aap ki iss bary mein kiya raye ho gi jo k uper sub log apny apny comments de raye hein aap bi kindly humein mustafeed kerein gay apni raye se

Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3783  Age:  27  
Posted on:1st Dec 2009, 8:47am
 

Activation of this thread

Maine Bewaqoof ko welcome k leye he start keya tha.. Magar kuch ilmi baaatain ;) bulke falsafa jharney ;) k chakkar mai bhoool gaie k myrizvi bhee hotey hain, waisey maine kuch galat nai kaha.. Bt andaze byaan myrizvi jaisa nai hosakta. So mai tamam peechle aur Aagey aneey wale reply ka answr dai rai wo ha

:)

For Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5  >>
 
 12 Pakistani Matrimonial Website
 
 
 
Pakistani Cricket Team Best Catches  How to give interview on skype  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us
Last Updated: 26th Aug 2014