Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Can A Brother And Sister Walk And Sleep Together?

Religion and Culture
 
 
 
System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2267  Age:  32  
Posted on:11th May 2009, 10:33am
 

Zehniat

Shetan ke pass sab angels mill ker aye aur sab ne kaha ke hmare lea duaa karo.. shetan ne sab ke lea dua ki aur apne lea nahee ki ... bus isi baat per pakra gia...  shetan khud allah ki rehmat se mahroom ho gia.. jabke shetan bhut ziada ibadat guzar aur knowledge wala tha isi lea all angels came to him and ask for pray ....

Allah pak ne farmaya Mafhoom yeah hai ke Janat main koi bhi shakhs sirf apne amal ke waja se janat main nahee ja sake  ga balke mere rehmat se... Insan ka koi bhi amal perfect nahee hosakta... swai Hazrat Muhammad (Sallalah ho Alehe Wa Ale hi Wasallam)

ager app apni zehniat per aetmad aur mukamal yaqeen karen ge to ghalti ki gunjaish to reh hi nahee jati... jabke insaan to ghalti ka putla hai...

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:11th May 2009, 10:52am
 

rE: System

ajkal k dil itne nazuk hogaye hian k hurt hojate hian foran , chalo mazirat us baat pe.....wese hi kahi thi ........:-)

kia app guarenti dete hain ke jab kabhi app garden ghumain ge to app ki nazar sirf ser ya hathon per hi pare ge.. 

bhai garden ho ya harrappa palace, chaanga maanga k junglaat ho ya ehraam e misar.....karachi ka sea view ho ya dubai ka cricket stadium, .........behen ki izzat karne walay kabhi ghalat khayal la hi nahi saktay, chahay nazar ghalti se 100 baar hi kyun na par jaye kahin aur ye naturally bhi hai.........
shart ye bhi hai k bhai kuch aesa dekhe tou dantay behen ko k dopatta pehno ya dhako isko.......na k khamosi se dekhay


baaki sharaab ki baat hai tou wo musalmaan pe haraam hia jo piyai ga wo zahir hai us se kisi baat ki umeed nahi .........aur baaki appne jo batain ki hain wo in case ki batain hi hain........is liyain ispe behes karna fozool hi hai, kyunke normall main aesa nahi hota........

kuch bura laga ho tou mazirat. take care
System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2267  Age:  32  
Posted on:11th May 2009, 11:05pm
 

hitman bhai

Bus yar bhut hogia ...  main ne aur App ne apne apne point of view bata dye apne parhne wale ko khud samajh ajai gi apni aqal ke hisab se...  jesa ke main ne nazia aur zohaib mention kia istrah ke bhut sare incase ho chuke hain ab tak... jis shakh ne yeah thread start kia hai us ne incase baten hi pochi hain.. alone in hotel aur hath pakr ker etc...etc.... etc...  One thing let to another ...

well this was all discussion nothing personal from my side...

Allah hafiz

uroosasafi Group: Members  Joined: 19th Jul, 2007  Topic: 10  Post: 90  Age:  27  
Posted on:11th May 2009, 11:52pm
 

RE

main ne tamam reply nahi read kiye lekin zeb ka reply aur us k baad k thoray replies ki kuch kuch line parhi hain.

is topic ko ziyada tafseel se sunnay samajhnay k bajaye sirf ye sun lain k Islam main ye allow nahi hay k jawan beti baap k saath ya jawan beta maan k saath soye. even 2 jawan behno ko bhi ek chader main nahi sona chaheyye .

in case os emergency bhai behan ko goud main utha sakta hay , haath pakar sakta hay alwida kertay hoye , tasalli dilasa detay hoye us ka sar apnay seenay se laga sakta hay . is topic per behass hum muslims ko kerni hee nahi chaheyye hum main aaqil baligh hay hum sab ki MahsaAllah aesi tarbiyate hoti hay k humaray zehan khud ba khud ye sab samajhtay hain .

zeb ki baat theek hay sirf is liye tanqeed ka nishana ban gai k us ne ziyada khul ker tafseel se bataya k baligh hay tu nahi , nahi hain tu haan . loog samjhay nahi sahi tarah

sawal kernay wala khud samajh sakta hay k wo khamakhoah kion sister k saath sona chahay ga ya goud main uthaye ga.....

warna dunya main buhat kuch ho raha hay jo hum loog sooch nahi saktay aur jab aaj kal kahin parhtay hain aur suntay hain tu humaray zehan soochna bhi nahi chahta jo aaj kal ho raha hay(ex: beti ne baap k baccho ko janam diya aur saath reh rahay hain ) isi liye Islam main ye allow nahi k jawan beti baap aur jawan beta maan k saath soye. aur bhai behan ka bhi ab aap samajh saktay hain

waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  31  
Posted on:11th May 2009, 1:26pm
 

shukrya apka,

hit sab apne jo kuch likha hy wo sai hy pr apne muhjh se sboot q manga? mene b to yehi likh hy kia apne thik se ny prha or apne or jo b likha hy wo b sai hy pr apne sai smjha ny jn aazao ka zkr hy wo srf dekhne ki hud tak hy bezarorat chune ko ny or han meray jzbati bhai hadees me jb 07 sal k bacho ko alydha kr dene ka hukum hy 07 sal k bachay kia baligh hote hain phr jwan kese ek kmray me akele soo skte hain or jo tashreeh hy wo b srf unhi 07 sal k bachon k liye hy jwan k liye ny hy.
waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  31  
Posted on:11th May 2009, 1:38pm
 

mazeed

ap ny ny blke jzbaty bhai jb hadees prhay to tashree b zoroor prha kare agr kuch smajh me na aaye to kesi sai alim se poch skte hain isme koi shram ny hai or talibaan to me in logo ko jb se munafiq manta hon jbse inhone afghanistan me zbrdsti ki hukumat qayim ki or ap se b guzarish he k inko mulla,molwi,sufi wagira wagira na khayn salaam.
tena Group: Members  Joined: 30th Mar, 2009  Topic: 11  Post: 197  Age:  29  
Posted on:11th May 2009, 1:48pm
 

Ehtiyaat her haal men zrori he

bila shuba beheb bhai ka rishta buhat pakeeza or mukaddas he. or behen bhai k baary men esi baat discus kerna bhi nagwaar guzar raha he. jo cheez hum sochna tak nai chahty to us per behes ka bhi sawal hi paida nai hota

but ehtiyaat ka hukam beherhaal her jaga dia gaya he. is liy behen bhai ko bhi aik kamray men tanha sony sy gureez kerna chahiye.

tena Group: Members  Joined: 30th Mar, 2009  Topic: 11  Post: 197  Age:  29  
Posted on:11th May 2009, 1:51pm
 

Ehtiyat

or wesy bhi her us kaam sy mana farmaya gaya he jis sy dosry ko budgumai paida ho. agar behen bhai aik dosry ka hath pakar ker is tareeky sy chal rahy hen ya esi halkaat ka muzahira ker rahy hen jis ko daikh ker dosry loog un ko behen bhai ki bajay kuch or gumaah karen to is sy bhi mana kia gaya he k esy halaat mut paida karen jis sy daikhny waly badgumaani ka shikaar hon. or same is the case with one room.
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:11th May 2009, 2:04pm
 

wasey

may ney sarey reply nahi read kiya lakin meri info key mutabiq or Islamic point of view say bhan or bhai akeley kamrey may aik chadar key nechey aik dosrey key sath nahi so saktey

or Hitman app ney bat ki key bhan or bhai aik sath sab kar saktey haien warna wo bhan bhai ku khlaien gey?

tu janab wo bhai behna haien farishta nahi haien insan ko bhektey howey dear nahi lagti or asey waqiyat ho chukey haien bhout sarey tu Islam may haien tu dono mehram hi lakin phir bhi ahtiyat karni chyea

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:12th May 2009, 12:09am
 

Saim (Chand ka tukkrra)

or Hitman app ney bat ki key bhan or bhai aik sath sab kar saktey haien warna wo bhan bhai ku khlaien gey?

Saim mere chand ka tukkra heheheh yar kabhi to apni aqal ke ghorrey dorra lia karein....sab kuch se matlb ye k behn bhai aik dosre k kam aa sakein.aur aik aur matlab ye bhi hai k behn bhai aik dosre ko hug bhi kr sakte hain aur hath bhi paker sakte hain etc etc..
bocz ye aik dosre k  lie mehram hain.behn bhai hain.

baqi ki detials aapko Hitman hi bataein ge.
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:12th May 2009, 1:03am
 

Brother sister relations

Main ne iss baaray main 2-3 ulmaah se discuss kia hai. Agar unki baatun ko summarise karoon tou wohi baatain bnti hain jo Zeb aur System ki replies main mojood hain so repeat nahin karunga. Behen Bhai ke relation main b fitri sharm-o-haya mojood honi chahiey na ke baligh hone ke baud b akathay bed par so jayen ya aiween bila wajah hug krte phirain. Ab insaan choon ke social animal hai iss liay kabhi kabhaar exceptional cases b ho jaate hai. Suppose meri married sister mujhe kafi arsay baud milay tou mujhe galay lag kar milti hai ya jab uski shadi hui tou woh mere galay lag kar rone lagi. Iss tarah ke exceptional cases zaroor ho jaate hain lkn ab yeh nahin hai ke brother sister akathay sotay phirain ya bila wajah hug krte phirain. Iss tarah brother sister relation main jo fitri sharm-o-hayaa Allah ne rakhi hai woh b khatam ho jati hai aur sharm-o-hayaa khatam hone ke baud bigarr hi peda hota hai. Balooghat ke baud jahan tk possible ho iss se avoid krna chaahiey.
aur end par members ko yehi kahunga ke doosrun ki replies ko bold aur highlight kar ke unn par comment krne ki bjaey aap issues par sirf apni opinion de dia karain tou aap ki mehrbaani ho gi aur baqiyun ka b time bach jayega. Aap simple way main apni opinion de dia karain na ke doosrun ke opinion ko criticize krna shuru kar dain. I think yeh negative way hai discussion ka. Umeed hai meri baat ko positive way main lia jayega.   

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:12th May 2009, 11:02pm
 

s4u(chand ki chandni)

may hitman ka matlab samjh gai or meri aqal may bhi is bat ka matlab samjh a gaya key bhen bahi sab kuch kar saktey ka kiya matlab hey

lakin bat ka jawab may ney sawal key mutabiq diya hey

ab app please appni thori si aqal shareef use karien or marey jawab par ghor karien

sawal yeah tha key kiya bhan bhai sath so saktey haien ya chal saktey haien hath pakar kar

tu hitman ka matlab tha key bhan bahi kar saktey haien yeah yani hath bhi pakar saktey haien or sath so bhi saktey haien hath pakar kar agar zarorat hey tu theak hey lakin Islam may sath sona bhan bahi ka mana hey

ji aii aqal may key may ney kiya jawa diya tha

nahi ai tu please bata dena phir bata don gi

lol

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:12th May 2009, 1:01pm
 

rE: Saima

Islam may sath sona bhan bahi ka mana hey

islam main aesa kuch mana nahi hai, app k paas koi link hai tou yahan paste karain, main nay ek link ki roshni main kehdi hai apni baat..........app bhi mulahiza farmayen .


http://www.islam-qa.com/en/ref/78833
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:12th May 2009, 3:28pm
 

hitman brother

app ki bat sahi hey key bat always refrence key sath karni chyea,marey pass iss waqt koi asea link nahi hey jo may yahan dey sakon

lakin bat aqal say sochney wali

wo yeah key app hi bata daien key app pak may kitni asi famlies ko jantey haien jahan jawan bhai bhan aik sath sotey hon aik bister par?

yahan is country may bhi asea nahi hota,or na hi hamri family ya kisi muslim family may asea hota hey kam say kam hum ney tu asea nahi dekha

jawan honey key baud bhai or bhan may aik parda sa a jata hey

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:12th May 2009, 3:39pm
 

Saim (Chand ka tukkrra)

asi famlies ko jantey haien jahan jawan bhai bhan aik sath sotey hon aik bister par?

aapko kis ne kaha k Islam aik hi bister pe soney ki ijazat deta hai?
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:12th May 2009, 3:41pm
 

exactly

wo hi tu may kah rahi hon

key bhai or bhan aik hi bister par nahi so saktey

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:12th May 2009, 3:46pm
 

Saim (Chand ka tukkrra)

yar yahan pe to kisi ne bhi esa nahi kaha k aap aik hi bister pe soein...

ab jese aaj kal mere bhai sahib mere room me mehman hain to main ab oper bed pe soti hon aur wo niche...

aur aaj to pori planning hai onhe room se nikalney ki...he he he




~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:12th May 2009, 3:53pm
 

Agreed with s4u

zabardasti sonay ko nahi kaha jaraha hai ji, app loag pata nahi kya samajh rahain hain........

wese bhi ajkal kon bardaasht karta hai k kisi se kuch share karay sab alag kamra maangtay hain.........yahan tak k 1 month ka bacha bhi kehta hai "Oye khotiya ye mera jhola hai"......;-)lol
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:12th May 2009, 11:41pm
 

Hitman

janab on k samjhney me ghalati nahi hai.aap ne jis trha likha hai k sab kuch kr sakte hain to is lie logoon k mind me ye sawal peda ho sakta hai k sab kuch se  kia muraad hai.

acha kia Saim ne pocha.ab bat clear ho gai.
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:14th May 2009, 7:42pm
 

Spider007


mera question aap se hai k aap k ziyada tarr topics behn bhai k ajeeb o ghareeb relations pr hi start hoe hain.esa kiu???
aap bhai behn k relation ko kis nazer se dekhte hain?

aik topic ye hai.

Points of Routine Life




1 2 3  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013