Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Zodiac Signs In Islam: Compatibility - Astrology - In English, Urdu And Hindi

Religion and Culture   >>  Cultural Issus and Religion
 
 
 
khan_80 Group: Members  Joined: 09th Mar, 2007  Topic: 8  Post: 2604  Age:  33  
Posted on:13th Mar 2007, 1:22pm
 

Zodiac Signs In Islam: Compatibility - Astrology - In English, Urdu And Hindi

my question is..... we have the zodiac signs (leo, libra, aries etc) according to our dates of birth.what is the position of these zodiac signs in islam? in many magazines we read the personality findings a/c to these signs (which r mostly true) also the daily,weekly and yearly horoscopes....share ur views plz. Could these signs be compatible? What are your view on Astrology?



attractive Group: Members  Joined: 20th Mar, 2007  Topic: 28  Post: 61  Age:  26  
Posted on:4th Apr 2007, 3:25pm
 

Zodiac Signs Forecast: Islam Not Allows Zodiac Signs Astrology

Islam Main Ilm-e-Najoom Ki Ijazat Nahi Hai:
i think it is not allowed in islam. as only Allah knows haal e gaib , these things shouldnt be taken as forecast. there are columns in newspapers: aj ka din kesa guzre gaa  etc, these are totally pieces of trash. there is the only ONE
who know AJ KA DIN 
KESA GUZRE GAA and he is only Allah. if u read them to know a person of a specific
zodiac......think for a moment can all the humans be
divided into only 12 catagories or types????
its totally crap every one is different from the
other. ......... in short i think as a muslim we shouldnt fall for zodiacs.

khoobsurat Group: Members  Joined: 06th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 326  Age:  28  
Posted on:12th Aug 2007, 3:17pm
 

Zodiac Signs Horoscope: Are Zodaic Signs Predictions True?

hmmmmm, mai to daily apna horoscope zaroor read karti hoon but believe nahi karti, bas just for fun read karti hoon, but ek baat hai ke stars ke hisab se jo personality aur likes, dislikes mere star mai likhi hain woh sab mujh mai mojood hain.

bewaqoof bhai ne faisee ke comments mange hain, mai aap ko bata deti hoon ke un ke comments kiya honge, hahahahahahahaha, he will say that yeh sab gair islami hai aur hamare society mai kiya masle masaail kam hain jo ham es baare mai sochen.

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 250  Post: 4279  Age:  38  
Posted on:12th Aug 2007, 4:34pm
 

Horoscope Zodiac Signs: People Hide Believes

khoobsoorat: wah ap ne bhi kia bat kahi. keh roz dekhti hoo lekin believe nahi karti. yeh tu wahi bat hui ke kuch log bare shoq aur pabandi se tv drama dekhte hai aur mahfil mai tv drama ki burai karna farz samajhte hai. agar ap ko yaqeen nahi hai tu kio dekhti hai. agar ap kahe keh aise hi bator entertainment dekhti hai tu aur bat hai.

khair faisee aisa bhi nahi hai jaisa keh ap samajh rahi hai.

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:12th Aug 2007, 6:23pm
 

Zodiac Signs Fortune Tellers: Islam Forbidden Fortune Telling

muje daily horoscope or fortune tellers par believe nahi hai or islamic point of view say bi fortune tellers par believe karna mana hai,lekin jo zodiac signs k hawalay say kuchh detailed personality analysis kia hota hai wo bohat hadd tak theek hota hai,or mai samajhta hon k ye aik science hai,like january mai paida honay waly bohat say logo mai jo common achi or buri batain hai wo january k hisab say jo zodiac banta hai us mai likh di gaeein or isi tara baki zodiac signs bi,to ye aik hisab ka survey kaha ja sakta hai,jaha tak mera khayal hai, is mai koi gunah nai hona chahiye bcoz ye aik tara ka survey hai. (Walla-o-Aalam)
or meri bari khuahish hai k muje bewakoof apna zodiac sign bataye agar pata hai or batana chaho to, mere andaza hai k bewakoof Sagitarius Ya Aquarius ho sakta hai. Faisee Libra ho sakta hai. or Doctor Khan_80 ap bi agar batana pasand karain to plzzz batain apka zodiac konsa hai.
Sanwal Group: Members  Joined: 07th Jun, 2007  Topic: 18  Post: 83  Age:  33  
Posted on:13th Aug 2007, 1:11am
 

Zodiac Signs Predictions And Astrology: Sitaro Ka Ilm Aur Jadoo

Sitaro Ka Ilm Jadoo Hai Aur Jadoo Haram Hai:

mere hial se sitaro ka b ilam hai or bohat se log (fankar log) is k maaher hain, ye 1 qism ka jadu wali category main a jata hai k waqt se pehle pta chal jae k kia hoga ya kia hone wala hai jo k islam main gunah hai. i mean (jadu). 

insaan ki personality ki bat ki jae to? shaed is ka kuch amal dahl ho? 

baqi rahi bat is pr yaqin krne ya na krne ki, ye to apne apne mind ki bat hai. mera star sagitarius hai, or main hud regularly apna star read krta hun, lekin beyaqini ki had tak, albata kabi kabi esa lgta hai, k jesa star keh raha hai wesa he ho raha hai. 

plzzZ anybody can correct me ? ? ?

takecare

bye

faisee Group: Active Members  Joined: 13th Feb, 2007  Topic: 79  Post: 776  Age:  30  
Posted on:13th Aug 2007, 3:28am
 

Zodiac Signs Compatibility And Characteristics: How People Believe?

Khan_80, I am sorry I can't say much about it because I dont give importance to them. I dont know whats their status regarding islamic point of view, but personally I dont believe on them nor I feel any interest in reading about them. Mujhay tu lagta hai kai because har insan main hi kuch khoobian khamian hotee hain, aur un ki extent bhi kam ziada hotee rehtee hai, so jab aap kisi sign ko apna sign samajh kar parh rahay hotay hain tu you feel kai haan ye khoobian tu mujh main hain, aur khamion ko aap sarsari parh laitay hain ya nazar andaz kar jatay hain , ya irada kar laitay hain kai khatam kar lain gai. Yeah it must be a science, thats why these things been published all around the world. I have seen that usually girls show more belief on these things.

Bewaqoof and Khoobsoorat: I like your comments. Khoobsoorat theek kehtee hai main nai yahi kehna tha aur mujh sai bore persona sai yahi expectation ho saktee hai. khoobsoorat I feel yeh reply mera waqai buhut bore hai, so I am sorry in anticipation.

josh: thanks for guessing my sign. but thats not my sign. and no point of sharing as I dont believe on these things.


Yahoo Group: Members  Joined: 29th Jul, 2007  Topic: 14  Post: 50  Age:  35  
Posted on:13th Aug 2007, 3:43am
 

Zodiac Signs Predictions Vs Islamic Believes

Ilm-e-Najoom Ko Chod Ker Allah Per Yaqeen Hona Chahye: 

Zodiac Sign may aaj tak koi kisi ne aisi Nai cheez bata na saka jo usey ilm ho lekin generally hota yeh hai 99% jo logon ke saath hochuka hai ya hota hai wohi Zodiac Sign bataya jaata hai mera ek hi sawal aur jawab hai K Zodiac Sign Expert agar yeh batadein K Fulaan Star K Banda Fulaan Din Marne wala hai aur agar yeh sach hojaye aur Zodiac sign K motabiq marne lagenge tho Main Bhi maanloonga K zodiac sign is Zodiac sign

Lekin yeh sub dil bahlane wale cheezon ko chorr kar Allah par yaqeen rakhna chahiye Kal kiya hone wala hai sirf aur sirf Allah Subhana O Taala hi jaante hain.

Agar aap samajhgaye hotho Allah ka Shukar hai.

kim84 Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 113  Post: 786  Age:  29  
Posted on:13th Aug 2007, 7:10am
 

Zodiac Sings Horoscope In Islam: Compatibility By Chance

i become vry happy to c a question from the answering authorities.

K Z baji: Ap aisa mat kry is forum pr mjy bhi PIG kha gaya mgr hm ko un logo ko pyar aur muhabat sy jwab dena chyee is sy kya ho ga woo loog sherminda ho jaye gy aur aisa phir nhi kry gy....

Come to Zodiac Signs: It is totally against islam bt kya hi na kbi kbi yee by-chance such ho jata hi to is pr yakeen nhi krna chayee balky Allah ki traf sy imtihan smjhna chyee k khi ap uss pr yakeen to nhi kr rhy....Agr ap ny daily HOROSCOPE pr yakeen kr liya to ap imtihan my fail aur agr us k opposite chaly to Pass.......

With Rgds

Ur Bro

safeena Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 15  Post: 240  Age:  33  
Posted on:13th Aug 2007, 9:01am
 

Zodiac Signs Astrology Horoscope: Ilm-e- Najoom Vs Ilm-e-Ghaib

Ilm-e-Najoom, Sitaro Ka Ilm Hadith Ki Roshni Main:

Assalam o Alikum members

Khin aur najoomi kaha jata hay in sab kaamo k kerne waloon ko tu is silsile main mujhay 2 Ahadees mili hain wo ye hain

Hazrat Aysha Siddiqa (Razi Allahutala Anha) se riwayat hai k baaz loogon ne Piyare Nabi (S A W ) se kahinoon k mutalliq poocha tu aap (S A W ) ne farmaya k  "wo laghw hain (un kee koi hesiyat nahi) aur wo kisi aetbaar kay laiq nahi "loogoon ne kaha Ya RAsool ALlah ( S A W ) in kee baaz baatian sach bhi nikalti hain aap ( S A W ) ne farmaya "wo sacchi baat wo hee hay jin jo  JIN ura leta hay aur apne dost k kaanmain dal deta hay aur wo us main apni taraf se laghw aur 100 JHOOT se ziyada milate hain (aur loogoon se kehte hain "

saydna Abdullah bin Abbas  kehte hain k mujh se ek ansaari sahabi ne bayaan kia k wo raat main NABI  KAREEM ( S A W ) k saath baythay thay k ek sitara toota aur buhat chamka AA ( S A W ) ne mujh se farmaya k ZAMAN E JAHLIYATE main aesa waqiya hota tu tum is ko kiya kehte thay ? un hone kaha Allah aur us ka Rasool khub janta hay k hum kia kehte thay hum yoon kehte thay k aaaj kee raat koi bara shakhs paida hoa ya foot hoa hay  AAP ( ne farmaya S A W )"sitara kisi k marne ya paida hone k liye nahi toot ta , lekin ja Allah

EZZOJAL jab koi hukum deta hay tu ARSH k uthane walay FARISHTE 

tasbeeh kehte hain in kee awaz sun ker pass walay AASMAAN k farishte

tasbeeh kehte hain yahan tak k tasbeeh kee noubat AASMAN E DUNYA

waloon tak pohanchti hai phir jo farishte  Arsh uthane walay farishtoon se

qareeb hote hain poochte hain ALLAH ne kia HUKUM dia? wo  beyaan kerte

hainisi tarah sab Aasmaan wale ek dosre se deryaaft kerte hai yahan tak k

wo khabar wo hukum aasman e dunyawaloon tak aati hai is se wo khabar

JINNAT ura lete hain aur apne dostoon ko aa ker sunate hain  farishte jab

in JINNAT ko dekhte hain tu in sitaroon se marte hain (tu ye sutare in k

kooray hoye) phir jo khabar JIN latae hain ager itni hee kahi tu sach hay

lekin wo in main jhoot milate hain aur ziyada kerte hain "( SAHI MUSLIM 1494 and 1495)

Sayada Safia bint e Abi Abdullah  Azdawaj e Mutahraat se riwayat kerti hain   k Piyare NABI ( S A W ) ne farmaya "jo shakhs najoomi k pass ja k us se koi baat poochay tu us kee 40 din kee namaz qubool nahi hogi "

safeena Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 15  Post: 240  Age:  33  
Posted on:13th Aug 2007, 9:13am
 

Astrology Horoscope Zodiac Signs: Ilm-e- Najoom Vs Ilm-e-Ghaib

Ilm-e-Najoom, Sitaro Ka Ilm Hadith Ki Roshni Main:

"jo shakhs naoomi k pass  ja k us se koi baat poochay us kee 40 din kee namaz qubool nahi hogi "(sahi MUSLIM 1496)

ye sari cheezian haram hain Bad shagooni , naik shagooni lena kisi cheez se ya ghaib ka maloom kerna . mehaiz kisi baat k ittafaqiya sahi nikal aane se in tamam kharaafaat ka jawaz sabit nahi ho jaye ga . ye sab baatain ghalat hain . ghaib ka ilm Allah k siwa kisi ko nahi

piyare NABI ( S A W ) Allah se dua kerte hoye Farmate hain

" Ya Allah main tere ilm e ghaib aur teri makhlooq per qudrat k waste se tujh se sawal kerta hoon k mujhay us waqt tak zinda rakh jabtak k teray ilm k mutabbiq mayre liye zindagee behtar ho . aur mujhay us waqt mout de jab tak teray ilm k mutabbiq mout mayray liye behtar ho . " (sahi MUSLIM  2064/4 and sahi BUKHARI 128/10)

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:13th Aug 2007, 10:27am
 

Zodiac Signs: Ilm-e-Najoom (Horoscope, Fortune Telling) Vs Survey On Personality Analysis And Weather Forecast

As usual bohat hi khubsurat reply with supporting ahadees against fortune tellers...........
personality analysis k havalay say kuchh confusions merey zehan mai hain, agar ap kuchh bata sako: 
1.gaib ka ilm or aik survey mai bohat difference hai. 
2.ajkal weather forecast bataty hai,jo ziada tar theek hoty hain, to ye koi gaib ka ilm nai hai ye possible ho ska hai Allah ki ata karda "Akal" ko positivly use karny say,, or weather forecast sun-na koi gunah ka kaam nahi hai, similarly medical profession mai bi bohat si examples hain esi..
3.agar koi insan aisay 1000 logo par survey karta jo august mai paida huey,and then apnay conclusion mai wo un tamam logo mai paee janay wali common baton ko aik khas tarteeb say likhta hai, or kehta hai k is month mai paida honay walay log mostly is kisam k hotay hain,, to safeena apkay khayal say kia ye insan koi najoomi hai? ya fortune teller hai???
similarly koi insan elections mai kharay hony waly logo ko zehan mai rakh kar aisa hi survey karta hai or bad mai conclusion nikalta hai k ye banda jeet sakta hai, to kia ye bi najoomi kehlaye ga??
in short,  ye zodiac signs k havalay say jo personality analysis kia hota hai wo esay hi survey ka nateeja hai jiskay sahi hony k chances ziada hotay hain or isko parhnay mai koi gunah nahi hona chahiye.what do u think?

Remember i am talking about personality analysis not about the daily horoscope or fortune tellers...

safeena Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 15  Post: 240  Age:  33  
Posted on:15th Aug 2007, 9:28am
 

Zodiac Signs: Chinese And Hindu Started Horoscope

Assalam o ALikum

    nahi josh bhai ye baat nahi  k main ne faryad ka ghussa yahan nikala . udhar main khamoosh is liye hoi k wahan baat chali gai thee maslak "firqoon" per aur us topic per main behass nahi kerna chahti khass tur per yahan aur wesay bhi koi khud ko ghalat nahi samjhta is liye la hasil behass ho jati hay wo aur ghalat bhi hay wahan main ne sirf Hadees ref. k saath chahee thee  ta k ager kuch mujhay nahi pata wo pata chalay aur wahan koi hadeess nahi aain tu main chup hee rahi k baqi behass bekaar thee

aap ne poocha mousam ka haal aur ghaib ka ilm tu janab mousam ka haal batana GHAIB ka ilm nahi is kee example aap is tarah se lain

1 * koi shakhs beemaar hay tu us ko dosra banda kahay k aap doctor k pass jao warna kal tak tu aap kee halat aur kharab ho jaye gee

2* koi shakhs tandrust hay aur dosra banda kahay k kal tum beemaar ho jao gay

tu 2nd ex. gaib batane main aai hay jab k 1st ex. main halaat dekhte hoye kisi ne andaza laga k kaha hay

aur rahi baat zodiac kee aur daily horoscopes kee tu main yaqeen nahi kerti bcz ye sab chinese aur hindus ne start kiya hay chand , sitare aur sooraj kee chal aur hisaab kitab se jo k aap ko pata hoga islam main jaiz nahi  aur us main kaha bhi is tarah jata hay k 20 july aap k liye accha din sabit hoga aur 22 ko aap apna khayaal rakhain 23 ko  karoobar main tarqqi hogi aur 24 ko sehat kee taraf se hoshiyaar rahain

 

 

safeena Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 15  Post: 240  Age:  33  
Posted on:15th Aug 2007, 9:39am
 

Zodiac Horoscope Signs Are Different From Personality Analysis

ab baat reh gai personality analysis kee tu  mayra khayaal se us sorat main  wo ghalat nahi jab ye kaha jata hay k MAY  main paida hone waloon main ye khososiyaat PAI JA SAKTI HAIN aur june main paida hone main walo main ziyada tar YE KHOSOSIYAAT HO SAKTI hain

lekin ye us ko parh k ziyada tar loog khud ko un khososiyaat per poora utarne k liye andazay lagate hain  aur bannay lagte hain k hum is month main paida hoye hain tu hum main ye hona chahyye aur isi tarah zodiac k liye bhi kerte hain

ye mayra apna tajurba hay mujhay bhi metric , inter  wali age main buhat shouq raha hay zodiacs  per research ka lekin kisi ne mujhay jab bataya k ye sab theek nahi tu chour dia main ne

wesay is baat se mayray zehan main ye baat aai hay k Forum k member se un ka month of birth poocha jaye aur dekha jaye k koun koun same month ka hai aur kis kee kia personality hay  kion k yahan hum sab ko ek dosre kee nature ka kafi idea tu ho chuka hay (i think ) tu kion na ye topic bhi start kiya jaye

is tarah humain pata chalay ga k ye analysis kis had tak sahi hote hain kion k main aur mayri ek friend hain hum 2no same zodiac aur same month hain lekin hum 2no kee personality kafi had tak change hai

RE : KHUBSOORAT and FAISEE aap 2no ka izzat denay k liye shukria   aap ne mujhay is qabil samjha k main is forum se na jaon thanx again

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:15th Aug 2007, 12:46pm
 

Zodiac Signs Compatibility: Same Characteristics In A Month

apko dubara is forum par dekh kar bari khushi hui. or apkay detailed reply parh kar yakeen ho gaya k ab apkay dil mai kisi k liye koi gussa nahi hai.
personality analysis k havalay say ab ap meri bat ko samajh gaee hain,, or bilkul ap khud aisa kuchh topic start karain to dekhtay hain k konsay log kis month mai paida huay hain or same months walo ki qualities match karti hain ya nahi. It will be a kind of survey.
safeena Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 15  Post: 240  Age:  33  
Posted on:16th Aug 2007, 8:21am
 

Zodaic Signs: Personality Analysis

Assalam O Alikum

 welcome kehnay k liye thanx  aap kee personality analysis wali thinking main samajh gai thee

ye survey aap  start karo tu ziyada accha hoga aur i think ye kafi intresting bhi hoga .

1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012