BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:29th Mar 2008, 1:34pm |
|
|
Women: Should They Take Care Of Family Or Do Work In Office?
What's Your Suggestions about...?
- Aurtoon ko ghar ma reh kar ghar sambhalna chahiyah matlab ghar k kaam-kaaj karna chahiyah...?
- Ya Phir Un ko bhi Family ko support karne k liya.. ya kisi aur wajah se Office wagairah ma Job karni chahiya...?
- Ya phir koi Wajah na hone k bawajood bhi unhain Job karne chahiyah...?
- Aurtat ki asal jagah Ghar hai.. but what's your opinion k Auratoon ka ghar se bahar kaam karna theek hai ya nahi... Needs only your's opinion.
European Countries ya phir Western World ki Khawateen abb ghar ma rehna pasand kartey hain.. lekin majboor unhain Job karne pardte hai... woh wish karte hain k koi unhain aaisa Husband mil jaey tou unhain Financially support kar sakey or unhain office na jaaney pardey...
But in Pakistan or Indian... iss ka opposite hai Aurtoon ko abb ghar ma baithna pasand nahi hai.. aur Educated Females tou iss ko apni touheen samajhtey hain... Aaisa kyun hai hamarey Maashrey maiyn...???
Note: Yah mera Topic nahi hai.. yah Topic maine Radio per Mani-Azfar k Program ma suna tha tou soocha yahan per bhi discuss karna chahiyah.. tou app sab apni apni raey dein... ok..!
|
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:29th Mar 2008, 8:33pm |
|
|
BeautyStar Uncle 1:Aurtoon ko ghar ma
reh kar ghar sambhalna chahiyah matlab ghar k kaam-kaaj karna chahiyah...?
sari aurtien ghar ka kaam kerti hain..ghar sambhalti hain..jo
nahi sambhalti hain..un ka main kuch nahi keh sakti ye un ki marzi hain..
2:Ya Phir Un ko bhi Family ko support karne k
liya.. ya kisi aur wajah se Office wagairah ma Job karni chahiya...?
Agar aurt
shadi shuda hai..ghar ke kharche pure nahi hote to..husband ki ejaazat se job
ker sakti hai..(agar job kerna chahe to)....agar unmarried hai (aur shokia job
kerna chahti hai)to bhi agar ghar wale razi hon.to job ker le agar ghar wale
razi nahi hai to zid nahi kerni chaye..jesa ghar wale kehte hain wese kerna
chaye..
3:Ya phir koi Wajah na hone k bawajood bhi
unhain Job karne chahiyah...?
ye to wo
aurtien he bata sakti hain ke wo kyun job kerna chahti hain...bohat sari
aurtien ye samjhti hain ke hum bore ho jati hain ghar mein reh ker..humien
bahar kaam kerna chahye...un ke khial mein un ke pass kerne ko koi kaam nahi
hota..aisa wo aurtien sochti hain..Jo sara sara din soi rehti hain..ghar ke
kaam nokar karte hain..yaa bhabhi yaa ghar wale jo ghar ke kaam nahi kerti jo
tv dekhti rehti hain namaz nahi pahrti.novel pahrti hain...un ko ghar ke kaam
...kaam nahi lagte wo ghar ke kaam ko maseebat samjhti hain..wo samajhti hain
ke hum ghar ke kaam kerne ke liye nahi bani ...hum bahar ke kaam kerne ke liye
bani hain....humien job kerni chaye..
4: Aurtat ki asal jagah Ghar hai.. but what's
your opinion k Auratoon ka ghar se bahar kaam karna theek hai ya nahi... Needs
only your's opinion.
Main siraf
apna bata sakti hoon..mujhe ghar mein rehna acha lagta hai...kyun ke bohat sari
aurtien shokiya toor per job kerti hain aur bohat sari aurtien majboori ke
tehat job kerti hain..jin ke husband ne un ko talaq de di hoti hai...chote chote bache hote hain.. ghar se
nikaal dete hain, ghar mein koi kamane wala nahi hota...etc etc... BeautyStar Uncle samajh
gaye ho na ?
European Countries ya phir Western World ki
Khawateen?
Europe aur
Western ki khawateen ka dream hota hai ke wo kisi aameer larke se shadi
karien..un ko job na kerni pare ..un ki koshish hoti hai ke un ko ameer se
ameer taar larka mile..agar apne se 20 saal bara bhi mil jaye to koi parwaa
nahi kerti aur agar apne se 10 saal chota mil jaye to bhi shadi ker leti hain...
|
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:29th Mar 2008, 11:39pm |
|
|
smart hoo Red Chilli urr maracha wali aur maracha laganay wali nice reply lagta ha app ghar kay kam kernay may kafi smart hoooo. |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:30th Mar 2008, 3:50am |
|
|
Re: Red-Chilli Aunty Buhat khoob Reply kiya app nee... Mere bhi kuch issi tarha ka nazaryah
hai.. App please apne danishmandanah demgah se iss point per bhi roshni
daalyah..
But in Pakistan or Indian... iss ka opposite hai Aurtoon ko abb ghar ma
baithna pasand nahi hai.. aur Educated Females tou iss ko apni touheen
samajhtey hain...
Aaisa kyun hai hamarey Maashrey maiyn...???
Waisey App ki iss post ne mujhey Kali-Zuban ki yaad taaza kara dii (lol)
|
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:30th Mar 2008, 5:47am |
|
|
women's rights.... very nice reply by red chilli.
kuch khavateen job kar k apnay maa baap ko financial support karti hain,, aisi khavateen kabil-e-fakhar hain, kyonkay shaed wo job na karna chahtin lekin parents ki help karnay k liye apnay ap ko job ki pareshanio mai dal lia...
mera khayal hai k shokia job koi nai karta,, jisko paison ki zaroorat hoti hai wo hi job karta hai... kuch logo ko dekh kar lagta hai k inhe koi zaroorat nai par hakeekat mai unko bi zaroorat hoti ahi........ |
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:30th Mar 2008, 10:45am |
|
|
re women must be in any suitable field/profession. |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4216 Age:
|
|
Posted on:30th Mar 2008, 11:33pm |
|
|
agreed agreed to red chilli
nice reply
|
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:30th Mar 2008, 11:38pm |
|
|
sooth sister pls explain women must be in any suitable field/profession but this suitable profession is at home or office.pls explain . |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:30th Mar 2008, 12:38pm |
|
|
Good Discussion Guys & Girls... Carry on... Sab ne buhat hi acha reply kiya hai... Red-Chilli Aunty & Josh-Bahi ne ache points likhe hain..
Maiyn bhi app logon ki tarha iss baat se ittefaq karta hoon.. k Aurat
ko Shauq ma Job nahi karni chahiyah, uss ko sirf Majboori ma hi koi
Suitable Job karne chaiyah (e.g Teaching in Schools, Tuitions , etc)
... Aur merey Nazar ma Aurat ki asal jagah uss k apne ghar ma hai.
Josh-Bahi & Other Members...
maine dekha hai kuch Ameer Ghar ki larkiyaan bhi Job karte hain.. pata
nahi kyun...??? un ka mannah hai k woh ghar ma bore hote hai jaisa k
Red-Chilli ne explain kiya.. Aur woh ghar k kamoon ko karna apni
tauheen samajhtey hain.. magar Office ma 4 Mardoon k saath kaam karne
ma buhat Fakhar mehsoos karte hai k hum Mard k Shaan-na-e-Bashana chal
saktey hain.. ya phir woh Dosroon ko yah show off karne ki koshish
karte hain.. k Hamaiyn paisay se koi lagaoo nahi.. chahte hain k loog
un ki taareef karein k ... Wah kiya Muhtarmah hain itne doolaat hai..
itne aameer hai.. phir bhi buhat mehnat se kaam kar rahe hain.. Guroor
naam ki cheez hi nahi hai.
App loog iss point per bhi zara roshni daalein...
India & Pakistan ma aurteein kyun ghar ma baithna pasand nahi karte hain banisbat iss k kah woh Office ma job karein... Aur dosre baat yah hai Larki Education haasil kar k ghar per baithne ma apni tauheen kyun samajhtey hain...?
woh yah baat kyun nahi samajhte k apni Taa'leem woh Bachoon ki Tarbiyat
aur shaaor hasil karne k liyah utiliza kar saktey hain.. aur un ki asal
jagah ghar ma hai.
|
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:30th Mar 2008, 12:40pm |
|
|
Female-Members (Request) App sab Female-Members se maiyn request karonga kah woh thordah buhat contribute karein... Aur hamaiyn apne khayal se bhi aagah karein.. kah woh Ghar ma baith kar ghardari karna pasand karein ge.. ya phir Office ma Jobs karna...?
|
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:30th Mar 2008, 12:42pm |
|
|
BeautyStar uncle Is per main baad mein likhon gi..aap thora sara intezaar karo...in sab baaton ke bare mein main soch rehi hoon..jab sab kuch sooch lungi to likh dungi...
|
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:30th Mar 2008, 12:57pm |
|
|
Red Chilli Aunty Theek hai... app aram se sooch lein.. samajh lein.. phir Reply kardiyah ga... ok.. Mujhey koi jaldi nahi hai... Lekin mujhey app k Danishmandana Jawab ka intezaar rahey ga.
|
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:30th Mar 2008, 1:54pm |
|
|
re mein khud k matter me ye kahoon gi that i'll do office job and will also handle home. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:30th Mar 2008, 3:53pm |
|
|
Aurto ko bahir kaam kerna chahiye Question 1: Aurtoon ko ghar ma reh kar ghar sambhalna chahiyah matlab ghar k kaam-kaaj karna chahiyah...? Answer: ghar ka kam kaaj aurto ko hi kerna chahiye, aur mardo ko chahiye keh woh ghar ke kam kaj mai aurto ka haath batai.
Question2 : Ya Phir Un ko bhi Family ko support karne k liya.. ya kisi aur wajah se Office wagairah ma Job karni chahiya...? Answer: ji haa office mai bhi kaam kerna chahiye lekin time table iss tarah set kare keh keh ghar ki zimmadari per farq na aaye.
Question3 : Ya phir koi Wajah na hone k bawajood bhi unhain Job karne chahiyah...? Answer: koi bhi job bila wajah nahi ki jati. koi paisa kamane ke liye job kerta hai tu koi doosro ki khidmat kerne ke liye. kuch log job ke zaria apna shoq poora kerte hai. Misal ke tor per aik khatoon apne mali masayel ko hal kerne ke liye teacher, lady doctor, nurse waghaira banti hai tu kuch khawateen ko mali masail nahi hote aur woh yeh kaam doosro ki khidmat ke liye kerti hai. jab ke kuch khawateen bator hobby bhi teacher, doctor aur nurse banti hai.
Question4 : Aurtat ki asal jagah Ghar hai.. but what's your opinion k
Auratoon ka ghar se bahar kaam karna theek hai ya nahi... Needs only
your's opinion. Answer: aurat ka ghar se bahir kam kerna bilkul theek hai. agar aurat ghar se bahir kaam nahi kare gi tu aurto ki behurmati hua kare gi.
maslan airport per aurto ki talashi mard lia kare ge, perdadar khawateen ke taleemi adaro mai bhi sirf mard staff ho ge. aurto ki bimari ka ilaj mard hazrat kia kare ge balke aurto ki delivery bhi mard hi kia kare ge. lehaza Islami maashra mai zaroori hai keh aurtain bahir nikle takeh aurto ko aurat se hi wasta pare na keh her kam ke liye mardo ke paas jaana pare
|
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:30th Mar 2008, 8:26pm |
|
|
Very nice reply by Bewaqoof uncle Bewaqoof
uncle ne 4 Question ka answer likha
hai..I agree with him.. Beautystar Uncle...pehle aap meri baaton ka jawab dein aisa kyun hota
hai????
Mujhe
larkiyon ke job kerne per koi ehtraaz nahi hai..larkiya job kare achi baat
hain..mujhe ehtraz hai to siraf is baat per ..jab bhi koi larki kisi school,
office ,hospital, etc etc mein job kerti
hai..to pata nahi kyun un ke scandal bante hain..kabhi kisi larke ke saath aur
kabhi kisi ke saath..agar larki kisi office ke kaam ke liye kisi ke saath bahar
gayi hai .Aur agar kisi janane wale ne dekh liya hai to wo kehe ga ke ghar se
job kerne ke liye nikli hai lekin pata nahi kis kis se dosti ker rakhi hai is
ne....agar larki ne kuch bhi nahi kia to bhi rishtedaar janane wali ulti seedhi
baatien kerte hain...aur pata nahi kyun aisi larkyion ka jab bhi koi rishta le
ker aataa hai to..wo bhi dil mein ye baat zaroor sochta hai ke ..us ke keerdaar
ke bare mein zaroor ghalt baat soche gaa..
India & Pakistan ma aurteein
kyun ghar ma baithna pasand nahi karte hain banisbat iss k kah woh Office ma
job karein... Aur dosre baat yah hai Larki Education haasil
kar k ghar per baithne ma apni tauheen kyun samajhtey hain...? Beauty uncle is ka jawab aap deyn...mera dimaagh khali ho gaya hai...itna ziyada likha hai..isliye main apne dimaagh ko thora araam dena chahti hoon..main kaam ki baat kabhi kabhi kerti hoon..aab mere pass kuch nahi bacha likhne ke liye ..I'm so sorry BeautyStar
|
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:31st Mar 2008, 8:39am |
|
|
Red-Chilli & Bewaqoof App k kaun se Bewaqoof Dost app ko Bewaqoof kahtey hain... App ka naam tou Mr.Clever hona chahiya... Zabardast reply kiya hai...!
Red-Chilli app eak Danishmand Khatoon hai.. abb app hi reply karein ok.
|
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:31st Mar 2008, 10:01am |
|
|
ha yarr Ha yarr beauty bahi Red Chill really aik Danishmand aur Hoshmand Khatoon ha woo agay lakhay gee zarroor. |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:31st Mar 2008, 10:57pm |
|
|
India & Pakistan ma aurteein aap dono ne meri itni ziyada tareef ker di hai jis ko read ker ke mera dimaagh 7 satawien asmaan nahi ...14 chohaodaawien asmaan per poch gaya hai..aap dono batain aisi halat mein main kuch likh sakti hoo ? main abhi Danishmand Khatoon nahi hoon abhi main bachi hoon.. India & Pakistan ma aurteein
kyun ghar ma baithna pasand nahi karte hain banisbat iss k kah woh Office ma
job karein...?? Aurton ko bhi kaam karna chahye..agar nahi karien gi to wohi ho ga jo Bewaqoof ne question 4 ke answer mein likha hai..agar aurtien ghar mein rehi gi to .job nahi karien gi.her taraf her jaga mard he mard nazar aayen ge..phir mardon ka kia ho gaa????(lol) Aur dosre baat yah hai Larki Education haasil
kar k ghar per baithne ma apni tauheen kyun samajhtey hain...? Larki education hasil ker ke kuch banna chahti hai..us ne jo bachpan se khawab dekhe hote hain..ke main bare ho ke ye banoo gi wo banoo gi..jo kuch wo hasil nahi ker sakti ..education hasil kerne ke baad wo samjhti hai ke agar wo job kare gi to us ke khwab pure ho jayen ge..(bohat sari larkyion ke bohat sare khwab hote hain..) aur larkiyan apni toheen nahi samjhti wo job ke liye isliye zid kerti hain kyunke wo kuch na kuch banna chahti hain..isliye sab ko aisa lagta hai ke larki education hasil ker ke ghar ke kaam kerne mein apni toheen samjhti hai..wo bighar gayi hai..us ke meezaaj nahi milte etc etc... mere khial mein ye sawal un larkion ke liye hai..jin ke pass sab kuch hota hai..lekin phir bhi wo job kerna chahti hain..
|
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:1st Apr 2008, 12:37am |
|
|
red chilli kay dream red chilli jee aj tak app nay koon koon say dream dekhay ha. |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:1st Apr 2008, 6:55am |
|
|
Re: Red-Chilli (Women's Issue) Exactly, maiyn yahi Point Discuss karna chah raha thaa.. kah Jin ka
pass sab kuch hota hai... Ghar ma har qism ka Aaish-O-Aaram hai.. Aur
Husband ya Father ki Income bhi theek thaak hai k woh apni har khuwaish
aasani k saath puri kar saktey hain.. Phir woh Job kyun karne per
Baa-Zidd rehte hain.. Halankah un ka Job karna Father / Husband ko
sakht Na-Pasand hoo.. phir bhi woh apni Zidd per aardey rehte haiin..!
Aaisa kyun hota hai..?? Aur aaisey surat ma kiya karna chahiyah...???
Buhat se ghar isse wajah se Barbaad ho jaatey hain.. kah Husband Wife
ko ya phir Wife Husband ko time nahi dey paa rahey hote hain... Aur in
sab ma Bachey bhi Waqt ki Chakki ma pissss kar reh jaate hain...!
|
|