Reply... Syncope in panic/stress/anxiety Mainey apka masla detail mai parha he ... Apki wife ko aik doctor se ache tarah checkup ke zaroorat he zada bara masla nahe kuch cheezen ho sakti han...
. 1) women mai aamoman anxiety ya stress ka respönse system zada active hota he unka sympathetic system men ke muqabley mai zada jaldi aur zada sensitive ho kar response karta he agar aik he situation mai aik umer aur health ke man and woman hon magar apki wife ka ye system kuch zaroorat se zada hyper ya taiz he ye Panic Disorder bhe ho sakta he jo keh psychiatrist deal kartey han ..
.. 2) kuch logo to situational faintness hoti ha matlab jo mahool ya pressure wali situatn woh avoid karna chahey faint ho jatey han aur khud he hosh mai atey han ya psychogenic bhe ho sakti ha matlab person show karta he keh mai faint ho gaya ho,hota nai jab zada he jazbati mahool ho ya dil ke kamzori ka kehna ho .... ..
.. 3) hyperventilation syncope yani apki wife iss kadar pareschani laiti han k taiz taiz gehra sans lai lai kar behoshi ho jati ha ya Phir agar aisi jaga ho jahan habas zada ho ya log bohat crowded ho aur taiz taiz sans leya jaey.....
4) poor nutrition and hydration and severe anemia matlab apke wife ka khana peena zada sehat se bhar poor cheezon ke kami ha jaisey phal,sabzi,dood or agar tu wo Meat Nai Khati tou iron ke kami auroto mai menses ke waja se waisey he hoti aur zada he aur zara bhe stress aye tu behoosh ho jati han , pani zada peeyen aur phal ke juice aur blood sugar ke bhe kami ho sakti ha kam khaney se.....
.. 5) underlying heart problem agarchey kam chance he magar chunke bachpan se masla he ho sakta he dil ka masla ho ..... Agar zada kam se ho tou ye bhe aik reason he ....
. 6) ap phley aik aam physician ke ley jaeeye woh haemoglobin , ECG aur agar required huwa tu echocardiography kar lain gey Magar zada zaroort inko nafsiyati imraz ke mahar doc ke lag rahe ha ... Waisey iss ka yehe haal wo kartey han keh aisi situation mai inn ko relax keya jaiey , inn ke tawajo hatai jaeey aur ye bhe keh psychotherapy ke jaiey kuch asar na ho tu drugs... Ye faintness par jo maine bataya intahai mukhtasir aur asan kar ke warne ye kafi vast topic he
|