reply: Nails Problem
Jo insaan healthy diet leta hai uss ki nail growth speed increase hoti hai,ye koi joke nahi hai ye aik proven fact hai and also illness nail growth ko kam ker deti hai… Nail growth k liay potassium,iron,calcium and vitamin B good hain.badaam(almonds),garlic,paluck(spinach),yourt,egg aur seafood nails ki growth k liay achay hen.. Water ka kam use nails ki breaking kerta hai. Almonds ne faty acids hotay hen aur daily 6 almonds khanay se nails ki growth visibly improvet ho jati hai.. Aap ki cousin nail bitting tu nahi kerti???ager esa kerti hai tu us ski es habit ko khatum keraan.. Aik hath ki fingers ko doseray hath k nails se daily five minutes rub kernay se nail growth increase hoti hai. Ager nails me germs filed hon tu wo bhi growth inhibiter aur nails breakage ka kam kerta hai. Zayada nail polish ka use bhi nails ki growth ko effect kerta hai. Facts: Aik Healthy toenails ki complete growth me aik saal lugta hai. Aaik Healthy fingernail ki complete growth me 6 months lugtay hen. Summer me nails faster grow kertay hen. Men's nails women's nails se am torr per faster grow kertay hen.. Jo haath hum zayada use kertay hen uss k nails bhi fast grow kertay hen..
|