re: lubrication jinsi khialat, batai, aur scene se jinsi ishteal hota hai, jis ki wajah se lubricating fluid nikalne lagta hai. yeh aik normal baat hai aur aisi soorat mai nikalna chahiye.
ab aisa lagta hai keh aap ko jinsi ishteal nahi hota jis ki wajah se yeh fluid nahi nikal raha hai. jinsi baato per jinsi ishteal ka na hona achchi baat nahi hai.
lubrication fluid ka pregnancy se direct taluq nahi. lekin fluied na hone ki soorat mai mubasrat mai pain ho ga.
lekin mera mashwarah hai keh aap b/f se milna, batai kerna aur bura scene dekhna chor de. kuch dino mai aap wapis purani haalat mai aa jaye gi. yani jinsi ishteal per lubricate hone lage gi. |