behave |
Group: Members Joined: 31st May, 2008 Topic: 4 Post: 17 Age:
33
|
|
Posted on:31st May 2008, 8:33pm |
|
|
Urine Mai Jalan Ki Kiya Wajah Hoti Hai?
Salam, Mien janna chahoon ga kay peshaab mien jalan kay kya causes ho saktien hien, may be yeh normal ho lakin es temporary jalan ke wajah kya hai aur es ko foran kesay sahi kya ja sakta hai Doctor Sahab and Members kindly suggest
Regards
|
Veer |
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4718 Age:
30
|
|
Posted on:31st May 2008, 9:54pm |
|
|
behave urine mein jalan baaz dafa kam paani peene se bhi hoti hai...lehaza aap pani ka zaida istamaal kare...
ager phir bhi farak na pare to aap doctor se consult kare. |
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
39
|
|
Posted on:31st May 2008, 10:16pm |
|
|
behve aap pani ziada piya karain |
behave |
Group: Members Joined: 31st May, 2008 Topic: 4 Post: 17 Age:
33
|
|
Posted on:31st May 2008, 10:32pm |
|
|
Thanks But Veer, Babar Thanks for the reply. I drink lot of water in a day, like may be 1.5 to 2 ltr, meray urine ka color bhi zyada tar white hee hota hai ya kabhi light yellow, koi aur reson ho sakta hai ?
Regards
|
fatty_boy |
Group: Members Joined: 05th May, 2008 Topic: 12 Post: 38 Age:
22
|
|
Posted on:1st Jun 2008, 1:56am |
|
|
jalan Mujhe jab aik dafa peshab mein jalan mehsus hui thi to mein ne citro soda istimaal kiya tha jis k baad jalan thik ho gayi thi.You should also try.aGAR PHIR BHI FARQ NAHI PARTA TO PLZ CONSULT DR. |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:1st Jun 2008, 5:38am |
|
|
urine problem... fattyboy, what is this citro soda ?? Can you explain more?
behave ziada paani to ap already pitay ho,, agar tez mirchain khatay ho ya pakoray aur is kisam ki cheezain khatay ho to wo kuch arsay k liye na khao... uski jaga pastry (cake) kha lo... dudh soda pi lo... |
Veer |
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4718 Age:
30
|
|
Posted on:1st Jun 2008, 7:43am |
|
|
behave agreed with josh
dhood soda bhut bather hai aap woh try karo..
urine ka color kabhi white kabhi yellow ho to pareshani ki koi baat nehin..its normal |
behave |
Group: Members Joined: 31st May, 2008 Topic: 4 Post: 17 Age:
33
|
|
Posted on:1st Jun 2008, 8:26am |
|
|
Citro soda ? Fatty: what is citro soda and how to use it? yeh jalan 1 hour say zyada nahi rahti khud hee sahi jo jati hai.
Josh bhai: taiz mirchein tu zyada nahi albatta bahar ka khana buhat khatta hoon, lagta hai cake hee khana paray ga attay ke tu waisay hee shortage hai :) Roz raat ko peeta hoon doodh soda, doodh thanda hota hai
Veer Jee: urine ka color sirf app logon ko behatar analyse karnay kay liye bataya tha.
Regards,
|
Veer |
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4718 Age:
30
|
|
Posted on:1st Jun 2008, 8:34am |
|
|
behave bahir ka khana bhi jalan ki waja ho sakti hai aur bahir ka khana aap ki health ko bhi mutasir kar sakta hai..lehaza aap bahir ka khana na khaya kare. |
behave |
Group: Members Joined: 31st May, 2008 Topic: 4 Post: 17 Age:
33
|
|
Posted on:1st Jun 2008, 9:58am |
|
|
Doctor jee Thanks for correcting the heading :)
kisi aur ko yeh problem hai ?
Doctor sahab kuch roshni dalna chahien gay app is topic par
|
doctorji |
Group: Experts Joined: 21st Apr, 2008 Topic: 3 Post: 540 Age:
38
|
|
Posted on:1st Jun 2008, 6:43pm |
|
|
hmmm urine jalan urine me kaisay jalan ho sakti ai bhala.
jalan agar honi chahiye to penis me honi chahiye urine karte hue. ab aap sahi sahi bataye ke jalan kahan hoti hai?
agar to abhi bhi urin me hoti hai to urine par paani daal deejiye, jalan bhuj jaayegi aur agar
penis me urine karte hue hoti hai to phir massla hai. iss par chaliye dono baith kar ghaur karte hain. koi infection hosakti hai, choti si ya moti si. phir yeh bhi ho sakta hai ke baz dafa poora urine na nikla ho naali se, iss se bhi waqti jalan hoti hai.
magar ab aap ko kya problem hai, iss ka jawab abhi diye dete hain, magar pehle aap inn sawalon ka jawab deejiye: kabb se jalan hai? har dafa urine karte waqat hoti hai? baar baar urine aata hai kya? urine karte waqat hi hoti hai ya har waqat penis me jalan rehti hai? aur aakhir me yeh bataye ke aap ne jalan se poocha ke kion hoti hai woh?
zara pooch kar bataye. ;-)
|
behave |
Group: Members Joined: 31st May, 2008 Topic: 4 Post: 17 Age:
33
|
|
Posted on:2nd Jun 2008, 11:15pm |
|
|
:) :) Like ur style
Janab-e-wala app ne sahi farmaya ke jalan urine kartay waqt he hoti hai
kabb se jalan hai? har dafa urine karte waqat hoti hai? Jalan kab say hai yeh tu yaad nahi lakin har waqt nahi hoti
baar baar urine aata hai kya? Baar baar unine tu nahi ata albata agar pani baar baar piyon tu zaroor ata hai
urine karte waqat hi hoti hai ya har waqat penis me jalan rehti hai? Har waqt nahi hote urine kartay hue bhi kabhi kabhi hoti hai
aur aakhir me yeh bataye ke aap ne jalan se poocha ke kion hoti hai woh? ab ho ge tu pochon ga, lakin jalan bhi chayed ap kay pass he refer karay :)
Regards
|
behave |
Group: Members Joined: 31st May, 2008 Topic: 4 Post: 17 Age:
33
|
|
Posted on:2nd Jun 2008, 11:39pm |
|
|
Correction Sorry sir pechli post mein kuch ghaltiyaan ho gaye thein us ko abhi sahi kar deta hoon
"Janab-e-wala app ne sahi farmaya ke jalan urine kartay waqt penis mien he hoti hai"
kabb se jalan hai? har dafa urine karte waqat hoti hai? Jalan kab say hai yeh tu yaad nahi lakin har dafa nahi hoti
urine karte waqat hi hoti hai ya har waqat penis me jalan rehti hai? Har waqt nahi rahti, jab jalan hoti hai tu urine kartay hue bhi hoti hai aur normally bhi, aur aisa kabhi kabhi hota hai, aik baat aur kay zyada dair tak nahi rahti 1 ya 1.5 hour mein khatam ho jati hai
|
behave |
Group: Members Joined: 31st May, 2008 Topic: 4 Post: 17 Age:
33
|
|
Posted on:2nd Jun 2008, 11:40pm |
|
|
Correction Sorry sir pechli post mein kuch ghaltiyaan ho gaye thein us ko abhi sahi kar deta hoon
"Janab-e-wala app ne sahi farmaya ke jalan urine kartay waqt penis mien he hoti hai"
kabb se jalan hai? har dafa urine karte waqat hoti hai? Jalan kab say hai yeh tu yaad nahi lakin har dafa nahi hoti
urine karte waqat hi hoti hai ya har waqat penis me jalan rehti hai? Har waqt nahi rahti, jab jalan hoti hai tu urine kartay hue bhi hoti hai aur normally bhi, aur aisa kabhi kabhi hota hai, aik baat aur kay zyada dair tak nahi rahti 1 ya 1.5 hour mein khatam ho jati hai
|
doctorji |
Group: Experts Joined: 21st Apr, 2008 Topic: 3 Post: 540 Age:
38
|
|
Posted on:2nd Jun 2008, 4:27pm |
|
|
hmm correction ki correction janab
inn baaton se to koi ghabranay wali baat nahi lagti. aisa lagta hai ke kabhi kabhi kuch paishab reh jata hai jo ke kuch der ke liye jalan karta hai. ya kuch ghaza ya adwiya ka bhi asar ho sakta hai. baharhaal infection ke imkanaat kamm hi lagte hain (kam lagne ka matlab yeh nahi hai ke infection ho hi nahi sakti. sab kuch hosakta hai) :-)
agar aap ko yeh shikayat buhat tang kare to aap zaroor kissi urologist ko aik baar dikhwa dena. aur agar yeh jalan aap se muhabbat karti hai aur aap ko kam az kam maheenon se tang kar rahi hai to aisi mehbooba se jaan churrani chahiye, iss ke liye bhi aap urologist se check up karwaye. aur agar jalan ke saath saath jalan ke kuch aur saathi bhi aajayen to phir to zaroor check up karwayen.
janab log aik doosre ko dekh kar jalan mehsoos karte hain aur aik aap hain ke jalan kahan sambhaal kar rakhi hui hai. ;-)
|
behave |
Group: Members Joined: 31st May, 2008 Topic: 4 Post: 17 Age:
33
|
|
Posted on:2nd Jun 2008, 4:54pm |
|
|
Jee Doctor Ji Sahi farmaya app nay, jalan jab tak positive ho tu hee faida deti hai warna es ka ellaj karwa lena chaye, wasay yeh jalan buhat kam hee hoti hai maheeno mein ek baar, lakin app ka mashwara sar ankhon par muka miltay hee urologist ko fees day kar ata hoon :) Buhut shukriya app ka
|
|