razi_82 |
Group: Members Joined: 16th Apr, 2008 Topic: 6 Post: 370 Age:
31
|
|
Posted on:23rd Apr 2008, 6:45am |
|
|
Heart Attack: What Are The Symptoms?
(1) heart atack ki nishanyaan kia hain?.....ya kese pata chalay k kisi par dil ka atack howa hay...... (2)agar pata chal jaye k heart atack howa hay to kia karna chahyay?......... (3)dil k amraaz se bachne k liye kia karna chahyay ? ya dil ka marz kiun hota hay us ki wajoohaat kia hain?.......
|
My Reply |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 2 Post: 2047 Age:
45
|
|
Posted on:23rd Apr 2008, 9:23am |
|
|
reply: Heart Attack
aap ka sawal aisa hai keh koi iss per aik tafseeli article likhe tu aap ko jawab mile ga.
generally left side of chest mai pain hota hai jo keh radiate ker ke left hand tak jaata hai, mareez ko sweeting bhi hoti hai. lekin sirf yahi alamat nahi hote balke aur bhi beshumar alamat hote hai.
Heart attack ki diagnosis generally ECG se hoti hai. agar yeh pata chal jaaye keh mareez ko Heart attack hua hai tu ose kisi dil ke doctor se ilaj karana chahiye.
dil ke marz se bachne ke liye paidal chalna chahiye, aur apne blood mai cholesterol level ko normal rakhna chahiye. cigarett se perhaiz kerna chahiye.
ziadah behter jawab koi dil ka doctor (cardiologist) hi de sakta hai.
|
razi_82 |
Group: Members Joined: 16th Apr, 2008 Topic: 6 Post: 370 Age:
31
|
|
Posted on:23rd Apr 2008, 9:29am |
|
|
reply: Heart Attack
main ne suna hay k agar kisi ko heart atack ho to usay foran leta dena chahyay aur phir usi letne ki halat main foran hospital pohunchana chahyay taqreeban 90 minutes hotay hain jin main mareez k bachne ka imkaan ziada hota hay......aur khud main ne dekha hay jo log heart atack k patient ko pedal chala kar ya bitha kar latay hain wo mareez kam bachta hay......
|
My Reply |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 2 Post: 2047 Age:
45
|
|
Posted on:23rd Apr 2008, 9:34am |
|
|
reply: Heart Attack
aap ne theek hi suna hai.
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:24th Apr 2008, 2:29am |
|
|
reply: Heart Attack
ye main ne pehli bar suna hai thanku very much buddy for a great knowledge :-)
|
razi_82 |
Group: Members Joined: 16th Apr, 2008 Topic: 6 Post: 370 Age:
31
|
|
Posted on:2nd May 2008, 6:32pm |
|
|
reply: Heart Attack
bhai asal main mere uncle ko heart problem tha aur akser main cardio jata tha jab wo wahaan hotay thay emergency k paas bethna hota tha to main ne note kia k jin logon ko wahaan chala kar laya jata tha ya bitha kar wo bohat kam bachtay thay kiun k mera bohat dhiyaan tha patients par jo emergency main aatay thay aur ham saari saari raat wahaan beth kar guzaar detay thay is liye ye baat main ne bohat shudet se feel ki.... asal main bhai jab heart atack hota hay to heart us waqt work nahi karta aur mareez ko agar koi harkat karwayi jaye gi to us ki body ko blood chahyay hoga jo usay nahi milega aur us ka dumaag mutasir hoga us ki harkat se jab wo heart atack ka shikaar ho is liye heart atack k mareez ko us waqt bilkul leeta dena chahyay aur foran hospital pohunchana chahyay....
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:5th May 2008, 3:35am |
|
|
reply: Heart Attack
o yes...u r absolutely right bilkul sahi logic batayi hai tum ne... im really very impressed with u
|
|