Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:4th Jan 2008, 1:41pm |
|
|
Pregnancy: On Which Month Child Start Moving?
Assalamualaikum Aj mai yah topic start kar raha hon please meri eltija hai jo log married hon chahai men or women yah jinko es bat ki bilkul sahi knowledge ho please woh reply karain. Internet sai pharka koi reply na karai. Allah ka shukar hai ka usna mujhai aik bohot acha aur bara maqam diya hai, Meri wife pregnant hai. Mai yah puchna chata hon ka babie kis waqt movement shuru kar daita hai. Meri wife ko pregnant howai 5 months hogai hai, 5th month jab start howa tha to babie ki movement ziyada thee, laikin kal sai babie ki movement bohot ziyada kam hogai hai aur mai aur meri wife pareshan hai bohot ziyada, its our first child. Yah mat kahiyaga ka doctor sai contact karai kiyu ka offcourse mai doctor ka pas jaoga magar kal subha, Wife ko bari mushkil sai sulaya hai. Mai comments ka intizar karonga. All married members and doctors please advice me.
|
pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:4th Jan 2008, 2:18pm |
|
|
reply: Which Month Child Start Moving? Hangamma ji:
Bohat bohat mubarak ho aap ko abba ji bannanay ki aur hamain haallaa banannay ki.
Ab baat yah hay kay bachhay ki movement roughly 3.5 month say MAHSOOS hona shuru ho jati hay, lakin pahlay bachay ki dafa itna patta nahi chalta kayounkay yah movement bohat halki si hoti hay jaisay koi titli apnay per pher-phera rahi ho.
Ok tu movement aap ki wife mahsoos kerti hain good!!! ab movement kayoun rukti hay iss ki aur bhi kai waja ho sakti hain jin main shamil hain kay ager aurat nay koi aisi medicine li hay jis main halki si bhi neend ki dawai thi jis say baccha ziada dair tak sota rahta hay aur move nahi kerta yah kam kerta hay.
lakin aik jo main nay hood experience ki hay wo yah thi kay uterous main jitna paani hona chahyay jab wo uss miqdaar say kam ho jata hay tu bachay ko mushkil hoti hay aur wo move nahi ker paata. Iss ki basic reason yah hoti hay kay aurat paani ka istimaal ziada nahi kerti. Aaj kal sedri hay iss waja say kahin aisa tu nahi kay aap ki wife nay paani kam istimaal kerna shuru ker dia ho???
Plz aisa mat kijiay ga kayounkay iss say bachhay kay jism aur damag main bantay houay kafi coplications paida ho jati hain. App zaroor aur zaroor doctor say milain aur ager khudankhasta movement slow hi rhay yah na ho tu ultrasound say patta chal jata hay kay pani uterous main enough hay ya nahi.
|
pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:4th Jan 2008, 2:25pm |
|
|
Which Month Child Start Moving? Kabhi kabhi bachay naturaly lazy bhi hotay hain. Mairi doctor nay mujay bataya tha kay ager uterous main pani poora ho aur phir bhi movment slow ho to wo phir bachay ki merzi hoti hay kayounkay wo lazy hota hay aur move nahi kerna chahta.
Waisay iss ko check kernay ka aik tareeqa bhi hay. Ab aap ki wife hi so gai hain lakin subah uth ker try kerwain. Un say kahin kay kuch khana khaain aur phir aaraam say lait jain. 30 minutes tak daikhain kay kia hota hay? ager baby move kerta hay tu theek hay iss ka matlab hay kay wo sirf lazy ho raha tha. Lakin ager nahi tu phir doctor kay paas jain. Waisay bhi yahan doctors recommend kertay hain kay 24 hours ager baby move na keray ya uss ki movement bohat kam mahsoos ho tu zaroor check kerna chahyay kay kia houa hay. |
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:4th Jan 2008, 2:34pm |
|
|
Pinky With all ur respect.
I m very much thankful to u. Apna jo kaha woh mai bilkul samajh gaya hon. kiyu ka yah bat to bohot had taq theek hai ka meri wife na water ka estimale thora kam kara hai.
Yah bhi sahi kaha ka khana ka 30 min wali bat, jab rat ko wife na khana khaya tha to hardly 10 to 20 mints babie na movement kari thee aur zara zoor dar wali.
Aik bat aur batadoon mera babie meri tarhan hangama machana wala babie hai, 5 month start hota hai usna acha khasa tang kar rakha tha meri wife ko, actually kal sai babie ki movments kuch kam theen jabhi woh pareshan theen, doctor sai meri sham ko verbally bat hogai thee and according to doctor yah koi problem nahi hai aisa hota hai, aur jaha taq bat hai ultrasound ki to woh mujhai kal karwana hai, Actually agar ultrasound aj hojata to tension khatam hojati.
Waisa i think u are right babie jee zara lazy horahai hai aur mama papa ko tension mai dal rahai hain.
Any ways thanks alot to give me such important information.
|
pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:4th Jan 2008, 2:38pm |
|
|
aik aur baat shukeria ki koi zaroorat nahi hay aap ka bachha hamara bhanja kia hayal hay? waisay yah hota hay kay ham pani gae rnormal haad tak pitay bhi hain tu serdi main heater ki waja say bohat sa pani waisay hi jism say kam ho jata hay. Iss baat ka bohat bohat hayal rakhain. Kayounkay main apni family main 2 aisay na-khushgwar incident daikh chuki hoon. Main aap ko dera nahi rahi lakin aap ko careful honay ka kah rahi hoon.
Allah aap ko aik piyaray aur sahatmand babloo say nwazay. ameen.
|
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:5th Jan 2008, 3:32pm |
|
|
Thanks for all Assalamualaikum
Sab sai pahla to mai un tamam members ka shukriya karna chahonga jinhona meri yah post phari aur apni advice dee aur hamara liya dua kari.
Special thanks for Pinky.
ALLAH ka bohot karam hai ka meri wife ka ultrasound bilkul sahi aya hai balka jab meri wife ultrasound karwana doctor ka pas gain aur doctor ko bataya ka baby ki movement bohot kam hai 2 din sai aur 5th month shuru hogaya hai to doctos na unko kaha ka etni jaldi to babie movement shuru hi nahi karta hai apko shayad gastric problem hogi, laikin jab unhona ultrasound kara to woh bhi hairan rahgai aur basakta unka mu sai alfaz niklai ka apka babie to bohot hi ziyada active hai mashallah sai.
ALLAH ka bohot karam hai ka reports bilkul theek ain hain aur doctor bilkul mutmain hain.
Pinky: i am very much thankfull ka apna meri etni help karai balka yah sirf meri hi nahi tamam members ki bhi help hogi agar koi yah post pharaiga too.
Aik bat batadoon waisa jab mai apni wife ki doctor ka pas gaya to unhona kaha ka yah sab normal hota hai aur pareshani wali koi bat nahi hoti. normally 7 months mai movement sahi sai start hoti hai aur phir mother ko woh movement count karni chahiya aur agar uswaqt jaka movements ma kami ajai to doctor sai foran contact karai.
Noor: Noor jee inshallah apka husband mujh sai bhi ziyada achai hongai.
Maina apna naam hangama, hangamaonline sai nahi rakha hai. Mai to bas hangama machana aya tha yaha pa har kisi ki help karka aur koshish bhi yahi hai meri. Meri wife bhi mujh ko kahti hai ka apka babie bohot hangama machata hai. |
pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:5th Jan 2008, 11:02pm |
|
|
hangamma Thanks to Allah that every thing is fine. But I am really surprised to read what doctor have said. I have given birth two of my own kids aur pahli baar main nay movement 3.5 month main mahsoos ki thi aur doosri baar iss say bhi pahlay. Waisay bhi yah mairi doctor nay hi bataya tha kay movement ROUGHLY 3 months kay aagay pichay ham MAHSOOS kerna shuru kertay hain, werna bachha ti iss say pahlay hi say move ker raha hota hay.
I am sory lakin doctor kay knoweldge per mujay shak hay..... Yahana pak ki tara nahi hota kay doctor ankhain band ker kay aap ko kuch bhi kah dain. Balkay wo bohat hi soch samaj ker baat kertay hain kayounkay kisi bhi galti say un ko loag sue bhi ker saktay hain.
Waisy bhi itna ziada literature yahan pperhnay ko milta hay kay her baat clear ho jati hay. App plz zera doctor ko bhi check kerain kay asli hi hayna????
Mian aap ka bura nahi chahti balkay chahti hoon kay aap kisi galat-fahmi main na rahain aur iss waja say koi mushkil na ho aap ko. Waisay aap online bhi confirm ker saktay hain.
Baherhaal Allah aap ko aik piyara sa babloo aur chunuu munuu atta keray. ameen. |
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:6th Jan 2008, 2:15am |
|
|
Pinky and Beauty Assalamualikum
Pinky: Well bat actually yah hai ka 5th month start hotai hai meri wife ko movements zara ziyada hi mahsos horahi thee, aur jab 2 din bohot kam movement howi thee to wife dar gai theen, shayad doctor ka kahna ka maqsad yahi tha ka jitni ziyada movement horahi hai woh 5th month mai nahi hoti hai.
Doctor ki yah bat maina apna mother, mother in law aur kuch aur logo sai confrim kari thee, to mujhai kuch na yah kaha ka unko 7th month mai movement mahsos howi woh bhi bohot hi halki si, kuch na kaha ka agar 24hours mai movement horahi hai thori bohot bhi eswaqt to normal hai aisa hi hota hai......
Test maina sab karwalaiya hain ever thing is right dont worry.
Beauty Star: Beauty pajee apko kaisa bhool sakta hon, yar apka bohot bohot shukriya ka tumnai mujhai apni duaon m ai yad rakha... Beauty mai apna bachai ko es forum pa kabhi nahi ana donga kiyu ka yaha pa kuch members hain jinko ap jantai ho achi tarhan sai jo nasirf apna country ko badnam kar rahai hai balka kahi kahi aisi batain bhi boli gai hai jo ISLAM ka khelaf jati hain.
Khair choro yar bhar mai jai aisa log. yara tum bhi bas shadi kar hi loo ab. Seriously karloo.
again bohot bohot shukriya ap dono ka. |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:6th Jan 2008, 7:56am |
|
|
Hungama Bahi : Why are you supset ?
Hungama Bahi app 2/3 din se kafee upset lag rahein hain .... Reply bhi
sirf formality nibahney k liyah kar rahein hain ..... Kya app pareshan
hain ya koi maslah hia ...... Hungama Bahi yah Baby k mamlah ALLAH per
hi chordh doo bahi tou behtar hai yah hamarah or app ka kaam nahi hai
yah cheezein insaan k ikhtiyaar se bahar hain , ALLAH hi in kamoon ko
dekhta hai , tou phir pareshan kyun hoo , Bas ALLAH se dua karoo baqee
uss per chordh doo yaar :)
Waisey tou Paajee Shadi seriously hi hotey hai koi mazakh ma nahi hotey
(lol) ..... Karlein gaey yaar abhi tou merey khalney khudhney k din hai
yaar ... Waisey bhi ALLAH ne paidash se la ker maut tak sarey cheezein
fix kar rakhey hain jab honey hogee tou ho jaey gee .... Waisey maiyn
27/28 ki age ma hi shadi karoonga .... its my personal decision :)
May ALLAH bless you and your family Ameen
|
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:6th Jan 2008, 2:15pm |
|
|
Beauty Assalamualaikum
Nahi dost upset to mai nahi hon, Laikin yar thora bohot to asrat par hi jatain hai demagh pa its my first baby so, i think u cant understand it. Jab meri shadi nahi howi thee to mujhai etna ziyada ahsas nahi hota tha laikin jab mai khud es situation mai hon to mujhai andaza howa hai.
Ur suggestion of marriage is right. Shadi mera khayal sai bhi aisa hi age mai hojani chahiya. Actaully meri thinking yah hai ka aulad parents ka samna hi jawan hojai aur jobs pa ajain to acha hai.
Wish u best of luck.
Jaha taq bat hai upset ki to uski wajha yah jo es forum pa kuch dino sai hangama hogay tha woh bhi hai, kiyu ka yar jab koi aisi bat karta hai jo samajh sai bahir ho aur musalsal wohi bat karta rahai karta rahai to mera demagh ghoomna shuru kardaita hai. Well main ab tumhari advice pa bohot haad taq amal kar raha hon HANSTA rahta hon post pharkaaa......LOL |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:6th Jan 2008, 2:59pm |
|
|
Re: Hangama Hungama BAhi app sahi kah rahey hain kah I can't understand it :( ....... Shayad Parents ki feeling hi alag hotey hai jabhi unhain ALLAH ne itne darjaat atah farmai hain....... Mujahey app ki post se thordah zimadariyoon ka ehsas bhi howa or yah bhi soocha kah maiyn ne different topic per internet per research ki hai lekin Pregnancy per nahi ki...... So maine apna next objective Pregnancy per research karne ka bana liyah hia ...... InshaALLAH papers k baad 1 week issi per research karoonga ...... Waisey BeautyStar k in hathoon ne kafee bachey khilaey hain .... 5/6 months ki bhatijiiyaan apne saath sulaey hain , mujhaey pata hai kiss tarah app ka demagh issi baat per laga rehta hai kah Bacha kahein jaag tou nahi gaya ya phir issi mujh se koi takleef tou nahi ho rahi hai ..... lekin shayad maiyn phir bhi woh feeling na la sakoon jo parents ki hotey hai .... Lekin phir bhi app ki iss post se mujhaey kafee information mili jo kah hopefully future ma merey kaam ayein gee ...... InshaALLAH abb pregnancy per research karoon ga :) |
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:6th Jan 2008, 4:05pm |
|
|
Beauty star and others Good suggestion and go a head.
Waisa maina to sab sai mashwara manga tha laikin kisi na koi mashwara nahi diya sirf pinky hi nahi help kari meri. Khair mai abhi bhi kahta hon agar koi married person yah post read karai to apna mashwara dai zaror, kiyu ka aksar bohot se chezain medical sai hat ka bhi hojati hain aur woh chezain medical kahta hai ka khatra ki nishaini hai laikin kuch hota nahi hai.
Waisa agar es forum ka log sahi sai estimal karain to yah forum bohot hi ziyada informative hai. |
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:7th Jan 2008, 3:31pm |
|
|
Pinky Waisa maina to sab sai mashwara manga tha laikin kisi na koi mashwara nahi diya sirf pinky hi nahi help kari meri
Sorry pinky main likhna charaha tha ka pinky na hi help kari meri ghalti sai hai ki jagha nahi hogaya. sorry for that. abhi maina dekha yah.
Still waiting for all ur comments |
|