sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 94 Post: 4510 Age:
35
|
|
Posted on:18th May 2008, 4:51pm |
|
|
Urdu Poetry: Apne Honton par Sajana Chahati Hun - I
Apne Honton par sajaana chahati hun aa tujhe mai Gungunana chahti hun koi Aansoo tere Daaman par girra kar bhoond ko motii banana chahti hun thak gayi mai karte karte yaad tujh ko ab tujhe mai yaad ana chahti hun chaa raha hai sari bastii me Andhera Roshni ho, ghar jalana chahti hun aakhri hichkii tere zanon pe aa a maut bhi mai sha-a-hana chahti hun
|
Veer |
Group: Members Joined: 21st Nov, 2010 Topic: 80 Post: 4277 Age:
28
|
|
Posted on:18th May 2008, 5:41pm |
|
|
wah,,,,,, Meri aankhon mein jo teri taseer hai
wohi mere khawab ki tabeer hai
too mujse door sehi mager
tere jism ki khoshbo mere kareeb hai
ab tere he hatho mein meri taqeer hai
ab hatho mein dekh kar batao zara
kya too he mera naseeb hai?
Written By Veer
|
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4969 Age:
|
|
Posted on:18th May 2008, 6:46pm |
|
|
Arz kia hai Yeh zara zara si baat par tarha tarha ke azaab kyun
Jo kisi se bhi khafa na ho, mujhe uss khuda ki talaash hai
Mujhe laghzishon pe harr ghari koi tokta hai baar baar Jisey kar ke dil ko dukh na ho, mujhe uss gunaah ki talaash hai
Main dhoondti hoon woh khizaan jisey gulshanon se pyaar ho Jisey kisi charaagh se na bair ho, mujhe uss hawaa ki talaash hai
Mujhe uss nagar ki hai justuju jahan koi bhi chahata nahi lahoo Jahan hirann ko sher se dar na ho mujhe uss jagah ki talaash hai
Yahan ik lamhey ke parraao mein mere saare phool jhulas gaye Ab jahan talkhiyon ki tapish na ho, mujhe uss fiza ki talaash hai
Bina humsafar ke kab talak koi musafiton mein laga rahe Jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss raah ki talaash hai
Mujhe dekh kar jo ik nazar mere saare dard samajh sakey Jo iss Qadar ho chara-gar, mujhe uss nigaah ki talaash hai |
Seemi |
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3829 Age:
25
|
|
Posted on:18th May 2008, 8:02pm |
|
|
Woh Jo Khud..... wo jo khud pairvi-e-ehle wafa karta tha mujh say milta
tha to talkeen e wafa karta tha
us k daman main koi phol nahi mery
liay jo meri tang-i-e-daman ka gila karta tha
aaj jo us ko bulaya to
wo gum sum he raha dil dharhakny ki jo awaaz suna karta tha
aj jo
meri har baat ka maainay poochay jo meri soch ki tafseer likha karta
tha
us ko ehsaas dilaya hai wo milta he nahi ajnabi tha to mujhe roz
mila kartaa tha
us ki dehleez say sadiyon say kharha hoon mohsin mujh
se milnay ko jo lamhaat gina karta thaa
|
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4969 Age:
|
|
Posted on:18th May 2008, 9:51pm |
|
|
seemi aunty bohat khoob waah waah waaah
|
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4167 Age:
|
|
Posted on:18th May 2008, 9:58pm |
|
|
mulahiza kihie main tor leta agar wo gulab hoti,
main jawab banta agar woh sawal hoti.
sab jante hain main nasha nahi karta,
pir b pee leta agar wo sharab hoti |
PYAR |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 19 Post: 56 Age:
24
|
|
Posted on:19th May 2008, 1:51am |
|
|
dilse salam
Hum dilse salam kerty hain
Apna har lamha apke name kerty hain
Ya our bat he ky milon mil dur rehty hain apse
Per yaad apko har subha sham kery hain. |
fakhirkhan |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 4 Post: 14 Age:
29
|
|
Posted on:19th May 2008, 1:52am |
|
|
Leher Wo Pani ki Lehron pe Kya Likh raha tha Khuda Jany Harf-e-Dua Likh Raha Tha
Likha Jis ne Afsana Wafa Ka Adhora Wohi Pyar ki Inteha Likh Raha Tha
Bhala Karty Karty Guzari Jawani Magr Phir bhi Khud ko Bura Likh Raha Tha
Mohabbat Mein Nafrat Mili Thi Usy Bhi
Jo Har Shakhs Baa-Wafa Likh Raha Tha...
Wo Pani ki Lehron pe Kya Likh raha tha Khuda Jany Harf-e-Dua Likh Raha Tha
|
Seemi |
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3829 Age:
25
|
|
Posted on:19th May 2008, 1:58am |
|
|
red chili Thanks red chili baji.
|
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2298 Age:
34
|
|
Posted on:20th May 2008, 10:41am |
|
|
poetries.... sab nay bohat zabardast poetries share ki hain...
i hope k baki members k sath sath ham sab ko KIM ki taraf say bi koi poetry is topic mai parhnay ko milay gi... |
uetian31 |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
30
|
|
Posted on:20th May 2008, 11:17pm |
|
|
udas shaamian ujaard rusty udas shamain ujard rusty kbi bulian to lot ana kbi aankhoun main rut jagoun k azab aaian to lot ana meri wo bataian k jin pe tu hansta tha beikhtiyaar khilkhila k bicherny waly meri wo batain tujhy rulian to lot ana |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 94 Post: 4510 Age:
35
|
|
Posted on:20th May 2008, 11:20pm |
|
|
kab badal jaye Kab Toot jaye kasam hi to hai, Kab badal jaye nazar hi to hai, Tum mere Saath ki aadat na dalna, Kab choot jaye zindagi to hai |
asusual |
Group: Members Joined: 28th Mar, 2008 Topic: 2 Post: 25 Age:
25
|
|
Posted on:20th May 2008, 1:26pm |
|
|
NIC3 thread SUN3Hr! ji yunhi Umeed dilate hain zamane wale, Lot k kab aate hain jane wale, Tum ne dekha hai kabhi Sehra main jhulsta hua darakht, Is tarha jeete hain wafaon ko nibhane wale.
|
kim84 |
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 787 Age:
27
|
|
Posted on:21st May 2008, 12:00pm |
|
|
Tum aur Shaiyri... her misray my ik methass si hoti hi.. Qafiya-radief tera ihsas deti hi.. tum my aur shairi my kya farq batlaoon.. Dono hi dil ka saaaz hoti hi..
Na janay kitni ghazloon ka nachor ho tum Mery her lafz my AWAZ tri hoti hi.... Tum my aur Sahiri my kya farq bataloon.. Tumhi sy mri zindagi ki AGHAZ hoti hi...
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 94 Post: 4510 Age:
35
|
|
Posted on:24th May 2008, 4:21pm |
|
|
Kade hain
kade hain Hijjar ke Lamhaat us se keh dena bikhar rahi hai meri zaat us se keh dena
hawaen Mosam-e-gham us ke shehar jaeyen to mere Dukhoon ki koi baat us se keh dena
ye wahshitain si udasi ye rutjagoon ke azaab us ki hai ye Inaayaat us se keh dena
bohat taveel bohat karb'naak hoti hai judayon ki har ek Raat us se keh dena
wo Dil ki baazi jahan mujh se jeetna chahe main maan loon gi wahin Maat us se keh dena
Waffa ki Rah me main aaj bhi akaili hoon
koi nahi hai mere sath usse keh dena |
Sar Pheri |
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 1 Post: 50 Age:
2010
|
|
Posted on:24th May 2008, 5:16pm |
|
|
Sharati Forum mein moghaliz ilfaz istemal na keejiye.....
Aaap ki poetry mujhe bilkul achi nahi lagi...is tarah ki poetry yaha nahi likhni chahye..fazooooool poetry hai ye
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 94 Post: 4510 Age:
35
|
|
Posted on:24th May 2008, 5:18pm |
|
|
Shararti ache bhalle topic ka satya naas na ki jiye apniwahiyat poetry se.... |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4969 Age:
|
|
Posted on:24th May 2008, 6:42pm |
|
|
Moderators sharati ki poetry ko to yaha se hataye...is ki poetry itni achi bhi nahi hai ke forum per chamakti rehe... |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4969 Age:
|
|
Posted on:24th May 2008, 6:50pm |
|
|
Sharati Meherbani farma ker forum mein is tarah ki poetry post na karein...forum mein is tarah ki Hullarbazi mamnoo hai...Kia main puch sakti hoon yaha aap ne itni fazool poetry kyun post ki hai ?
|
Amin4u |
Group: Members Joined: 15th Feb, 2008 Topic: 1 Post: 194 Age:
28
|
|
Posted on:24th May 2008, 7:45pm |
|
|
Kabhi Mere Pass Aa.. Kabhi Khud bhi Mere Pass Aa,
Meri Baat Sunn, Mera Saath De.
Jo Khalishh hai Dil se Nikaal Ker,
Mujhe Uljhanon se Nijaat de.
Tujhe Sochna Mera Mashgala,
Tujhe Dekhna Meri Aarzoo.
Mujhe Din de Apne Khiyaal ke,
Mujhe Apne Qurb ki Raat de.
Main Akela Bhatkoon Kahaan Kahaan,
Yeh Safar bohat Taveel hai.
Meri Zindagi Mere Saath Chal,
Mere Hathon Mein Apna Haath de. |
|