Allah ki qudrat ki aik misaal hamari aik azeezah jo bahoot deen.daar hain, islamiaat ki ostaad hain apnaa yeh zaati waqe'aa batlayaa k jab oski teesri beTi paida howi to waoh samaa'at say bilkul mahroom thee. kissi awaaz par oski koi tawajjah mabzool nahi hoti... miyaaN biwi dounouN educated aur alhamdolillah khatay peetay gharanay say thay. lehaza onhouN nay elaaj mo'aaljay main koi kasar nahi choRi... tamaam maahereen ka muttafiqah toy thee k bachi ki samaa'at Theek nahi hosakti... aur jab samaa'at nahi hogi to woh gongi bhi rah jayegi. doctors nay mazeed koi ilaaj jaari rakhnay say maazrat karli aur onhaiN jawaab day diaa.
MAGAR woh maaN Allah ki zaat say mayoos nahi howi. jab elaaj k raastay band hogaye to dua k saath saath mosalsal oss bachi k kaanoun maiN qurani ayaat paRh kar sonaati raheeN.... aur yak.sooyee k saath yeh amal jari rakhaa aur kabhi mayoos / bezaar nahi howi aur Allah ki zaat say pur omeed hi rahi. onhouN nay issay mammol banaa liaa k aik din...
bach saamnay pangoRay main leTi thee aur maan kaam kaj kar rahi thee k oskay haath say aik baRi degchi /pateli dhaRaam say giri... aik zabar dast shor howaa aur bachi (normal bachoun ki tarah taiz awaaz par) cheekh oThee... maaN nay hairat say bachi ko dekhaa aur khushia aur josh o walwalay k saath Allah ki taraf shukar guzaar nigaahounsay dekhaa aur bachi ko aik baar phir onhi samaa'at k mahereen k pass check up k liyeh lay gayee jinhouN nay jawaab day dia thaa.... doc nay check up k baad batlayaa bachi ki hearing kaam kar rahi hai...
aj masha Allah yeh bachi F.Sc. kar chuki hai as a normal student.
|