Aisha |
Group: Members Joined: 25th Mar, 2007 Topic: 13 Post: 46 Age:
30
|
|
Posted on:31st Mar 2008, 9:59pm |
|
|
Miscarage: Miscarage Of One Baby During Twin Baby Pregnancy
Asalmolaikum meri sawal meri choti sister k liye hay us ki 4 month pehle shadi huye hay masallha wo pregent hay abi sirf 2 month huye hey 3rd month laga hay usya 2 bar bleeding huye hay or ab thori thori bleeding hoti rehti hay doc se chek up karwaiya to kehte hay shyed 2 baby thay aik ka miscarage ho gya hay i want to know abt it..... or us ko sans boht charata hay bat karte huye b sans phul jata hay...... plz guys let me know i am worry abt her she is in pak and i am in usa so mujeb batiaye k asa kyun hua hay or usay ab kia karna chhaye 2 babay thay aik ka miscarage ho gya to dusre ko kuch ho ga to nahi i wait for ur replyes... Thank u
|
sobia777 |
Group: Members Joined: 25th Sep, 2007 Topic: 56 Post: 179 Age:
23
|
|
Posted on:1st Apr 2008, 4:55am |
|
|
B positive ap acha soochain accha hi hoga dont worry ausay khush rakhain ausay himmat dain aus say ziyada kaam na karvain aur first 3 months ( first trimister ) mai ziyada say ziyada aram ya bed rest karain kyoun k aun ko bleeding hoti rehti hai jo k acchi alamat nahi hia aur hospitals mai classess b hoti hain about pregnancy aunhain wo classess attend karwain INSHALLAH sab accha ho ga. plz agar mai kahin alat hon to forum k baki members mujhay durust karain aur AISHA k question ka tasalli baksh jawab dijyee thank you |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:2nd Apr 2008, 3:07am |
|
|
Aisha sobia ne bilkul thik jawab diya hai....jo baten unhon ne kahi hain un per zaroor amal keryen....aur sath hi apni sister se kahyen k jesa Dr kahey bilkul wesa hi keryehn....aur abi un k 2 months huye hain merey khyal se abi unhen complete bed rest kerna chahiye....4th month k end tak bilkul koi kam na kereyn....complete bed rest kereyn aur Dr k mutabiq unhen dikhati raheyn....pani ziada se ziada piyen....seeriyan bilkul na cherhen....wese bi kum se kum cheleyn....kopshish kereyn k ziada walk na kereyn.....diet behter kereyn....khush raheyn...aur acha socheyn...namaz perheyn....roz Quran perheyn....roz Sura Yaseen aur Sura Bakra pani mein dum ker k piyen.....
InshAllah sub thik ho jaye ga |
aamir2020 |
Group: Members Joined: 05th Nov, 2007 Topic: 50 Post: 369 Age:
29
|
|
Posted on:2nd Apr 2008, 3:15am |
|
|
zeb je zeb je ap yeh batain k kis month sy pait barhna shuru ho jata hai pregnancy mai?
|
My Reply |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 2 Post: 2048 Age:
45
|
|
Posted on:2nd Apr 2008, 5:06pm |
|
|
twin ka pata ultrasound se ho jaata hai mere khial se aisa nahi hota keh twin pregnancy mai aik baby ka abortion ho jaye aur doosra reh jaaye. ziadah behtar woh lady doctor bata sakti hai jo is case ko handle ker rahi hai. twin ke baare mai bhi ultrasound se pata chal jaata hai. mashwarah yahi hai keh osi lady doctor se consult kerti rahe jo ke ilaj ker rahi hai. waise bhi saans ki bimari ka bhi ilaj zaroori hai. |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:3rd Apr 2008, 5:28am |
|
|
....... agreed to My reply....agar twin pregnancy hoti to Dr pehle hi bata detey hain...bcoz baby single hai twins hain ye pehle hi pata chal jata hai....
Aamir: dear first pregnancy mein mostly pait bohat der k bad berhna shuru hota hai 4th month k baad........lekin agar 2nd 3rd pregnancy hai tub bi 4th se pehle nazar nai ata.....lekin pait berhna ya na berhna zaroori bat nai hoti....most important is growth and development of the baby |
pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:3rd Apr 2008, 9:10am |
|
|
Aisha App ki bahen ko chahyay kay foran apna ultrasound kerwaian, kayounkay ager khudankhasta yah miscarriage hay tu uterous kay ander say sab clean hay ya nahi yah pata nahi chalay ga bagair ultrasound kay. aur yah bhi kay twin wagaira hain ya nahi.
plz ussay foran kahain kay wo ultrasound kerwain kayounkay ya do zindgioun ka masla hay aur aap ki bahen abhi nasamaj hay kayounkay yah sab uss kay liay naya hay aur shayad koi usaay theek say guide bhi nahi ker raha hay.
allah aap ki bahen ko hairiyat say rakhay.ameen |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:4th Apr 2008, 1:42am |
|
|
aisha agreed to pinky
unhen foren kisi achey gynocologist se consult kerna chahiye...agey wo janey aur un ka kam... |
sobia777 |
Group: Members Joined: 25th Sep, 2007 Topic: 56 Post: 179 Age:
23
|
|
Posted on:5th Apr 2008, 5:50am |
|
|
twin baby twin baby kis tarha paida hotay hain means pregnancy kis tarha say twin ho sakti hai koi process hai ya koi tareeqa hai ? |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:5th Apr 2008, 6:15am |
|
|
sobia ye sub Allah k hath mein hota hai.....
is k liye koi tareeka ya koi process nai hai.... |
|