Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 9:35am |
|
|
Tutor Culture of Pakistan
Aaj newspaper mai Asif Zardari ka interview read kia. onho ne bataha keh Benazir Bhutto Sahiba apne bachcho ko khood parhati thi.
mai ne khood bhi bachpan mai tutor ki bajaye apni mother se parha hai. ab tak mai samajhta tha keh sirf woh log apni mother se parhte hai jo keh tutor afford nahi ker sakte.
kio keh mai Pakistan mai yahi dekhta hoo keh har ghar mai bachcho ko parhane ke liye tutor aata hai. aur jis ghar mai tutor nahi aata os ki sab se bari wajah yeh hai keh wo log tutor afford nahi ker sakte.
lekin yeh read ker ke hairani aur khooshi bhi huyee keh Benazir Bhutto sahiba apne bachcho ko khood parhati thi.
Mera sawal yeh hai keh: Pakistan ki beshtar (not all) taleem yafta khawateen apne bachcho ko khood parhane ki bajaye tutor se parhana kio chahti hai?
|
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 10:21am |
|
|
Good Topic
Tutor se pardhane ki 3 bardey wajoohaat yah hain :
- Kahawateen zayadah educated nahi hotey hain
- Khawateen ghar k kaam kaaj ma itne busy hotey hain kah un k pass time hi nahi hota hai
- Yah Pakistani Culture k eak hissa ban chuka hai or eak naya Business bhi
Maine sirf class 4th & 5th ma aur Intermediate ma tuition pardhey
hai tutor se iss k baad kabhi tuition nahi leey , Mujhey tou iss ka
sakht khilaaf hoon eak tou bachaa subah school jatah hai phir ghar akar
Madarse jatah hai or phir shaam ma tuition bechara pora din parhta hi
rehta hai or raat ma beth kar homework kar raha hota hai .....
Chidlren ko daily koi na koi game zaroor khilana chahiayh shaam k waqt
, aur mother ko chahiyah kah woh apne Bachoon ko khudh guide karye kyun
kah Mother se zayadah attention teacher bhi nahi dey sakhta hai ...
agar mother educated nahi tou Father ko guide karna chahiyah ... Lekin
agar donon hi iss qabil na hoon tou phir Tutor rakha ja sakhta hai.
Merey khayal ma Tutor sirf zaroorat pardhney per hi rakha jaey
bilahwajah bachoon per boojh na dala jaey aur khudh bachoon ko pardhana
chahiyah.
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 10:30am |
|
|
re: tutor culture and mother mera sawal aisi khawateen ke liye nahi hai jo ke kam taleem yafta hai, balke aisi khawateen jo keh achchi khasi taleem yafta hai aur achchi tarah bacho ko parha sakti hai, financialy bhi strong hoti hai, aur ghar ka kam kaaj ziadah tar maasi se karati hai.
lekin phir bhi bachcho ko parhane ki bajai Tutor ko dhoondti hai. beshtar khawateen ka kehna hota hai keh bachche on ke qaboo mai nahi aate.
aisi soorat mai yeh bhi aik aham sawal hai keh bachche parhai ke mamle mai apni mother ke qaboo mai kio nahi aate. ya phir mother jaan churane ke liye iss qisim ke bahane kerti hai.
|
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 10:34am |
|
|
Re: TUTOR ....... App ne bilkul saach kaha hai kah Educated Females bhi apne bachoon ko nahi pardhatey hain .... kyun kah yah Pakistan k culture ka part and parcel ban chuka hai .... Lekin kuch female buhat achey tareeqe se apne bachoon ko pardhatey hain lehaza yah bahana karna k bachey qaboo ma nahi aatey ghalat hai, Agar app saach much bachey ko pardhey tou bachey k achey bhi pardhein gaey. |
Bili_miau |
Group: Members Joined: 20th Oct, 2007 Topic: 17 Post: 871 Age:
26
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 11:51pm |
|
|
well pak me yeh eik rawaj he keh bache school se ate hi tutor keh pass bhg jate hain..ya woh kudh ghar pardhane ajate hain..ya sirf kharafaat he...nakhra he...aisi konsi maa he jo apne bache ko pardha nai sakti..mana keh zaida pardhi likhi nai hotin..per kai unhe basic chezon ka bhi nai pata hota? aur blikul hi unpard hain to kai bache per danda sawar karke nai use pardhne bitha saktin???? lazmi to nai keh koi tutor hi ho pardhane wala.....
pak culture keh maa baap kudh zaida tawajah nai dete.....aur phir kehte hain time nai hota...aisa konsa ghar he jahan bach eko pardhane ka time nai milsakta..din me do hours bhi nai? wah to phir paida kyon kie hain???? |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4216 Age:
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 12:28pm |
|
|
agreed to all bili, beautystar aur bewaqoof! aap sab ki batoon se main agree karta hoon. tuter ko sirf zaroorat k waqt hi rakhna chahie. aur jitna ho sake parents ko hi apne bache ka future banana chahie. aksar bache parents k laparwahi k waja se awaragardi ka shikar ho jate hain. agar parents bache k lie kam se kam 1 ya 2 hours apne masroofiat se nikale to yaqeenan un ka bacha roshan mutaqbil ka malik hoga q k jitne ziada bache parents k nazron k samne honge utne hi wo acha tarbiat pa sakte hain. |
Bili_miau |
Group: Members Joined: 20th Oct, 2007 Topic: 17 Post: 871 Age:
26
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 12:51pm |
|
|
hmm per pak me aise parents kam hi milte hain |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4216 Age:
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 2:31pm |
|
|
tabi to..... tabi to ham doosron se peeche hain |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:28th Jan 2008, 4:43am |
|
|
Tutor Ki Rozi Ka Zariya! [itnay baray baray school bags jo k books copies say bharay hotay hain , wo bag hi kisi ko zor say maar dia jaey to banday ka sir phat jaey...] Tutor rakhnay ki wajoohaat mandarja zail hain.
- shararti bachay tutor k samnay to shareef ban kar baith jatay hain lekin maa say mushkil say hi parhtay hain..
- maa baap ko ye faida k apni tension tutor par dal daitay hain, ta kay result bura anay par tutor say puchha ja sakay..
- saas bahu k jhagray aur saas aur nand aur husband k degar family member k khilaf planning kaisay banay gi aur chuglian kaisi hongi, agar khud hi bachay ko parhana shuru kar dia ? (aisa sab nai kartin lekin kuch females karti hongi yakeenan bcoz tv dramo mai aksar khavateen planning karti hi nazar aati hain)
waisay is mai koi buraee bi nai hai agar koi apnay baitay ko acha tutor lagva daitay hain aur wo afford bi kar saktay hain... waisay bi tutor nay time par ana hai aur time par jana hai..jabkay maa k liye aisa karna mushkil hoga........ LEKIN behtar ye hai k agar bachay ko maa hi parha sakti hai to zaroor parhaey, is say time bi acha guzray ga, aur bachay ki tarbiat bi achi hogi.. |
nelish |
Group: Members Joined: 13th Jan, 2008 Topic: 24 Post: 1151 Age:
24
|
|
Posted on:28th Jan 2008, 10:59pm |
|
|
Tutor ki kia zaroorat he parhne wale bachon ko tutor ya mother ki zarurat nahin hoti.wo school main hi sub afford kar lete hain.or main ne bhi tutor ya mother say nahin parha aj tuk.jub ke main 13th main hon. |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:28th Jan 2008, 11:14pm |
|
|
PARKOO KURI Nelish Jee,
APP PARAKOO KURI HOO GEE PER AJ KAL BACHOO KOO MA KEE CARE AUR TUTOR KEE ZARRORAT HOTI HA.
INTIZAR RAHAY GA AP KAY JAWAB KA. |
nelish |
Group: Members Joined: 13th Jan, 2008 Topic: 24 Post: 1151 Age:
24
|
|
Posted on:28th Jan 2008, 11:28pm |
|
|
good man bhai main or meri behen ne aj kut koi tuition nahin liya he.or na pata he tuition ki parhai kesi hoti hai han saf baad hai hamare mother ne bhi hamen kabhi nahin parhaya wese unhone B.com kia hai |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:29th Jan 2008, 12:28am |
|
|
parents learn create confidence Nelish Jee,
If your mother is BCOM then she must teach and guide you.Because it is very important that parents must guide their children.If your parent will teach you you must get confidence than other people.Educated parents are also a blessing of ALLAH.
You must learn with your parents.
waiting for your comments |
|