Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 250 Post: 4281 Age:
38
|
|
Posted on:23rd May 2009, 3:26am |
|
|
Telepathy Exercise Technique Books In Urdu Telepathy exercise ke oopar beshumar Urdu books market balkeh footpath per dastiab hai, jise mulk ke beshtar logo ne khareed ker read kia hai.
kia aap mai se koi hai jis ne Telepathy Exercise ki practice ki hai, ya Telepathy Technique istemal kia hai.
jin logo ne English aur Urdu dono mai Telepathy read kia hai kia woh bata sakte hai keh Telepathy In Urdu mai jo Telepathy Test aur Exercises bataye jaate hai woh ziadah sahi hai ya Telepathy In English mai ziadah sahi hai.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6526 Age:
54
|
|
Posted on:23rd May 2009, 4:43am |
|
|
iss qism ka ilm 1. kissi guru ki madad k beghair easily nahi seekhay jasaktay.
2. urdu k moqaablay maiN english book zeyadah authentic hoti haiN. coz urdu books beshtar tarjuma hoti haiN
3. known history maiN (say) top one lac peoples maiN say ketnay log haiN /thay jinhouN nay yeh kaamyaabi telepathy k bal bootay pay haasil ki ho... less tah one percent hi hongay agar hongay to.... lehaza aisaa ilm seekhnay ka faidah ... woh aloom seekhay jayaiN jin par amal karkay aksar log dunyaa maiN kaamyaab hotay haiN |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 250 Post: 4281 Age:
38
|
|
Posted on:23rd May 2009, 11:00pm |
|
|
Telepathy Book In Urdu agar book se seekhi nahi jaa sakti tu book read kerne ka kia faida |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:23rd May 2009, 11:07pm |
|
|
myrizvi '''1. kissi guru ki madad k beghair easily nahi seekhay jasaktay.''''
Ye sach hai ke guru ki madad ke baghair ham easily nahi seekh saktey..Lekin agar guru na ho to books pahr ker dimagh lara ker insaan kuch na kuch seekh jata hai.aisi books pahr ker aap ko bohat kuch pata chal jata hai.Jo kuch guru seekh sakte hain wo books read ker ke akele utna ziyada ache tareeqe se nahi seekh sakte...
|
ozone |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2008 Topic: 25 Post: 1368 Age:
|
|
Posted on:23rd May 2009, 11:11pm |
|
|
Red ChiLLi kabi aap ne kisi book se try tou nahi kia ?? :-P |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:23rd May 2009, 11:16pm |
|
|
ozone Nahi main ne try nahi kia hamare math ke teacher the wo aisi books per try kerte the..aik baar unho ne students per tajurba bhi kia tha lekin wo kamiyab nahi hue the....shaed unhe bhi kisi guru ki help ki zarurat thi..lol
|
ozone |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2008 Topic: 25 Post: 1368 Age:
|
|
Posted on:23rd May 2009, 11:20pm |
|
|
Yani aap k guru ko guru ki zarurat hai ...lolss |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6526 Age:
54
|
|
Posted on:23rd May 2009, 10:23pm |
|
|
Red chilli baaz aloom aisay hain k sirf book paRhnay say oskay baray main info maiN to izafah hojata hai magar oss kitaabi ilm par amal karnaa... bara risky hai like...
1. book parh kar swimming k tareeqay just for info to maloom kiyeh jasaktay hain ... lekin agar koi sirf book parh kar (beghair kissi guru, coach, trainer) k samander maiN swimming karnay chala jaye to ....
2. jadoo bhi aik aisaa hi ilm hai... books paRh kar theoritical bahoot see batain seekhi jasakti hain... lekin agar inhaiN practice karna ho to kissi guru k beghair aisaa karnay main bara risk involve hai (yeh alag baat hai k jadoo islam maiN haraam hai... lekin jo log islam ko "nahi maantay" woh agar aqalmand howay to kabhi bhi furu k beghair sirf book say jadoo ko practice nahi karengay... jadoo ulta galay bhi par sakta hai
3. yehi haal telepathy ka hai... jo islamic taqwaa rakhtay hai woh to guru ki madad say bhi telepathy ko practice nahi karna chaahengay... lekin "doosray" logouN maiN say jo aqalmand hongay woh book read karkay knowledge to lay lengay lekin amal karnay /practice k liyeh kissi guru ko hi dhoondegay...
|
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:24th May 2009, 4:50am |
|
|
rE: Telepathy Exercise Technique Books In Urdu kia aap mai se koi hai jis ne Telepathy Exercise ki practice ki hai, ya Telepathy Technique istemal kia hai.
ji haan books parhi thin seekhne k wastay, magar jitne fayeday miltay hain isko seekhne k baad utna hi mushkil hai isko seekhna, koi aam insaan isko nahi seekh sakta baghair kisi ki madad k ya khud se sekhne k liyain bhi kaafi himmat, lagan, sabar aur mazbooti chahiyai........ye ek tarha se mout pe se guzar kar seekhne wala ilm hai, agar sekhne k doraan bech main zara si bhol chok hogae tou apki jaan bhi jasakti hai.
in logo ne English aur Urdu dono mai Telepathy read kia hai kia woh bata sakte hai keh Telepathy In Urdu mai jo Telepathy Test aur Exercises bataye jaate hai woh ziadah sahi hai ya Telepathy In English mai ziadah sahi hai.
jisko english nahi ati parhni uske liyain urdu walay test zyada sahi hain. :-)
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 250 Post: 4281 Age:
38
|
|
Posted on:24th May 2009, 5:37am |
|
|
re: swimming book in urdu re: "lekin agar koi sirf book parh kar (beghair kissi guru, coach, trainer) k samander maiN swimming karnay chala jaye to ...."
achch tu kia log swimming ke liye bhi book read kerte hai? kia swimming per bhi koi book urdu mai mojood hai. |
adeel123 |
Group: Members Joined: 26th Jan, 2009 Topic: 4 Post: 34 Age:
28
|
|
Posted on:24th May 2009, 6:01am |
|
|
Harms Ma ne es ki books pari hain iger ya kise guru ki madad ka bagair shoro ke jaya too app brain ki bohat see bimarioo ma mubtala ho saktey hain |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6526 Age:
54
|
|
Posted on:24th May 2009, 6:11am |
|
|
swimming, driving & flying k liyeh bhi books available haiN... bewaqoof bhai aap in books ko read karkay (agar pahlay say nah aati ho to apnay risk par:) swimming, driving & flying bhi kar saktay hain.... aisaa karnaa ap k liyeh WRONG nah hoga k aap hi ka farmaan hai k ... nothing is wrong lol... aur agar khoda nah khaastah aisaa kartay howay aap apni jaan (zaati wali, doosri wali nahi:) say hath dho baiTho to yeh bhi wrong nah hoga. haaaaa haaaa
PS: bhai agar mazaaqia fiqray boray lagaiN to maaf kardenaa... |
Savera |
Group: Members Joined: 28th Jan, 2009 Topic: 0 Post: 49 Age:
|
|
Posted on:24th May 2009, 7:25pm |
|
|
Re:
Agar do log Telepathy jante hain aur aik insaan kisi aise insaan ke mind ko read kerne ki koshish kare jo Telepathy janta hai...To us ke mind ko signal milna shuru ho jate hain use pata chal jata hai koi us ke mind ko read kerne ki koshish ker raha hai. Aise mein dusra shakhs pehle ko apne mind mein dakhil hone se rok sakta hai....(isliye ke liye wo apni saans rok ker usse mind mein dakhil hone se rok sakta hai).Aur us se puch sakta hai wo kon hai....us ke mind ko kyun read kerna chahta hai..etc etc etc
Agar pehle shakhs ko ijazat mile gi to wo mind read ker sakta hai wrna nahi ker sakta.......ijazat lene ke baad jo banda mind read kerne ke liye dusre ke mind mein dakhil hota hai... us ka control pehle shakhs ke pass nahi balke dusre shakhs ke pass hota hai..(jis ke mind ko read kerne ki koshish ki jati hai)…
Aur wo wohi bata sakta hai jo us ki marzi ho gi....jis question ka jawab dena chahe ga...
Agar pehle shakhs garbar kare ga to usse aziyat bhi di ja sakti hai....aur usse apne mind se bhagaya bhi ja sakta hai.. Aur jo jitna ziyada janta hai jis ke pass jitna ziyada ilm hota hai wo is kaam mein utna ziyada powerful ,mahir hota hai…
(Aik
baat ye bhi hai ke agar aap ne kisi ki awaz suni ho to phir aap duniya
mein jahan bhi hon jis ki awaz aap ne suni hoti hai us ke mind ko kisi
bhi waqt read ker sakte hain)
Main ne books 2000 mein read ki thi ho sakta hai mujhe kuch yaad na raha ho..
|
Savera |
Group: Members Joined: 28th Jan, 2009 Topic: 0 Post: 49 Age:
|
|
Posted on:24th May 2009, 7:45pm |
|
|
re
Aap bus ,train,plane aur kisi bazaar etc etc kisi jaga per hon. Agar aap ko koi shakhs mashkook lage yaa aap kisi ka mind read kerna chahein to aap kisi bhi shakhs ki awaz sun ker us ke mind mein dakhil ho ker read ker sakte hain..Kisi ko pata nahi chalta ke koi un ka mind read ker raha hai...
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6526 Age:
54
|
|
Posted on:24th May 2009, 10:18pm |
|
|
savera jiss ki mind reading ki jarahi ho ... ossay yaqeenan patah chal jata hai k koi osskay mind /soch ko read kar rahaa hai aur woh issay aisaa karnay say rok bhi sakta hai .... magar aisa sirf wohi shakhs karsakta hai jo pahlay walay mind-reader k equall telepathy jaantaa ho... agar woh pahlay shakhs say kam ilm rakhta hai yaa bilkul nahi jaantaa (as in ordinary cases) to woh kuch nahi karsaktaa...
savera... waisay kia aap nay yeh informations digest ki kahaniyoun say to nahi hasil ki :) digest ki kahaaniyouN maiN science-fiction ki tarah telepathy-fictions par bhi mabni hoti haiN jo actual ilm k 100% jaisee nahi hoti kuch zebay daastaan aur kahani ki demand k motaabiq bhi hotaa hai... as u see in scientific fiction movies |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 250 Post: 4281 Age:
38
|
|
Posted on:12th Dec 2009, 1:52pm |
|
|
telepathy book aap mai se ketne logo ko telepathy aati hai |
Raaz1230 |
Group: Members Joined: 14th Dec, 2009 Topic: 0 Post: 4 Age:
30
|
|
Posted on:14th Dec 2009, 3:22pm |
|
|
please help me
yaar app sab logon ney apni apni baat keh di kisi ne yeh nahin bataya key koi telepathy janta bhi hai ya nahin ,,,, kionkey mujhey purisrar aloom sekhney ka marney ki had tak shok hai .... mainey is par duniya jahan ki kitabeen bhi red ki hain,, our mujhey bohat ziada maloomat bhi hai magar itni information ke bawajood kucch bhi nahin ho saka ... agar koi is silsiley main meri help kar sakta hai to please please contact me my e mail id isedited..Moderator Note: It Is Not Allowed To Share E-Mail Address Or Contact Number Here.
|
Raaz1230 |
Group: Members Joined: 14th Dec, 2009 Topic: 0 Post: 4 Age:
30
|
|
Posted on:14th Dec 2009, 3:26pm |
|
|
PagaL
main bhi kitna Pagal hun itna bhi nahin samajh paya key agar koi telepaty janta bhi ho ga to yaqeenan is waqt who beth ka yeh blogs nahin red kar raha ho ga who to bohat azeem shakhs ho ga magar merey kehney ka maqsad sirf itna hai key agar kisi key ilm main koi bhi aisi baat jis par amal ho sakey ya kisi ki nazar main koi aisa shakhs jo kucch sikha sakey please merey madad karey please
|
A_H |
Group: Members Joined: 11th Nov, 2009 Topic: 1 Post: 15 Age:
24
|
|
Posted on:15th Dec 2009, 3:53pm |
|
|
To Raaz1230 Assalam_o_Alaikum
Aap apna maqsad bataiye pehlay k aap yeh ilm kuon hasil kerna chahtay hain?uskey baad he aap ki koi madad ki ja sakti hai... |
Dr. Adeel |
Group: Members Joined: 27th Jul, 2008 Topic: 0 Post: 346 Age:
31
|
|
Posted on:12th Jun 2011, 6:55pm |
|
|
reply to Raaz1230 A.o.a,I read this blog today, too late Me Telepathist, i give u all info wht do u want.
but if u Seriously Interested.
|
|