akele mai batai kerna: yeh aik nafsiati bimari hai baaz nafsiati mareez ko akele mai awazain sunai deti hai aur shaklai bhi nazar aati hai. aisi kaifiat ko halucination kehte hai.
jab koi akela kamre mai khood bakhood batai kerta hai tu os ka matlab hai keh ose koi nazar aaraha hai aur ose ki awazai bhi sunai de rahi hai jis ka wo jawab deta hai.
yeh kaifiat aik bari nafsiati beemari Schizophrenia mai hoti hai. lekin severe depression mai bhi aisa ho sakta hai.
baaz aoqat depression mai awazain tu nahi aati lekin insaan ko khialat bari shiddat se aate hai aur woh khialo mai zor zor se baatai kerta hai.
Treatment: ilaj ka daromadar diagnosis per hai. aap ko mashwarah hai keh aap os aurat ko kisi psychiatrist ke paas le ker jaaye. woh os ka mental state examination ker ke pata lagaye ga keh os ki asal bimari kia hai. jab asal bimari pata chal jaaye ga tu ilaj bhi aasani se ho jai ga. |